Sab se Awola wa A’ala

Sab se Awola wa A’ala hamara Nabi
Sab se Baala-o-A’ala hamara Nabi
Apne Mouwla ka piyara hamara Nabi
Dono Aalam ka Duolha hamara Nabi
Baz’m-e-Aakhir ka Sham’a faroza huwa
Noor-e-awwal ka Jalwa hamara Nabi
Bujh gayin jis ke aage sabhi mash’aleyn
Sham’a wo le ke aaya hamara Nabi
Jis ke Talwon ka dhuowan he aab-e-Hayaat
Hey wo Jaan-e-Maseeha hamara Nabi
Khalq se Auwliyaa Auwliyaa se Rusul
Aur Rasoolon se A’ala hamara Nabi
Jayse sab ka Khuda ek hey wayse hi
In ka un ka tumhara hamara Nabi
Kuwn deta he dene ko mun chahiye
Dene Waala he sacha hamara Nabi
Kiya khabar kitne taare khile chhup gaey
Par na doobe na dooba hamara Nabi
Saare uonchon meyn uoncha samajhye jise
Hey us uonche se uoncha hamara Nabi
Gham zadoun ko Raza muzdah dijiye ke he
Be-kason ka sahara hamara Nabi


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46