Sair Gulshan kon dekhe dast-e tayyiba chore kar

sair Gulshan kon dekhe dast-e tayyiba chore kar
soye jannat kon jaye dar tumhara chore kar
 
sir gazasht gham kahoon kis se tre hotay hue
kis ke dar par jaoon tera astana chore kar
 
be liqaye yaar un ko chain aa jata agar
baar baar atay nah yun Jibreel sidra chore kar
 
kon kehta hai dil e be mudda hai khoob cheez
mein to kori ko nah lon un ki tamanna chore kar
 
mar hi jaoon mein agar is dar se jaoon do qadam
kya bachay bemaar gham qurb masiihaa chore kar
 
kis tamanna par jiyeen yarab asiiraan qafas
aa chuki baad-e Saba baghِ madinah chore kar
 
bakhshawana mujh se aassi ka rawa ho ga kisay
kis ke daman mein chupun daman tumhara chore kar
 
Khuld kaisa nafs sarkash jaoon ga tayyiba ko mein
bad chalan hatt kar khara ho mujh se rasta chore kar
 
aisay jalwey par karoon mein laakh hurron ko Nisar
kya gharz kyun jaoon jannat ko madinah chore kar
 
hashar mein aik aik ka mun taktey phirtay hain ado
aafton mein phas gaye unn ka sahara chore kar
 
mar ke jeetay hain jo unn ke dar pay jatay hain Hassan
jee ke martay hain jo atay hain madinah chore kar
 

Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46