Shab-e-Gam kaat day meri, umeedoon ki sahar kar day
Meray gam ko khushi kar, meray ayeboon ko hunur kar day
Umeed-o-baim say guzroon fusoon-e-waham say nikloon
Mujhay apni huzoori day mera haal digar kar day
Wo meray haal say waqif hain un ko hay khabar meri
Bhala kesay kahoon koi unhain meri khabar kar day
Bhala jaan-o-dil laikar kahan jaye ga Tayyibah say
Unhain ya nazar kar ya Sadqa-e- خیر البشرkar
Agar to chahta hay dozakh-e-dunya say azadi
Madeenah ho tera ghar, ye Tamanna dil man ghar kar day
Teri dolat tera sarmaya-e-gam, teray aanso hain
Baha kar Naat man nadan un ko to ghar kar day
Ye meri zindagi bhi karwan, hay aye khuda! Us ka
Madeenah jis taraf hay us taraf roo-e-safar kar day
Jagah daiday Adeeb-e-khush nawa ko apnay qadmoon man
Rahi fard-e-amal us ko jidhar chahay udhar kar day