Shams-u-Dhuha par lakhoon salam
Badar-u-Duja par lakhoon Salam
A’la say A’la Tera maqam sab anbiya ka Too hay Imam
Kul olya man Teray Gulam Shams-u-Dhuha par Lakhoon Salam
Hay Hukmarani kis shan say Qaim hay Teray Faizan say
Dunya-o-Deen ka Sara Nizam Shams-u-Dhuha Par lakhoon salam
Har rukh say Eiman hay Surkhuroo Zahir bhi to hay Batin bhi Too
Dil man Durood Lab par Salam
Shams-u-Dhuha par lakhoon Salam
Teri A’ta ki kia baat hay abr-e-karam ki barsat hay
Radd-e-bala hay tera hay Naam Shams-u-Dhuha par lakhoon Salam
Sab Pal rahay han dar say teray
Sab pa rahay han Ghar say teray
Is man nahin hay koi kalam Shams-u-Dhuha par Lakhoon Salam
Itna Karam to farmaye Rozay pe sab ko Bulwaye
Hazir yahan han jitney Gulam shams-u-Dhuaha par Lakhoon par Salam
Anjum kay Aaqa Anjum hi kia Teray bhikarai Teray Gada
Saray Khawas aur saray Awam Shams-u-Dhuha par lakhoon par Lakhoon Salam