Too hay Gauth ke har Gauth hay shaida Tera

Too hay Gauth ke har Gauth hay shaida Tera
Too hay Gaith ke har Gaith hay piyasa Tera

Sooraj agloon kay chamkatay thay chamak kar doobay
Ufuq-e-Noor pe hay Muhar hamaishah Tera

Murg boltay hain bol kay chup rahtay hain
Haan aseel ayek nawasanj rahay ga Tera

Jo wali qabal thay ya baad huay ya hongay
Sab adab rakhtay hain dil man meray Aqa tera

Baqasam kehtay hain shahaan Saraifain-o-Hareem
Ke huwa hay na wali ho koi hatma Tera

Tujh say aur dahar kay aqtaab say nisbat kesi
Qutub khud kaun hay Khadim tera chaila Tera

Saray aqtaab jahan kartay hain ka’bah ka Tawwaf
Ka’bah karta hay Tawwaf-e-dar-e-wala tera

Aur parwanay hain jo hotay hain Ka’bah pe Nisar
Sham’e ik Tu hay parwanah hay Ka’bah Tera

Shajar sarw sahi kis kay ugaye teray
Marfat phool sahi kis ka khilaya tera

Tu hay no shah baraati hay ye Sara gulzaar
Laye hay fasal saman goondh kay sahra Tera

Daliyan jhoomti hain Raq’s-e-khushi josh pe hay
Bulbulain jhoolti hian gaati hain sehra Tera

Geet kaliyoon ki chatak Gazlain Hazaroon ki chehk
Baag kay sazoon man bajta hay tarana Tera

Saff-e-har shajrah man hoti hay Salami Teri
Shakhain jhuk jhuk kay baja laati hain majra Tera

Kis gulustan ko nahi Fas’l-e-bahari say Niaz
Kaun say silsilah man faiz na Aaya Tera

Nahi kis chand ki manzil man Tera jalwa-e-Noor
Nahi kis Aayenah kay gahar man ujalaa Tera

Raaj kis shah’r man kartay nahi Teray Khudaam
Baaj kis nahar say laita nahi Darya Tera

Mazra’e chisht-o-Bukhara-o-Iraq-o-Ajmair
Kaun si kish’t pe barsa nahi jhala Taira

Aur Mahboob hain, haan par sabhi yaksaan to nahi
Yoon to Mahboob hay har cahahne wala Tera

Us ko so fard sarapa bafaragat orhain
Tang ho kar jo utarnay ko ho nema Tera

Gardanain jhuk gayen sar bich gay dil Lot gay
Kash’f-e-Saaq Aaj kahan ye to Qadam tha Tera

Taaj-e-farq-e-arfa kis kay qadam ko kahiye
Sar jisay baaj dain wo paon hay kis ka tera

Sukar kay josh man jo hain wo tujhay kia janin
Khizar kay hosh say pochay koi rutba tera

Aadmi apnay hi ahwaal pe karta hay Qiyaas
Nashay waloon nay bhula sukar nikala tera

Wo to chota hi kaha chahian ke hain zair-e-Hadheedh
Aur har auj say auncha hay sitarah tera

Dil aada ko Raza taiz Namak ki dhun hay
Ik Zara aur chirhkta rahay khamah Tera


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46