Tumhara Naam Museebat main jab lia hoga
Hamara bigra huwa kaam ban gaya hoga
Khuda ka lutuf huwa hoga Dastgeer Zaroor
Jo girtay girtay tira Naam lay lia hoga
Dikaye jayegi Mahshar main Sahaan-e-Mahboobi
Ke Aap hi ki khushi Aap ka kaha ho ga
Khudaye Paak ki chahain gay aglay pichlay khushi
Khudaye paak Khushi in ki chahta ho ga
Kisi kay paon ki bairhi ye kat tay hon gay
Koi Aseer-e-Gam un ko pukarta hoga
Kisi taraf say sada Aayegi Huzoor Aao
Nahi to dam mian Gareebon ka faisla ho ga
Koi kahay ga duhai hay ya Rasool ALLAH
To koi tham k Daman machal gaya ho ga
Kisi ko lay kay chalian gay farishtay sooye Hajeem
Wo in ka rasta phir phir kay daikhta ho ga
Khuda kay wastay jald un say A’rz-e-haal Karo
Kisay Khabar hay ko dam bhar main haaye kia hoga
Pakar ke hath koi haal-e-Dil sunaye ga
To r okay qadmoon say koi Lipat gaya ho ga
Koi Qareeb tarazoo koi lab-e-Koasar
Koi Siraat par un ko pukarta hoga
Wo pak dil ke nahi jis ko apna andaisha
Hujoom-e-fikir wa Tarddud main ghar gaya hoga
Kahain gay aur Nabi Iz’haboo Ila Gairi
Meri Huzoor kay Lab par Ana laha ho ga
Gulam un ki inayat say chain mian Hongay
Ad’we Huzoor ka Aafat main Mubtala ho ga
Main un ky dar ka bhikari hon fazal maola say
Hasan faqir ka jannat main bistra hoga