Wah kia martaba aye Gauth hay baala Tera

Wah kia martabah aye Ghauth hay Baala Tera
Ounchay Ounchoon kay Saroon say Qadam A’la Tera
Sar bhala kia koi jane ko hay kesa Tera
Oliya maltay han Aankhain wo hay Talwa Tera
Kia dabay jis pe Himayat ka ho Panja Tera
Shair ko khatray man laata nahi Kutta Tera
Qsmain day day ke khilata hay, Pilata hay Tujhay
Piyara ALLAH Tera chahne wala Tera
Kiyoon na Qasim ho k Too ibn-e-Qasim hay
Kiyoon na qadir ho k Mukhtar hay baba Tera
Ibn-e-Zuh’ra ko Mubarak ho uroos-e-Qud’rat
Qadri payen Tasadduq meray Dulha Tera
Bad sahi, chor sahi, mujrim wa nakara sahi
Aye wo kesa hi sahi hay too Kareema Tera
Fakhr Aaqa man Raza aur bhi ik Nazam Rafee
Chal likha layen Sana khawanoon man chehra tera