Wasaf-e-rukh un ka kia kartay hain sharah walshams wud dhuha kartay hain

Wasaf-e-rukh un ka kia kartay hain sharah walshams wud dhuha kartay hain
Un ki ham madah-o-sana kartay hian jin ko mahmood kaha kartay hain

Maah-e-shaq gashtah ki soorat daikho kaanp kar mahar ki rajat daikho
Mustafa piyaray ki qudrat diakho kesay aijaz huwa kartay hain

Too hay khursheed risaalat piyaray chup gay teri zia man taaray
Anbiya aur hain sab mah paaray tujh say hi Noor lia kartay hain

Aye bila baikharde kuffar rakhtay hain ayesi kay haq man inkaar
Ke gawaahi ho gar us ko darkaar bay zaban bol utha kartay hain

Apnay mola ki hay bas shaan Azeem janwar bhi karain jin ki taazeem
Sang kartay hain adab say tasleem peerh sajday man girakartay hain

Rifat zik’r hay tera hissah donoon aalam man hay tera charcha
Murg-e-firdos pas az Hamd-e-khuda teri hi madah-o-sana kartay hain

Ungliyan payen wo piyari piyari jin say darya-e-karam hain jaari
Josh par aati hay jab gam khawaari tashnay sairaab huwa kartay hain

Haan yehin karti hain chirhiyan faryaad haan yahen chahtey hay hirni daad
Isi dar par shutraan-e-nashaad gala-e-ranj-o-ana kartay hain

Aasteen-e-rahman-e-aalam ultay kamar-e-paak pe daaman bandhay
Girnay waloon ko cha dozakh say saaf alag khainch lia kartay hain

Jab saba aati hay Tayyibah say idhar khilkhila parhti hain kaliyan yaksar
Phool jaama say nikal kar bahir rukh-e-rangeen ki sana kartay hain

Tu hay wo baadshah kon-o-makaan ke malak haft falak kay har aan
Teray mola say shah-e-arsh ayewaan teri dolat ki dua kartay hain

Jis kay jalway say uhad hay tabaan maadan-e-Noor hay us ka daaman
Ham bhi us chaand pe ho kar qurban dil-e-sangeen ki jila kartay hain

Kiyoon na zaiba ho tujhay ta jori teray hi dam ki hay sab jalwah giri
Malak-o-jinn-o-bashar hoor-o-pari jaan sab tujh pe fida kartay hain

Toot parhti han balayen jin par jin ko milta nahi koi yaro
Har taraf say wo pur armaan phir kar un kay daaman man chupa kartay hain

Lab par aa jata hay jab Naam janab mun man ghul jata hay shahad-e-Nayaab
Wajad man ho kay ham aye jaan baitaab apnay lab choom lia kartay hain

Lab pe kis mun say gam ulfat layen kia bala dil hay alam jis ka sunayen
Ham to un kay kaf-e-pa par mit jayen un kay dar par jo mita kartay hain

Apnay dil ka hay unhain say aaram sonpnay han apnay unehain ko sab kaam
Lo lagi hay ke ab us dark ay Gulaam chara-e-dard-e-Raza kartay hain


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46