Zahay izzat-o-iatilaaye Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Zahay izzat-o-iatilaaye Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Ke hay ar’sh-e-haq zair paye Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Makaan ar’sh un ka falak farsh un ka
Malak khadimaan-e-saraye Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Khuda ki raza chahtay hain do aalam
Khdu chahta hay raza-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Ajab kia agar raham farma lay ham par
Khuda-e-Muhammad bara-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Muhammad bara-e-janaab-e-Ilahi!
Janaab-e-Ilahi bara-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Bas it’r Mahboobi kibriya say
Aba-e-Muhammad quba-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Bhim ahad bandhay hain wasl-e-abad ka
Raza-e-Khuda aur Raza-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Dam-e-naza’e jaari ho meri zubaan par
Muhammad Muhammad Khuda-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Asa-e-kaleem ajdaha-e-Gazab tha
Giroon ka sahaara asa-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Man qurbaan kia piyaari piyaari hay nisbat
Ye aan-e-khuda wo khuda-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Muhammad ka dam khaas bahar-e-Khuda hay
Siwa-e-Muhammad bara-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Khuda un ko kis piyaray say daikhta hay
Jo aankhain hain mahw-e-liqa-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Jalw-e-man ijaabat khawasi man Rahmat
Barhi kis tazak say dua-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Ijaabat ne jhuk kar galay say lagaya
Barhi Naaz say jab dua-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Ijaabat ka sehra inayat ka jorha
Dulhan ban kay nikli dua-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم

Raza pal say ab wajad kartay guzriye
Ke hay Rabb-e-Sallim Sadaye Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم