Meray tarz-e-sukhun ki jaan hain gul bhi gulustaan bhi
Mera husun-e-bayan hay khaar bhi chaak-e-giraiban bhi

Meray daaman man, jugnoo hain jahan aur chand taaray bhi
Isi daaman man rakhtaa hoon kuch aahian aur shararay bhi

Jo meri umar ka hasil hay zik’r-e-Mustafa karna
Taqaza-e-Muhabbat hay bayan-e-karbala karna

Taqaza hay zameer-e-shayer haq go ki fitrat ka
Ke haq goi-o-baibaki pe mabni ho sukhun us ka

Bayan sayyid-ush-shuhadaa’e ki jab tamheed hoti hay
Wo hi ahad-e-wafa kay rasam ki tajdeed hoti hay

Hussain ibn-e-Ali, sabt-e-peyambar, sharf-e-Insaani
Wo jis kay rukh pet hi Noor-e-Muhammad ki farawani

Shaheed-e-karbala tareekh ka unwaan hay goya
Hussain ib’n-e-Ali har qal’b man mehmaan hay goya

Bataya’ kis tarah kartay hain ummat ki nigahbaani
Sikhaya, kis tarah rakhtay hain sajdoon man ye paishaani

Jalaya us ne zulmat man charaag-e-Noor-e-imaan
Ye sab kuch jaantay thay phir usay daitay na thay paani

Buhut hi mukhtasar’ bandoon say Rab ka fasla nikla
Haram say lay kay ahl-e-bait ko, jab qaflah nikla

Amaamah baandh kar ah’d-e-wafa ka, Karbala Jana
Tha ummat kay liye Maqsood un raahoon ka dikhlana

Wo rahain jo urooj-e-aadmiat ka sabab thihreen
Zawaal-e-zulum thehreen, Haq parastoon ka laqab thehreen

Arab ki sar zameen’ taptay huway sehra, khazaan kay din
Safar man thay Rasool-e-hashmi ki jaan-e-jaan kay din

Ye manzil aazmayesh ki barhi dushwaar hoti hay
Fiza man zahar hota hay, hawa aazar hoti hay

Jab hasti mard-e-momin ki supard-e-daar hoti hay
To saye kay liye sar par faqat talwaar hoti hay

Wo jis ki shaan man thi aayah tatheer-e-Qurani
Isi ki ahl-e-koofah nay kia naizoon say mehmani

Talab Nana say kausar ki shafaa’et ki sufarah bhi
Nawasay par wohi karnay lagay teroon ki barish bhi

Jalay khaimay badan chalni thay khoon man tar qabayen then
Khuda ko jo pasand aati hain wo saari adayen theen

Wo chehray Noor kay thay, gird jin kay Noor kay haalay
Banay wo khaak-o-khoon man ayek ho kar karbala waalay

Wo chehray wo badan jo ish’q ka israar hotay hain
Gubaar-e-khaak say un kay kafan tayar hotay hain

Na hota gar Muhammad ka gharaana ayesi mazal par
Tu urh jaata faraug deen ka mustaqbal dhuwan ban kar

Salaam us par ke jo Haq kay liye sar bhi kata aaya
Salaam us par jo ummat kay liye ghar bhi luta aaya

Salaam us par mera jo khoon kay darya man tera hay
Salaam us par ke jo Nana kay parcham ka pheraira hay

Salaam us par ke jis ne zindagi ko zindagi bakhshi
Saroon ko sar bulandi aur zauq-e-bandagi bakhshi

Salaam us par ke jo dosh-e-peyambar ki sawaari hay
Salaam us par ke jannat jis kay ghar ki raahdari hay

Teer seenay pe, barchi push’t par jhailay huway insaan
Salaam aye Fatimah ki god man khailay huway insaan

Buhut Aasan hay zik’r-e-shaheed-e-karbala karna
Daroon-e-qal’b mushkil hay wohi haalat bapa karna

Shaheed-e-karbala kay zikr ka mujh par jawaab Aaya
Ke teri Zaat man ab tak na koi inqilaab aaya

Saraasar aabroo bin gairat-e-sharam-o-haya ho ja
Agar mujh say Muhabbat hay to mera naq’sh-e-pa ho ja

No comments yet

Jo tera tif’l hay kaamil hay ya Gauth tufaili ka laqab waasil ya Gauth
Tasawwuf teray maktab ka sabaq hay tasarruf par tera aamil hay ya Gauth
Teri sair-e-ilallah hi hay fillah ke ghar say chaltay hi mosil hay ya Gauth
To Noor-e-awwalo-aakhir hay mola tu khair-e-aajil-o-aajil hay ya Gauth
Malak kay kuch bashar kuch jin kay hain per tu sheikh aali-o-saafil hay ya Gauth
Kitaab-e-har dil aasaar tarruf teray daftar hi say naaqil hay ya Gauth
Futooh-ul-gaib agar roshan na farmaye futoohaat-o-fusoos aafal hay ya Gauth
Tera mansoob hay marfoo’e us ja izafat rafa’e ki aamil hay ya Gauth
Teray kaami mushaqqat say bari hain ke bar tar nasab say fayel hay ya Gauth
Hudan say Ahmad aur Ahmad say tujh ko kun aur sab kun makun haasil hay ya Gauth
Teri izzat, teri rifat tera fazal bifazlihi afzal-o-faazil hay ya Gauth
Teray jalway kay aagay mantiqa say mah-o-khor par khat baatil hay ya Gauth
Sayaahi maayel us ki chaandni aaye qamar ka yoon falak mayel hay ya Gauth
Tala-e-mahar hay texaal bahir ke khaarij markaz haamil hay ya Gauth
To barzakh hay barang noon-e-mannat do jaanib mutassil wasil hay ya Gauth
Nabi say aakhaz aur ummat par Fayez idhar qabil udhar fayel hay ya Gauth
Nateejah had-e-ausat gar kay day aur yahaan jab tak ke Tu shaamil hay ya Gauth
Ala Tooba lakum hay wo ke jin ka shabana roz wird dil hay ya Gauth
Ajam kesa arab hal kia Haram man jami har jaami teri mehfil hay ya Gauth
Hay sharah-e-is’m-Al-Qadir tera Naam ye sharah us matan ki haamil hay ya Gauth
Jabeen-e-jabah farsaaye ka zidal Teri deewar ki keh gal hay ya Gauth
Baja laya laya wo amar-e-saarioo ko teri jaanib jo mustajal hay ya Gauth
Teri qudrat to fitriyaat say hay ke Qadir Naam man dakhil hay ya Gauth
Tasrruf waalay sab mazhar hain teray to hi us parday man fayel hay ya Gauth
Raza kay kaam aur ruk jayen hasha
Tera sayel hay to bazal hay ya Gauth

No comments yet

Tera zarrah mah kaamil hay ya Gauth tera qatrah yam saayel hay ya Gauth
Koi saalak hay ya waasil hay ya Gauth wo kuch bhi ho tera saayel hay ya Gauth
Qad-e-bay saaya-e-zil-e-kibriya hay to us bay saya-e-zil ka zil hay yaa Gauth
Teri jaageer man hay sharq ta garb qalamar-o-man haram ta hill hay ya Gauth
Dil ishq-o-rukh husun aayena hain aur in donoon man tera zil hay ya Gauth
Teri shama’e dil aara ki tab-o-taab gul-o-bulbul ki aab-o-gul hay ya Gauth
Tera majnoon tera sehra tera najad teri laila tera mahmal hya Gauth
Ye teri champaye rangat hussaini husun kay chaand subhuh-e-dil hay yaa Gauth
Gulustaan zaar teri pankhrhi hay kuli so khuld ka haasil hay ya Gauth
Ugaal us ka udhaar abraar ka ho jisay tera ulash haasil hay ya Gauth
Ishaarah man kia jis ne qamar chaak to us mah ka mah-e-kaamil hay ya Gauth
Jisay arsh-e-dom kehtay hain aflaak wo teri kursi-e-manzil hay ya Gauth
Tu apne waqat ka Siddiq-e-akbar Gani-o-Hyeder-e-aadil hay ya Gauth
Wali kia mursal aayen Khud Huzoor aayen wo teri waez ki mehfil hay ya Gauth
Jisay maangay na payen jaah waalay wo bin maangay tujhay haasil hay ya Gauth
Fuyooz-e-aalam ummi say tujh iyaan maazi-o-mustaqbil hay ya Gauth
Jo qarnoon sayar man aarif na payen wo teri pehli hi manzil hay ya Gauth
Malak mashgool hain us ki sana man jo tera zaakir –o-shaagil hay ya Gauth
Na kiyoon ho teri manzil arsh saani ke arsh-e-haq teri manzil hay ya Gath
Wahien say ublay hain saatoon samandar jo teri nahar ka saahil hya ya Gath
Malayek kay bashar kay jin kay halqay teri dho maah har manzil hya ya Gauth
Bukhaara-e-iarq-o-chisht-o-ajmair teri lo shama’e har mehfil hay ya Gauth
Jo tera Naam lay zaakir hay piyaaray Tasawwar jo karay shaagil hay ya gauth
Jo sar day kar tera soda khareeday Khuda day aqal wo aaqil hya Gauth
Kaha tu ne ke jo mango milay ga
Raza tujh say tera sayel hay ya Gauth

No comments yet

اَ َلَا یٰاَ یُّھَا السَّاقِیْ اَدْرِکَا سًا وَّ نَاوِلْھَا
Ke bar yaad-e-shah-e-kausar bana sazaim mehfilha

Bila bareed Hubb-e-shaikh najdi bar wahabia
Ke ish’q asaan namud awwal walay uftaad mushkilha

Wahaabi garcha ikhfa may kunad buguz-e-Nabi lakin
Nahan kay maenad aa raazay kaz-o-saa zand mehfilha

Tawwahbgaah milk-e-hind iqaamat ra name shaayad
Jars faryaad may dard ke barbandeed mahmleha

Salaye mujalsam dar gosh aamad bain baya bashuno
Jars-e-mastaana may goyad ke bar bandeed mahmlaha

Magar daan ro azeen mehfil rah-e-arbaab-e-sunnat ro
Ke saalak bay khabar nabud ze raah-o-rasam manzalaha

Darayen jalwat baya az raah-e-khalwat ta Kuda
مَتٰی مَا تَلْق مَن قَھْوٰی دَعِ الدُّنْیا وَاَمْھِلْھا

Walam qurbaanat aye dood-e-charaag mihfil-e-molad
Za taab-e-jaad-e-mushkeenat cha khoon uftaad dar dalha

Gareeq-e-bahar-e-ishq-e-Ahmadaim az farhat molad
Kuja daanad haal-e-ma subkasa raan-e-sahla

Raza mast jaam-e-ishq saagar baaz mey khawahad
اََلَا یٰاَ یُّھَا السَّاقِیْ اَدْرِکَا سًا وَّ نَاوِلْھَا

No comments yet

Yan shubah shabeeha ka guzarna kesa!
Bay misil ki tamsaal sanwarna kesa

Un ka mutallaq hay taraqi pe mudaam
Tasweer khinchey un ko gawara hi nahi

Mana hain ye maani ke karam kia manay
Khinchina to yahaan kisi say thehra hi nahi

No comments yet

Kaabah say agar turbat-e-shah fazil hay
Kiyoon bayen taraf us kay liye manzil hay

Us fikir man jo dil ki taraf dhiyaan gia
Samjha ke wo jisam hay ye marqad dil hay

Tum chaho to qismat ki museebat tal jaye
Kiyoon kar kahoon sa’at say qiyamat tal jaye

Lillah utha do rukh roshan say niqaab
Mola meri aaye hui shamat tal jaye

No comments yet

Bosa gah-e-ashaab wo muhar saami
Wo shana-e-chup man us ki anbar faami

Ye tarfah ke hay kaabaha jaan-o-dil
Sang-e-aswad Naseeb rukun-e-shaami

No comments yet

Shab lahya-o-sharib hay rukh-e-roshan din
Gaisoo-o-shab qadar-o-baraat-e-momin

Majgaan ki safain chaar hain do abaroo hain
وَالْفَجْر kay pehloo man لَیَالٍ عَشرٍ

Allah ki sar ta baqadam shaan hain ye
In sa nahi insaan wo insaan hain ye

Quraan to imaan bataya hay unehain
Imaan ye kehta hay meri jaan hain ye

No comments yet

Aatay rahay anbia کَما قِیْلَ لَھُمْ
وَالْخَاتَمُ حَقُّکُم ْ ke khaatam huway Tum

Yeni jo huwa daftar tanzeel tamaam
Aakhir man hui muhar ke اَکْملْتُ لَکُمْ

No comments yet

Bheni suhani subuh man thandak jigar ki hay
Kaliyaan khileen diloon ki hawa ye kidhar ki hay

Khabti hoi nazar man ada kis sahar ki hay
Chubhti hui jigar man sada kis gujar ki ahy

Daalain hari hari hain to baalain bhari bhari
Kashat-e-amal pari hay ye bearish kidhar ki hay

Ham jayen aur qadam say lipat kar haram kahay
Sonpa Khuda tujh ko ye azmat safar ki hay

Ham gird kaabah phirtay thay kal tak aur aaj wo
Ham par Nisaar hay ye iraadat kidhar ki hay

Kalak jabeen ki sajdah-e-dar say churhao gay
Mujh ko bhi lay chalo ye tamanna hajar ki hay

Dooba hua hay shauq man zamzam aur aankh say
Jhaalay bars rahay hain ye hasrat kidhar ki hay

Barsa ke jaanay waaloon pe gohar karoon Nisaar
Abar-e-karam say ar’z ye mazaab zar ki hay

Aagosh shauq kholay hay jin kay laye hateem
Wo phir kay daikhtay nahi ye dhan kidhar ki hay

Haan haan rah-e-Madeenah hay gafil zara too jaag
Aopaoun rakhnay waalay ye ja chasham-o-sar ki hay

Waaroon qadam qadam pe ke har dam hay jaan-e-no
Ye raah-e-fiza meray mola kay dar ki hay

Gharhiyaan gini hain barsoon ke ye sub gharhi phiri
Mar mar kay phir ye sal meray seenay say sar ki hay

Allah-o-Akbar apnay qadam aur ye khaak-e-paak
Hasrat malayekah ko jahaan waza’e sar ki hay

Meraaj ka samaan hay khan puhunchay zaayero!
Kursi say ounchi kursi usi paak ghar ki hay

Ushaaq-e-roza sajdah man soo-e-Haram jhukay
Allah jaanta hay ke Niyyat kidhar ki hay

Ye ghar ye dar hay us ka jo ghar dar say paak hay
Mujdah ho bay ghar-o-ke Salaah achay ghar ki hay

Mahboob Rabb-e-arsh hay us sabz Qubbah man
Pehloo man jalwah gaah ateeq-o-umar ki hay

Chaaye malayekah hain laga taar hay Durood!
Badlay hain pahray badly man baarsh durar ki hay

Saadeen ka qiraan hay pehloo-e-maah man
Jhurmat kiye hain taaray tajalle qamar ki hay

Sattar hazaar subuh hain sattar hazaar shaam
Yoon bandagi zulf-o-rukh aathoon pahar ki hay

Jo ayek baar aaye dobarah na aayen gay
Rukhsat hi baargaah say bas us qadar ki hay

Tarhpa karain badal kay phir aana kahan Naseeb
Bay hukum kab majaal parinday ko par ki hay

Aye waaye bay kasi-e-tamanna kea b umeed
Din ko na shaam ki hay na shab ko sahar ki hay

Ye badliyaan na hoon to karoroon ki aas jaye
Aur baargaah marhamat-e-aam tar ki hay

Masoomoon ko hay umar man sirf ayekbaar bar
Aasi parhay rahin tawasalan umar bhar ki hay

Zindah rahian to haaziri-e-baargah Naseeb
Mar jayen to hayaat-e-abad aish ghar ki hay

Muflis aur aisay dar say phiray bay gani hui
Chandi har ik tarah to yahaan gadia gar ki hay

Janaan pe takiah khaak nahali hya dil nahaal
Haan bay nawaou khoob ye Soorat guzar ki hay

Hain chitar-o-takhat saaya-e-deewaar-o-khaak-e-dar
Shahoon ko kab Naseeb ye dhaj karr-o-far ki hay

Is paak ko man khaak basar sar bakhaak hain
Samjhay hain kuch yehi jo haqeeqat basar ki hay

Kiyoon taajdaro! Khawaab man daikhi kabhi ye shay
Jo aaj jholiyoon man gada yaan-e-dar ki hay

Jaar-o-kashoon man chehray likhay hain malook kay
Wo bhi kahan Naseeb faqat Naam bhar ki hay

Tayyibah man mar kay thanday chalay jaaou aankhain band
Seedhi sarhak ye shahar shafaat nagar ki hay

Aasi bhi hain chaheetay ye Tayyibah hay zahido!
Makkah nahi ke jaanch jahaan khar-o-shar ki hay

Shaan-e-jamaal-e-Tayyibah jaanaan hay nafa’e mahaz!
Wusat jalaal-e-Makkah man sood-o-zarar ki hay

Kaabah ha bay skhak anjuman aara dulhan magar
Saari bahaar dulhaniyoon man doolha kay ghar ki hay

Kaabah dulhan hay turbat-e-athar naye dulhan
Ye rashak-e-aftaab wo gairat qamar ki hay

Donoon baneen sajeeli aneeli bani magar
Jo pe kay paas kay wo suhagan kanwar ki hay

Sar sabz-e-wasal ye hay sayah posh-e-hajar wo
Chamki do patoon say hay jo haalat jigar ki hay

Ma-o-shuma to kia ke khaleel-e-jaleel ko
Kal daikhna ke un say tamanna nazar ki hay

Apna sharf dua say hay baaqi raha qubool
Ye jaanain un kay haath man kunji asar ki hay

Jo chahay un say maang ke donoon jahaan ki khair
Zarna khareedah ayek kaneez un kay ghar ki hay

Roomi gulam din habshi bandiyaan shabeen
Ginti kaneez zadoon man shaam-o-sahar ki hay

Itna ajab bulandi jannat pe kis liye
Daikha nahi ke bheek ye kis ounchay ghar ki hay

Ar’sh-e-bareen pe kiyoon na ho firdos ka dimaag
Utri hui shabia teray baam-o-dar ki hay

Wo khuld jis man utaray gi abraar ki barat
Adna nichawar us meray doolaha kay sar ki hay

Anbar zameen abeer hawa mushak-e-tar gubaar!
Adna se ye shanaakhat teri rahguzar ki hay

Sarkaar ham ganwaaroon man tarz-e-adab kahan
Ham ko to bas tameez yehi bheek bhar ki hay

Maanay gay maangay jayengay munh maangi paayen gay
Sarkaar man na la hay na haajat agar ki hay

Uf bay hayaiyan ke ye munh aur teray Huzoor
Haan tu kareem hay teri khoo dar guzar ki hay

Tujh say chupaoun munh to karoon kis kay saamnay
Kia pursash-e-aur jaa bhi sag-e-bay hunur ki hay

Baab-e-ata to ye hay jo behka idhar udhar
Kesi kharaabi us nighray dar badar ki hay

Abad aik dar hay tera aur teray siwa
Jo bargaah daikhay gairat khandar ki hay

Lab wa hain aankhain band hain phaili han jholiyaan
Kitnay mazay ki bheek teray paak dar ki hay

Ghaira andhariyoon nay duhaye hay chand ki
Tanha hoon kaali raat hay manzal khatar ki hay

Qismat man laakh paich hoo so bal hazaar kaj
Ye saari guthi ik teri seedhi nazar ki hay

Aesi bandhi naseeb khulay mushkilan khulen
Donon jahaan man dhoom tumhaari kamar ki hay

Jannat na dain, na dain, teri royat ho khair say
Us gul kay aagay kis ko hawas barg-o-bar ki hay

Sharbat na dain, na dain, to karay baat lutuf say
Ye shaheed ho to phir kisay parwa shukur ki hay

Man khana zaad kehna hoon soorat likhi hui
Bandoon kaneezoon man meray maadar pidar ki hay

Mangta ka haath uthtay hi data ki den thi
Doori qabool-o-ar’z man bas haath bhar ki hay

Sinki wo daikh bad shafaat ke day hawa
Ye aabroo Raza teray damaan-e-tar ki hay

No comments yet

Shukur-e-Khuda ke aaj gharhi us safar ki hay
Jis par Nisaar jaan falaah-o-zafar ki hay

Garmi hay tap hay dard hay kulfat safar ki hay
Na shukria too daikh azeemat kidhar ki hay

Kis khaak-e-paak ki to bani khaak-e-pa shifa
Tujh ko qasam janaab-e-maseeha kay sar ki hay

Aab-e-hayaat-e-rooh hay zurqa ki boond boond
Akseer azam mas-e-dil khaak dur ki hay

Ham ko to apnay saaye man araam hi say laye
Heelay bahaanay waloon ko ye raah dar ki hay

Lutatay hain maaray jaatay hain yoon hi suna kiye
Har baar di wo aman ke gairat hazar ki hay

Wo daikho jagmagaati hay shab aur qamar abhi
Paharoon nahi ke bast-o-chaharam safar ki hay

Maah-e-Madeenah apni tajalli ata karay!
Ye dhalti chandni to pahar do pahar ki hay

مَنْ زَارَ تُرْبَتِیْ وَجَبَتْ لَہ شَفَاعَتِی ْ
Un par Durood nin say naveed in bushar ki hay

Us kay tufail haj bhi khuda nay kara diye
Asl-e-muraad haaziri is paak dar ki hay

Kaabah ka naam tak na lia Tayyibah hi kaha
Poocha tha ham say jis nay ke nahidhtu kidhar ki hay

Kaabah bhi hay unehain ki tajalli ka ayek zill-e-
Roshan unehain kay akas say patli hajar ki hay

Hotay kahaan khaleel-o-bina kaabah-o-mina
Lolak waalay saahibi sab teray ghar ki hay

Mola Ali ne waari teri neend par Nimaaz
Aur wo bhi asar sab say aala khatar ki hay

Siddique balkeh gaar man jaan us pe day chukay
Aur hif’z-e-jaan to jaan furooz-e-garar ki hay

Han tu ne un ko jaan unhein phair di Nimaaz
Pardah to kar chukay thay jo karni bashar ki hay

Saabit huwa ke jumlah farayez-e-furoo’a hain
Asl-ul-usool bandage us taajwar ki hay

Shar khair shor soor sharar door naar Noor!
Bushra ke baargaah ye khairul bashar ki hay

Mujrim bulaye aaye hain jaaouk hay gawaah
Phir rad ho kab ye shaan kareemoon kay dar ki hay

Bad hain magar unhain kay han baagi nahi hain ham
Najdi na aaye us ko ye manzil khatar ki hay

Tuf najdiat na kufur na islaam sab pe haraf
Kaafir idhar ki hay na udhar ki idhar ki hay

Hakim hakeem daad-o-dawa dain ye kuch na dain
Mardood ye muraad kis aayat khabar ki hay

Shakl-e-bashar man Noor-e-Ilahi agar na ho!
Kia qadar us khameera-e-ma-o-madar ki hay

Noor-e-illah kia hay Muhabbat Habeeb ki
Jis dil man ye na ho wo jaga khook-o-khar ki hay

Zki’r-e-Khuda jo un say juda chaho najdio!
Wallah zikr-e-Haq nahi kunji saqar ki hay

Bay un kay waasitah kay Khuda kuch ata karay
Hasha galat galat ye hawas bay basar ki hay

Maqsood ye hain Adam-o-Nooh-o-Khaleel say
Tukhum-e-karam man saari karaamat samar ki hay

Un ki Nabuwwat un ki ubuwwat hay sab ko aam
Umm-ul Bashar uroos unhain kay pisar ki hay

Zaahir man meray phool haqeeqat man meray nakhal
Us gul ki yaad man ye sada bul bashar ki hay

Pehlay ho un ki yaad ke paaye jila Nimaaz
Ye kehti hay azaan jo pichlay pahar ki hay

Dunya mazaar hashar jahaan hain Gafoor hain
Har manzil apnay chaand ki manzil gafar ki hay

Un par Durood jin ko hajar tak karain salaam
Un par salaam jin ko tahiyyat shajar ki hay

Un par Durood jin ko kas-e-bay kasaan kahain
Un par salaam jin ko khabar bay khabar ki hay

Jinn-o-bashar salaam ko haazir hain Asslaam
Ye bargaah maalik-e-jin-o-bashar ki hay

Shams-o-qamar salaam ko haazir hain asslaam
Khoobi unehin ki jot say shams-o-qamar ki hay

Sab baha-o-bar salaam ko haazir hain asslaam
Tamleek unhein kay naam to har bahar-o-bar ki hay

Sang-o-shajar salaam ko haazir hain asslaan
Kalmay say tar zubaan darkhat-o-hajar ki hay

Ar’z-o-asar salaam ko haazir hain asslaam
Malja ye baargaah dua-o-asar ki hay

Shoreedah sar salaam ko haazir hain asslaam
Raahat unehain kay qadmoon man shoreedah sar ki hay

Khasta jigar salaam ko haazir hain asslaam
Marham yahen ki khaak tu khasta jigar ki hay

Sab khushuk-o-tar salaam ko haazir hain asslaam
Ye jalwah gaah maalik har khushuk-o-tar ki hay

Sab karo far salaam ko haazir hain asslaam
Topi yahin to khaak pe har karr-o-far ki hay

Ahl-e-nazar salaam ko haazir hain asslaam
Ye gird hi to surmah sab ahl-e-nazar ki hay

Aansoo baha ke ba gay kaalay gunah kay dhair
Haathi dobaou jheel yahaan chasham tar ki hay

Teri qaza khaleefa-e-ahkaam-e-ze-al-jalal
Teri Raza haleef qaza-o-qadar ki hay

Ye piyaari piyaari kiyaari teray khana baag ki
Sard us ki aab-o-taab say aatash-e-saqar ki hay

Jannat man aa kay naar man jata nahi koi
Shukur-e-Khuda Naweed najaat-o-zafar ki hay

Momin hoon mominoon pe Rauf Raheem ho
Sayel hoon sayeloon ki khushi la nahar ki hay

Daaman ka wasitah mujhay us dhoop say bacha
Mujh ko to shaaq jarhoon man is do pahar ki hay

Maan donoon bhai batay bhateejay azeez dost
Sab tujh ko sonpne milk hi sab teray ghar ki hay

Jin jin muraadoon kay liye ahbaab nay kaha
Paish khabeer kia hay mujhay haajat khabar ki hay

Fazal-e-Khuda say gaib-e-shahaadat huwa unehain
Us par shahaadat aayat-o-wahi-o-asar ki hay

Kehna na kehnay waalay thay jab say to itlaa’e
Mola ko qaul-o-qayel-o-har khushuk-o-tar ki hay

Un par kitaab utari بَیَا نًا لِّکلِّ شَیءٍ
Tafseel jis man ma abar-o-maa gabar ki hay

Aagay rahi ata wo baqadar talab to kia
Aadat yahaan umeed say bhi baishtar ki hay

Bay maangay dainay waalay ki nemat man garq han
Maangay say jo milay kisay faham us qadar ki hay

Ahbaab us say barh kay to shayad na payen arz
Na kar wo ar’z ar’z ye tarz-e-digar ki hay

Dandaan ka naat khuwaan hoon payaab hogi aab
Nadi galay galay meray aab-e-ghuhar ki hay

Dasht-e-haram man rahnay day sayyad agar tujhay
Mitti aziz bulbul-e-bay baal-o-par ki hay

Ya Rabb na Ahmad pareenah ho kay jaye
Ye bargaah teray Habeeb-e-abar ki hay

Taufeeq day ke aagay na paida ho khoye bad
Tabdeel kar jo khaslat-e-bad paishtar ki hay

Aa kuch suna day ishq kay boloon man aye Raza
Mushtaaq taba’e Lazzat-e-soz-e-jigar ki hay

No comments yet

Dushman-e-Ahmad pe shiddat kejiye mulhidoon ki kia murawwat kejiye
Zikr un ka charhiye har baat man chairhna shaitaan ka aadat kejiye
Misl-e-faaris zalzalay hoon najad man zikr-e-aayaat-e-wiladat kejiye
Gaiz man jal jayen bay deenoon kay dil ya Rasool-ul-Allah ki kasrat kejiye
Kejiye charcha unhi ka subuh-o-shaam jaan-e-kaafir par qayamat kejiye
Aap dargaah-e-Khuda man han wajeeh haan shafaat bil wajaahat kejiye
Haq tumhain farma chukka apna Habeeb ab shafaat bilmuhabbat kiejiye
Izin kab ka mil chukka ab to Huzoor ham gareeboon ki shafaat kejiye
Mulhidoon ka shak nikal jaye Huzoor jaanib-e-mah phir ishaarat kejiye
Shirk thehray jis man taazeem Habeeb us buray mazhab pe laanat kejiye
Zaalimo! Mahboob ka haq tha yehi ishq kay badlay adaawat kejiye
والضحٰے حجرات الم نشرح say phir Momino ! itmaam-e-hujjat kejiye
Baithtay uthtay Huzoor paak say iltija-o-istiaanat kejiye
Ya Rasool-al-Allah duhaye aap ki goshmaal-e-ahle-e-bidaat kejiye
Gauth-e-azaam aap say faryaad hay zindah phir ye paak millat kejiye
Ya Khuda tujh tak hay sab ka muntaha olya ko hukum-e-nusrat kejiye
Meray Aaqa Hazrat-e-achay miyaan
Ho Raza acha wo soorat kejiey

No comments yet

دشمنِ احمد پہ شدّت کیجیے ملحدوں کی کیا مروّت کیجیے
ذِکر اُن کا چھیڑیے ہر بات میں چھیڑنا شیطان کا عادت کیجیے
مثل فارس زلزلے ہوں نجد میں ذکرِ آیاتِ ولادت کیجیے
غیظ میں جل جائیں بے دینوں کے دل یا رسول اللہ کی کثرت کیجیے
کیجیے چرچا انہیں کا صبح وشام جانِ کافِر پر قیامت کیجیے
آپ درگاہ ِ خُدا میں ہیں وجیہ ہاں شفاعت بالوجاہت کیجے
حق تمہیں فرما چکا اپنا حبیب اب شفاعت بالمحبّت کیجیے
اذن کب کا مل چکا اب تو حضور ہم غریبوں کی شفاعت کیجیے
ملحدوں کا شک نِکل جائے حضور جانبِ مَہ پھر اشارت کیجیے
شرک ٹھرے جس میں تعظیم حبیب اس بُرے مذہب پہ لعنت کیجیے
ظالمو! محبوب کا حق تھا یہی عشق کے بدلے عداوت کیجیے
والضحٰے حجرات الم نشرح سے پھر مومنو! اتمامِ حجّت کیجیے
بیٹھتے اٹھتے حضور پاک سے التجا و استعا نت کیجیے
یا رسول اللہ دُہائی آپ کی گوشمالِ اہلِ بدعت کیجیے
غوثِ اعظم آپ سے فریاد ہے زندہ پھر یہ پاک مِلّت کیجیے
یا خدا تجھ تک ہے سب کا منتہٰی اولیا کو حکمِ نصرت کیجیے
میرے آقا حضرتِ اچّھے میاں
ہو رضا اچّھا وہ صوٗرت کیجیے

No comments yet

Hirz-e-jaan zikr-e-shafaat kijeye naar say bachnay ki soorat kejiye
Un kay naqsh-e-pa pe gairat kejiye aankh say chup kar ziarat kejiye
Un kay husun-e-ba malaahat par nisaar shaira-e-jaan ki halaawat kejiye
Un kay dar pr jaisay ho mit jaye na tawano! Kuch to himmat kejiye
Phair dejiye panj-e-daiv-e-laeen Mustafa kay bal taaqat kejiye
Doob kar yaad-e-lab-e-shaadab man Aab-e-kausar ki sabaahat kejiye
Yaad-e-qaamat kartay uthiye qabar say jaan-e-mahshar par qiamat kejiye
Un kay dar par baithay ban faqeer bay nawao fikir-e-sarwat kejiye
Jis ka husun Allah ko bha gaya ayesay piyaray say Muhabbat kejiye
Hayyun baki jis ki karta hay sana martay dam tak us ki madhat kejiye
Ar’sh par jis ki kamanain charh gayen sadqay us baazoo pe quwwat kejiye
Neem wa Tayyibah kay phooloon pr ho aankh bulbulo! Paas nazakat kejiye
Sar say girta hay abhi baar-e-gunaah kham zara farq-e-iraadat kejiye
Aankh to uthti nahi kia dain jawaab ham pe bay pursash hi rahmat kejiye
Uzur bad tar az gunah ka zikir kia bay sabab ham par inaayat kejiye
Naarah kejiye Ya Rasool ul Allah ka mufliso! Samaan-e-daulat kejiye
Ham tumharay ho kay kis kay paas jayen Sadqa shahzadoon ka Rahmat kejiye
مَن ْ رَاٰنِیْ قَد ْ رَأ ی الحق jo kahay kia bayaan us ki haqeeqat kejiye
Aalim ilam-e-do aalam hain huzoor aap say kia arz haajat kejiye
Aap sultaan-e-jahan ham bay nawa yaad ko waqat-e-nemat kejiye
Tujh say kia kia aye meray Tayyibah kay chaand zulmat-e-gam ki shikaayat kejiye
Dar badar kab tak phirain khasta kharaab Tayyibah man madfan inaayat kejiye
Har bars wo qafiloon ki dhoom dhaam aah seenay aur gaflat kejiye
Phir palat kar munh na us jaanib kia sach hay aur daywa-e-ulfat kejiye
Aqriba hub-e-watan bay himati aah kis kis ki shikayat kejiye
Ab tu Aaqa munh dikhanay ka nahi kis tarah rafa-e-nadaamat kejiye
Apnay haathoon Khud luta baithay hain ghar kis pe dawa-e-bidhaat kejiye
Kis say kahiye kia kia kia hogia khud hi apnay par malamat kejiye
Arz ka bhi ab to munh partha nahi kia ilaaj-e-dard-e-farqat kejiye
Apni ayek methi nazar kay shahid say charah-e-zahar-e-museebat kejiye
Day khuda himmat ke ye jaan hazeen aap par waarain wo soorat kejiye
Aap ham say barh kay ham par mehrbaan ham karain juram aap Rahmat kejiye
Jo na bhoola ham gareeboon ko raza
Yaad us ki apni aadat kejiye

No comments yet

Suntay hain ke mahshar man sirf un ki rasaaye hay
Gar un ki rasaye hay lo jab tu ban aaye hay

Machla hay ke Rahmat nay umeed bandhaye hay
Kia baat teri mujrim kia baat banaye hay

Sab nay saf-e-mahshar man lalkaar dia ham ko
Aye bay kasoon kay aaqa ab teri duhaye hay

Yoon to sab unhi ka hay par dil ki agar poocho
Ye tootay huway dil hi khaas un ki kamaaye hay

Zayer gay bhi kab kay din dhalnay pe hay piyaaray
Uth meray akailay chal kia dair lagaye hay

Bazar-e-amal man to soda na bana apna
Sarkaar-e-karam tujh man ayebi ki samaaye hay

Girtay han huwoon ko mujdah sajday man giray mola
Ro r okay shafaat ki tamheed uthaye hay

Aye dil ye sulagna kia jalna hay to jal bhi uth
Dam ghutnay laga zaalim kia dhooni ramaaye hay

Mujrim ko na sharmaou ahbaab kafan dhak do
Munh daikh kay kia hoga parday man bhalaye hay

Ab aap hi sanbhalain to kaam apnay sanbhal jayen
Ham ne to kamaaye sab khailoon man ganwaaye hay

Aye ishq teray sadqay jalnay say chutay sastay
Jo aag bujha day gi wo aag lagaye hay

Hirs-o-hawas-e-bad say dil to bhi sitam kar lay
Tu hi nahi bay gana dunya hi paraaye hay

Ham dil jalay hain kis kay hat fitnoon kay par kaalay
Kiyoon phoonk doon ik uf say kia aag lagaye hay

Tayyibah na sahi afzal makkah hi barha zahid
Ham ishq kay banday hain kiyoon baat barhaye hay

Matla’e man ye shak kia tha Wallah Raza Wallah
Sirf un ki rasaye hay sirf un ki rsaye hay

No comments yet

Na ar’sh-e-aiman na اِنّی ْ ذاہبٌ man mehmaani hay
Na Lutuf اُدْنُ یَا اَحْمَدْ Naseeb لَنْ تَرَانِی hay

Naseeb dostaan gar un kay dar par mot aani hay
Khuda yoon hi karay phir to hamaishah zindagani hay

Usi dar par tarhptay hain machaltay hain bilaktay hain
Utha jaata nahi kia khoob apni naatwani hay

Har ik deewaar-o-dar par mihar nay ki hay jabeen saaye
Nigaar-e-masjid-e-aqdas man kab sonay ka paani hay

Teray mangta ki khamoshi shafaat khuwaah hay us ki
Zabaan-e-bay zubaani tarjmaan-e-khastah jaani hay

Khulay kia raaz-e-Mahboob-o-muhib mastaan-e-gaflat par
Sharaab قَدرَای الحق zaib-e-jaam-e- مَنْ رَاٰنِیhay

Jahan ki khakroobi nay chaman aara kia tujh ko
Saba ham nay bhi un galyoon ki kuch din khaak chaani hay

Shaha kia zaat teri haq numa hay fard-e-imkaan man
Ke tujh say koi awwal hay na tera koi saani hay

Kahan us ko shak-e-jaan-e-janaan man zar ki nuqaashi
Iram kay taayer-e-rang-e-pareedah ki nishani hay

ذِیابٌ فی ثِیابٍ Lab pe kalma dil man gustaakhi
Salaam assalam mulhid ko ke tasleem zabaani hay

Ye aksar saath un kay shaanah-o-miswaak ka rahna
Batata hay ke dil raishoon pe zayed mehrbaani hay

Isi sarkaar say dunya-o-deen miltay hain sayel ko
Yehi darbaar-e-aali kanz aamaal-o-amaani hay

Dar-o-deen soorat-e-hala-e-muheet-e-maah-e-Tayyibah hain
Barista ummat-e-aasi pea b rahmat ka paani hay

Taala Allah istigna teray dark ay gadaaoun ka
Ke un ka aar far-o-shokat-e-sahib qiraani hay

Wo sar garam-e-shafaat hain arq afshaan say paishaani
Karam ka atar sandal ki zameen Rahmat ki ghaani hay

Ye sar ho aur wo khaak-e-dar wo khaak-e-dar ho aur ye sar
Raza wo bhi agar chahain to ab dil man ye thaani hay

No comments yet

Nabi sarwar-e-har Rasool-o-wali hay Nabi raaz dar-e- مَعَ اللہ لِی hay
Wo Naami ke Naam-e-Khuda Naam tera Raouf-o-Raheem-o-Aleem –o-Ali hay
Hay baitaab jis kay liye ar’sh-e-azam wo raharwe laa makaan ki gali hay
Nakeerain kartay hain taazeem meri fida ho kay tujh par ye izzat milay hay
Talatum hay kashti pe toofaan-e-gam ka ye kesi hawaye mukhalif chali hay
Na kiyoon kar kahoon یَا حَبِیْبی اَغِثْنِیْ isi Naam say har museebat tali hay
Saba hay mujhay sarsar-e-dasht-e-Tayyibah isi say kali meray dil ki khili hay
Teray chaaroon hamdam hain yak jaan yak dil Abu bakar farooq Usman Ali hay
Khuda nay kia tujh ko aagaah sab say do Aalam man jo kuch khafi-o-jali hay
Karoon ar’z kia tujh say aye aalim-ul-sirr ke tujh par meri haalat-e-dil khuli hay
Tamanna hay farmaye roz-e-mahshar ye teri rihaye ki chithi mili hay
Jo maqsad ziyaarat ka bar aaye phir jo na kuch qasad kijiye ye qasad-e-dili hay
Teray dar ka darbaan hay jibreel-e-azam tera madah khawaan har Nabi-o-wali hay
Shafaat karay hashar man jo Raza ki
Siwa teray kis ko ye qudrat mili hay

No comments yet

Sona jangal raat andhairi chaaye badly kaali hay
Sonay waalo! Jagtay rahiyo choroon ki rakhwaali hay

Aankh say kaajal saaf churalain yaw o chor bala kay hain
Teri gharhi taaki hay aur tu nay neend nikaali hay

Ye jo tujh ko bulata hay ye thag hay maar hi rakhay ga
Haye musaafir dam man na aana mat kesi matwaali hay

Sona paas hay sona ban hay sona zahar hay uth piyaray
Tu kehta hay neend hay methi teri mat hi niraali hay

Aankhain malna jhanjhla parhna laakhoon jamaye angrhaye
Naam par uthnay kay larhta hay uthna bhi kuch gaali hay

Jugnoo chamkay pata kharh kay mujh tanha ka dil dharh kay
Dar samjhaye koi pon hay ya agia baitaali hay

Badal garjay bjley tarhpay dhak say kalaija ho jaye
Ban man ghataye ki bhayanak soorat kaali kaali hay

Paoun uthao aur thokar khaaye kuch sanbhla phir aondhay munh
Menh nay phislan kardi hay aur dhur tak khaye naali hay

Saathi saathi keh kay pukaaroon sathi ho tu jawaab aaye
Phir jhanjhla kar sardy patkoon chal ray mola waali hay

Phir phir kar har jaanib daikhoon koi aas na kahin
Haan ik tooti aas nay haray ji say rifaaqat paali hay

Tum to chand arab kay ho piyaaray tum to ajam kay sooraj ho
Daikho mujh bay kas par shab nay kesi aafat daali hay

Dunya ko to kia janay ye bi ski gaanth hay harrafah
Soorat daikho zaalim ki to kesi bhooli bhaali hay

Shahid dikhaye zahar pilaye qatil daayen shohar kash
Us muraad pe kia lalcha ya dunya daikhi bhaali hay

Who to nihaayat sasta soda baich rahay hain jannat ka
Ham muflis kia mol chukayen apna haath khaali hay

Mola teray af’w-o-karam hoon meray gawaah safaaye kay
Warnah Raza say chor pe teri digri to iqbaali hay

No comments yet

Gunah gaaroon ko haataf say naveed-e-khush maali hay
Mubark ho shafaat kay liye ahmad sa waali hay

Qaza haq hay magar is shoq ka Allah waali hay
Jo un ki raah man jaye wo jaan Allah waali hay

Tera qadd-e-mubark gulban-e-Rahmat ki daali hay
Usay bo kar teray Rabb nay bina Rahmat ki daali hay

Tumhari sharam say shaan-e-jalaal haq tapakti hay
Kham-e-gardan hilaal-e-asmaan-e-zuljalaali hay

Zahay khud gum jo gum honay pe ye dhonday ke kia paya
Aray jab tak ke pana hay jabhi tak haath khaali hay

Man ik muhtaaj bay waqaat gada teray sag-e-dar ka
Teri sarkaar waala hay tera darbaar aali hay

Teri bakhshash pasandi uzar joi tobah khuwaaye say
Umoom-e-bay gunaahi juram shaan-e-la ubaali hay

Abu bakar-o-Umar, Usmaan-o-Haidar jis kay bulbul hain
Tera sarw-e-sahi us gulban-e-khoobi ki daali hay

Raza qismat hi khul jaaye jo geilan say khitaab aaye
Ke Tu adna sag-e-dargaah-e-khudaam-e-maali hay

No comments yet

Andhairi raat hay gam ki ghata isyaan ki kaali hay
Dil bay kas ka is aafat man aaqa tu hi waali hay

Na ho mayoos aati hay sada gor-e-gareeban say
Nabi ummat ka haami hay Khuda bandoon ka waali hay

Utartay chaand dhalti chandni jo ho sakay kar lay
Andhaira paakh aata hay ye do din ki ujaali hay

Aray ye bhairhiyoon ka ban hay aur sham aagaye sar par
Kahan soya musaafir haye kitna la ubaali hay

Andhaira ghar akaili jaan dam gutata dil uktata
Khuda ko yaad kar piyaray wo saat aanay wali hay

Zameen tapti kataili raah bhari bojh ghayel paoun
Museebat jhailnay waalay tera Allah waali hay

Na chonka din hay dhalnay par teri manzil hoi khoti
Aray ao jaanay walay nend ye kab ki nikaali hay

Raza manzil to jesi hay wo ik man kia sabhi ko hay
Tum us ko rotay ho ye to kaho yaan haath kahli hay

No comments yet