Suroor-e-Maqdam kay roshni thi ke Tabishoon say

Suroor-e-Maqdam kay roshni thi ke Tabishoon say mah-e-Arab ki
Jinaan kay gulshan thay jharh farshi jo phool thay sab kanwal banay thay
Tarab ki Naazish ke han lachkay adab wo bandash ke hil na sakay
Ye josh-e-Ziddain tha ke poday kasha kash-e-arrah kay talay thay
Khuda ki qudrat ke chand haq kay karorhon manzil man jalwa kar kay
Abhi na taroon ki chaon badli ke Noor kay tarhkay aaliye thay
Nabi-e-Rahmat!shaf-e-Ummat!Raza pe Lillah! Ho inayat!
Isay bhi un khilatoon say Hissah, jo khaas rahmat kay waan batay thay
Sana-e-sarkar, hay wazeefah, qabool-e-sarkar,hay Tamanna!!
Na shayeri ki hawas na parwar wi thi kia kesay qafiey thay Kaman-e-imkan kay jhootay nuqto! Tum Awwal Aakhir kay phair man ho
Muheet ki chal say to poocho! Kidhar say aye kidhar gay thay?
Udhar say thein nazar-e-shaha Nimazain udhar say ina’am-e-khusrawi man
Salaam-o-Rahmat kay har gandah kar guloo-e-pur Noor man parhay thay
Zaban ko intizar-e-guftan, to gosh ko hasrat-e-shuneedan
Yahan jo kehna tha keh lia taha jo baat sunani thi sun chukay thay
Wo barj-e-bat’ha ka maah para behsh’t ki sair ko sidhara
Chamak pet ha khuld ka sitara ke is qamar kay qadam gay thay

Qaseeda me’raaj/11


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46