Koi to hay jo nizam-e-Hasti

Koi to hay jo nizam-e-Hasti chala raha hay wo hi khuda hay
Dikhaye bhi jo na day , nazar bhi jo Aa Raha hay wo hi khda hay
Wo hi hay mashriq , wo hi hay magrib , safar Karain sab usi ki janib
Har aayenay man jo akas apna dikha raha hay wo hi khuda hay
Talash us ko na kar Butoon man wo hay badaltey hoi Rutoon man
Jo din ko raat aur raat ko din bana raha hay wo hi khuda hay
Kisi ko sochoon nay kab saraha? Wo hi huwa jo khuda nay chaha
Jo ikhtiar-e-bashar pe pehray bitha raha hay wo hi khdua hay
Nazar bhi rakhay , sam’atain bhi , wo jan laita hay wo hi khuda hay
Kisi ko Taaj-e-waqar bakhashay , kisi ko Zillat kay Gar bakhashay
Jo sab kay hathoon pe mehr-e-qudrat laga raha hay wo hi khuda hay
Sufaid us ka sayyah us ka nafs nafs hay gawah us ka
Jo shula jan jala raha hay, bujha raha hay wo hi khuda hay


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46