Shah-e-Madeenah Sarwar-e-Aalam

Shah-e-Madeenah Sarwar-e-Aalam SallALLAH Alaih waslam
Tum pe nichawar tum pe Fida ham SallALLAH Alaih waslam
Noor-e-shab-e-Meraj tumhi ho Nabion kay sartaj tumhi ho
Husun kay paikar Noor-e-Mujassam SallALLAH Alaih waslam
Di hay shajar nay Aakay gawahi , kankarion nay Kalima parha Sarwar-e-Deen Pegumbar-e-Azam SallALLAH Alaih waslam
Majboor hay kis kay wali , Khali gaya koi na sawali
Aap kay dar par door hoi Gam SallALLAH Alaih waslam
Gul man un ki Rang-o-boo hay charcha un ka char soo hay
Jagmag un kay Noor say aalam SallALLAH Alaih waslam
Mushk-o-gulab paseena un ka Khitta-e-pak Madeena un ka
Roza un ka ar’sh say Azam SallALLAH Alaih waslam
Tashna laboon ko Sagar-e-kausar bakhashain gay wo yom-e-Mahshar
Matnay walay ummat kay gam SallALLAH Alaih waslam