Wah kya jodo karam hai sheh batha tera

Wah kya jodo karam hai sheh batha tera
nahi santa hi nahi mangnay wala tera

farsh walay teri Shaukat ka alo kya jane
khusrawa arsh pay urta hai pharera tera

aasmaa khawan zamee khawan zamana maheman
sahib khanah laqab kis ka tera tera

mein to maalik hi kahoon ga ke maalik ke habib
yani mehboob Muhib mein nahi mera tera

tairay tukron se pallay ghair ki thokar pay nah daal
jharkiyan khayien kahan chore ke sadqa tera

tairay qadmon mein jo hain ghair ka mun kya dekhen
kon nazron pay chiray dekh ke talwa tera

chor haakim se chhupa karte hain ya is ke khilaaf
tairay daman mein chupay chor anokha tera

teri sarkar mein lata hai Raza is ko Shafi
jo mera Ghaus hai aur laadla beta tera


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46