kaalii kamlii vaale ai shaah-e-shab-e-israa kaunain ke rakhvaale darbaar alag teraa jibriil tiraa KHaadim mohtaaj hai jag teraa big.Dii ko sa.nvaare.ng dukh-dard ke a.alam me.n tujh ko hii pukaare.nge kyuu.n aur kisii ghar se jo kuchh hame.n milnaa hai milnaa hai tire dar se chaukhaT tirii aa.alii hai kuchh bhiik mile aaqaa jholii merii KHaalii hai milne hii nahii.n jaataa shaaho.n ko teraa ma.ngtaa KHaatir me.n nahii.n laataa ab kaun hamaaraa hai duulhaa shab-e-israa ke ik teraa sahaaraa hai |
mujh pe bhii chashm-e-karam ai mire aaqaa karnaa
haq to meraa bhii hai rahmat kaa taqaaza karnaa
mai.n ki zarra huu.n mujhe vus’at-e-sahraa de-de
ki tire bas me.n hai qatre ko bhii dariyaa karnaa
mai.n huu.n bekas teraa sheva hai sahaaraa denaa
mai.n huu.n biimaar teraa kaam hai achchhaa karnaa
tuu kisii ko bhii uThaataa nahii.n apne dar se
ki tirii shaan ke shaayaa.n nahii.n aisaa karnaa
tere sadqe vo usii ra.ng me.n KHud hii Duubaa
jis ne jis ra.ng me.n chaahaa mujhe rusvaa karnaa
ye tiraa kaam hai ai aamna ke durr-e-yatiim
saarii ummat kii shafaa’at tan-e-tanhaa karnaa
aal-o-ashaab kii sunnat miraa me’yaar-e-vafaa
tirii chaahat ke ‘evaz jaan kaa saudaa karnaa
shaamil-e-maqsad-e-taKHliiq ye pahluu bhii rahaa
bazm-e-aalam ko sajaa kar teraa charchaa karnaa
mujh pe mahshar me.n ‘nasiir’ un kii nazar pa.D hii ga.ii
kahne vaale use kahte hai.n KHudaa kaa karnaa
ye na puuchho milaa hame.n dar-e-kHair-ul-varaa se kyaa
nazar un kii pa.Dii to ham hu.e pal-bhar me.n kyaa se kyaa
mire dil kii vo dha.Dkane.n dam-e-fariyaad sunte hai.n
mutavajjah jo hai.n vo hai.n mujhe baad-e-sabaa se kyaa
nazar un kii jo ho ga.ii asar aayaa du’aa me.n bhii
mire dil kii ta.Dap hii kyaa mire dil kii sadaa se kyaa
jise is kaa yaqiin hai ki vahii bakHshvaae.nge
ko.ii KHatra ko.ii jhijhak use roz-e-jazaa se kyaa
rah-e-taiba me.n be-KHudii ke manaazir hai.n diidanii
kabhii naqshe hai.n kuchh se kuchh kabhii jalve hai.n kyaa se kyaa
jise KHairaat be-talab mile baab-e-rasuul se
use daarain me.n ‘nasiir’ Garaz maa-sivaa se kyaa
lau madiine kii tajallii se lagaa.e hu.e hai.n
dil ko ham matla-e-anvaar banaa.e hu.e hai.n
ik jhalak aaj dikhaa gumbad-e-kHazraa ke makii.n
kuchh bhii hai.n duur se diidaar ko aa.e hu.e hai.n
sar pe rakh diije zaraa dast-e-tasallii aaqaa
Gam ke maare hai.n zamaane ke sataa.e hu.e hai.n
naam kis mu.nh se teraa le.n ke tire kahlaate
terii nisbat ke taqaazo.n ko bhulaa.e hu.e hai.n
ghaT gayaa hai tirii ta.aliim se rishta apnaa
Gair ke saath rah-o-rasm ba.Dhaa.e hu.e hai.n
sharm-e-isyaa.n se nahii.n saamne jaayaa jaataa
ye bhii kyaa kam hai tire shahar me.n aa.e hu.e hai.n
tirii nisbat hii to hai jis kii badaulat ham log
kufr ke daur me.n iimaan bachaa.e hu.e hai.n
kaash diivaana banaa le.n vo hame.n bhii apnaa
ek duniyaa ko jo diivaana banaa.e hu.e hai.n
allaah allaah madiine pe ye jalvo.n kii phuvaar
baarish-e-nuur me.n sab log nahaa.e hu.e hai.n
kashtiyaa.n apnii kinaare se lagaa.e hu.e hai.n
kyaa vo Duube jo mohammad ke tiraa.e hu.e hai.n
naam aane se abuu-bakr-o-omer kaa lab par
kyuu.n biga.Dtaa hai vo pahluu me.n sulaa.e hu.e hai.n
haazir-o-naazir-o-nuur-o-bashar-o-Gaib ko chho.D
shukr kar vo tere aibo.n ko chhupaa.e hu.e hai.n
qabr kii nii.nd se uThnaa ko.ii aasaan na thaa
ham to mahshar me.n unhe.n dekhne aa.e hu.e hai.n
kyuu.n na pal.Daa tere a.amaal kaa bhaarii ho ‘nasiir’
ab to miizaan pe sarkaar bhii aa.e hu.e hai.n
wah kya jood o karam hai shahe batha tera
koi dunyae ataa mein nahi hamta tera
ho jo Tatim ko muyassar yeh nazara tera
keh utthay dekh ke bakhshish mein yeh rutba tera
wah kya jood o karam hai sheh batha tera
nahi santa hi nahi mangnay wala tera
kuch bashar honay ke naatey tujhe khud sa jaanen
aur kuch mehez pyami hi kkhuda ka jaanen
inn ki auqaat hi kya hai ke yeh itna jaanen
farsh walay tri Azmat ka alo kya jaanen
khusrawa arsh pay urta hai pharera tera
jo tasawwur mein tra paiker zaiba dekhen
roye washams takein mutala Seema dekhen
kyun bhala ab woh kisi aur ka chehra dekhen
tairay qadmon mein jo hain ghair ka mun kya dekhen
kon nazron pay charrhey dekh ke talwa tera
mujh se nacheez pay hai teri inayat kitni
to ne har gaam pay ki meri himayat kitni
kya batau tri rehmat mein hai wusat kitni
aik mein kya marey Esiyan ki haqeeqat kitni
mujh se so laakh ko kaafi hai ishara tera
kayi pshton se ghulami ka yeh rishta hai bahaal
yahin tafli o jawani ke betaye mah o saal
ab burhapay mein khudaaraa hamein yun dar se nah taall
tairay tukron pay pallay ghair ki thokar pay nah daal
jharkiyan khayen kahan chore ke sadqa tera
gham e dauraa se ghbrayie, kis se kahiye
apni uljan kisay batlaaiyyeh, kis se kahiye
cheer kar dil kisay dikhlayei, kis se kahiye
kis ka mun takiye, kahan jaiye, kis se kahiye
tairay hi qadmon pay mit jaye yeh paala tera
nazr-e ashaaq nabi hai yeh mra harf-e ghareeb
minbar waaz par lartay rahen aapas mein khateeb
yeh aqeedah rahay Allah kere mujh ko naseeb
mein to maalik hi kahoon ga ke ho maalik ke habib
yani mehboob o Muhib mein nahi mera tera
khogar qurbat o deedar pay kaisi guzray
kya khabar is ke dil e zaar pay kaisi guzray
hijar mein is tre bemaar pay kaisi guzray
daur kya jaaniye badkaar pay kaisi guzray
tairay hi dar pay marey bacchus o tanha tera
tujh se har chand woh hain qader o fazail mein Rafi
kar naseer aaj magar fikr-e Raza ki tosee
paas hai is ke Shafaat ka waseela bhi vqia
teri sarkar mein lata hai Raza is ko Shafi
jo mra Ghaus hai aur laadla beta tera
naematain baantta jis simt woh zeeshan gaya
yeh woh sach hai ke jisay aik jahan maan gaya
dar pay aaya jo gadda, ban ke woh Sultan gaya
is ke andaz Nawazish pay mein qurbaan gaya
naematain bnta jis simt woh Zee shaan gaya
sath hi munshi rehmat ka qalamdaan gaya
tujh se jo phair ke mun, janib qran gaya
surkhuru ho ke nah duniya se woh insaan gaya
kitney gustaakh banay, kitno ka imaan gaya
le khabar jald ke ouron ki taraf dheyaan gaya
marey mooli, marey aaqa, tre qurbaan gaya
mehv nzarah sar-e gunbad Khizry hi rahi
daur se sajda guzaar dar-e wala hi rahi
rubaroo pa ke bhi mhromِ tamasha hi rahi
aah! woh aankh ke Nakaam tamanna hi rahi
haae woh dil jo tre dar se par armaan gaya
teri chahat ka amal zeist ka manshoor raha
teri dehleez ka phera, mera dastoor raha
yeh allag baat ke to aankh se Mastoor raha
dil hai woh dil jo tri yaad se maamoor raha
sir woh sir hai jo tre qadmon pay qurbaan gaya
dosti se koi matlab, nah mujhe bair se kaam
un ke sadqy mein kisi se nah para kher se kaam
un ka Shaida hon, mujhe kya haram o der se kaam
inhen mana, inhen jana, nah rakha ghair se kaam
lillah alhmd mein duniya se musalman gaya
ahtramِ nabwi daakhil aadat nah sahi
shirِ madar mein asliyon ki Najabat nah sahi
ghar mein aadaab risalat ki riwayat nah sahi
aur tum par marey aaqa ki inayat nah sahi
najdiyo kalma parhanay ka bhi ahsaan gaya
baam maqsad par tamannaon ke zeenay puhanche
lbِ saahil pay naseer un ke safine puhanche
jin ko khidmat mein bulaya tha nabi ne, puhanche
jaan o dil, hosh o khiirad, sab to madeeney puhanche
tum nahi chaltay Raza sara to samaan gaya
mustafa shan-e qudrat pay lakhoon salam
awaleen naqash-e khalqat pay lakhoon salam
qaail wahdah lashrik lh
Mahi bidat pay pay lakhoon salam
bheer mein choom len Shah ki jallain
ae nazar teri himmat pay lakhoon salam
kis ki chokhat pay day raha hai to sada
ae gadda teri qismat pay lakhoon salam
un ki aamad ka sun kar jo hoga bapaa
aisay shore qayamat pay lakhoon salam
chaar yaranِ hazrat pay har dam duroood
un ke dour khilafat pay lakhoon salam
shahِ baghdad Ghaus alori Mohi den
abro e tareqat pay lakhoon salam
kiijiye band ankhen Naseer aur phir
bhijie un ki soorat pay lakhoon salam
aaj me khanaay mein niyat meri bhar jane day
baadah naab ke saqi mujhe pemanay day
kis ko maloom ke kal kon rahay ga zindah
aaj rindon ko zara pi ke behak jane day
dekh ae dil nah aanch aaye wafa par koi
jo bhi aati hai museebat mere sir anay day
tujh se bhi dast o gireybn kabhi ho ga waiz
wahshi e ishhq ko rang aur zara laane day
ae marey dast junoo barh ke ulat day parda
husn sharmanay pay mael hai to sharmanay day
ik do jaam se kya pyaas bujhe gi saqi
me pilata hai to aisay kayi pemanay day
ishhq hai ishhq Naseer un se shikayat kaisi
woh jo tadpaane pay amaada hain tadpaane day
ya rab sunaein hum kisay ab mudda’a e dil
hain nahi jahan mein haajat rawaye dil
kya k_hye behar shoq ab maajra’a e dil
dil hai safena aur woh hain na khuday-e dil
aa’ena e hayaat ki takmeel ke liye
lazim hai kaayenaat mein Sadaq o safaa e dil
dil aur dard dono mein ik rabt khaas hai
dil aashnae dard hai dard aashnae dil
har tees jis ki teri taraf multafit kere
ya rab woh dard chahiye mujh ko baraye dil
dunyae dil ka haal nah pucho faraaq mein
masroof intzaar hain subah o masaa e dil
sadhaa uthayen dil ki badolat savbtin
dekho Naseer aur abhi kya kya dukhaay dil
Manzar fizaye deher mein sara Ali ka hai
jis simt daikhta hon nzarah Ali ka hai
dunyae aashtee ki phaban Mujtaba husn
lakht jigar nabi ka to pyara Ali ka hai
hasti ki aabb o taab Hussain aasmaa janab
Zohra ka laal raaj Dulara Ali ka hai
Marhab do name hai sir Khyber para sun-hwa
uthnay ka ab nahi ke yeh mara Ali ka hai
kal ka jamal Mazhar kal mein aks raiz
ghoray pay hain Hussain nzarah Ali ka hai
ae arz pak tujh ko mubarak ke tairay paas
parcham nabi ka chaand sitaara Ali ka hai
ahal hawas ki luqmah tar par rahi nazar
nan joyn pay sirf guzaraa Ali ka hai
tum dakhal day rahay ho aqeedat ke baab mein
dekho maamla yeh hamara Ali ka hai
hain fiqr mast chahanay walay Ali ke hain
dil par hamaray sirf Ijara Ali ka hai
assaar parh ke mehdi dauraa ke yun laga
jaisay zahuur woh bhi dobarah Ali ka hai
duniya mein aur kon hai apna bajuz Ali
hum be kson ko hai to sahara Ali ka hai
to kya hai aur kya hai tairay ilm ki bisaat
tujh par karam Naseer yeh sara Ali ka hai
ik mai.n hii nahii. un par qurbaan zamaana hai
jo rabb-e-do-a.alam kaa mahbuub-e-yagaana hai
kal jis ne hame.n pul se KHud paar lagaanaa hai
zohra kaa vo baabaa hai sibtain kaa naanaa hai
us haashmii duulhaa par kaunain ko mai.n vaaruu.n
jo husn-o-shamaa.il me.n yaktaa-e-zamaana hai
izzat se na mar jaa.e.n kyuu.n naam-e-mohamaad par
ham ne kisii din yuu.n bhii duniyaa se to jaanaa hai
aa.o dar-e-zohra par phailaa.e hu.e daaman
hai nasl kariimo.n kii laj-paal gharaanaa hai
huu.n shaah-e-madiina kii mai.n pusht-panaahii me.n
kyaa is kii mujhe parvaah dushman jo zamaana hai
ye kah ke dar-e-haq se lii maut me.n kuchh mohlat
miilaad kii aamad hai mahfil ko sajaanaa hai
qurbaan us aaqaa par kal hashr ke din jis ne
is ummat-e-aasii ko kamlii me.n chhupaanaa hai
sau baar agar tauba TuuTii bhii to hairat kyaa
baKHshish kii rivaayat me.n tauba to bahaana hai
har vaqt vo hai.n merii duniyaa-e-tasavvur me.n
ai shauq kahii.n ab to aanaa hai na jaanaa hai
Kis Se Maangeñ, Kahañ Jaayeñ, Kis Se Kaheñ, Aur Duniya Me Haajat Rawa Kaun Hai
Sab Ka Data Hai Tu, Sab Ko Deta Hai Tu, Tere Bandoñ Ka Tere Siwa Kaun Hai.
Kaun Maqbool Hai, Kaun Mardood Hai, Be-khabar! Kya Khabar Tujhko Kya Kaun Hai
Jab Tuleñge ‘Amal Sab Ke Meezaan Par Tab Khulega Ke KhoTa Khara Kaun Hai.
Kaun Sunta Hai Faryaad Mazloom Ki, Kis Ke Haathoñ Meiñ Kunji Hai Maqsoom Ki
Rizq Per Kis Ke Palte Haiñ Shah-o-Gada, Masnad-Aara-e-Bazm-e-‘Ata Kaun Hai.
Auliya Tere Mauhtaaj Ae Rabb-e-Kul ! Tere Bande Hain Sab Ambiya-o-Rusul
Inki Izzat Ka Baais Hai Nisbat Teri, Inki Pahchan Tere Siwa Kaun Hai.
Mera Maalik Meri Sun Raha Hai Fughaañ, Jaanta Hain Wo Khaamoshiyoñ Ki Zubaañ
Ab Meri Raah Mein Koyi Haail Na Ho, Naama-Bar Kya Bala Hai, Saba Koun Hai.
Ibtida Bhi Wohi, Inteha Bhi Wohi, Nakhuda Bhi Wohi Hai, Khuda Bhi Wohi
Jo Hai Saare Jahanoñ Me Jalwa Numa Us Ahad Ke Siwa Doosra Kaun Hai.
Wo Haqaaiq Hoñ Ashiya Ke Ya Khushk-o-Tar, Fahm-o-Idraak Ki Zad Meiñ Haiñ Sab, Magar
Maa-Siwa, Ek Us Zaat-e-Be-Rang Ke Fahm-o-Idraak Se Maa-wara Kaun Hai.
Ambiya, Auliya, Ahl-e-Bait-e-Nabi, Taaba’een-o-Sahaaba Pe Jab Aa Bani
Gir Ke Sajde Meiñ Sab Ne Yahi Arz Ki Tu Nahiñ Hai To Mushkil-Kusha Kaun Hai.
Ahl-e-Fikr-o-Nazar Jaante Haiñ Tujhe, Kuchh Na Hone Pe Bhi Maante Hain Tujhe
Ae Naseer ! Is Ko Tu Fazl-e-Baari Samajh Warna Teri Taraf Dekhta Kaun Hai
Dil main kisi aur ko basaya na jayega
Zikr-e-Rasool-e-Paak Bhulaya na jayega
Wo khud hi jaan lain gay , jataya na jayega
Ham ko jaza milay gai Muhammad say ishaq ki
Dozakh kay Aas paas bhi laya na jayega
Kehtay thay Bilal Tashadud say kufur kay
Ishaq-e-Nabi ko dil say nikala na jayega
Bay shak Huzoor Shaf’e Mahshar han munkiro
Kia un kay samnay tumhain laya nah jayega
Manay ga un ki baat Khuda Hashar main Naseer
Bin Mustafa Khuda ko manaya na jayega
Chand taray hi kia daikhtay rah gay
Un ko a’rz-o-Sama daikhtay rah gay
Parh kay Rooh ul Amin Soorah Dhuha
Soorat-e-Mustafa daikhtay rah gay
Muqtadi muqtada daikhtay rah gay
Mujza thaw o hijrat main un ka safar
Dushmanan-e-khuda daikhtay rah gay
Marhaba shan-e-meraj Khatam-e-Rusul
Sab ky sab anbiya daikhtay rah gay
Main Naseer aaj wo hay naat Nabi
Naat go mun mera daikhtay rah gay