Aye deen-e-Haq kay rahbar tum par salam har dam
Meray shafee’a mahshar tum par salam har dam
Bandah tumharay dar ka Aafat man mubtala hay
Raham aye Habeeb-e-Dawar Tum salam har dam
Daryozah gar hoon man bhi adna sa is gali ka
Lutuf-o-karam ho mujh par Tum par salam har dam
Koi nahi hay mera man kis say dad chahoon
Sultan bandah parwar Tum par salam har dam
Muhtaj say Tumharay kartay han sab kinarah
Bas ik Tum hi ho yawar Tum par Salam har dam
Koi nahi hamara ham kis kay dar pe jayen
Aye bay kasoon kay yawar tum par Salam har dam
Apne gada-e-Dar ki lijiye khabar khudara
Kejiye karam Hassan par Tum par salam har dam
Aseeroon kay Mushkil kusha Gauth-e-Azam
Faqeeroon kay hajat rawa Gauth-e-Azam
Muredoon ko Khatra nahi bahr-e-gam say
Ke bairhay kay han na Khuda Gauth-e-Azam
Bhanwar man phansa hay hamara safeena
Bacha Gauth-e-Azam bacha Gauth-e-Azam
Jisay khalq kehtey hay piyar khuda ka
Usi ka hay too ladla Gauth-e-Azam
Meri mushkiloon ko bhi Aasan kardo
K ho Aap Mushkil kusha Gauth-e-Azam
Saroon pe jisay laitay han Taaj walay
Tumhara Qadam hay wo ya Gauth-e-Azam
Wahan sar jhukatay han sab aunchay aunchay
Jahan hay tera naqsh pa Gauth-e-Azam
Kahay kis say ja kar Hassan apne dal ki
Sunay kon teri siwa Gauth-e-Azam
Aseeroon kay mushkil kusha Gauth-e-Azam
Faqeeroon kay hajat rawa Gauth-e-Azam
Muredoon ko Khatra nahi bahr-e-gam say
Ke bairhay kay han na Khuda Gauth-e-Azam
Bhanwar man phansa hay hamara safeena
Bacha Gauth-e-Azam bacha Gauth-e-Azam
Jisay khalq kehtey hay piyar khuda ka
Usi ka hay too ladla Gauth-e-Azam
Meri mushkiloon ko bhi Aasan kardo
K ho Aap Mushkil kusha Gauth-e-Azam
Saroon pe jisay laitay han Taaj walay
Tumhara Qadam hay wo ya Gauth-e-Azam
Wahan sar jhukatay han sab aunchay aunchay
Jahan hay tera naqsh pa Gauth-e-Azam
Kahay kis say ja kar Hassan apne dal ki
Sunay kon teri siwa Gauth-e-Azam
Tumhara Naam Museebat main jab lia hoga
Hamara bigra huwa kaam ban gaya hoga
Khuda ka lutuf huwa hoga Dastgeer Zaroor
Jo girtay girtay tira Naam lay lia hoga
Dikaye jayegi Mahshar main Sahaan-e-Mahboobi
Ke Aap hi ki khushi Aap ka kaha ho ga
Khudaye Paak ki chahain gay aglay pichlay khushi
Khudaye paak Khushi in ki chahta ho ga
Kisi kay paon ki bairhi ye kat tay hon gay
Koi Aseer-e-Gam un ko pukarta hoga
Kisi taraf say sada Aayegi Huzoor Aao
Nahi to dam mian Gareebon ka faisla ho ga
Koi kahay ga duhai hay ya Rasool ALLAH
To koi tham k Daman machal gaya ho ga
Kisi ko lay kay chalian gay farishtay sooye Hajeem
Wo in ka rasta phir phir kay daikhta ho ga
Khuda kay wastay jald un say A’rz-e-haal Karo
Kisay Khabar hay ko dam bhar main haaye kia hoga
Pakar ke hath koi haal-e-Dil sunaye ga
To r okay qadmoon say koi Lipat gaya ho ga
Koi Qareeb tarazoo koi lab-e-Koasar
Koi Siraat par un ko pukarta hoga
Wo pak dil ke nahi jis ko apna andaisha
Hujoom-e-fikir wa Tarddud main ghar gaya hoga
Kahain gay aur Nabi Iz’haboo Ila Gairi
Meri Huzoor kay Lab par Ana laha ho ga
Gulam un ki inayat say chain mian Hongay
Ad’we Huzoor ka Aafat main Mubtala ho ga
Main un ky dar ka bhikari hon fazal maola say
Hasan faqir ka jannat main bistra hoga