ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Qalb ko us ki Royat ki hay aarzoo
Jis ka jalwah hay Aalam man har char soo
Balkeh khud nafs man hay wo Subhanahu
Ar’sh par hay magar ar’sh ko justajoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Ar’sh-o-far’sh-o-zaman-o-jihat aye Khuda
Jis Taraf daikhta hoon Jalwa tera
Zarray Zarray ki Aankhoon man too hi Zia
Qatray Qatray ki to hi to Aabroo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Too Kisi jaa Nahi aur har jaa hay Too
Too Munzzah makan say Mubarrah zasoo
Ilm-o-Qudrat say har jaa hay too koobakoo
Teray jalway han har har jagah aye af’we
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Saaray aalam ko hay Teri hi Justajoo
Jinn-o-In’s-o-malak ko teri aarzoo
Yaad man Teri har eik hay Soo ba soo
Ban man wahshi lagatay hain dharbat-e-hoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Nagma Sanjan-e-Gulshan man charcha Tera
Geet teray hi gatay hain wo khush Guloo
Koi kehta hay Haq koi kehta hay Hoo
Aur sab kehtay hain La shareek lahu
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Bulbul-e-khush Nawa Toti-e-khush guloo
Zamzamah kahawan han gatay hain Nagmaat hoo
Qamri khush liqa boli Haqq Sirrahu
Fakhta khush ada nay kaha dost too
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Af’w farma khatain meri aye af’we
Shauq-o-tofeeq naiki ka day mujh ko too
Jari dil kar ke har dam rahay zikir ho
Aadat-e-bad badil aur kar naik khoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Khuwaab-e-noori man aayen jo nor-e-Khuda
Buqaa’-e-noor ho apna Zulmat kuda
Jagmaga uthay dil chehra ho pur zia
Noorion ki tarah shugul ho zikir hoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
La mojood Illallah la mashahood Illallah
La Maqsood Illallah La Ma’bood Illallah
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Allah wahid-o-yakta hay eik Khuda bas tanha hay
Koi na us ka hamta hay eik hi sab ki suntan hay
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Juz ma wo hay kul man wo rang-o-boo-e-gul man wo
Afghan bulbul man wo Nagmaat Qul Qul man wo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Bulbul Tooti parwana har eik us ka deewana
Qamri us ka mastana mor chakor ka jana na
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Mola dil ka zang churha qalb noori paye jala
Dil ko kar day Aayena jis man chamkay ye kalma
Amal ka ho jazba ata ya Ilahi
Gunahoon say mujh ko bacha ya Ilahi
Man panchoon Namazain parhoon ba jamat
Ho tofeeq ayesi ata ya Ilahi
Man parhta rahoon Sunatain, Waqat hi par
Hoon saray Nawafil ada Ya Ilahi
Day shauq-e-Tilawat day Zauq-e-Ibadat
Rahoon ba Wudhu man sada Ya Ilahi
Hamaishah Nigahoon ko apni jhuka kar
Karoon Khashiyana Dua Ya Ilahi
Na Naiki ki Dawat man susti ho mujh say
Bana shayeq-e-Qafila Ya Ilahi
Saadat milay Dars-e-Faizan-e-Sunnat
Ki rozana do martaba Ya Ilahi
Man Mittey kay sadah bartan man khaoun
Chitaye ka ho bistra Ya Ilahi
Hay Aalim ki khidmat yaqeenan saadat
Ho tofeeq is ki ata Ya Ilahi
Sada-e-Madeenah doon rozana Sadqa
Abu Bakar-o-Farooq ka Ya Ilahi
Man neechi nigahain rakhoon kaash! Aksar
Ata kar day sharm-o-Hayya Ya Ilahi
Hamaishah karoon kaash parday man pardah
Too paikar Hayya ka bana Ya Ilahi
Libas sunatoon say ho Aarasta aur
Imama ho sar par saja Ya Ilahi
Sabhi musht darhey-o-gaisoo sajayen
Banain aashiq-e-Mustafa Ya Ilahi
Har ik Inaam aye kaash! Paoun
Karam kar paye Mustafa Ya Ilahi
Ho Akhlaq acha ho kirdar suthra
Muttaqi too bana Ya Ilahi
Gusailay mizaj aur Tamaskhur ki khaslat
Say Attar ko too bacha Ya Ilahi
No Content Available
No Content Available
Dard-e-dil kar mujhay Ata Ya Rabb
Day meray dard ki dawa Ya Rabb
Laaj rakh lay Gunahgharoon ki
Naam Rahman hay Tera ya Rabb
Aib meray na khol Mahshar man
Naam Sattar hay Tera Ya Rabb
Bay sabab bakhsh day na pooch amal
Naam Gafar hay Tera ya Rabb
Aasra ham gunahgaroon ka
Aur mazboot ho gaya Ya Rabb
Too ne di mujh ko Nemat-e-Islam
Phir jama’et man lay liya ya Rabb
Ahle-e-Sunnat ki har jama’et par
Har jaga ho Teri Ata Ya Rabb
To Hassan ko utha Hassan kar kay
Ho ma’e-al-khair khatima Ya Rabb
Ellahi! mein hon bas khatawar tera
mujhe bakhash! day naam Ghafar tera
marz La dawa ki dawa kis se chahoon
to Shafi hai mera, mein bemaar tera
kahan jaye, jab ke nah ho koi tujh bِn
kisay dhoonday, jo ho talabb gaar tera
khabar Lijiyoo! meri iss dam Ellahi
kُhle jab ke bakhshish ka bazaar tera
nah dar dushmanon se raha mujh ko jab se
kaha to ne mein ho madad gaar tera
Ellahi! rahay waqt marnay ke jari
bah tasdeeq dil lab pay iqraar tera
nahi dono aalam se kuch mujh ko matlab
to matloob, mein hon talabb gaar tera
nah dar fouj e Isyaan se, grch_h bohat hai
ke hai reham haq ka madad gaar tera
No Content Available
Gunaahon ki a’adat chhura mere Mowla,
Mujhe naik insaan bana mere Mowla.
Jo tujhko, jo teray Nabi ko pasand hey,
Mujhay aisa banda bana mere Mowla,
Mujhe naik insaan bana mere Mowla.
Tu Masjood mera, meyn sajid hoon Tera,
Tu Malik mein banda Tera mere Mowla,
Mujhay neik insan bana meray mula.
Tu lay ga agar adl se kaam apne,
Meyn hoon mustahiq naar ka mere Mowla.
Jo Rahmat teri shaamil-e-haal ho to,
Mowlaaaaa, Mowlaaa, Mowlaaa, Mowlaaa,
Thikana hey jannat mera mere Mowla (Ameen).
Tujhe to khabar hey meyn kitna bura hoon,
Tu aibuon ko mere chupa meray Mowla,
Mujhe naik insaan bana mere Mowla.
Meri ta-qiamat jo naslein hoin Ya Rabb (عزوجل),
Hon sab Ashiq-e-Mustafa (صلی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم) meray Mowla,
Mujhe naik insaan bana mere Moula.
Na muhtaj kar Tu, jahan meyn kisi ka,
Mujhe muflisi say bacha mere Mowla.
Heyn ka’abay pe nazreyn Ubaid-e-Raza ki,
Ho Maqbool har ik dua mere Mowla.
Mujhe naik insaan bana mere Moula.
Ham khaak hain aur khaak hi mawa hay hamara
Khaki to wo Adam jad-e-aala hay hamara
Allah hamain khaak karay apni talab man
Ye khaak to Sarkar say Tamga hay hamara
Jis khaak pe rakhtay thay qadam Sayyid-e-Aalam
Us khaak pe qurbaan dil-e-shaida hay hamara
Kham ho gaye pasht-e-falak is taan-e-zindagi
Sun ham pe Madeenah hay wo rutba hay hamara
Us ne laqab-e-khaak shehnshah say paya
Jo haidar-e-karrar ke mola hay hamara
Aye Muddayo! Khaak ko tum khaak na samjhay
Us khaak man madfoon shah-e-batha hay hamara
Hay khaak say ta’meer mazaar-e-shah-e-konain
Ma’moor usi khaak usi khaak say qibla hay hamara
Ham khaak urhain gay jo wo khaak na paye
Abad Raza jis pe Madeenah hay hamara
Ham talabgaar-e-sakhaawat ya Ali mushkil kusha
Tum inayat hi inayat Ya Ali mushkil kusha
Bazoo-e-khyber shikn, aur luqma-e-naan-e-juwein
Aye shanshah-e-qinaat ya Ali mushkil kusha
Aap ko nisbat Rasool-u-Allah say hay aur man
Aap say rakhta hoon nisbat Ya Ali mushkil kusha
Aashiqoon ka dil hay ka’bah aur dil ki dharhknain
Matrab-e-jashan-e-wilaadat ya Ali mushkil kusha
Mard-e-momin ka sahara’ Hurriyat ki Aabroo
Qalb-e-Momin ki hararat ya Ali mushkil kusha
Wo shujaat ho’ sakhawat ho’ qina’et ya jihad
Aap hi ki hay qiyaadat Ya Ali mushkil kusha
Fatih-e-khyber tumharay chahnay waloon pe aaj
Dushmanoon nay ki hay shiddat Ya Ali mushkil kusha
Phir wohi bagdaad-o-misr-o-shaam kay hain Shub-o-shaam
Deejiye shoq-e-shahadat Ya Ali mushkil kusha
Dar guzar man aap say barh kar koi guzra nahi
Aye saraapa-e-Muhabbat Ya Ali mushkil kusha
Dar guzar kejiye khata aur dejiye is qom ko
Apna bazoo’ apni himmat ya Ali mushkil kusha
Aap kay dar say adab say mangta hay ye adeeb
Sadqa khatoon-e-jannat Ya Ali mushkil kusha
Hubb-e-Dunya say too bacha Ya Rabb Aashiq-e-Mustafa bana Ya Rabb
Kar day Hajj ka sharaf ata Ya Rabb sabz Gumbad bhi day dikha ya Rabb
Ye teri hi to inayat ke mujh ko Makkay bula lia ya Rabb
Aaj hay roo baroo meray kaaba silsla hay Tawaf ka Ya Rabb
Abar barsa day Noor ka ko loon barash-e-Noor man naha Ya Rabb
Kaash! Lab par meray rahay jari Zikr Aathoon pahar tera Ya Rabb
Chasham-e-tar aur qal’b-e-mujtar day Apni ulfat ki may pila Ya Rabb
Naf’s-o-shaitan ho gay Galib un kay chungal say too churha Ya Rabb
Kar kay Toba man phir gunahoon man ho hi jaata hon mubtala Ya Rabb
Neem jan kar dia gunahoon nay mardh-e-isyan say day shifa Ya Rabb
Kis kay dar man jaoun ga mola gar to Naraz ho giya Ya Rabb
Waqat-e-Rihlat ab Aa gaya Mola Jalwa-e-Mustafa dikha Ya Rabb
Qabar man aah ghup andhaira hay Roshni ho pay Raza ya Rabb
Sanp liptain na meray lashay say qabar man kuch na day saza Ya Rabb
Noor-e-Ahmad say Qabar roshan ho Wahshat man mera ho ga kia Ya Rabb
Kar day Jannat man too jawar un ka
Apnay Attar ko ata Ya Rabb
No Content Available
No Content Available
Ka’abe ke dar ke saamne mangi hey yeh dua faqat
Haathon me Hash’r tak rahe Daman-e-Mustafa faqat
Apne karam se Aay Khuda! Ishq-e-Rasool kar ata
Aakhiri dum zaban pe ho Salle ALLAH sada faqat
Taiybah ki saiyr ko chaley Qadmo meyn un ki jaan deyn
Daf’n hon un ke shaha’r meyn hey yahi iltija faqat
Dunya ki saari ne’mateyn meri nazar meyn heych heyn
Rakhne ko sar pe gar miley Na’alain-e-Mustafa faqat
Munkar Nakeer qab’r me hum se suwal jab kareyn
Aiyse meyn vird hum rakhe Aapke Naam ka faqat
Naza’a ke waqt jab meri saanso me intishaar ho
Meri nazar ke samne Gumbad ho wo Hara faqat
Na’at-e-Rasool-e-Paak hey Nazmi ka maqsad-e- hayaat
Qab’r meyn bhi labon pe ho Sarkar ki sana faqat
Kab gunahoon say kanara man karoon ga Ya Rabb
Naik kab aye meray Allah banoon ga Ya Rabb
Kab gunahoon kay marz say man shifa paon ga
Kab man beemar, Madeenay ka banoon ga Ya Rabb
Gar teray Piyaray ka jalwa na raha paish-e-Nazar
Sakhtian naza’e ki kioon ka man sahoon ga Ya Rabb
Naza’e kay Waqat mujhay jalwa Mahboob dikha
Tera kia jaye ga man sahad maroon ga Ya Rabb
Qabar man gar na Muhammad kay Nazaaray hon gay
Hashar tak kaisay man phir tanha rahoon ga Ya Rabb
Dang machar ka bhi mujh say to saha jata nahi
Qabar man bichoo kay dang kaisay sahoon ga Ya Rabb
Ghup andhaira hi kia wahshat baseera hoga
Qabar man kaisay akaila man Rahoon ga Ya Rabb
Gar kafan Paharh kay sanpoon nay jamaya Qabza
Haye barbadi! Kahan ja kay chupoon ga Ya Rabb!
Haye! Mamooli se garmi bhi sahi jati nahi
Garmi-e-Hashar man phir kesay sahoon ga Ya Rabb!
Iz’n say teray sar-e-hashar kahain kaash! Huzoor
Saath Attar ko Jannat man Rakhoon ga Ya Rabb
Karam mangta hoon ata mangta hoon
Ilahi man tujh say dua mangta hoon
Ata kar too shaan-e-kareemi ka Sadqa
Ata kar day shaan-e-Raheemi ka Sadqa
Na mangoon ga tujh say to mangoon ga kis say
Tera hoon man tujh say dua mangta hoon
Ilahi hamaishah too masroor rakhna
Balaoun say ham ko buhut door rakhna
Praishanian ham ko gharay huway hay
Man un say tera Aasra mangta hoon
Jo muflis hain un ko Too dolat ata kar
Jo beemar hain un ko Sihat Ata kar
Mareezoon ki khatir shifa maangta hoon
Ilahi man tujh say dua maangta hoon
Jo nadaar hain kuch nahin jin kay pallay
Unhian bhi dikha day haram kay Too jalway
Huzoori ho sab ki dua Maangta hoon
Ilahi man tujh say Dua maangta hoon
Watan kay bharhktay sharraray bujha day
Usay Too akhuwat ka gulshan bana day
Man amun-o-aman ki rida maangta hoon
Ilahi man tujh say dua maangta hoon
Ilahi tujhay wasita panjtan ka
Ho shadaab Guncha diloon kay chaman ka
Man Sadqa Gauth-ul-war maangta hoon
Ilahi man tujh say dua maangta hoon
Khudawand-e-Kareem Ki Barghah Meiyn Hey
Aap ke Wasile Ki Zaroorat Hey Ya RasoolALLAH
Aap ki Safarish Hojaey Agar Mere Liye
Is Se Barhi Kiya Baat Hogi Ya RasoolALLAH
Wo Alfaz Kahan Se Lawoon Main
Jo ALLAH ki Sanaa Aur Aap Ki Azamat Bayan Kar Sakeen
Phir Bhi Yeh Kosish Hey Is Nacheez Ki
Aap Se Yeh Guzarish Khudawand Kareem Tak Pohnchane Ki
Tan’ha Jal Raha Hoon Mayn She’ra Meyn
Aapki Zulfon Ki Chaon Mujh Par Ho Jaey Ya RasoolALLAH
Zindagi Meri Hey Wo Kishti, Jo Gum Gaeyi Hey Samundar Meyn
ese Eman Ke Sahil Peh Panah Mil Jaey Ya RasoolALLAH
Deewar Ban ke Ruke Heyn Mujhe Log
Deewar Ke Girne Se ho jaey Aasra Ya RasoolALLAH
Main Akela Khara Hoon Is Weerane Meyn
ALLAH Luho Ishq-e-Rasool صلی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم Dil Meyn Jaga De
Kia khoob hay teri Aan baan har roz Naye hay shan shan
Hay rishta na koi khandan to Rabb-e-jahan man Abad Abad
Man Hamd kahoon bas Hamd Hamd man Hamd kahoon bas Hamd Hamd
Meray Mola meray Mola
Tujh say Faryad kartay han ham
Meray Mola karam ho karam
Meray mola meray mola
Ye Zameen aur ye Asman
Hay to hi Maalik-e-do jahan
Sab pe Too hi Too hay mehrban
Ham teray dar say jayen kahan
Sab ki suntan hay to hi sada
Too hi rakhta hay sab ka bharam
Sab paak han teray Naam Naam
Man Zikir karoon har Gaam Gaam
Kia Aqal ka is man Kaam Kaam
Hay banda tera har fard fard
Man Hamd kahoon bas Hamd Hamd
Ham ke majbooriyoon bay Haal hain
Ham ke ranjooroon bay haal hain
Apnay daman man Aansoo hain bas
Paak kar day hamaray Nafs
Zik’r tera jahan bhi Karain
Eik pal man hoon Aankhain ye Nam
Bay kasoon ko sahara milay
Doobatoon ko kinara milay
Sar say Toofan pal man Talay
Jo tera ik isharah milay
To jo kar day mehribanian
Door ho jaye har eik Gam
Wahdat ka hay jis man raaz raaz
Seenoon man bajay wo saaz saaz
Jo tujh pe karay han Naaz Naaz
Wo Hamd karay hay Hamd Hamd
Man Hamd kahoon bas Hamd Hamd
Bhool bhaithay hain tera kaha
To nay Quran man jo likha
Aaj hain dar badar is Tarah
Koi bikhray. Larhi jis tarah
Eik kar ham ko bahar-e-shaha
Ham ne khud pe kiye han sitam
No Content Available
Man makkay man phir aa giya ya Ilahi karam ka teray shukriya ya Ilahi
Na kar rad koi Iltija ya ilahi ho maqbool har ik Dua ya Ilahi
Rahay Zikr Aathoon pahar meray lab par tera ya Ilahi tera Ya Ilahi
Meri zindagi bas teri bandage man hi aye kaash! Guzray sada ya Ilahi
Na hoon ashak barbad dunya kay Gam man Muhammad kay Gam man Rula Ya Ilahi
Ata kar day Ikhlas ki mujh ko Nemat na nazdeek Aaye Riya Ya Ilahi
Muhjhay olya ki Muhabbat Ata kar Too Deewana kar Gauth Ya Ilahi
Man Yad-e-Nabi man Rahoon Gum hamaishah mujhay un kay Gam man ghula Ya Ilahi
Meray bal bachoon pe saray qabeelay pe Rahmat ho teri sada Ya Ilahi
De Deewanoon balke sabhi ko Madeenay ka Gam Ya Khuda Ya Ilahi
Khudaya Ajal aakay sar par kharhey hay dikha jalwa-e-Mustafa Ya Ilahi
Meri Laash say saanp bichoo na liptain Karam bahar-e-Ahmad Raza Ya Ilahi
Too Attar ko sabz-e-Gumbad kay saye
Man kar day shahadat Ata Ya Ilahi
Mangtoon pe Nazar Ya ganj-e-shakar Aabad rahay tera pakpatan
Aye Khuwaja Qutub kay nor-e-Nazar Aabad Rahay Tera pak patan
Teri deed ko apni Eid kahian, sab tujh ko Fareed Fareed kahain
Daitay han Sada Khuwaja Kalyar aabad Rahay tera Pak patan
Yoon baba teri barat saji, peechay han wali Aagay han Nabi
Nabiyoon kay Nabi bhi Teray ghar Aabad rahay Tera pak patan
Sehray ki Rangat Ajmeri, han Noor kay Taaray Hajwairi
Makhdoom-o-Nizam Parhain Mil kar Aabad rahay Tera Pak patan
Man Kiyoon na Fareed Fareed Kahoon, Man Kiyoon na Teri chokhat chomoon
Hay dar Tera Jannat ka ghar Aabad Rahay Tera Pak patan
Ho Khair Gareeb Nawazi ki, Bharo jholi Gareeb Niazi ki
Hoti hay yaheen Mangtoon ki guzar Aabad Rahay Tera Pak patan
Mita day sari khatain meri mita ya Rabb bana day naik bana naik day bana Ya Rabb
Bana day Mujh ko Ilahi Khuloos ka paikar Qareeb aaye na meray kabi Riya Ya Rabb
Andheri Qabar ka dil say nahi nikalta Dar Karoon ga kia jo Too Naraz ho giya Ya Rabb
Gunahgar hoon man Layeq Jahannam hoon Karam say bakhash day mujh ko na day saza Ya Rabb
Buraioon pe pashaiman hoon Raham farma day hay teray qahar pe havi tar ata Ya Rabb
Muheet dil pe huwa haye nafs-e-ammarah dimag par meray iblees cha giya Ya Rabb
Rihaye mujh ko milay kaash! Naf’s-o-shaitan say teray Habeeb ka Daita hoon Wasita Ya Rabb
Gunah bay Adad aur Juram bhi hain la tadad kar af’we sah na sakoon ga koi saza Ya Rabb
Main kar kay tobah Palat kar Gunah karta hoon Haqeeqi tobah ka karday sharf Ata Ya Rabb
Sunoon na fuhush Kalaami na Geebat-o-chugli Teri pasand ki baatain faqat suna ya Rabb
Karain na Tang khiyalaat-e-bad kabhi, kar day shuoor-o-fik’r ko pakeezgi ata ya Rabb
Nahi hay Nama-e-Attar man koi naiki
Faqat hay teri hi Rahmat ka Aasra ya Rabb
Mita meray ranj-o-alam Ya Ilahi Ata kar mujhay apna gam Ya Ilahi
Sharab-e-Mahabbat kuch aeysi pila day kabhi bhi nasha ho na kam Ya Ilahi
Mujhay Apna aashiq bana kar bana day Too sartapa Tasweer-e-Gam Ya Ilahi
Faqat Tera Talib hoon har giz nahi hoon Talabgar-e-jaah-o-Hasham Ya Ilahi
Na day Taaj-e-shahi na day badshahi bana day gada-e-Haram Ya Ilahi
Jo ishq-e-Muhammad man Aansoo bahaye Ata kar day wo chashm-e-Nam Ya Ilahi
Sharaf Hajj ka daiday chalay Qafila phir Mera Kaash! Soo-e-Haram Ya Ilahi
Dikha day Madeenay ki galiyan Dikhaday Dikha day Nabi ka Haram Ya Ilahi
Chalay jaan Is shan say kaash ye sar dar-e-Mustafa pe ho kham Ya Ilahi
Mera sabz Gumbad kay saye man Niklay Muhammad kay Qadmoon man Dam Ya Ilahi
Ibadat man lagta nahi dil hamara han isyan man badmast ham Ya Ilahi
Mujhay daiday Iman par istiqamat pay sayyid-e-Muhtasham Ya Ilahi
Meray sar pe isyan ka bar Aah Mola! Barha jata hay dam badam Ya Ilahi
Zameen bojh say meray phatatey nahi hay Ye tera hi to hay karam Ya Ilahi
Mujhay Naar-e-Dozakh say dar lag raha hay ho mujh Natuwan par karam Ya Ilahi
Sada kay liye ho ja Raazi Khudaya Hamaishah ho Lutuf –o-Karam Ya Ilahi
Too Attar ko bay sabab bakhshash mola
Karam kar Karam kar Karam Ya Ilahi
Muaaf fazal-o-Karam say ho har khata Ya Rabb
Ho magfirat paye Sultan-e-Anbiya Ya Rabb
Bila Hisaab ho Jannat man dakhila ya Rabb
Parhos Khuld man sarwar ka ho ata Ya Rabb
Nabi ka Sadqa sad kay liye Too Razi ho
Kabhi bhi hona na naraz Ya Khuda Ya Rabb
Teri Habeeb agar Muskratay Aa jayen
To bilyaqeen Uthay Qabar jagmaga Ya Rabb
Khazan Phatak na sakay pas, day bahar ayesi
Rahay hayat ka Gulshan hara bhara Ya Rabb!
Hamaray dil say nikal jaye ulfat-e-Dunya
Paye Raza ho Ata ishiq-e-Mustafa Ya Rabb
Nabi ki Deed hamari hay Eid ya Allah
Ata ho khuwab man Deedar-e-Mustafa Ya Rabb!
Tulain na Hashar man Attar kay amal mola
Bila Hisab hi too us ko bakhsaha Ya Rabb
No Content Available
No Content Available
Peeran waliyoon kay Imam day do panjtan kay Naam
Man nay jholi hay phailaye barhi dair say
Dalo Nazr-e-Karam ik bar apnay mangtoon pe sarkar
Man ne Aas hay lagaye barhi dair say
Dil ki kali to Aaj khili hay Aap aaye han khabar miley hay
Zara dheray dheray Aaow Zara dheray dheray Aaow
Lillah Nazr-e-karam farmao man Mihfil hay sajaye barhi dair say
Charoon Taraf hay gam kay andhairay Madad ko Aao Aaqa meray
Tumhain wasta Nabi ka day do Sadqa Ali ka
Man ne bapta hay Sunaye barhi dair say
Kar do karam ka ik Ishara mil jaye kashti ko kinara
Rakh lo Peeran laj hamari man hoon mangti tumhari
Man ne bapta hay Sunaye barhi dair say
Peeran waliyoon kay Imam day do panjtan kay Naam
Man ne jholi hay phailaye barhi dair say
No Content Available
Ras ba faryad Ya Shah-e-Baghdad
Waqat-e-Imdad Ya shah-e-Baghdad
Teray dar kay Gulam Hazir han
Sun lay Faryad Ya shah-e-Baghdad
Ik Nigah-e-Karam kay Talib han
Dil ho Aabad Ya shah-e-Baghdad
Mushkilain Door ho gayen saari
Jab Kia Yad Ya shah-e-Baghdad
Mujh ko har dil man Nazar Ata hay
To hi Abad ya shah-e-Baghdad
Teray dar ka faqeer hay Mahmood
Kar day Ab shad Ya shah-e-Baghdad
Sar hay kham haath mayra utha hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Fazl ki rahm ki iltija hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Tayra in’aam hay Ya Ilahi, kaysa ikraam hay Ya Ilahi
Haath mayn daman-e-Mustafa hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
‘Ishq day, sauz day, chashm-e-nam day, mujh ko meethay Madinay ka gham day
Wasitah Gumbad-e-Sabz ka hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Hoon ba-zaahir bara nayk soorat, ker bhi day mujh ko ab nayk seerat
Zaahir achcha hay baatin bura hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Mayray murshid jo Ghaus-ul-Wara hayn, Shah Ahmad Raza rahnuma hayn
Yeh Tayra lutf Tayri ‘ata hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Ya Khuda aysay asbab paoon, kash Makkay Madinay mayn jaoon
Mujh ko arman Hajj ka bara hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Ya Ilahi ker aysi ‘inayat, day day Iman per istiqamat]
Tujh say ‘Attar ki iltija hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay
Shah-e-daiwah nagar jaan-e-shah-e-Umam Warith-ul-Olya shah-e-Warith Ali
Sadqa Panjtan ho Nigah-e-karam wraith-ul-Olya shah-e-warith Ali
Muzhir zaat ho Muzhir Zaat ho Panjtan ki Nishani ho Saadat ho
Aap ki Zaat-e-Aqdas Sarapa Karam Warith-ul-Olya shah-e-Warith Ali
Saj rahi shah-e-warith ki baraat hay han Jam’e Olya Noori Barsat hay
Sab kay daman bharain gay Khuda ki Qasam Warith-ul-Olya shah-e-Warith Ali
Naam-e-Warith hay Anbar Wazeefah mera aur Salamat Rahay Warthi Aastan
Meray wraith han warith nahin koi Gam warith-ul-Olya shah-e-Warith Ali
Shah-e-Jeelan ba man Zar-o-Praishan madaday
Noor-e-Aeynain Nabi Sayyed-o-Sultan Madaday
Ma Garaibaim, Gareebul Watni hay Aaqa
Chasham-e-Rahmat bakusha sooy-e-Gareeban Madaday
Hazir Baroor-e-Pak to Basad Ranj-o-Alam
Aye Maseeha-e-Zaman, Esa-e-Doran madaday
Bar dil-e-Murda-e-man yak nazar-e-Lutuf bakun
Peer Peeran-e-Jahan Murshid Pakan madaday
Ashrafi Aamad-e-dar Halat-e-Peeri ba dart
Dastageeri ba kuni Hamee-e-Peeran Madady
Sharf day Hajj ka mujhay bahar-e-Mustafa Ya Rabb
Rawana soo-e-Madeenah ho Qafila Ya Rabb
Dikha day aik jhalak sabz sabz Gumbad ki
Bas un kay jalwoon man aa jaye phir Qadha Ya Rabb
Madeenay jayen phir aayen dobarah phir jayen
Isi man umar guzar jaye Ya Khuda Ya Rabb
Mera ho Gumbad-e-khazra ki Thandi chaoun man
Rasool-e-Pak kay Qadmoon man Khatima Ya Rabb
Waqat-e-Naza’e Salamat rahay mera eman
Mujhay Naseeb ho tobah hay iltija Ya Rabb
Jo “Deen ka Kaam” Karian dil laga kay Ya Allah
Unhain ho khuwab man Deedar-e-Mustafa Ya Rabb
Teri Mahabbat utar jaye meri Nas Nas man
Paye Raza ho Ata ishq-e-Mustafa Ya Rabb
Zamanay bhar man macha dain gay dhoom sunnat ki
Agar karam nay teray saath day dia Ya Rabb
Namaz o-Roza-o-Hajj-o-Zakat ki Taufeeq
Ata ho Ummat-e-Mahboob ko sada Ya Rabb
Jawab Qabar man Munkar Nakeer ko doon ga
Teray karam say agar Hosla mila Ya Rabb
Baroz-e-Hashar chalkta sa jaam kausar ka
Badast-e-Saqi-e-Kausar hamain Pila Ya Rabb
Baqee-e-Pak man Attar dafan ho jaye
Baraye Gauth-o-Raza Az pay Zia Ya Rabb
Too nay mujh ko Hajj pe Bulaya Ya ALLAH Meri jholi bharday
Gird-e-kaba khoob phiraya Ya ALLAH Meri jholi bharday
Maidan-e-arfat dikhaya Ya ALLAH Meri jholi bharday
Bakhsh day har haji ko Khudaya Ya ALLAH Meri jholi bharday
Bahar-e-Kausar-o-beer-e-Zam Zam Kar day karam aye Rabb-e-Akram
Hashar ki Piyas say Mujh ko Bachana Ya ALLAH Meri jholi bharday
Mola mujh ko Naik Bana day Apni ulfat dil man Basa day
Bahar-e-Safa aur bahar Marwa Ya ALLAH Meri jholi bharday
Ya ALLAH Ya Rahman Ya Hannan Ya Mannan
Bakhash day bakhshay huwoon kka Sadqa Ya ALLAH Meri jholi bharday
Wasta Nabiyoon kay sarwar ka Wasita Siddique aur Umar ka
Wasta Usman-o-Haidar ka Ya ALLAH Meri jholi bharday
Naar-e-Jahannam say too bachana Khuld-e-bareen man mujh ko basana
Ya Rabb az pay Abu Haneefa Ya ALLAH Meri jholi bharday
Sail hoon man Teri wila ka Phair day Rukh har ranj-o-bala ka
Wasta shah-e-Karb-o-bala ka Ya ALLAH Meri jholi bhardo
Jis dam Soo-e-Tayyebah safar ho Aankhain tar hoon phatata jigar
Jannat man Aaqa ka parhosi
Ban jaye Attar ilahi
Bahar-e-Raza-o-Qutub-e-Madeenah
Ya ALLAH Meri jholi bharday
Tujh ko Pukarta hoon Aye Khuwaja Ajmeri
Kar day Nigah Mujh par qismat badal day meri
Dar,dar kahan phiroon man , tujh par hi Mar Mitoon man
Man ho gaya hoon tera ab laaj rakh lay meri
Mushtaq-e-Deed laakhoon kab say Tarhap rahay han
Day iszin-e-Haziri ab kis baat ki hay dairi
Ho Teri zaat say wo nisbat mujhay bhi Hasil
Jab bhi pukaroon tujh ko to baat sun lay meri
Pichlay baras to ki thi Ajmair ki Ziyarat
Is saal meray Khuwaja phir Haziri ho meri
Ho jaye kaash poori Mahmood ki Tamanna
Ho har taraf ujala chat jaye ye andhairey
No Content Available
No Content Available
No Content Available
No Content Available
Ya Ellahi har jagah teri ataa ka sath ho
jab parre mushkil sheh mushkil kusha ka sath ho
ya Ellahi bhool jaaoun nazaa ki takleef ko
shadi deedar husn mustafa ka sath ho
ya Ellahi goar terah ki aaye jab sakht raat
un ke pyare mun ki subah jaan fiza ka sath ho
ya Ellahi jab parre Mahshar mein shor dar o geer
aman dainay walay pyare peshwa ka sath ho
ya Ellahi jab zubanain bahar aayein pyaas se
sahib kusar sheh jodo ataa ka sath ho
ya Ellahi sard Mehri par ho jab Khurshid hashar
syed be saya ke zal lawa ka sath ho
ya Ellahi garmi Mahshar se jab bharkein badan
daman mehboob ki thandhi sun-hwa ka sath ho
ya Ellahi nama aamaal jab khilnay lagen
aib posh Khalq sitaar ka sath ho
ya Ellahi jab behain ankhen hisaab jurm mein
un tabassum raiz honton ki dua ka sath ho
ya Ellahi jab hisaab Khanda beja rulay
chasham giriyan murtajy ka sath ho
ya Ellahi rang layein jab meri be bakiyan
un ki neechi neechi nazron ki haya ka sath ho
ya Ellahi jab chaloon tareek raah pal Siraat
aftaab hashmi noor ul huda ka sath ho
ya Ellahi jab sir Shamsheer par chalna parre
rab slim kehnay walay ghmzada ka sath ho
ya Ellahi jo duaye naik mein tujh se karoon
qdsyon ke lab se amin rabbana ka sath ho
ya Ellahi jab Raza khawab giran se sir uthaiye
doulat bedaar ishhq mstfe ka sath ho
Ya Ilahi har jaga teri a’ta ka sath ho
Jab parhay mushkil shah-e-mushkil kusha ka saath ho
Ya Ilahi jab bhool jaon naza’e ki takleef ko
Shadi-e-Deedar-e-Hussun-e-Mustafa ka saath ho
Ya Ilahi gor terah ki jab Aye sakhat Raat
Un kay Piyaray mun ki Subuh janfiza ka Saath ho
Ya Ilahi jab parhay Mahshar man shor dar-o-geer
Aman dainay walay piyaray paishwa ka saath ho
Ya Ilahi jab zabanain bahir Ayen pas say
Sahib-e-Kausar shah-e-jod-o-sakha ka saath
Ya Ilahi sard mahri par ho jab khurshaid Hashar
Sayyed bay saya kay Zill-e-liwa ka saath ho
Ya Ilahi Garmi-e-Mahshar say jab bharhkain badan
Daman-e-Mahboob ki Thandi hawa ka saath ho
Ya Ilahi Naam-e-Aamal jab khulnay lagain
Ayeb posh Khalq-e-Sattar Khata ka saht ho
Ya Ilahi jab bhi Aankhain Hisab-e-Juram man
Un Tabassum Rayes Hontoon ki dua ka saath ho
Ya Ilahi Jab Hisaab Khanda bajar laye
Chasham-e-giryan shafee’-e-Murtaza ka saath ho
Ya Ilahi Rang layen jab meri bay bakian
Un ki neechay neechay Nazroon ki Haya ka Saath ho
Ya Ilahi Jab Chaloon Tareek Raah-e-Pul Sirat
Aaftab hashmi Noor-ul-Huda ka saath ho
Ya Ilahi jab sar shamsheer par chalna parhay
Rabb-e-Sallim kehneay walay Gamzda ka saath ho
Jab Raza Khawab giran say sar uthaye
Daulat-e-Baidar-e-Ishq-e-Mustafa ka saath ho
Ya Ilahi Raham farma Mustafa kay Wastay
Ya RasoolAllah Karam kijeye Khuda kay wastay
1
Mushkilain Hal kar shah-e-Mushkil-e-Kusha kay Wastay
2
Kar balain rad shaheed-e-karbala kay Wastay
3
Sayyed Sajad kay Sadqay man sajid rakh mujhay
4
Ilm-e-haq day baqir il’m-e-Huda kay wastay
5
Sidque Sadique ka Tassduque Sadiq-ul-Islam kar
6 7
Bay Gadhb Razi ho kazim aur Raza kay wastay
8 9
Bahar maroof –o-sari maroof day baikhood sari
10
Jind-e-Haq man gin junaid ba safa kay wastay
11
Bahar shibli shair-e-Haq dunya kay kutoon say bacha
12
Aik ka rakh abd-e-wahid bay Riya kay wastay
13
Bul farah ka Sadqa kar Gam ko farah day hasan-o-Saad
14 15
Bul Hassan aur bu saeed saad za kay wastay
Qadri kar Qadri rakh Qadriyoon man Utha
16
Qadr-e-Abdul Qadir Qudrat numa kay wastay
Ahsanallahu Lahum Rizqa say day riz’q Hassan
17
Banda Razzaq Taj ul Asfiya kay wastay
18
Nasrabi Salih ka Sadqa Salih –o-Mansoor rakh
19
Day Hayat deen muhayy-e–jaan fiza kay wastay
Toor irfan-o-ulwo-o-Hamad-o-Husna-o-baha
20 21 22 23 24
Day Ali Moosa Hassan Ahmad baha kay wastay
Ya Rabb phr aoj par ye hamara Naseeb ho
Soo-e-Madeenah phir hamain jana Naseeb ho
Makkah bhi ho Naseeb Madeenah Naseeb ho
Dasht-e-Arab Naseeb ho Sihra Naseeb ho
Hajj ka safar phir aye meray Aaqa Naseeb ho
Arfat ka mina ka Nizara Naseeb ho
Allah! Deed Gumbad-e-khazra Naseeb ho
Ya Rabb ! Rasool-e-Pak ka jalwa Naseeb ho
Chomoon arab ki wadian aye kash ja kay phir
Sihra man un kay ghoomna phirna Naseeb ho
Kabay kay jalwoon say dil Mujtar ho shad phir
Lutuf-e-Tawwaf khan kaba Naseeb ho
No Content Available
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Qalb ko us ki Royat ki hay aarzoo
Jis ka jalwah hay Aalam man har char soo
Balkeh khud nafs man hay wo Subhanahu
Ar’sh par hay magar ar’sh ko justajoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Ar’sh-o-far’sh-o-zaman-o-jihat aye Khuda
Jis Taraf daikhta hoon Jalwa tera
Zarray Zarray ki Aankhoon man too hi Zia
Qatray Qatray ki to hi to Aabroo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Too Kisi jaa Nahi aur har jaa hay Too
Too Munzzah makan say Mubarrah zasoo
Ilm-o-Qudrat say har jaa hay too koobakoo
Teray jalway han har har jagah aye af’we
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Saaray aalam ko hay Teri hi Justajoo
Jinn-o-In’s-o-malak ko teri aarzoo
Yaad man Teri har eik hay Soo ba soo
Ban man wahshi lagatay hain dharbat-e-hoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Nagma Sanjan-e-Gulshan man charcha Tera
Geet teray hi gatay hain wo khush Guloo
Koi kehta hay Haq koi kehta hay Hoo
Aur sab kehtay hain La shareek lahu
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Bulbul-e-khush Nawa Toti-e-khush guloo
Zamzamah kahawan han gatay hain Nagmaat hoo
Qamri khush liqa boli Haqq Sirrahu
Fakhta khush ada nay kaha dost too
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Af’w farma khatain meri aye af’we
Shauq-o-tofeeq naiki ka day mujh ko too
Jari dil kar ke har dam rahay zikir ho
Aadat-e-bad badil aur kar naik khoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Khuwaab-e-noori man aayen jo nor-e-Khuda
Buqaa’-e-noor ho apna Zulmat kuda
Jagmaga uthay dil chehra ho pur zia
Noorion ki tarah shugul ho zikir hoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
La mojood Illallah la mashahood Illallah
La Maqsood Illallah La Ma’bood Illallah
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Allah wahid-o-yakta hay eik Khuda bas tanha hay
Koi na us ka hamta hay eik hi sab ki suntan hay
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Juz ma wo hay kul man wo rang-o-boo-e-gul man wo
Afghan bulbul man wo Nagmaat Qul Qul man wo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Bulbul Tooti parwana har eik us ka deewana
Qamri us ka mastana mor chakor ka jana na
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Mola dil ka zang churha qalb noori paye jala
Dil ko kar day Aayena jis man chamkay ye kalma
Amal ka ho jazba ata ya Ilahi
Gunahoon say mujh ko bacha ya Ilahi
Man panchoon Namazain parhoon ba jamat
Ho tofeeq ayesi ata ya Ilahi
Man parhta rahoon Sunatain, Waqat hi par
Hoon saray Nawafil ada Ya Ilahi
Day shauq-e-Tilawat day Zauq-e-Ibadat
Rahoon ba Wudhu man sada Ya Ilahi
Hamaishah Nigahoon ko apni jhuka kar
Karoon Khashiyana Dua Ya Ilahi
Na Naiki ki Dawat man susti ho mujh say
Bana shayeq-e-Qafila Ya Ilahi
Saadat milay Dars-e-Faizan-e-Sunnat
Ki rozana do martaba Ya Ilahi
Man Mittey kay sadah bartan man khaoun
Chitaye ka ho bistra Ya Ilahi
Hay Aalim ki khidmat yaqeenan saadat
Ho tofeeq is ki ata Ya Ilahi
Sada-e-Madeenah doon rozana Sadqa
Abu Bakar-o-Farooq ka Ya Ilahi
Man neechi nigahain rakhoon kaash! Aksar
Ata kar day sharm-o-Hayya Ya Ilahi
Hamaishah karoon kaash parday man pardah
Too paikar Hayya ka bana Ya Ilahi
Libas sunatoon say ho Aarasta aur
Imama ho sar par saja Ya Ilahi
Sabhi musht darhey-o-gaisoo sajayen
Banain aashiq-e-Mustafa Ya Ilahi
Har ik Inaam aye kaash! Paoun
Karam kar paye Mustafa Ya Ilahi
Ho Akhlaq acha ho kirdar suthra
Muttaqi too bana Ya Ilahi
Gusailay mizaj aur Tamaskhur ki khaslat
Say Attar ko too bacha Ya Ilahi