Aankh man jab ashk Aaya ho gaye Naat-e-Rasool
Dard jab dil man samaya ho gaye Naat-e-rsool
Jab kisi bay bas ko daikha Zulum ka hotay shikaar
Is Zalim say churhaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jihil ki tareekiyoon man iatmad ilam ka
Ik dia jis nay jalaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jab kisi Masooom ko paya yateemi ka shikaar
Apnay seenay say lagaya’ ho gaye Naat-e-Rasool
Imtiaz-e-bandah-o-Aaqa mitanay kay liye
Jab koi maidaan man aaya ho gaye Naat-e-Rasool
Kha kay sang dushmanan-e-deen agar ye keh dia
Kar bhala is ka khudaya, ho gaye Naat-e-Rasool
Yaad kar kay arsa-e-sha’ab-e-Abi Talib kabhi
Jis nay do Aansoo bahaya ho gaye Naat-e-Rasool
Mohsin-e-insaniat ki jaan kar, sunnat agar
Jis ne rotoon ko hansaya, ho gaye Naat-e-Rasool
Kia bataon kis qadar hain mehrban mujh par huzoor
Jab qalam man ne uthaya ho gaye Naat-e-Rasool
Seerat-e- خیر البشر ko daikhta ja aye adeeb!
Jo warq nay to uthaya ho gaye Naat-e-Rasool
Aaya na ho ga is tarah rang-o-shabab rait par
Gulshan-e-Fatimah kay thay saray gulab rait par
Jaan-e-batool kay siwa koi nahi khila saka
Qatra-e-Aab kay bagair itnay gulaab rait par
Tarsay Hussain aab ko man jo kahoon too bay adab
Lums-e-lab-e-Hussain ko tarsa hay aab rait par
Ish’q man kia lutaye ishq man kia bachaye
Aal-e-Nabi ne likh dia sara Nisaab rat par
Lazzat-e-sozash-e-bilaal, shoq-e-shahadat-e-Hussain
Jis nay lia yoonhi lia apna khitaab rat par
Jitney sawal ishq aal-e-Rasool say kiye
Ayek say barh kay ik dia sab ne jawaab rait par
Aal-e-Nabi ka kaam tha Aal-e-Nabi hi kar gay
Koi na likh saka Adeeb ayesi kitaab rait par
Aaye to kaatne kay liye sab kay paas marg
Rishta jo aadmi kay badan say hay jaan ka
Us tarah sy kisi ki tawadhu’e nahi hui
Khoon-e-shaheed kay liye daaman Quraan ka
Udhar tarteel-e-Qurani’ koi tarmeem Naa Mumkin
Jo aayat Hukum jo laye’ amal ayesa hi karna hay
Idhar tarteeb-e-usmani ke jo soorat jahan rakh di
Qiamat tak isi tarteeb say Quran parhna hay
To ne bhi ajab shaan dikhaye hay khudaya
Jab teeg nay khoon, Hazrat-e-usman bahaya
Girnay na dia qatrah khoon pehlay zameen par
Rahmat ne teri daaman-e-Quraan bichaya
Az Adam ta Muhammad Mustafa koi nahi ayesa
Ke jin kay aqad man do baitiyaan hon ik peyambar ki
Ho kis kis baat ki tareef Zu-ul-Noorain kay haq man
Haya’e ki, Mustafa ki dosti ki, ya Muqaddar ki
Wo ayek manzar wama remait jahan khuda khud ye keh raha hay
Ye dast dast-e-Nabi nahi hay ye dast-e-qudrat faqat mera hay
Ye ayek Manzar, shajar kay neechay Nabi bai’et kay waqat kehna
Ye dast-e-bai’et Nabi ka hay aur ye dast-e-usman doosra hay
Bachoon ko loriyoon man kahin maan Qureish ki
So jao meray laal ke maan gamgasar hay
Hay tum sy itna piyar, ke Rahman ki qasam
Jitna Qabeelay waloon ko usman say piyar hay
Abhi na Aatay thay pushat-e-zeen tak ke sar huwi magfirat ki shallak
Sada shafa’at nay di Mubarak gunaha mastana jhoomtay thay
Ajab na tha rakhsh ka chamkna gazal-e-dam khoordah sa bharhkna
Shua’en bukay urha rahi thein tarhptay Aankhoon pe Sayeqay thay
Hujoom-e-Umeed hay ghatao muradain day kar inhain hatao
Adab ki bagein liye barhao malaika man ye galglay thay
Uthi jo gird-e-rah-e-Munawwar wo Noor barsa ke rastay bhar
Ghiray thay badal bharay thay jal thal umand kay jangal ubal rahay thay
Sitam kia kesi mat kati thi qamar wo khaak un kay rah guzar ki
Uthana laya ke maltay maltay ye daag sab daikhna mitay thay
Buraaq kay naqsh-e-sum kay sadqay wo gul khilaye ke saaray rastay
Mehktay gulbun kay mahketay gulshan haray bharay lahlaha rahay thay
Ala aman qahar hay aye gauth wo taikha Taira
Mar kay bhi chain say sota nahi mara Tera
Badloon say kahian rukti hay karhkti bijli
Dhalain chint jati hain uthta hay jo taiga Tera
Ak’s ka daikh kay mun aur bahpar jata hay
Char aayena kay bal ka nahi naiza Tera
Koh sar makh ho to ik war man do par kaalay
Haath parhta hi nahi bhool kay oucha Taira
Us pe ye qahar kea b chand mukhalif Tairay
Chahtay hain ke ghata dain kahian paya Tera
Aqal hoti to khuda say na larhaye laitay
Ye ghatayen , usay manzoor barhana Tera
Ka hay Saya Tujh par وَرَفَعۡنَا لَکَ ذِکۡرَکۡ
Bol bala hay Tera Zikr hay uncha Tera
Mit gay Tutay hain mit jaye gay aada Taray
Na mita hay na mitay ga kabhi charcha Tera
Tu ghataye say kisi kisi kay na ghata hay na ghatay
Jab bharhaye Tujhay Allah tala Tera
Samm-e-qatil hay Khuda ki qasam un ka inkaar
Munkir fazal Huzoor Aah ye likha Tera
Meray siyaaf kay khanjar say tujhay baak nahi
Cheer kar daikhay koi Aah kalaija Tera
Ibn-e-zahara say teray dil man hain ye zahar bharay
Bal bay ao munkar-e-bay baak ye Zahra Tera
Baaz-e-shahab ki Gulami say ye aankhain phirni
Daikh urh jaye ga imaan ka tota Tera
Shaakh par baith kay jarh kaatanay ki fikr man hay
Kahin neecha na dikhaye tujhay shujra tera
Haq say bad ho kay zamana ka bhala banta hay
Aray man khoob samjhta hoon Mamma Tera
Sag-e-dar qahar say daikhay to bikharta hay abhi
Band band-e-badan aye rooba dunya Tera
Ar’z Aaqa say karoon ar’z ke teri panah
Bandah-e-majboor hay khatir pe hay qabza Tera
Hukum nafiz hay tera khama tera saif Teri
Dam man jo chahay kray door hay shaha Tera
Jis ko lalkaar day Aata ho to ulta phir jaye
Jis ko chamkaar lay har phir kay wo Tera Tera
Kunjian dil ki Khuda nay tujhay den ayesi kar
K ye seena ho Muhabbat ka khazeena Tera
Dil pe kundah ho tera naam ke wo duzd-e-Rajeem
Ultay hi paon phiray daikh kay tugra tera
Naza’e gor man, meezan pe, sar-e-pal pe kahin
Na chutay haath say damaan-e-muallah Tera
Dhoop mahshar ki wo jaan soz qiyamat hay magar
Mutmain hoon ke meray sar pe hay palla tera
Bahjat is sar ki hay jo bahjatul israar man hay
Ke falak waar mureedoon pe hay saaya tera
Aye raza chest gam arjmalah jahan dushman-e-tist
Kardah am ma man-e-khud qiblah haja taira
Alif ALLAH chanbay de booti meri man wich murshid laye hoo
Nafi Isbat da pani milya har rag-e-har jaye hoo
Andar booti mushk machaya jan phalan tay Aaye hoo
Jeeway murshid kamil bahoo jien aih booti laye hoo
Eiman salamt har koi mangay ish’q slamat koi hoo
Mangan Eiman sharmawan ish’qoon dil noon Gairat hoi hoo
Jis manzil noon ish’q pachaway Eiman noon khabar na koi hoo
Mera ish’q salamt rakheen bahoo Eiman diya dharoi hoo
Aih tan mera chashman ho way tay man murshid waikh na rajan hoo
Loon loon day madh lakh lakh chashman hik kholan hik kajan hoo
Itna dithiyan Sabar na Aaway hoo ruktay dil bujhan hoo
Murshid da deedar hay bahoo menoon lakh kirorhan Hajan hoo
Baghdad shahar di ki aye Nishani Achian lamian cheeran hoo
Tan man mera purzay purzay jeewan darzey diyan leeran hoo
Einhan leeran di lag kafni pa kay ral san sang faqeeran hoo
Baghdad shah’r day Tukrhay mangsan bahoo karsan meran meran hoo
Ashkoon pe say bhi likh un ki sana un ka Qaseedah
Likh jesay wo hain ayesa na deedah na shuneedah
Jab yaad kia qal’b nafah Aahoon
Jab naam lia ho gay lab shahid chakeedah
Daikha hay bulandi pe har ik ja sar-e-aflaak
Lakin usay daikha hay Madeenay man khameedah
Hasrat man ziarat ki bahay jatay hain Aansoon
Acha hay wuzu karta hay deedar ko deedah
Kia us ko khareedain gay salateen-e-Zamana
Aye Rahmat-e-Aalam! Teri Rahmat ka khareeda
Umat hay buhut zaar-o-praishaan karam kar
Chadar bhi dareedah hui’ daman bhi dareedah
Wo shayeri achi ke dikhaye jo ye manzar
Aagosh-e-karam man sag-e-dunya ka gazeedah
Muhtaj na hoga kabhi wo haath jo likhay
Us muatta-o-man’am ki sakhawat ka Qaseedah
Mahroom nahi hon gi basarat say wo aankhain
Go khuwab sahi, hoon Rukh-e-anwaar ki deedah
Bas ayek hi jhonka hay buhut shahr-e-Nabi ka
Awaz ye daitay hain tan-o-qal’b tapeedah
Laya dar-e-Rahmat pe mujhay jaadah-e-Rahmat
Kaafi meri bakhshash kay liye hay ye Qaseedah
Jis raah say guzra hay Adeeb un ki Sana man
Rukhshanda-o-tabinda’ darkhshan-o-damaidah
Aye sukoon-e-qalb-e-muztar aye qarar-e-zindagi
Aye ameen-e-raaz-e-fitrat, aye bahar-e-zindagi
Teri har har junbash-e-lab barg-o-baar-e-zindagi
Too diyar-e-ishq man hay shehryar-e-zindagi
Teray qadmoon ki badolat teri aamad kay tufail
Gulustan hi gulustan hay khar zaar-e-zindagi
Tera qur’b-e-khaas pakar teray dast-e-paak man
Sangraizay ban gay han shahkar-e-zindagi
Jis ne paye teri nisbat ho gaya wo Zee waqar
Aye furog-e-aadmiat, aye waqar-e-zindagi
Shayeran-e-husun-e-fitrat, Sahiban-e-dark-o-faham
Hay qadam bosi man har ik wazadar-e-zindagi
Daras tera Zalimoon say jang, mazloomoon say piyar
Kitni sadah ho gaye rah guzar-e-zindagi
Aadmi ko aadmi say piyar ka nuskha dia
To Tabeeb-e-khalq hay, teemar dar-e-zindagi
Too nay aa kar di nigahoon ko baseerat Husun ki
Warna thi mahdood lafzoon man’ bahar-e-zindagi
Too nay sahraye Takhayyul man lagaye gulustan
Aur chatanoon say nikalay Aabshar-e-zindagi
Goonj uthay nagmay lagaye to nay jab mazraab-e-ish’q
Ba rabt-e-fitrat pet ha khamosh taar-e-zindagi
Bay khabar dunya wama feeha say Too ne kar dia
Kia sharaab-e-zindagi hay, kia khumaar-e-zindagi
Rooh-o-jaan ki saltnat par hukmrani hay teri
Ham gulaam-e-ish’q hain, to Tajdar-e-zindagi
Ish’q ki deewangi kay samnay sab haich hain
Torh daiti hay Mahabbat’ har hisaar-e-zindagi
Teray paye naaz ka ik lams pa kar hay rawan
Chan chanatey, gungunatey joyebar-e-zindagi
Az Hussun Maleeh khud shor bajahan kardi
Har zakhmi w bismal ra masroof Fagan kardi
Bay jurm khata qatlam az naaz-e-batan kardi
Khud teeg, zadee barman naam digran kardi
Madhosh ba yak sagar aye peer maghan kardi
Dil bardi jaan bardi bay taab-o-tawan kardi
Khud Aayena-e-Roo boodey Khud aayena bay khudey
Ayen tarfa tamasha been dar bazam-e-jahan kardi
Shud jami bay chara az ish’q too aawarah
Aawarah-e-Gurbat ra dar khak nahan kardi
اَ َلَا یٰاَ یُّھَا السَّاقِیْ اَدْرِکَا سًا وَّ نَاوِلْھَا
Ke bar yaad-e-shah-e-kausar bana sazaim mehfilha
Bila bareed Hubb-e-shaikh najdi bar wahabia
Ke ish’q asaan namud awwal walay uftaad mushkilha
Wahaabi garcha ikhfa may kunad buguz-e-Nabi lakin
Nahan kay maenad aa raazay kaz-o-saa zand mehfilha
Tawwahbgaah milk-e-hind iqaamat ra name shaayad
Jars faryaad may dard ke barbandeed mahmleha
Salaye mujalsam dar gosh aamad bain baya bashuno
Jars-e-mastaana may goyad ke bar bandeed mahmlaha
Magar daan ro azeen mehfil rah-e-arbaab-e-sunnat ro
Ke saalak bay khabar nabud ze raah-o-rasam manzalaha
Darayen jalwat baya az raah-e-khalwat ta Kuda
مَتٰی مَا تَلْق مَن قَھْوٰی دَعِ الدُّنْیا وَاَمْھِلْھا
Walam qurbaanat aye dood-e-charaag mihfil-e-molad
Za taab-e-jaad-e-mushkeenat cha khoon uftaad dar dalha
Gareeq-e-bahar-e-ishq-e-Ahmadaim az farhat molad
Kuja daanad haal-e-ma subkasa raan-e-sahla
Raza mast jaam-e-ishq saagar baaz mey khawahad
اََلَا یٰاَ یُّھَا السَّاقِیْ اَدْرِکَا سًا وَّ نَاوِلْھَا
Ba khoobi hamchomah tabandah bashi
Ba mulk dilbari payendah bashi
Jahan sozi agar do gamzah Aaye
Shukur raizey agar bar khandah bashi
Man darwaish ra kashti ba gamzah
Karam kardi ilahi zindah bashi
Zaqeed do jahan aazad bashm
Agar to ham nasheen bandah bashi
Jafa kam kun keh fardah roz-e-mahshar
Barooye aashiqan sharmindah bashi
Ba tandey wa bashokhi ham-o-khusro
Hazaran khanman bad kundah bashi
Bashar kia likhay ga maqam-e-Muhammad
Khud apna qaseedah hay Naam-e-Muhammad
Bhalay sab Khuda kay, buray sab hamaray
Hadees-e-Muhammad, Kalaam-e-Muhammad
Shameem-e-Muattar, Naseem-e-muanbar
Huwa jis taraf bhi kharaam-e-Muhammad
Shuayen karam ki, ghata Rahmatoon ki
Wo Subuh-e-Muhammad, ye sham-e-Muhammad
Har ik kaasa labraiz, har fasla tay
Ze dast-e-Muhammad ze gaam-e-Muhammad
Ye kaabah hay kia? Tarbiat gah-e-ulfat
Sikhata hay jo ihtiraam-e-Muhammad
Banaya Muhammad ko khaliq nay, Aaqa
Bani saari khalqat Gulaam-e-Muhammad
Yad-e-Mustafa man Sunatay thay kinkar
Piyaam-e-Muhammad salaam-e-Muhammad
Naseema! Teray din bhi kesay phiray jab
Khulay gaisoo-e- mushak-e-faam-e-Muhammad
Adeeb ab koi khof dil man nahi hay
Wahan par to likha hay, Naam-e-Muhammad
Chaman ke ta Qiamat gul aoo bahar baad
Sanam ke bar jamalsh do jahan Nisar bada
Nigah-e-meer Khooban bashikar may kharamd
Keh bateer gamza-e-aoo dil-o-jaan shikar bada
Badochasham az do chamish cha piya mahasat har dam
Ke do chashm az piyamash khush wa par khamar bada
Baghdaye tan too mangar ke babosd bar narod
Baghdaye jan nagar ko khush wa payedar bada
Dar zahiday shaktam badua namood nafreen
Keh baro keh rozgar hama bay qarar bada
Chap tilk sab cheen li ne ray moo say neenan mila kay
Baat ugham keh di ne ray moo say nainan mila kay
Bal bal jaown man toray rang raijwa
Anpe sey rang ley ney ray moo say nainan mila kay
Harey harey choorhiyan gori gori bayan
Bayan pakar har ley ney ray moo say nainan mila kay
Praim bhattti ka madhwa pilaye kay
Matwari kardi ni ray moo say nainan mila kay
Khusro najam kay bal bal jiey
Mohay suhagan ki ney ray mo say nainan mila kay
Char soo Dunya ka charcha hay tongar shah ka
Ar’sh par bhi bol bala hay toongar shah ka
Aaj bhi zindah han qabar paak man bad az Wisal
Kon janay kesa rutba hay toongar shah ka
Kahak urhaye kocha gardey ki khuda ki raah man
Aaj yoon har gam shahrah hay toongar shah ka
Raig darya Aap ne khaye barhey miqdar man
Is Hawalay say bhi charcha hay toongar shah ka
Murdah larhkay par nazar Daali to zindah ho gaya
Ye bhi ik adna karshma hay toongar shah ka
Har gharhi Zikr-o-Tilawat aap farmatay rahay
Noor say mamoor seena hay toongar shah ka
Dam Karin petal par to ho us man sorakh
Dam bhi kia taseer wala hay toongar shah ka
Aaj bhi yameen han jood-o-sakha ki barashain
Mujzan ab bhi to darya hay toongar shah ka
Chasham mastay ajabay zulf darazay ajabay
May parastay ajabay fitna tarazay ajabay
Bul Ajab Husun-o-Jamal-o-Khat-o-khal-o-Gaisoo
Sar-o-Qad-e-Ajabay Qamat-e-Naaz Ajabay
Waqat Bismal shud nam bar waish baaz ast
Mehrban-e-ajabay bandah Nawaz-e-Ajabay
Bahar-e-Qatlam choon kashad Teeg naham sar basujood
Aoo ba naaz-e-ajabay man be niaz ajabay
Tark Taazi Ajabay shooba baaz-e-ajabay
Kaj kalah-e-ajabay, , Abarada saaz-e-ajabay
Haaq mago kalma-e-Kufur ast dar aen ja KHUSRO
Raaz daan-e-Ajabay, Sahib-e-Raaz-e-ajabay
Dar-e-maikhana wa hota hay ab josh-e-aqeedat ka
Sharaab un kay tasawwur ki saboo un ki muhabbat ka
Nazar kay saamnay sab ahl-e-dil aur ahl-e-nisbat hain
Khudawand bharam rakhna meri nisbat, meray gam ka
Himayat man’ imamat man’ shujaat man’ hawadis man
Ali daawar’ Ali rahbar’ Ali Hayder Ali Mola
Koi aabid’ koi aarif’ koi aatif’ koi aakif
Koi aajiz’ koi aali’ koi aashiq nahi ayesa
Qinaat man qalandar wo sakhawat man samandar wo
Shujaat man laqab hay quwat-e-parwardigaar un ka
Wo saifullah’ wajhullah’ Damaad-e-Rasool-u-Allah
Wo hi shabeer ka baazoo, wohi sarmaya Zahra
Butoon ka sar jhukaanay man’ diloon man ghar banane man
Wohi zarb-ul-fatah nikla, wo hi Khyber shikan thihra
Ameerun wo jariyun wo shujaaun wo shaheedun
wo faseehun wo baleegun wo khitaabat par jahan shaida
meri izzat meri azmat’ meri ulfat meri nisbat
Ali Mola Ali Mola Ali Mola Ali Mola
Adeeb un ki muhabbat man agar aankhoon man ashak aaye
Idhar aankhoon man nam hoga udhar lutuf-o-karam hoga
Diyar-e-madah an alfaz ka jab karwan nikla
Alam lay kar qalam nikla’ ada ban kar bayan nikla
Basad andaaz-e-ra’naye, basad husun-e-shakeebaye
Barang-e-gulustan nikla, bashakal-e-kahkshan nikla
Udhar chirhka jorih man chandni ko maah-e-nudrat nay
Idhar khursheed-e-Ma’ana dar qubaye sad bayan nikla
Wafad Qaus-e-qazah laaye ke shamil rangtain kar lo
Tayooran-e-chaman dorhay ke daikho gulustan nikla
Ameer-e-karwaan ko muntakhab karnay ki baat aaye
Faqat ik ish’q ayesa tha jo sab man kamran nikla
Pay pardaz, baraq-e-takhyyul, samnay aaya
Tajassus nay zara sey ayerh di wo lamakan nikla
Buhut hi saaz-o-samaan kheema-e-fikir sukhun man tha
Magar un sab man aansoon hi mataa’e-e-karwaan nikla
Murassa’e ho gaye jab naat Husun-e-lafaz-o-ma’na sy
Adaye naat ka ik masala bhi imtihan nikla
Sunaya bulbul-o-qamari nay so andaaz say lakin
Adeeb-e-khush nawahi tha jo sab man khush bayan nikla
Dukhtar-e-khatam-e-Rusul jaan-e-peyambar Fatimah
Aye waqar-e-boo Turabi, shaan-e-Hayder Fatimah
Rooh ki tashna labi ko Aap kausar, Fatimah
Sajdah gaah-e-ahl-e-imaan, Aap ka dar Fatimah
Lut raha tha karbala man Aap ka ghar’ Fatimah
Aap nay daikha hay mahshar’ qabl-e-mahshar, Fatimah
Aap ki nisbat hui ham ko muyassar’ Fatimah
Aap ki madhat hui apna Muqaddar Fatimah
Zab’t kay khoogar Ali thay, Sab’r kay khoogar Hussain
Aap ki hasti man hain donoon hi johar Fatimah
Zee has’b, aala nas’b, Zahrah laqab, zoo-ul-ihtiraam
Sab say aala sab say afzal’ sab say behtar Fatimah
Kham shehnshaahan-e-aalam ki jabeen hay daikh kar
Aap ka naqsh-e-kaf-e-paye mutahhar, Fatimah
Bandage kia, deen kia, imaan kia, Islaam kia
Mustafa, Shair-e-Khuda, shabeer-o-shabar Fatimah
Sarfuroshi ka sabaq day, sabar day, ayesaar day
Ab kahan ayesi koi aagosh-e-madar, Fatimah
Ar’sh hil jata agar faryad ko uthtay wo haath
Aap ne rkha unehain chakki ka khoogar, Fatimah
Mustafa kay aura aal-e-Mustafa kay hain Gulaam
Apnay daman man chupalain ye samjh kar, Fatimah
Khatimah bilkhair ho ish’q-e-Nabi man jab Adeeb
Dal dain Rahmat ki is mujrim pe chadar Fatimah
Dulhan ki khushboo say mast kaprhay Naseem-e-gustakh Aanchloon say
Gilaaf-e-mushkeen jo urh raha tha Gazzal nafay basa rahay thay
Paharhiyoon ka wo hussun-e-Tazyeen wo onchi choti wo Naaz-o-Tamkeen
Saba say sabza man laharain Aayen do Patay dhani chunay huway thay
Naha kay Nahroon ne wo chamkta libas Aab-e-rawan ka pehna
Ke mojain chirhiyan thein dhaar lachka habab-e-taaban kay thal tikay thay
Purana pur daag malgaja tha utha dia farsh chandni ka
Hujoom-e-taringa say ko soon Qadam Qadam farsh ba lay thay
Gubar ban kay Nisar jayen kahan ab us raah guzar ko payen ?!
Hamaray dil Hooriyoon ke Aankhain firshtoon kay par jahan bichay thay
Khuda hi day sabar jaan-e-pur Gam dikhaon kiyon kar tujhay wo Aalam?!
Jab un ko jhurmat man lay kay Qudsi jinan ka doolha bana rahay thay
Qaseeda-e-Me’raj part/3
No Content Available
No Content Available
No Content Available
Ham khaak hain aur khaak hi mawa hay hamara
Khaki to wo Adam jad-e-aala hay hamara
Allah hamain khaak karay apni talab man
Ye khaak to Sarkar say Tamga hay hamara
Jis khaak pe rakhtay thay qadam Sayyid-e-Aalam
Us khaak pe qurbaan dil-e-shaida hay hamara
Kham ho gaye pasht-e-falak is taan-e-zindagi
Sun ham pe Madeenah hay wo rutba hay hamara
Us ne laqab-e-khaak shehnshah say paya
Jo haidar-e-karrar ke mola hay hamara
Aye Muddayo! Khaak ko tum khaak na samjhay
Us khaak man madfoon shah-e-batha hay hamara
Hay khaak say ta’meer mazaar-e-shah-e-konain
Ma’moor usi khaak usi khaak say qibla hay hamara
Ham khaak urhain gay jo wo khaak na paye
Abad Raza jis pe Madeenah hay hamara
Ham talabgaar-e-sakhaawat ya Ali mushkil kusha
Tum inayat hi inayat Ya Ali mushkil kusha
Bazoo-e-khyber shikn, aur luqma-e-naan-e-juwein
Aye shanshah-e-qinaat ya Ali mushkil kusha
Aap ko nisbat Rasool-u-Allah say hay aur man
Aap say rakhta hoon nisbat Ya Ali mushkil kusha
Aashiqoon ka dil hay ka’bah aur dil ki dharhknain
Matrab-e-jashan-e-wilaadat ya Ali mushkil kusha
Mard-e-momin ka sahara’ Hurriyat ki Aabroo
Qalb-e-Momin ki hararat ya Ali mushkil kusha
Wo shujaat ho’ sakhawat ho’ qina’et ya jihad
Aap hi ki hay qiyaadat Ya Ali mushkil kusha
Fatih-e-khyber tumharay chahnay waloon pe aaj
Dushmanoon nay ki hay shiddat Ya Ali mushkil kusha
Phir wohi bagdaad-o-misr-o-shaam kay hain Shub-o-shaam
Deejiye shoq-e-shahadat Ya Ali mushkil kusha
Dar guzar man aap say barh kar koi guzra nahi
Aye saraapa-e-Muhabbat Ya Ali mushkil kusha
Dar guzar kejiye khata aur dejiye is qom ko
Apna bazoo’ apni himmat ya Ali mushkil kusha
Aap kay dar say adab say mangta hay ye adeeb
Sadqa khatoon-e-jannat Ya Ali mushkil kusha
Hui madah-e-peyambar aur hamd-e-khaliq-e-baari
Basad girya’ basad naala’ basad aah-o-basad zaari
Qalam hay dam bakhud’ jazbaat sakin’ rooh larzaan hay
Adeeb’ khatoon-e-Jannat’ Fatima Zahra ki hay baari
Kamala-e-Zikr-e-Zahra say agar hasti hui akmal
Jamaal-e-zikr-e-Noor-e-Fatima say dil bana ajmal
Tauqeer-e-Muhabbat hay ke ye Taseer-e-nisbat hay
Sukhun sanji hui ahsan zubaan daani hui afzal
Takhleeq man tasleem-o-Raza jin kay khasayel
Ma’soom mukhayyar’ mutsarrif’ mutkaffil
Sarkaar-e-do aalam ki tarah Fatima Zahra
Mushafiq’ mutabassim’ muthammil’ mutwakkil
Wo hamid-o-Mahmood ki ulfat ka Zahoor
Wo Rahmat-e-kul Qasim-e-maqsoom ka Noor
Ye shaan’ magar aalam-e-tasleem-o-raza
Cakki ki mushqqat’ ba tabassum manzoor
Shafeeun siraajun muneerun ki dukhtar
Shujaun shareefun shaheedun ki maadar
Wo hurmat khaatoon-e-jannat’ wo jannat ki hurmat
Ameerun jarun Ali jin kay shohar
Jis ko Rahman-o-Raheem-o-Rahmat-e-kul ka shauoor
Jis ko irfan-e-Muhammad’ jis ko faizaan-e-Rasool
Zee hasb’ aala nasab’ Zahra laqab’ zoo-ul-Ihtraam
Deednee-e-Mustafa aur deedah-e-Rahmat ka Noor
Hujjat kay liye hashar man hogi ye daleel
Har shay ko ata hogi bashar ki Soorat
Allah ki ye shakil kay khursheed-e-Jalal
Allah ka Quran, umar ki Soorat
Deen-e-Haq ki sar bulandi man Nabuwat ki Talab
Bargah-e-Rabbul Izaat man huwa ho jis pe Saad
Saari dunya hay shanshah-e-do aalam ki mureed
Aur umar Khud hain shanshah-e-do Aalam ki Muraad
Saff man jo ghus parhay wo liye Teeg shulah war
Sar kafiroon kay dosh pea aye na phir nazar
Haibat say un ki din man nikaltay na thay aduwe
Ratoon ko khawab man bhi pukarain umar umar
Larhnay man yoon to ayek say ayek bay misaal hay
Phir bhi diloon man khof umar ka ye haal hay
Hain mahir un harb kay baa ham ye mashwaray
Khattab kay pisar say larhaye mahaal hay
Ik sham’e jal gaye hay parwanay dhoondhta hoon
Deewana ho gaya hoon deewanay dhoondhta hoon
Hay karb sa musalsal qalb-o-jigr man Ya Rabb
Sachaye say muzayyen afsanay dhoondhta hoon
Jin say nazar mila kar cha jaye kaif-o-mastey
Ayesi Nigah kay man paimanay dhoondhta hoon
Charhtay thay dar par jo taqdeer kay sikandar
Man Aaj bhi kuch ayesay mastanay dhoondhta hoon
Wo jin say me’rfat kay sagar chalak rahay thay
Arsa guzar gaya wo maikhanay dhoondhta hoon
Mahmood meri batain kesay samjh sakain gay
Man log bhi to saray anjanay dhoondhta hoon
Ish’q ky charaag jal gay
Zulmatoon say ham nikal gay
Un kay naqsh-e-pa pe chal gay
Gar rahay thy jo sanbhal gay
Jis taraf Huzoor chal diay
Khaar phool man badal gay
Roo-e-Mustafa ki ik kiran
Zulmatoon kay bal nikal gay
Daikh kar jamal-e-Mustafa
Sang dil jot hay paghal gay
Un ka zik’r sun kay ranj-o-gam
Apnay rastay badal gay
Hay yaqeen ke dar pe ham
Aaj gar nahi to kal gay
Un kay dar pe jo puhunch gay
Har hisaar say nikal gay
Un pe jab Durood parh liya
Hadsoon kay rukh badal gay
Ish’q-e-shah-e-konain man dil daag jigar daag
Gulzar-e-Mahabbat ki hay shakhoon pe samar daag
Likhta hoon shab-e-hajar man jab naat nabi ki
Tahreer kay nuqtay mujhay aatay hain nazar daag
Korhi kay koi mol na lay la’l-e-badkhshan
Jo hij’r-e-Madeenah kay dikhaon man agar daag
Daikha jo nazar bhar kay soo-e-gumbad-e-khazra
Ba’ad us kay nazar aaye mujhay shams-o-qamar daag
Ik man hi nahi hijir man, aflaak ka aalam
Daikho to nazar aayen gay ta had-e-Nazar daag
Is jasad man kuch qalb-o-nazar par nahi moqoof
Aqa ki inayat say hay sab ghar ka ye ghar daag
Har daag ko hay Noor-e-Ala Noor ki nisbat
Almas koi daag’ koi mis’l-e-ghar daag
Khursheed-e-Mahabbat ki tamazat say pigal kar
Ban jata hay ushaaq kay seenoon man jigar daag
Bakhash ka sahara hay shafa’at ki sanad hay
Kehnay kaliye lafz-o-bayan man hay agar daag
Jis daag ko ish’q-e-shah-e-wala say hay nisbat
Zulmat kay har aalam man hay wo nor-e-daag
Dhotay han gunahon ki siyahi kay ye dhabay
Ulfat man dikhatay han kabhi ye bhi hunur daag
Rakhta tha adeeb apni jabeen dar pe jhukaye
Dhota tha gunahoon kay wahan sham-o-sahar daag
Jalal-e-Aayat-e-Quran ko jo sahaar sakay
Nabi kay dil ky siwa doosra maqam nahi
Wo lazzat-e-Gam-e-ish’q-e-Rasool kia janay
Durood jis kay laboon par nahi salaam nahi
Wo dushmanoon ka hadaf wo Qureish ka mazloom
Magar kisi say liya koi intiqaam? Nahi
Khiyal us kay taqqub man thak kay baith gaya
Safar buraaq pe us ka magar tamam nahi
Tamam umar na paye, milay to lamhoon man
Mataa’e-e-ish’q-e-Muhammad mazaaq-e-aam nahi
Jo Tasawwar man nahi jis ki nahi koi khabar
Us ki tasweer banaoun man qalam say kionkar
Wo khiyaloon man utar jaye to wasi’e kesa
Chand lafzoon man sama jaye to jam’e kesa
Jis kay ik Naam ko so Naam say t’abeer karain
Jis kay ik harf ko so dhang say tahreer karain
Wo jo Subhan bhi, Rahman bhi, burhan bhi hay
Jo dayyan bhi, Hannan bhi, Mannan bhi hay
Ar’sh wala bhi wohi, Rabbiyal a’ala bhi wohi
Zor Aawar bhi wohi, bakhshanay wala bhi wohi
Us ki t’areef Muhammad kay siwa kaun karay
Khuda ki Zaat ko Zaiba hay shaan-e-yaktaye
Usi nay juraat-e-Iz’har mujh ko farmaye
Usay kay lutuf say shayer bana’ Adeeb huwa
Thana Huzoor ki likhay wok hush Naseeb huwa
Ye us ki shhan ke us kay Huzoori man ho kar
Ye day raha hay Sada Qalb-e-muztarib, ro kar
Kareem hay to mujhay Nudrat-e-bayan daiday
Dahan man Hafiz-e-sheeraz ki zaban daiday
Wo Nutuq day ke har ik Rang say juda karday
Karam say mathnavi Room ki Ada kar day
Bana day khuwaab ki Iqbal kay, mujhay ta’beer
Ho paye fikir man mazboot, ish’q ki zanjeer
Teray karam say Nazar aaye husun har khami
Ho meri tarz-e-nigarash, ibarat-e-jaami
Kaabah say agar turbat-e-shah fazil hay
Kiyoon bayen taraf us kay liye manzil hay
Us fikir man jo dil ki taraf dhiyaan gia
Samjha ke wo jisam hay ye marqad dil hay
Tum chaho to qismat ki museebat tal jaye
Kiyoon kar kahoon sa’at say qiyamat tal jaye
Lillah utha do rukh roshan say niqaab
Mola meri aaye hui shamat tal jaye
Khda ka khof zik’r-e-Mustafa sarmaya-e-Usman
Sarwar-o-kaif Qurb-e-Mustafa sarmaya Usman
Bayan sarkar ki madhat sada, paraya-e-Usman
Na tha ayesa na ab hoga koi ham paya-e-Usman
Na tha aayenah dil par gubar-e-asbiat un ky
Agar che thya hareef-e-hashmi ajdaad sab un kay
Safa-e-batni un mukadar ho na sakta tha
Koi is dil man ab tukhum-e-riqabat boo na sakta tha
Jihalat kay andhairoon say nikal kar Noor man Aaye
Qaraabat wo miley do Noor walay Aap kehlaye
Qadam hijrat ka Makkah say nikala Aap ne pehlay
Habsh ko deen ka bakhsha ujaala Aap ne pehlay
Wo dor-e-jahiliyat jo bhara tha Aab-e-gulgoon say
Haya’e walay kay lab na aashna thay us kay afsoon say
Haya’e kay zik’r ka jab bhi koi unwaan hota tha
Lab-e-shaah-e-Madeenah par faqat usman hota tha
Nabi irshaad farmatay kitaabat Aap kartay thay
Barhi dushwaar thi manzil’ ba asaani guzartay thay
Ishaarah par nabi kay maal sab qurbaan ho jata
Jo hatim aaj hota, Aap ka darbaan ho jata
Yahoodi ko dia kul maal, shereen aab kay badlay
Huay sairaab tashnah lab Muslaman’ beer-e-roomah say
Banay wo bai’et-e-Rizwaan man Taaj-e-fakh’r ka Turrah
Nabi ne haath bai’et man jab un kay Naam par rakha
Maraakash say milay Kabul kay danday ah’d man jin kay
Huay islaam kay zair-e-nageen’ dunya kay ye hissay
Turabulus aur Africa bana islaam ka Hissah
Bagawat misir ki torhi’ fatah qabras bhi kar daala
Huwa jab koh-e-larzaan’ Mustafa ne us say farmaya
Ke tujh par ik Nabi’ Siddique ik aur ik shaheed Aaya
Shahdat mu’atbar thi’ ayek din ayesa bhi hona tha
Sar-e-tasleem apna kham kia’ ayesa bhi hona tha
Shahadat ka wo lamha’ wo tahmmul’ sab’r ka paikar
Jo akhlaaq-e-kareemana ka thehra aakhri manzar
فَسَیَکْفِیْکَھُمْ Aayat pe jab khoon aap ka tapka
Quran ka har waraq daaman ko phailaye huway lapka
Qiamat man karain gay log jab Quraan ki batain
Karain gay saath hi wo Hazrat-e-Usman ki baatain
Utar kar khoon kay darya man jo koi ubharta hay
Hata kar zeest kay parday ziyarat haq ki karta hay
Nahi marta Adeeb us raah man, jab koi marta hay
Wo kab marta hay jo raah-e-shahadat say guzarta hay
Khiraaj-e-ashak say qaim hay qaisarey meri
Sarwar-e-ish’q-e-Risalat, sikandari meri
Ye mera ah’d-e-gulami, gualami-e-shah-e-deen
Us ah’d man hay khiyaloon pe afsari meri
Gazal ka phair kay rukh lay chala sana ki taraf
Haraf haraf ko pasand aaye rahbari meri
Ameer-e-shah’r-e-sukhun hoon faqeer-e-koi Rasool
Unehain say fiqar’ unehain say taungari meri
Mata’e-e-Naat isi dar say man nay paye hay
Na kiyoon ho Naaz kay qabil sukhun wari meri
Wo wardat jo guzuri hay meray dil pe adeeb
Samajh rahay hain usay log shayeri meri
Khird say keh do ke sar jhuka lay guman say guzray guzranay walay
Parhay hain yan khud jihat ko la lay kisay bataye kidhar gay thay?
Saraag-e-Aian-o-Mata kahan tha Nishan kaif-o-ila kahan tha?
Na koi rahi na koi saathi na sang-e-manzil na marhalay thay!?
Udhar say paiham taqazay Aana idhar tha mushkil qadam barhana
Jalal-o-haibat ka Saamna tha Jamal-o-Rahmat ubhartay thay
Barhay to laikin jhujhktay dartay, Haya say jhuktay adab say ruktay
Jo Qurb unehain ki Rawish pe rakhtay to lakhoon manzil kay faslay thay
Par in ka barhana to naam ko tha Haqeeqatan fi’l tha udhar ka
Tanazloon man taraqi afzaa dana Tadalla kay silslay thay
Huwa ye aakhir ke aek bajra tamwwaj-e-bahar-e-hoo man ubhra
Dana ki god man un ko lay kar fana kay langar utha diye thay
Qaseeda-e-me’raaj/9
Kis nay Nabi ka daman thama sab say pehlay barh kar wo Siddiq-e-Akbar
Kis nay uthaya baar-e-Imamat lay kar izin-e-peyambar wo Siddiq-e-Akbar
Hukum-e-Khuda say chorh chala jab Makkah deen ka Rahbar Naam Khuda ka laikar
Raah-e-Khuda man is dam jo shay nikli naqd peyambar wo Siddiq-e-Akbar
Ik din kis nay khawaab man daikha, jholi man chand Aaye aur phir ghar ghar aye
Deen-e-Muhammad ayesi bisharat lay kar Aya kis par wo Siddiq-e-Akbar
Rooh-e-Ameen darbar-e-Nabi man Taat pehan kar Aaye jhuk kar Haal sunaye
Ahl-e-falak ka pehnawa hay aaj ye kis ki ada par wo Siddiq-e-Akbar
Jin kay daman ki paaki par Rooh-e-Qudus ka Aana Soorat Noor sunana
Ayesi Hurmat waali Umm-e-Ummat jin ki dukhtar wo Siddiq-e-Akbar
Jin ka ah’d-e-Risaalat, barash abr-e-karam ki bay had unka Naam-e-Muhammad
Pathar jin kay dor-e-khilafat man thay laal-o-jawahir wo Siddiq-e-Akbar
Kisay milay ghaat ka kinarah kidhar say guzra kahan utara?
Bhara jo misl-e-nazar tarara wo apni Aankhoon say khud chupay thay
Uthay jo qasr-e-dana kay parday koi khabar day to kia khabar day?
Wahan to ja hi nahi duiye ki na keh ke wo bhi na thay aray thay
Wo bag kuch ayesa rang laaya ke guncha-o-gul ka faraq uthaya
Girah man kaliyoon kay baag phoolay guloon kay takmay lagay huway thay
Muheet-o-markaz man faraq mushkil’rahay na fasil khutot wasil
Kamanain Hairat man sar jhukaye ajeeb chakar man dayeray thay
Hijaab uthnay man lakhoon parday, har aek parday man lakhoon jalway
Ajab gharhi thi ke was’l-o-furqat,Jahannam kay bichrhay galay milay thay
Zabanain sookhi dikha kay mojain tarhp rahi thien ke paani payen
Bhanowr ko ye dhu’af-e-tishnagi tha ke Halqay Aankhoon man parh gay thay
Wo hi awwal wohi hay Aakhir wohi hay batin wohi hay Zahir!
Usi kay jalway, usi say milnay, usi say, us ki taraf gay thay
Qaseeda me’raaj/10
Kisi ka teer Nazar dil kay paar ho kay raha
To dil nay dam bhi na mara Nisar ho kay raha
Tumhari sozan-e-majgan nay ki wo bakhia giri
Ke rakht-e-hasti mera tar tar ho kay raha
Tumharay rooye munawwar ki roshni ki qasam
Ke us say qalab-e-siyah jalwa bar ho kay raha
Khula to khana-e-dil man wo chup kay baith raha
Chupa to har jaga wo aashkar ho kay raha
Agar che hussun ki Hairat usay miley na miley
Magar wo ish’q ka aayenah dar ho kay raha
No Content Available
Madhat un ki Rahmat bhi hay bakhshash ka saman bhi hay
Ish’q ki dastaweez bhi hay aur aashiq ki pechan bhi hay
Meri bhala auqaat hi kia jo un ki Sana man lab kholoon
Ye to unhain ka lutuf-o-karam hay aur un ka ihsaan bhi hay
Ayesi koi shay paas nahi jo nazar man un ko paish karoon
Yoon kehnay ko qal’b-o-jigar han jism bhi hay aur jaan bhi hay
Paas-e-adab rakh apni hadoon say barh kar koi baat na kar
Un ki hadoon tak janay walay apni tujhay pehchan bhi hay
Zik’r man un kay koi adab ka daman haath say chorhay to
Meri zuban talwar bhi hay aur taqleed-e-hassan bhi hay
Mahki hui hawa ka mujhay lams jab mila
Meray tasawwurat ka dr misil gul khila
Afkaar kay dareechoon say aanay lagi sada
Kia khoob Haq nay tujh ko ye moqa ata kia
Uth, madah kahwan sayad-e-aali maqam ho
Chal aye gunaah gar zara naik Naam ho
Alfaaz dast basta meray saamnay hain sab
Jancha hay man ne khoob har ik lafz ka nasab
Thara raha hay phir bhi qalam, kia likhoon laqab
Man paish Aftaab misaal charag shab
Kesay bayan ho martaba aali waqar ka
Laon kahan say dhang man parwardigar ka
Lab wa karoon sana-e-kay liye kin kay baab man
Jibreel dast basta hain jin ki janab man
Madaah khud Quran hay risaalat maab man
Meray khiyal ki tag-o-do kis hisaab man
Manzoor shayeri hay na husun-o-kalaam
Aye khama khiyal, adab ka maqam
Sair khiyal-o-fikr ko bastan hain buhut
Tafreeh taba’e Naaz kay samaan hain buhut
Tahreer husun-o-ish’q kay unwan hain buhut
She’r-o-sukhun kay wastay maidan hain buhut
Jin kay qadam say raunaq bazam Hayaat
Tareef is Nabi ki taqaza-e-Zaat
Ye masala-e-takhayyul-o-jazbaat ka nahi
Waqif man gird-o-paish kay Halaat ka nahi
Aur il’m ye ke il’m bhi har baat ka nahi
Irfan mujh ko apni hi khud Zaat ka nahi
Phir mujh say poochna ke Muhammad ki shaan
Goongay ke mun man ho bhi agar to zaban
Qand-o-shahid nabaat ko yak ja karain agar
Gul ki har ayek Zaat ko yak ja karain agar
rangeeni Hayaat ko yak ja karain agar
kul husun-e-kainaat ko yak ja karain agar
jitna bhi rang-o-Noor liye kainaat hay
ye sab tabasum shah-e-deen ki zakaat hay
kehtay hain jis ko madhat sultaan Zul manan
musnad nasheen hay nok-e-zuban par wo gulbadan
sar ta bapa hay nikhat-o-ruanaye chaman
is Noor kay badan pe hay khushboo ka pairhan
khushboo say aur Noor say jis ka khameer hay
zulfoon ki jis kay shaan mashiyat aseer hay
tamheed say guzeer ki jaanib qadam qadam
parhtay huway Durood Muhammad mera qalam
lay kar sarwar ish’q man dooba huwa il’m
ho kar niaz mand’ kia is nay sar ko kham
kham ho kay khat meem banata chala giya
parday rumooz-e-Haq kay uthata chala gaya
wo meem jo Kaman hay ik aagosh ki tarah
mahshar man ayek saya gul posh ki tarah
bandoon pe rab ki rahmat pur josh ki tarah
kham is ka faraq aashiq may nosh ki tarah
jo darmayan Kaman kay aaya amaan man hay
baahar jo rah gaya wo shumaar ziyaan man hay
khulnay lagay rumooz’ muhabbat kay sar basar
honay laga khiyaal pe ilhaam ka asar
ifkaar khushbowon man shara bor tar ba tar
junbash jo lab ko di to tapaknay lagay ghar
is par bhi un ki shaan kay shayaan na likh saka
banda hoon is liye koi Quraan na likh saka
yoon kar rahay hain madhat sarkaar Zulmanan
kausar say dho kay layen hain ta’reef ka matan
phirtay rahay bahaar man lay kar chaman chaman
pehna dia zuban ko anbar ka pairhan
surma hay koh-e-toor ka’ gazah gulaab ka
Agaaz-e-Naat yoon hay Risaalat Maab ka
Pehlay Nabi kay ish’q ki dolat khuda say li
Dolat miley to fik’r ki juraat khuda say li
Juraat mili to husun-e-aqeedat khuda say li
Tarz-e-bayan kay wastay nudrat khuda say li
Juraat mili khiyal mila aur qalam mila
Ye sab milay to Naat pe iz’n-e-raqam mila
Torhi hay man nay maikdah ish’q ki quyood
Meray junoon gam ki tayyun nahi hudood
Hota hay har naf’s mera mannat kash Durood
Pehlay Durood phir sukhun Naat ka wurood
Man bhajta hoon nazar Salaat-o-Salaam ki
Wo bhaijtay hain mujh ko ijaazat kalaam ki
Tabaan usi kay Noor say hay chehra Hayaat
Sadyoon kay jis nay Aakay mitaye to hamaat
Ayek jist jis ki nuskha taskheer kainaat
Jis kay qadam ka naqsh bana il’m madniat
Kehnay ko wo bashar hay agar qeel-o-qaal man
Apni misaal bhi nahi rakhta misaal man
Ye Mahtaab Aap ka chehra nahi nahi
Ye Aftab Aap ka jalwah nahi nahi
Ye boo-e-mushk zul’f ka hissah nahi nahi
Is auj tak na jaye gi pasti shauoor ki
Baala hay har khiyaal say hasti Huzoor ki
Jalti na is jahan man jo shama’e-e-Muhammadi
Dunya ko hashar tak nazar aati na roshni
Hakim ho ya Gulam, gunah gar-o-Mutaqi
Milta na admi ko shuoor khud Aagahi!
Hoti na kuch tameez safaid-o-siyaah
Jalwoon ka aitbar na hota nigah
Jis roz lab kusha kisi ki nahi majal
Daikhain gay Asman-o-zameen Roo-e-zuljala
Hoga maqam deed Rasool-o-Nabi ka haal
Daikhin gay ayek ayek ko miskeen ki misaal
Dhoondain gay anbiya isi Rahmat naveed ko
Tarhpay gi har nigaah Muhammad ki deed ko
Hay kon day sakay ga jo us din koi hisaab
Tobah bhi yaad Aaye to’ tobah ka band baab
Bhai ko bhai day ga na faryaad ka jawaab
Shulay zameen pe hoon gay to naizay pe aftab
Ummat ho, ya Nabi ho, gazab ki nigaah man
Mahshar man hoon gay saaray unhein ki panaah man
Nazaan ho garcha hoon man gunahgar daikhna
Us kamli posh ka hoon parstar daikhna
Anwaar Zik’r sayed-e-abraar daikhna
Mujh say gada kay lab hain ghar baar daikhna
Har dam hay lab pe tazkirah bay nazeer bhi
Raazi Rasool-e-Paak bhi Rabb-e-Qadeer bhi
Naat-e-Rasool-e-Paak man wo aaab-o-taab ho
Ayek ayek lafz madah ka izzat Maab ho
Roshan meray Kalaam ka yoon Aftaab ho
Maqbool bargah-e-Risaaalat Maab ho
Mahshar jab bulaen to is tarah dain Sada
Hazir kar-o-kahan hay Sana khawan Mustafa
Har Aayena dil ki jila zik’r-e-Muhammad
Allah ki bandoon ko Ataa’e Zik’r-e-Muhammad
Makhlooq say khaliq ki raza Zik’r-e-Muhammad
Lazim isi maqsad say ho Zik’r-e-Muhammad
Har aarzoo-e-nutuq ka anjaam yehi hay
Dunya kay liy aman ka paigaam yehi hay
Ho baz’m-e-sukhundan to ye pholoon ka bayan hay
Mojoon ka tarannum hay ye bulbul ki zuban hay
Alfaaz ki az’mat hay khitaabat ki ye shaan hay
Is zik’r say bandoon ko gunaahoon say amaan hay
Jazbaat ko seemaab takhyyul ki jila hay
Ye khaas sharf zik’r-e-Muhammad ko mila hay
Qaim hay muslman ka emaan isi say
Allah kay Talib ko hay irfan isi say
Har aashiq-e-Sadiq ki hay pechan isi say
Insaan ko hay azmat-e-Insaan isi say
Sarmaya emaan-o-Qaraar-e-dil-o-jaan hay
Quraan ki tilawat hay ye Ka’bah ki azaan hay
Naat-e-shah-e-Konain ki sarw-o-samni daikh
Lafzoon ki Qaba man ye ajab gulbadni daikh
Chehrah ki damak Toor kay jalwoon say bani daikh
Zulfoon ki mahak Naafa-e-mushk-e-khatni daikh
Nisbat agar alfaaz ko doon Qaus-e-qazah say
Sairaab hoon shayad may mana ki qadah say
Aye Taha-o-Muzammil-o-yaseen-o-Mudassir
Aye Sayyad-o-Sardaar-e-umam Tayyib-o-Tahir
Kia keh kay pukaaray meray Aqa ko ye shayer
Tasweer-e-khudawand kay shahkaar Musawwar
Kham garden-e-Tafseer hay sharmandah Saraahat
Ya Rabb! Meray Alfaaz ko day nahaj-e-balagat
Aye Sall-e-Ala Noor shah-e-Jinn-o-bashar Noor
Lab Noor dahan Noor sukhun Noor Nazar Noor
Sar Noor Qadam Noor shikam Noor kamar Noor
Jis ghar man tera zik’r karain log, wo ghar Noor
Aan Zeenat-e-Konain-o-zaiba-e-jahan As’t
Aan bayes-e-Hairaani Aayenah giran As’t
Ham ko bhi khabar hay ke gunahoon ki saza hay
Lakin wo khata posh hamara bhi Khuda hay
Zahid ko agar Naaz-e-Ibaadat hay baja hay
Pallah man hamaray bhi Muhammad ki Sana’e hay
Mahshar man jo niklay ga yehi Naam dahan say
Jhuk jaye ga pallah mera neki kay wazan say
Wo maah-e-arab, maah-e-mubeen, maah-e-liqa hay?
Tasweer hay, Tanweer hay, Tabeer hay , kia hay ?
Ik Noor ka paikar hay ke pardah man Khuda hay
Aafaq man ayesa na to hoga na huwa hay
Aashiq ki sada ye hay meray dil man nahan hay
Jibreel sar-e-ar’sh pukaaray wo yahan hay
Ye junbash-e-lab, Taab-e-sukhun, aur ye guftaar
Ifkaar ki yorash hay to alfaaz ki yalgar
Ho jaye agar waq’f-e-sana-e-shah-e-abraar
Hota hay wo Hassan ki manand ghar baar
Rahta hay isi duhan man wo shab ho ke sahar ho
Jis par meray Sarkaar ki ik baar nazar ho
Man guzrta hi giya raah thi purnam purnam
Mujh pe sarkar ki nazrain jo then paiham paiham
Un kay darbar man puhuncho k yahan say mango
Shart itni hay ke ye Aankh ho purnam purnam
Aap aaye to parhi jaan man thandak warna
Zindagi zakham thi’ Awaz thi marham marham
Paish kar doon ga sar-e-hashar kamaye apni
Daulat-e-Naat jama’e ki hay jo dirham dirham
Ar’sh ho far’sh ho mahshar ho, zaman ho ke makan
Har jaga un kay hi lihraatay hain parcham parcham
Mahroomah’ kahkshan’ naqsh-e-kaf-e-paye Rasool
Gaisoo-e-shab hay usi Noor say barham barham
Un ki Rahmat ki to har boond samandar hay Adeeb
Jis kay Aagay ye samandar bhi hay shabnam shabnam
Man hoon Gam-e-Tayyibah man girftar chunacha
Hain deedah-e-dil zindah-e-baidar chunacha
Gam bhi han madawa bhi han Gam ka meray Aansoo
Rahti hay sada Aankh ghar bar chunacha
Juz chashm-e-Muhammad koi daikhay na Khuda ko
Moosa ka Muqaddar na tha deedar chunacha
Makhlooq man koi bhi na tha un sa Mukarram
Bakhasha ki bandhi un pe hi distaar chunach
Tums a to na Sadiq hay koi aur na ameen hay
Dushman ko bhi karna parha iqrar chunacha
Mahdood bashar tak na rahay un ki buzurgi
Jhuk jatay thay Ta’zeem ko ashjar chunacha
Ab Aap hi Aakar mujhay daman ki hawa dain
Zindah usi hasrat man hay beemar chunacha
Idraak say baala hay Takhyyul say paray hay
Mahroom rasaye say han afkar chunacha
Rahta hay adeeb Aap ki Naatoon kay chaman man
Likhta hay naye Rang man har baar chunacha
Man Madeenay man hoon aur zik’r peyambar bhi Naseeb
Ya’eni piyasay ko hay darya dar darya bhi Naseeb
Khushboo-e-zuluf bhi ak’s-e-rukh-e-anwar bhi Naseeb
Subuh-e-kafoor bhi’ aur sham-e-muanbar bhi Naseeb
Rukh pe malnay kay liy’ Rooh man dhalnay kay liye
Gird-e-kocha bhi Naseeb, baad-e-muattar bhi Naseeb
Masnad-e-Suffah kay anwar wo baab-e-jibreel
Us gunahgar ki aankhoon ko wo manzar bhi Naseeb
Meri aankhoon man Haram aankh say bahir bhi haram
Khana-e-chasham ko aayenah ka johar bhi Naseeb
Un ki yadoon ko jahan chain say neend aati hay
Naam say dil kay hay ik hajra-e-bay dar bhi Naseeb
Ayek ik lamha meray lab ko Madeenay man adeeb
Kalam-e-shukur bhi aur naat-e-peyambar bhi Naseeb
Man teray husun-e-karam aur inayatoon kay nisar
Ho meray rang man sa’adi kay gulustan ki bahar
Kalaam-e-arif-e-urfi ka pairhan ban jaon
Man zuluf-e-naat ki khushboo say shab dulhan ban jaon
Siwa Huzoor koi khawab man bhi aaye na Gair
Tufail burda-e-Altaf bar Imam-e-Boseer
Teray karam kay Tasdduq, kar aur ik ihsaan
Ke meri fikir pe saaya figan rahain Hassan
Tamaam umar wo Naatoon ka ihtimam rahay
Ke meray gird firishtoon ka izdihaam rahay
Tufail-e-Shaah-e-Umam,jin pe sad salaam-o-durood
Adeeb ka bhi Thana man maqam ho Mahmood
Markaz-e-Siddiq-o-Safa markaz-e-imaan Siddiq
Mashaf-e-ishiq-o-Mahabbat kay nigahbaan Siddiq
Isim-e-Azam hain junoon kosh Mahabbat kay laye
Hosh waloon kay liye Naqsh-e-sulaiman Siddiq
Kamand-e-aqal man aye karay khird Tahqeeq
Nigah man jo smaye nazar karay toseeq
Hay jibreel ki parwaaz say paray jo maqaam
Hain is maqaam ki tasdeeq kay liye Sidddiq
Pabosi gulaab say mitti hay mushk-e-tar
Paars ki ayek lamha rafaaqat hay qadr zar
Pahloo ho Mustafa ka muyyasr jisay adeeb
Kia kehaye kia hay apnay maraatib man wo bashar
Kaatib taqdeer ka junbash man jab Aaya qalam
Manziloon say ma wara puhunchay faqeeroon kay qadam
Masjid-e-Nabvi man ik din jaan Nisaar-e-Mustafa
Thay Musallay par Imaam aur muqtadi shah-e-umam
Hain parstaaar-e-Muhammad bay hisaab-o-bay shumaar
Zee waqar-o-sar buland-o-sarfurosh jaan Nisaar
Han magar tasdeeq kay hain martabay kuch is tarah
Yaar-e-hijrat, yaar, gazwah, yaar-e-bazam-o-yaar-e-gaar
Tashna ka maan-e-Haqeeqat ko hain kausar Siddiq
Karwaan-e-rah-e-ulfat ko hain Rahbar Siddiq
Khatam hoga na kabhi silslah ishq adeeb
Ish’q kay Rabb hain, Mahabbat kay peyamber Siddiq
Mehfil man bula kay mujhay deewana banaya
Nazroon say pila kay mujhay mastana banaya
Batlaon kia Huzoor ne kia kia na banaya
Khud shama’e banay aur mujhay parwana banaya
Piyasa idhar idhar na bhatakta phiray koi
Mangtay ki laaj rakh li ke maikana banaya
Tasweer-e-Madeenah liye phirtay han jigar man
Allah Qurbat ka ye kahsana banaya
Ihsan kia hay Aap ny ke dil Rasheed ka
Dunya kay har khial say baigana banaya
Musht-e-gubar-e-khaak aur tera bayan-e-bartari
Khaliq-e-kul kalaam say kun karay ga hamsri
Hamd-e-Khuda-e- لَمْ یَزلْ teri sana-e-dilruba
Wahi-e- وحیِ الٰہ العالمیںteri zaban-e-dilbari
Teri urooj ki khabar rooh-e-qudus na pa saki
Dawa-e-ma’rfat ko hay paish tiray subuk sari
Kalma la shareek man’ Zik’r tera shareek hay
Manzil la ilaah tak, to hi nishan-e-rahbari
Qlab hay kasa-e-gada, sast-e-sawal hay wujood
Rooh, faqeer-e-Aastaan’ ish’q tera tongari
Zik’r-e-Habeeb-e-kibriya’ madah-o-sana-e-Mustafa
Mera shauoor-e-fik’r-o-fan, mera Zameer-e-shayeri
Sada lab pe ho jab sadaye Madeenah
Kahan chain dil ko siwaye Madeenah
Chalay Aaj ayesi hawaye Madeenah
Urhaye hamain lay kay jaye Madeenah
Baraye Madeenah binaye do Aalam
Binaye do aalam baraye Madeenah
Haram ka pata mujh say kiyoon poochtay ho
Mera dil hay qibla numaye Madeenah
Gunah gar kay dil man dozakh ki aatash
Lagaye zamana’ bujhaye Madenah
Madeenay ka banda Madeenay hi puhunchay
Bas itna karam kar, khudaye Madeenah
Qadam choom loon bay watan karnay walay
Mujhay day agar to’ sazaye Madeenah
Kahin to gunah garoon ka ho thikana
Khuda nay rakhi yoon’ binaye Madeenah
Girftar ko ab girftar rkhiye
Kahan jaye ga phir rihaye Madenah
Wo طلع wo بدر علینا kay nagmay
Kuja ham kuja wo sanaye Madeenah
Adeeb hashar man zayer-e-Saya rahain gay
Tani hogi sar par ridaye Madeenah
Mustafa ka Naam, tauqeer-e-adab Mustafa ka zikr, t’ameer-e-adab
Naat man hona qalam ka sar nagoon sar bulandi mushaher-e-adab
Who Mujahid Hazrat-e-Hassan thay jinkay hathoon man thi shamsheer-e-adab
Parah Parah kar gay Qal’b-e-Ganeem us Kaman-e-ish’q kay Teer-e-adab
Hafiz-e-sheraz say poochay koi Lazzat-e-sherni-e-sher-e-adab
Pervi-e-Masnavi-e-Room say ban gay Iqbal bhi peer-e-adab
Soorah-e-kausar pe hay Hujjat tamam Raf’at-e-Aflaak tahrer-e-adab
Na khanqah kay bahir na khanqah man hay
Jo boo turaab ka rutbah meri nigah man hay
Yehi hay dolat-e-imaan-o-eilam-o-aqal-o-yaqeen
Ali ko jis ne pukaara hay wo panah man hay
Gar jahan-e-fikr man darkar hay ik inqilaab
Fikr ki rahoon say uth kar ishq ka ho hamar kaab
Chak kar daaman fasoon-e-falsafah ka, marker
Ayek na’rah ya ali mushkil kusha ya boo turaab
Bahaal-e-gam dil-e-bay taab ra qarar’ ali
Kareem-o-bandah nawaz-o-karam shi’aar ali
Kharaab haal-o-khata kaar-o-dil-e-shikastah raa
Khata muaaf’ khuda taras’ gamgasaar’ ali
Har gardash-e-ayyam pe jo galib hay
Har naara-e-inqilaab ka jo qaalib hay
Har lamha-e-mushkil man talab hay jis ki
Wo Naam’ ali ibn-e-abi talib hay
Zi khaak-e-paye ala ma falak madaar shudaim
Ze lutuf-e-chasham-e-ala fasal-e-no bahaar shudaim
Hain cha faiz raseedi ze bosa-e-na’elain
Gunahgar ke boodaim-o-taajdar shudaim
Na me danam aakhir choon Dam-e-Deedar me Raqsam
Magar nazam baa yen Zauq ke paish yar me Raqsam
To Aan Qatil ke az bahar-e- Tamasha khoon man Raize
Man Aan bismal ke Raiz khanjar koo nakhawar me raqsam
Biya janan Tamasha kun ke dar anboh-e-Janbazan
Basad Saman Ruswaye sar bazaar me Raqsam
Khoo Shar nadi kay pamash kunum Sad parsaye ra
Zahay Taqwa ke man be jubba-o-Distar me Raqsam
Manam USMAN MARWANDI ke yaar-e-Shaikh Mansooram
Malamat me Kunad Khalq-o-man biradram Raqsam
Naseema janib batha guzar kin
zay ahwalam Mohammad ra khabar kin
Tuie Sultan aalam ya Mohammad
zuruye lutaf soye mann nazar kin
bah bar ien jaan mushtaqam Bar aan ja
fdaye roza e Khairulbasher kin
Musharraf gir chay shud jami zi lutfish
khudaaya ein karam baray dagar kin
Nigah ho ke sama’et zaban ho ke qalam
Chalay hain qaflah madah man qadam baqadam
Kabhi zaban ka da’ewa ke ham hain bar tar ham
Kabhi qalam ki ye gairat ke ham say sab hain kam
Ye ma’erkah bhi to wajah-e-husool-e-sabqat hay
Husool sabqat madhat bhi husun-e-madhat hay
Qalam nay khainch diay naqash wok e sab hairaan
Zaban nay dil say nikalay khitaab kay arman
Suna raha hoon usi ma’erkah ki baat yahan
Ke jis kay nuqtay sitaray to lafz kaah kashan
Sama’etoon ko jo lay jaye hauz-e-kausar tak
Suroor jis ka rahay dil man roz-e-mahshar tak
Chala hay aaj qalam saya-e-karam lay kar
Gadaaz dil ka, tarhap aur chashm-e-nam lay kar
Shauoor-o-fik’r ka hathoon man jaam-e-jam lay kar
Khayaal-e-Sarwar-e-konain Muhtram lay kar
Rawan buraaq ki maanand lay kar
Firshtay Aaye hain aflaak say gawahi man
Zuban khuli kay phiraira khula hay Rahmat ka
Har ayek simat huwa ghul Azaan-e-ulfat ka
Nimaz ishq ka aur sajdah mahabbat ka
Sarwar-e-jaan hay jo sab ka isi ki madhat ka
Sama’etoon ka ye aalam ke gaush’ bar awaz
Meray Rasool ki madhat ka yoon huwa Agaz
Jhuka ke rabb do aalam kay paish apni jabeen
Kaha qalam nay ke khallaq-e-Asman-o-Zameen
Raqam ho teray Nabi ka bayan itna haseen
Ke harf harf sitarah to nuqtah nuqtah nageen
Zameen pe shor to halchal ho aasmanoon man
Firshtay choom kay bandhain usay amamoon man
Barhay adab say zuban ne ye ar’z ki ya rabb
Ada ho mujh say bhi apnay bayan ka mansab
Meri sada ho rawan jesay Noor ka murkab
Falak pe aaye nazar jesay raat man kaukab
Ke hay Nabi Samee’a-o-Baseer ki tauseef
Khabar jo Gaib ki day us khabeer ki tauseef
Kaha qalam nay ke tahreer meri lasaani
Khiyaal lafzoon man ayesa ke yoosaf-e-Sani
Tamaam harf guman ye ke, la’el ramaani
Har ik sitar meri kahkshan ki peeshani
Meri siyahi gunahoon ko dhonay waali hay
Sayee zaroor hoon lakin sifat bilali hay
Zuban ye boli ke man aaj hoon turb-e-manoos
Hay shauq raqs man meray bayan ka taous
Haseen khiyaloon say roshan hain ja baja fanoos
Ye zik’r-e-Tayyib-o-Tahir ke hay meri Namoos
Sunay jo khar bayaban to rang-o-boo man dhalay
Teray Habeeb ka wo zik’r ho ke too bhi sunay
Kaha qalam nay ke man har bayan ka malboos
Meri khamoshi hay ulfat ka naala-e-naqoos
Sana-e-sarwar-e-konain ka hoon man fanoos
Ye khad-o-khaal hain meray hi loh par manqoosh
Safaid par man siyahi ka daag hota hoon
Par aashiqoon kay diloon ka charaag hota hoon
Kaha zuban nay ke ra’naaye man nay ki hay kasheed
Meri nawa say hi boo-e-khitaab ki hay shumeed
Kahin sarwar-e-balagat, kahin faseeh nasheed
Khulain na par meray, parwaz kia karay gi shuneed
Har ik zaman man fazayen yateem, meray begair
Kalaam kis ko sunayen kaleem meray begair
Suna jo roz-e-bayan-e-madeeh-e-shah-e-umam
Jhuka adab say hamaishah ki tarah faraq qalam
Raqam taraaz huwa, aye khuda! Teri hay qasam
Azal say was’f-e-nigaar-e-Huzoor hoon paiham
Gunaah gar nahi doob kar siyahi man
Har aik naat hay meri isi gawahi man
Man khainch lawon ga fan ka har ik satar man kamala
Hisaar-e-khat man haseenan-e-rang-o-boo ka Jamaal
Likhoon ga jab man sulaiman Naat ka ahwaal
Hamain bhi izin do, balqees-e-fan karay gi sawal
Nabi ka faiz hay, faiz-o-kamaal par hay girift
Rah-e-farraaz na doon ga, khiyaal par hay girift
Azal say ta be abad loh par noshta man
Kahin pe haal hoon aur hoon kahin guzushta man
Hoon dast-e-kaatib-e-taqdeer man nishastah man
Sanaa’e kay was’f say ham rutba firshtah man
Man apnay rang man rang-e-gilaaf-e-kaabah hoon
Rukh-e-bilal-o-galeem-e-rasool-e-batha hoon
Ye ma’rkah jo suna, gaib say sada Aaye
Har ik chaman man unhain ki hay jalwah farmaye
Faqat qalam hi nahi un ka ayek shaidaye
Faqat zuban ko hi hasil nahi hay yaktaye
Shajar hajar hoon mah-o-mihir hoon zuban-o-huroof
Wujood jin ko mila sab sanaa man hain masroof
Zuban ko nutuq diya kul ki aabroo kay liye
Meray Habeeb ko aana tha guftugoo kay liye
Qalam bana usi tahreer-e-mushak-e-boo kay liye
Har ik zamana man islaam ki numoo kay liye
Rasa ho Adam khaki ke dil man tum donoon
Meray Habeeb ki jo yaad man ho gum donoon
Nimaaz-e-Aqsa man tha yehi sirr Ayan hoon mana awal Aakhir
Ke dast basta hain pechay Hazir jo saltnat Agay kar gay thay
Ye un ki Amad ka dabdaba tha nikhar har shay ka ho raha tha
Nujoom-o-Aflaak jaam-o-mena ujaltay thay khangaltay thay
Niqab ultay wo mehr-e-anwar jalal-e-Rukhsar garmiyoon par
Falak ko haibat say tap charhi thi tapktay anjum kay Ablay thay
Ye jo shish Noor ka asar tha ke Aab-e-gohar kamar kamar tha
Safaye rah say phisal phisal kar sataray qadmoon pe lotatay thay
Barha ye lehra kay bahar-e-wahdat ke dhul gaya Naam-e-raig-e-kasrat
Falak kay teeloon ki kia Haqeeqat ye ar’sh-o-kursi do bulbulay thay
Wo Zill-e-Rahmat wo Rukh kay jalway ke taray chuptay na khilnay patay
Sunahri zarbafat audi atlas ye than sab dhoop chaon kay thay
Chala wo sar wichan khiraman na ruk saka sidrah say bhi daman
Qaseeda-e-me’raj part/6
No Content Available
Palak jhapkti rahi wo kab kay sab aen-o-aan say guzar chukay thay
Jhalak si ik qudsiyoon par Aaye hawa bhi daman ki phir na paye
Sawari dulha ki door puhunchi barat man hosh hi gay thay
Thakay thay Rooh-ul-Ameen kay bazoo chuta wo daman kahan wo pahloo
Rikaab chooti umeed Tooti Nigah-e-Hasrat kay wilwilay thay
Rawish ki garmi ko jis nay socha dimag say ik bhabhoo ka phoota khird kay jangal man phool chamka dahar dahar pairh jal rahay thay
Jilwa man murg-e-aqal urhay thay jab buray Haloon girtay parhtay
Wo sidrah hi par rahay thay thak kar charha tha dam taiwar aa gay thay
Qawi thay murgan-e-waham kay par urhay to urhnay ko aur dam bhar
Uthaye seenay ki ayesi thokar ke khoon-e-andaisha thooktay thay suna ye itnay man ar’sh-e-Haq ne kaha Mubarak ho Taaj walay!
Wo hi Qadam khair say phir Aaye jo pehlay Taaj-e-sharaf tiray thay
Qaseedah-e-me’raaj part/7
No Content Available
No Content Available
Shab-e-Gam kaat day meri, umeedoon ki sahar kar day
Meray gam ko khushi kar, meray ayeboon ko hunur kar day
Umeed-o-baim say guzroon fusoon-e-waham say nikloon
Mujhay apni huzoori day mera haal digar kar day
Wo meray haal say waqif hain un ko hay khabar meri
Bhala kesay kahoon koi unhain meri khabar kar day
Bhala jaan-o-dil laikar kahan jaye ga Tayyibah say
Unhain ya nazar kar ya Sadqa-e- خیر البشرkar
Agar to chahta hay dozakh-e-dunya say azadi
Madeenah ho tera ghar, ye Tamanna dil man ghar kar day
Teri dolat tera sarmaya-e-gam, teray aanso hain
Baha kar Naat man nadan un ko to ghar kar day
Ye meri zindagi bhi karwan, hay aye khuda! Us ka
Madeenah jis taraf hay us taraf roo-e-safar kar day
Jagah daiday Adeeb-e-khush nawa ko apnay qadmoon man
Rahi fard-e-amal us ko jidhar chahay udhar kar day
Suroor-e-Maqdam kay roshni thi ke Tabishoon say mah-e-Arab ki
Jinaan kay gulshan thay jharh farshi jo phool thay sab kanwal banay thay
Tarab ki Naazish ke han lachkay adab wo bandash ke hil na sakay
Ye josh-e-Ziddain tha ke poday kasha kash-e-arrah kay talay thay
Khuda ki qudrat ke chand haq kay karorhon manzil man jalwa kar kay
Abhi na taroon ki chaon badli ke Noor kay tarhkay aaliye thay
Nabi-e-Rahmat!shaf-e-Ummat!Raza pe Lillah! Ho inayat!
Isay bhi un khilatoon say Hissah, jo khaas rahmat kay waan batay thay
Sana-e-sarkar, hay wazeefah, qabool-e-sarkar,hay Tamanna!!
Na shayeri ki hawas na parwar wi thi kia kesay qafiey thay Kaman-e-imkan kay jhootay nuqto! Tum Awwal Aakhir kay phair man ho
Muheet ki chal say to poocho! Kidhar say aye kidhar gay thay?
Udhar say thein nazar-e-shaha Nimazain udhar say ina’am-e-khusrawi man
Salaam-o-Rahmat kay har gandah kar guloo-e-pur Noor man parhay thay
Zaban ko intizar-e-guftan, to gosh ko hasrat-e-shuneedan
Yahan jo kehna tha keh lia taha jo baat sunani thi sun chukay thay
Wo barj-e-bat’ha ka maah para behsh’t ki sair ko sidhara
Chamak pet ha khuld ka sitara ke is qamar kay qadam gay thay
Qaseeda me’raaj/11
To jahan kahin bhi hay to jahan kahin raha
Na khiyal ki puhunch, na khird ko rasta
To kamand-e-Aagahi say buland hi raha
Koi justujoo man gum, koi ar’sh tak rasa
وَتُعِزُّ مَنۡ تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَنۡ تَشَآءُؕ
Ye makaan-o-laa makaan ki abath hay guftugoo
Too hi Noor-e-mehroomah’ To hi gul ka rang-o-boo
Raha sab kay Roobaroo’ rahi phir bhi justujoo
Koi raah kho giya, koi tujh ko pagaya
وَتُعِزُّ مَنۡ تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَنۡ تَشَآءُؕ
Mujhay sarfraz kar’ meray bakht ko jaga
Jo Azeez ho tujhay, wohi kar mujhay Ata
Jo tujhay pasand ho, usi raah par chala
Jo teray Gazab man hoon’ mujhay un say rakh juda
وَتُعِزُّ مَنۡ تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَنۡ تَشَآءُؕ
Teray Zik’r say meri Aabroo Teri shan Jall Jalalahu
Too meray kalaam ka rang-o-boo Teri shan Jall Jalalahu
Jo chatak kay guncha khilay yahan to karay wo was’f tera bayaan
Hay chaman chaman teri guftugoo teri shaan Jall Jalalahu
Meray dil man Ish’q-e-Nabi dia jo dia bujha tha Jala dia
Jisay chahay jaisay Nawaz to Teri shaan Jall Jalalahu
Jo Talab ka bhaid hain jantay wo tujhi ko tujh say han mangtay
Jo tairay huway han unhi ka Too Teri shaan Jall Jalalahu
Ye adab Adeeb man tha kahan Teri shaan karta jo yoon bayan
Hay teray karam say ye surkhuroo Teri shaan Jall Jalalahu
Teri takreem man teri ta’zeem man kis ko shak hay bhala karbala karbala
Phir bhi mera qalam, tujh say shikway raqam aaj karnay chala karbala karbala
To faraat aashna’ tujh man dajlah rawan phir bhi aal-e-Muhammad ki sookhi zuban
Teray mehmaan thay, apnay mehmaan say to ne ye kia kia karbala karbala
Wastah un kay aaba’e ka day kar agar, mangtaa apnay seenah man zam zam ka ghar
Ik karshima dikhata wahan bhi Khuda, kiyoon na maangi dua karbala karbala
Raat ho din ho jab un kay hiltay jo lab, apne khaimoon man Quraan parhtay thay sab
To ne daikha ye sab, to ne khud bhi suna aur kuch na kia karbala karbala
Jin kay ahl-e-haram Noor-e-mastoor-e-Haq, chadrain jin kay sar ki quraan ka waraq
Jin kay khaimoon kay parday gilaaf-e-Haram, un ko loota giya karbala karbala
Aarzoo iltija hasratain manatain, jin kay qadmoon kay bosay ko hoorain karian
Ayesi shahzadiyan aur barbadian, to ne daikha kia karbala karbala
Wo sakeenah thi jo gam say mosoom thi, kitne maasoom thi kitne magmoom thi
Poochti phir rahi thi har ik say pata, to nay kia ke dia karbala karbala
Nasal say bu lahab ki wo do haath thay jin man naizah tha naizay pe far’q-e-Hussain
Kaash! Hotay Nabi to utarti wahan phir say karbala karbala
Ahl-e-bait aur un ki Muhabbat adeeb, ye muqaddar ye qismat’ ye roshan naseeb
Is wazeefah say raazi hay mujh say Khuda daikh ye martaba karbala karbala
Too hay Gauth ke har Gauth hay shaida Tera
Too hay Gaith ke har Gaith hay piyasa Tera
Sooraj agloon kay chamkatay thay chamak kar doobay
Ufuq-e-Noor pe hay Muhar hamaishah Tera
Murg boltay hain bol kay chup rahtay hain
Haan aseel ayek nawasanj rahay ga Tera
Jo wali qabal thay ya baad huay ya hongay
Sab adab rakhtay hain dil man meray Aqa tera
Baqasam kehtay hain shahaan Saraifain-o-Hareem
Ke huwa hay na wali ho koi hatma Tera
Tujh say aur dahar kay aqtaab say nisbat kesi
Qutub khud kaun hay Khadim tera chaila Tera
Saray aqtaab jahan kartay hain ka’bah ka Tawwaf
Ka’bah karta hay Tawwaf-e-dar-e-wala tera
Aur parwanay hain jo hotay hain Ka’bah pe Nisar
Sham’e ik Tu hay parwanah hay Ka’bah Tera
Shajar sarw sahi kis kay ugaye teray
Marfat phool sahi kis ka khilaya tera
Tu hay no shah baraati hay ye Sara gulzaar
Laye hay fasal saman goondh kay sahra Tera
Daliyan jhoomti hain Raq’s-e-khushi josh pe hay
Bulbulain jhoolti hian gaati hain sehra Tera
Geet kaliyoon ki chatak Gazlain Hazaroon ki chehk
Baag kay sazoon man bajta hay tarana Tera
Saff-e-har shajrah man hoti hay Salami Teri
Shakhain jhuk jhuk kay baja laati hain majra Tera
Kis gulustan ko nahi Fas’l-e-bahari say Niaz
Kaun say silsilah man faiz na Aaya Tera
Nahi kis chand ki manzil man Tera jalwa-e-Noor
Nahi kis Aayenah kay gahar man ujalaa Tera
Raaj kis shah’r man kartay nahi Teray Khudaam
Baaj kis nahar say laita nahi Darya Tera
Mazra’e chisht-o-Bukhara-o-Iraq-o-Ajmair
Kaun si kish’t pe barsa nahi jhala Taira
Aur Mahboob hain, haan par sabhi yaksaan to nahi
Yoon to Mahboob hay har cahahne wala Tera
Us ko so fard sarapa bafaragat orhain
Tang ho kar jo utarnay ko ho nema Tera
Gardanain jhuk gayen sar bich gay dil Lot gay
Kash’f-e-Saaq Aaj kahan ye to Qadam tha Tera
Taaj-e-farq-e-arfa kis kay qadam ko kahiye
Sar jisay baaj dain wo paon hay kis ka tera
Sukar kay josh man jo hain wo tujhay kia janin
Khizar kay hosh say pochay koi rutba tera
Aadmi apnay hi ahwaal pe karta hay Qiyaas
Nashay waloon nay bhula sukar nikala tera
Wo to chota hi kaha chahian ke hain zair-e-Hadheedh
Aur har auj say auncha hay sitarah tera
Dil aada ko Raza taiz Namak ki dhun hay
Ik Zara aur chirhkta rahay khamah Tera
Tum ho shareek-e-Gam to mujhay koi Gam nahi
Dunya bhi mairay wastay jannat say kam nahi
Chaha hay tujh ko tujh pe lutai hay zindagi
Tairay elawah kuch mera deen-o-dharam nahi
Wo bad Naseeb Rahat-e-Hasti na pa saka
Jis par meray Habeeb ki chashm-e-karam nahi
Manzil mujhay milay na milay us ka kia gila
Wo meray saath saath han ye bhi to kam nahi
Sajdah usi ka naam hay jab tum ho samnay
Ayesi Nimaz kia jo barooye Sanam nahi
Us raastay pe sar ko jhukana Haram hay
Jis rastay pe Aap ka naqsh-e-qadam nahi
Aye Aanay walay apni jabeen ko jhuka kay Aa
Ye Aastan-e-yar hay koi Haram nahi
Ahl-e-junoon ka is liye mashrab juda raha
Waqif Niaz-e-ishq say sheikh-e-Haram nahi
Utar kar un kay rukh ka Sadqa ye Noor ka bat raha tha barha
Ke chand sooraj machal machal kar jabeen ki kairaat mangtay thay
Wo hi to ab tak chalak raha hay wohi to jo ban tapak raha hay
Nahanay man jo gira tha pani katoray taroon nay bhar liye thay
Bacha jo talwoon ka un kay dhuwan bana wo Jannat ka rang wa rogan
Jinhoon ne doolha ka paye utran wo phool gulzar-e-Noor kay thay
Khabar ye Tahweel-e-mihir kit hi ke rut suhani gharhi phiray gi
Wahan ki poshaak zaib-e-tan ki yahan ka jorha barha chukay thay
Tajalli-e-haq ka sehra sar par Salat-o-tasleem ki nichawar
Do royah Qudsi jama kar kharhay salami key wastay thay
Jo ham bhi wahan hotay khaak-e-gulshan lipat kay qadmoon say laitay utran
Magar karain kia naseeb man to ye na muradi kay din likhay thay
Qaseeda-e-me’raaj part/4
No Content Available
Wo matla’e paish karta hoon man tauseef-e-Muhammad man
Jo nazil ho raha hay qal’b par’ anwaar ki zad man
Bayan kesay ho kitna husun hay har khaal man khad man
Jamaal-e-haq taala jab huwa mozoon usi qad man
Na ho kiyoon Hamd par kursi nasheen ik meem shaha ban kar
Ke ayesa dilruba koi nahi tha shahar-e-abjad man
Sana-e-Mustafa man yoon mujhay mahsoos hota hay
Kharha hoon khushbuwon aur rang kay baraan-e-baihad man
Kushad-e-lab khudawanda yehi do laf’z hoon meray
Ik unkay lutuf bay had par ik unkay husun-e-bay had man
Qaza aye diyar-e-Mustafa man madah khawanoon ki kafan man laash ho, aur laash ho darbar-e-Ahmad man
Janazay man hoon Qudsi, paish-e-Qudsi Mustafa Khud hoon
Qaseedah parh rahi ho laash mari shaha ki Aamad man
Parhian صَل عَلٰی اِرْحَم لَنَا اِرْحَم لَنَا saaray
Utarain jab Adeeb-e-khush bayan ko log marqad man
Wo Raat kia jagmaga Rahi thi jaga jaga Nasab Aayenay thay
Naye Dulhan ki phaban man ka’bah nikhar kay sanwar sanwar kay nikhra
Hajar kay Sadqay kamar kay ik tal man rang lakhoon banao kay thay
Nazar man doolha kay piyaray jalway Hayya say Mehrab sar jhukaye
Sayaah parday kay mun pe aanchal Tajalli Zaat-e-Bahat kay thay
Khushi kay badal umadkay Aaye diloon kay Taous rang laye
Wo Nagma-e-Naat ka Samaan tha Haram ko khud wajad aa rahay thay
Ye jhooma maizab-e-zar ka jhoomar ke Aar aha kaan par dhalak kar
Phoohar barasi to moti jharhkay Hateem ki god man bharay thay
Qaseeda Me’raaj part/2
Wo Sarwar-e-kishwar-e-Risaalat jo ar’sh par jalwa gar howay thay
Naye Niralay Tarab kay samaan Arab kay Mehman kay liye thay
Bahar hay shadiyan Mubarak chaman ko Abadian Mubarak
Malak falak apni apni lay man ye ghur Anadil ka boltay thay
Wahan falak par yahan Zameen man Rachi thi shadi machi thi dhoomain
Idhar say anwar hanstay Aatay udhar say Nafhaat uth Rahay thay
Ye choot Parhi thi un kay Rukh ki keh Ar’sh tak chandni thi chatki
Qaseeda-e-me’raj part/1
No Content Available
Yan shubah shabeeha ka guzarna kesa!
Bay misil ki tamsaal sanwarna kesa
Un ka mutallaq hay taraqi pe mudaam
Tasweer khinchey un ko gawara hi nahi
Mana hain ye maani ke karam kia manay
Khinchina to yahaan kisi say thehra hi nahi
Ye sun kay bay khud pukar utha Nisaar jaon kahan hain Aaqa!?
Phir in kay talwoon ka paon bosa ye meri Aankhoon kay din phiray thay
Jhuka tha mujray ko ar’sh-e-Aala giray thay sajday man bazam-e-bala
Ye Aankhain qadmoon say mal raha thaw o gird qurban ho rahay thay
Dhiayen kuch ar’sh par ye Aayen ke saari Qandeelain jhilmilayen
Huzoor-e-khurshaid kia chamkatay charag mun apna daikhtay thay!
Yehi saman tha ke peek-e-Rahmat, khabar ye laaya ke chliye Hazrat ﷺ
Tumhari khatir kushadah hain jo kaleem par band raastay thay
Barh aye Muhammad! Qareen ho Ahmad! Qareeb Aa Sarwar-e-Mumajjad!
Nisar jaon ye kia nida thi! Ye kia saman tha! Ye kia mazay thay!
Tabark Allahu shan teri Tujhi ko zaiba hay bay Niazi
Kahein to wo josh-e-Lan Tarani kahein Taqazay wisal kay thay
Qaseeda-e-me’raaj part/8
Ze hal Miskeen makun Tagaful waraye Nainan banaye batian
Ke taab hijraan na daaram aye jaan na laihoo ka hay lagaye chatian
Shaban-e-hijran daraz choon zulf-o-Roz wasalat choon umar ko ta
Sikhi pia ko jo man na daikhoon to kaisay katoon andhairi Ratia
Yaka yak az dil do chashm jadoo basad firaibam babro taskeen
Kisay parhi hay jo ja sunaye hamaray pe ko hamari batian
Choon shama’e soo zaan choon Zarrah Hairan za mahar Aan maha bagushtam aakhir
Na neend nainan na ang chainan na Aap Aaye na bhajey patina
Ba Haq roz-e-wisal-e-Dilbar ke dad mara firaib KHUSRO
Laipahat-e-man kay daraye ra khoon jo jaye paon piaki khaitiyan
Zeenat-e-dosh-e-Mustafa tujh ko mera salaam hay
Noor-e-Nigah Fatimah tujh ko mera salaam hay
Manzal-e-hast-o-bood man kon abad maqam hay
Diakh raha hoon man Hussain ayek Tera hi Naam hay
Kashta-e-khanjar-e-tasleem-o-raza tujh ko Salaam
Mash’el-e-Noor-e-Muhammad ki Zia tujh ko Salaam
Nikaht-e-boo-e-gulustaan-e-wafa tujh ko Salaam
Aabroo-e-sadaf sadaq-o-Safa tujh ko Salaam
Aankh man jab ashk Aaya ho gaye Naat-e-Rasool
Dard jab dil man samaya ho gaye Naat-e-rsool
Jab kisi bay bas ko daikha Zulum ka hotay shikaar
Is Zalim say churhaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jihil ki tareekiyoon man iatmad ilam ka
Ik dia jis nay jalaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jab kisi Masooom ko paya yateemi ka shikaar
Apnay seenay say lagaya’ ho gaye Naat-e-Rasool
Imtiaz-e-bandah-o-Aaqa mitanay kay liye
Jab koi maidaan man aaya ho gaye Naat-e-Rasool
Kha kay sang dushmanan-e-deen agar ye keh dia
Kar bhala is ka khudaya, ho gaye Naat-e-Rasool
Yaad kar kay arsa-e-sha’ab-e-Abi Talib kabhi
Jis nay do Aansoo bahaya ho gaye Naat-e-Rasool
Mohsin-e-insaniat ki jaan kar, sunnat agar
Jis ne rotoon ko hansaya, ho gaye Naat-e-Rasool
Kia bataon kis qadar hain mehrban mujh par huzoor
Jab qalam man ne uthaya ho gaye Naat-e-Rasool
Seerat-e- خیر البشر ko daikhta ja aye adeeb!
Jo warq nay to uthaya ho gaye Naat-e-Rasool
Aaya na ho ga is tarah rang-o-shabab rait par
Gulshan-e-Fatimah kay thay saray gulab rait par
Jaan-e-batool kay siwa koi nahi khila saka
Qatra-e-Aab kay bagair itnay gulaab rait par
Tarsay Hussain aab ko man jo kahoon too bay adab
Lums-e-lab-e-Hussain ko tarsa hay aab rait par
Ish’q man kia lutaye ishq man kia bachaye
Aal-e-Nabi ne likh dia sara Nisaab rat par
Lazzat-e-sozash-e-bilaal, shoq-e-shahadat-e-Hussain
Jis nay lia yoonhi lia apna khitaab rat par
Jitney sawal ishq aal-e-Rasool say kiye
Ayek say barh kay ik dia sab ne jawaab rait par
Aal-e-Nabi ka kaam tha Aal-e-Nabi hi kar gay
Koi na likh saka Adeeb ayesi kitaab rait par
Aaye to kaatne kay liye sab kay paas marg
Rishta jo aadmi kay badan say hay jaan ka
Us tarah sy kisi ki tawadhu’e nahi hui
Khoon-e-shaheed kay liye daaman Quraan ka
Udhar tarteel-e-Qurani’ koi tarmeem Naa Mumkin
Jo aayat Hukum jo laye’ amal ayesa hi karna hay
Idhar tarteeb-e-usmani ke jo soorat jahan rakh di
Qiamat tak isi tarteeb say Quran parhna hay
To ne bhi ajab shaan dikhaye hay khudaya
Jab teeg nay khoon, Hazrat-e-usman bahaya
Girnay na dia qatrah khoon pehlay zameen par
Rahmat ne teri daaman-e-Quraan bichaya
Az Adam ta Muhammad Mustafa koi nahi ayesa
Ke jin kay aqad man do baitiyaan hon ik peyambar ki
Ho kis kis baat ki tareef Zu-ul-Noorain kay haq man
Haya’e ki, Mustafa ki dosti ki, ya Muqaddar ki
Wo ayek manzar wama remait jahan khuda khud ye keh raha hay
Ye dast dast-e-Nabi nahi hay ye dast-e-qudrat faqat mera hay
Ye ayek Manzar, shajar kay neechay Nabi bai’et kay waqat kehna
Ye dast-e-bai’et Nabi ka hay aur ye dast-e-usman doosra hay
Bachoon ko loriyoon man kahin maan Qureish ki
So jao meray laal ke maan gamgasar hay
Hay tum sy itna piyar, ke Rahman ki qasam
Jitna Qabeelay waloon ko usman say piyar hay
Abhi na Aatay thay pushat-e-zeen tak ke sar huwi magfirat ki shallak
Sada shafa’at nay di Mubarak gunaha mastana jhoomtay thay
Ajab na tha rakhsh ka chamkna gazal-e-dam khoordah sa bharhkna
Shua’en bukay urha rahi thein tarhptay Aankhoon pe Sayeqay thay
Hujoom-e-Umeed hay ghatao muradain day kar inhain hatao
Adab ki bagein liye barhao malaika man ye galglay thay
Uthi jo gird-e-rah-e-Munawwar wo Noor barsa ke rastay bhar
Ghiray thay badal bharay thay jal thal umand kay jangal ubal rahay thay
Sitam kia kesi mat kati thi qamar wo khaak un kay rah guzar ki
Uthana laya ke maltay maltay ye daag sab daikhna mitay thay
Buraaq kay naqsh-e-sum kay sadqay wo gul khilaye ke saaray rastay
Mehktay gulbun kay mahketay gulshan haray bharay lahlaha rahay thay
Ala aman qahar hay aye gauth wo taikha Taira
Mar kay bhi chain say sota nahi mara Tera
Badloon say kahian rukti hay karhkti bijli
Dhalain chint jati hain uthta hay jo taiga Tera
Ak’s ka daikh kay mun aur bahpar jata hay
Char aayena kay bal ka nahi naiza Tera
Koh sar makh ho to ik war man do par kaalay
Haath parhta hi nahi bhool kay oucha Taira
Us pe ye qahar kea b chand mukhalif Tairay
Chahtay hain ke ghata dain kahian paya Tera
Aqal hoti to khuda say na larhaye laitay
Ye ghatayen , usay manzoor barhana Tera
Ka hay Saya Tujh par وَرَفَعۡنَا لَکَ ذِکۡرَکۡ
Bol bala hay Tera Zikr hay uncha Tera
Mit gay Tutay hain mit jaye gay aada Taray
Na mita hay na mitay ga kabhi charcha Tera
Tu ghataye say kisi kisi kay na ghata hay na ghatay
Jab bharhaye Tujhay Allah tala Tera
Samm-e-qatil hay Khuda ki qasam un ka inkaar
Munkir fazal Huzoor Aah ye likha Tera
Meray siyaaf kay khanjar say tujhay baak nahi
Cheer kar daikhay koi Aah kalaija Tera
Ibn-e-zahara say teray dil man hain ye zahar bharay
Bal bay ao munkar-e-bay baak ye Zahra Tera
Baaz-e-shahab ki Gulami say ye aankhain phirni
Daikh urh jaye ga imaan ka tota Tera
Shaakh par baith kay jarh kaatanay ki fikr man hay
Kahin neecha na dikhaye tujhay shujra tera
Haq say bad ho kay zamana ka bhala banta hay
Aray man khoob samjhta hoon Mamma Tera
Sag-e-dar qahar say daikhay to bikharta hay abhi
Band band-e-badan aye rooba dunya Tera
Ar’z Aaqa say karoon ar’z ke teri panah
Bandah-e-majboor hay khatir pe hay qabza Tera
Hukum nafiz hay tera khama tera saif Teri
Dam man jo chahay kray door hay shaha Tera
Jis ko lalkaar day Aata ho to ulta phir jaye
Jis ko chamkaar lay har phir kay wo Tera Tera
Kunjian dil ki Khuda nay tujhay den ayesi kar
K ye seena ho Muhabbat ka khazeena Tera
Dil pe kundah ho tera naam ke wo duzd-e-Rajeem
Ultay hi paon phiray daikh kay tugra tera
Naza’e gor man, meezan pe, sar-e-pal pe kahin
Na chutay haath say damaan-e-muallah Tera
Dhoop mahshar ki wo jaan soz qiyamat hay magar
Mutmain hoon ke meray sar pe hay palla tera
Bahjat is sar ki hay jo bahjatul israar man hay
Ke falak waar mureedoon pe hay saaya tera
Aye raza chest gam arjmalah jahan dushman-e-tist
Kardah am ma man-e-khud qiblah haja taira
Alif ALLAH chanbay de booti meri man wich murshid laye hoo
Nafi Isbat da pani milya har rag-e-har jaye hoo
Andar booti mushk machaya jan phalan tay Aaye hoo
Jeeway murshid kamil bahoo jien aih booti laye hoo
Eiman salamt har koi mangay ish’q slamat koi hoo
Mangan Eiman sharmawan ish’qoon dil noon Gairat hoi hoo
Jis manzil noon ish’q pachaway Eiman noon khabar na koi hoo
Mera ish’q salamt rakheen bahoo Eiman diya dharoi hoo
Aih tan mera chashman ho way tay man murshid waikh na rajan hoo
Loon loon day madh lakh lakh chashman hik kholan hik kajan hoo
Itna dithiyan Sabar na Aaway hoo ruktay dil bujhan hoo
Murshid da deedar hay bahoo menoon lakh kirorhan Hajan hoo
Baghdad shahar di ki aye Nishani Achian lamian cheeran hoo
Tan man mera purzay purzay jeewan darzey diyan leeran hoo
Einhan leeran di lag kafni pa kay ral san sang faqeeran hoo
Baghdad shah’r day Tukrhay mangsan bahoo karsan meran meran hoo
Ashkoon pe say bhi likh un ki sana un ka Qaseedah
Likh jesay wo hain ayesa na deedah na shuneedah
Jab yaad kia qal’b nafah Aahoon
Jab naam lia ho gay lab shahid chakeedah
Daikha hay bulandi pe har ik ja sar-e-aflaak
Lakin usay daikha hay Madeenay man khameedah
Hasrat man ziarat ki bahay jatay hain Aansoon
Acha hay wuzu karta hay deedar ko deedah
Kia us ko khareedain gay salateen-e-Zamana
Aye Rahmat-e-Aalam! Teri Rahmat ka khareeda
Umat hay buhut zaar-o-praishaan karam kar
Chadar bhi dareedah hui’ daman bhi dareedah
Wo shayeri achi ke dikhaye jo ye manzar
Aagosh-e-karam man sag-e-dunya ka gazeedah
Muhtaj na hoga kabhi wo haath jo likhay
Us muatta-o-man’am ki sakhawat ka Qaseedah
Mahroom nahi hon gi basarat say wo aankhain
Go khuwab sahi, hoon Rukh-e-anwaar ki deedah
Bas ayek hi jhonka hay buhut shahr-e-Nabi ka
Awaz ye daitay hain tan-o-qal’b tapeedah
Laya dar-e-Rahmat pe mujhay jaadah-e-Rahmat
Kaafi meri bakhshash kay liye hay ye Qaseedah
Jis raah say guzra hay Adeeb un ki Sana man
Rukhshanda-o-tabinda’ darkhshan-o-damaidah
Aye sukoon-e-qalb-e-muztar aye qarar-e-zindagi
Aye ameen-e-raaz-e-fitrat, aye bahar-e-zindagi
Teri har har junbash-e-lab barg-o-baar-e-zindagi
Too diyar-e-ishq man hay shehryar-e-zindagi
Teray qadmoon ki badolat teri aamad kay tufail
Gulustan hi gulustan hay khar zaar-e-zindagi
Tera qur’b-e-khaas pakar teray dast-e-paak man
Sangraizay ban gay han shahkar-e-zindagi
Jis ne paye teri nisbat ho gaya wo Zee waqar
Aye furog-e-aadmiat, aye waqar-e-zindagi
Shayeran-e-husun-e-fitrat, Sahiban-e-dark-o-faham
Hay qadam bosi man har ik wazadar-e-zindagi
Daras tera Zalimoon say jang, mazloomoon say piyar
Kitni sadah ho gaye rah guzar-e-zindagi
Aadmi ko aadmi say piyar ka nuskha dia
To Tabeeb-e-khalq hay, teemar dar-e-zindagi
Too nay aa kar di nigahoon ko baseerat Husun ki
Warna thi mahdood lafzoon man’ bahar-e-zindagi
Too nay sahraye Takhayyul man lagaye gulustan
Aur chatanoon say nikalay Aabshar-e-zindagi
Goonj uthay nagmay lagaye to nay jab mazraab-e-ish’q
Ba rabt-e-fitrat pet ha khamosh taar-e-zindagi
Bay khabar dunya wama feeha say Too ne kar dia
Kia sharaab-e-zindagi hay, kia khumaar-e-zindagi
Rooh-o-jaan ki saltnat par hukmrani hay teri
Ham gulaam-e-ish’q hain, to Tajdar-e-zindagi
Ish’q ki deewangi kay samnay sab haich hain
Torh daiti hay Mahabbat’ har hisaar-e-zindagi
Teray paye naaz ka ik lams pa kar hay rawan
Chan chanatey, gungunatey joyebar-e-zindagi
Az Hussun Maleeh khud shor bajahan kardi
Har zakhmi w bismal ra masroof Fagan kardi
Bay jurm khata qatlam az naaz-e-batan kardi
Khud teeg, zadee barman naam digran kardi
Madhosh ba yak sagar aye peer maghan kardi
Dil bardi jaan bardi bay taab-o-tawan kardi
Khud Aayena-e-Roo boodey Khud aayena bay khudey
Ayen tarfa tamasha been dar bazam-e-jahan kardi
Shud jami bay chara az ish’q too aawarah
Aawarah-e-Gurbat ra dar khak nahan kardi
اَ َلَا یٰاَ یُّھَا السَّاقِیْ اَدْرِکَا سًا وَّ نَاوِلْھَا
Ke bar yaad-e-shah-e-kausar bana sazaim mehfilha
Bila bareed Hubb-e-shaikh najdi bar wahabia
Ke ish’q asaan namud awwal walay uftaad mushkilha
Wahaabi garcha ikhfa may kunad buguz-e-Nabi lakin
Nahan kay maenad aa raazay kaz-o-saa zand mehfilha
Tawwahbgaah milk-e-hind iqaamat ra name shaayad
Jars faryaad may dard ke barbandeed mahmleha
Salaye mujalsam dar gosh aamad bain baya bashuno
Jars-e-mastaana may goyad ke bar bandeed mahmlaha
Magar daan ro azeen mehfil rah-e-arbaab-e-sunnat ro
Ke saalak bay khabar nabud ze raah-o-rasam manzalaha
Darayen jalwat baya az raah-e-khalwat ta Kuda
مَتٰی مَا تَلْق مَن قَھْوٰی دَعِ الدُّنْیا وَاَمْھِلْھا
Walam qurbaanat aye dood-e-charaag mihfil-e-molad
Za taab-e-jaad-e-mushkeenat cha khoon uftaad dar dalha
Gareeq-e-bahar-e-ishq-e-Ahmadaim az farhat molad
Kuja daanad haal-e-ma subkasa raan-e-sahla
Raza mast jaam-e-ishq saagar baaz mey khawahad
اََلَا یٰاَ یُّھَا السَّاقِیْ اَدْرِکَا سًا وَّ نَاوِلْھَا