Aarzowon ka shajar day Ya khuda meray Khuda
Phir mujhay taza Thamar day Ya khuda meray Khuda
Thar Tharata hi Rahoon Teri jalal-o-khof say
Khasta dil aur chashm-e-tar day ya khuda meray Khuda
Sahan-e-Kaba man Tilawat aur karoon Tof-e-Haram
Mujh ko Pakeezah safar day ya Khuda meray khuda
Sab’z kirnoon ka ujala man utaroon Rooh man
Meri dil ko wo Nazar day ya khuda meray khuda
Man Ghareeb-e-shahar-e-dil hoon aur mugheelan-e-Jahan
Ik Gulaboon ka shajar day ya khuda meray khuda
Aansowon ki barashoon man Hamad kay ash’er hoon
Meray lafzoon man asar day Ya Khuda Meray Khuda
Dill kay Aangan man baharin Raqs karti hi rahain
Khushbowon ka wo nagar day Ya Kuda meray Khuda
Is ujagar ko bfaiz-e- Naat-e-jaami-o-Raza
Ik Kalam-e-Mutabar day Ya Khuda meray Khuda
Allah da naam laye mola da naam laye
Ik pal na Gafil hoye Subuh tay sham laye
Har shay da khaliq Allah Malik tay Raziq Allah
Oahdi ibadat kariye us toon inaam laye
Allah da Naam laye Mola da Naam laye
Mushakil Noon Talin wala sab noon aoh palin wala
Ban kay hamaishah us day sachay Gulaam rahiye
Allah da Naam laye Mola da Naam laye
Nabian da Nasir Allah Walian da Rahbar Allah
Allah di Raah tay mariye Aali Maqam Laye
Allah da Naam laye Mola da Naam laye
Rabb day Piyaray utay han arabi Laadlay Utay
Raj Raj Durood Parhiye Kamli noon thaam laiye
Allah da Naam laye Mola da Naam laye
Daaman Walian da pharhiye Allah noon Razi kariye
Tauheedi maikhanay choon bhar bhar kay jaam laye
Allah da naam laye Mola da naam laye
Aakhan ameen Aakhan Naal Yaqeen Aakhan
Qaim Tauheed utay zindagi Tamam Rahiye
Allah da naam laye mola da naam laye
ALLAH hoo ALLAH hoo banday har dam ALLAH hoo
Pechay pechay muot hay teray Aagay Aagay ho tum
Tera mera jewan jesay, chaltay phirtay saye
Joon joon barhte jaye umar ya , jewan ghat’ta jaye
Eik saans ka panchi hay to kon tujhay samjhaye?
Rah jaye ga pijra khali urh jaye gi rooh
Na kuch tera na kuch mera aur Gafil Insaan!
Sub kuch jane jaan boojh kar bany han kiyoon anjaan?
Dara aur sikandar jesay shanshah aalishan
Laakhoon man matti man so gay barhay barhay sultan
Teri kia ouqat hay banday, kuch bhi nahi hay to
Tanha Qab’r man hoga tera koi na hoga mayyit
ALLAH hi ALLAH bol salamat jeewan bazi jeet
Dhalta sooraj roz sunaye tujhay fana kay geet!
Neend say Aankhain khol Tammana keysi hay ye pireet?
ALLAH tera jag Raha hay aur to sota hay to
No Content Available
Khuda tujhe kisi Tufan se ashna kar de
k tere behar ki moajon mein iztirab nahi
Chiraan Enj Chari Da Yaar
ALLAH ho ALLAH ho, ALLAH ho ALLAH ho
Jehra-eyn vichrin da yaar, chiran vichri da yaar
O Wajjay ALLAH Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiran Aey Vichri Da Yaar, Chiran Aey Vichri Da Yaar
ALLAH ALLAH ALLAH Hoo, ALLAH ALLAH ALLAH
ALLAH ALLAH ALLAH Hoo, ALLAH ALLAH ALLAH
Apni Lagan Laga De, Apni Lagan Laga De
Apni Lagan Laga De, Apni Lagan Laga De
Meri Khudi Mita De, Apni Lagan Laga De
Meri Khudi Mita De, Apni Lagan Laga De
Chiraen Aey Vichri Da Yaar, Chiran Aey Vichri Da Yaar
O Wajjay ALLAH Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiraen Aey Vichri Da Yaar, Chiran Aey Vichri Da Yaar
ALLAH ALLAH ALLAH Hoo, ALLAH ALLAH ALLAH
ALLAH ALLAH ALLAH Hoo, ALLAH ALLAH ALLAH
Aisa Gumoon Main Khud se, Khud Ko Na Dhoond Paa’won
Aisi Fana Baqa De, Apni Lagan Laga De
Chiran Aey Vichri Da Yaar, Chiran Aey Vichri Da Yaar
O Wajjay ALLAH Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiran Aey Vichri Da Yaar, Chiran Aey Vichri Da Yaar
ALLAH ALLAH ALLAH Hoo, ALLAH ALLAH ALLAH
ALLAH ALLAH ALLAH Hoo, ALLAH ALLAH ALLAH
Darya-e-Marf’at Mein Dooba Rahoon Main Har Dam
Darya-e-Marf’at Mein Dooba Rahoon Main Har Dam
Aarif Mujhe Bana De, Apni Lagan Laga de
Chiran Aey Vichri Da Yaar, Chiran Aey Vichri Da Yaar
O Wajjay ALLAH Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiran Aey Vichri Da Yaar, Chiran Aey Vichri Da Yaar ALLAH ALLAH ALLAH Hoo, ALLAH ALLAH ALLAH
ALLAH ALLAH ALLAH Hoo, ALLAH ALLAH ALLAH
Mere Nafas Nafas Mein Hoo Hoo Ki Hon Sadaaeyn
Dil Ayina Bana De, Apni Lagan Laga De
Chiran Ae Vichri Da Yaar, Chiran Ae Vichri Da Yaar
O Wajjay ALLAH Wali Taar, Sohne Saayian Wali Taar, Mere Murshid Wali Taar
Chiran Aey Vichri Da Yaar, Chiran Aey Vichri Da Yaar ALLAH ALLAH ALLAH Hoo, ALLAH ALLAH ALLAH
ALLAH ALLAH ALLAH Hoo, ALLAH ALLAH ALLAH
No Content Available
No Content Available
No Content Available
No Content Available
Hai Paak Rutba Fikr Se Us Beniyaz Ka Kuchh Dakhl Aql Ka Hai, Na Kaam Imtiyaz Ka Shah-Rag Se Kyuñ Visaal Hai Aañkhoñ Kyuñ Hijab Kya Kaam Is Jagah Khirad-e Harza-Taaz ka Labb Band Aur Dil Mein Woh Jalwe Bhare Hue Allah Re! Jigar Tere Aagaah-e Raaz ka Ghash aa gaya Kalim se Mushtaq e Ishq ko Jalwa bhi Beniyaz hai Us Beniyaz ka Har Shai Meiñ Haiñ ayaañ mere Saane’ ki San’ateñ Aalam Sab aayinoñ mein hain Aayeena-Saaz ka Aflaak o Arz sab tere farmañ-pazeer hain Haakim hai Tu jahañ Ke Nasheb o Faraaz ka Is bekasi mein Dil ko mere Teik lag gayi Shohra suna jo Rahmat-e Bekas Niyaz ka Manind-e sham’aa Teri taraf lau lagi hui De lutf meri jaan ko Soz o Gudaaz ka Tu behisaab bakhsh ke hain be jurm Deta Hooñ wasta tujhe Shah-e-Hijaz Bande pe tere nafs-e la’eeñ ho gaya muheet Allah kar ilaaj mere. Hirs o Aaz ka Kyuñ Kar Na Mere kaam baneñ ghaib se Hasan Banda Bhi Hooñ To Kaise Bade Kaarsazm Ka |
Har aik lamhay ke andar qiyam tera hai
zamana hum jisay kehte hain naam tera hai
daray e awwal o aakhir hai to marey Mooli
nah ibtida nah koi ekhtataam tera hai
tri Sana mein hai masroof be zabani bhi
sakoot-e waqt ke lab pay kalaam tera hai
shaoor ne sfrِ lashavr kar dekha
tamam lafz hain uskay’ Dwam ‘ tera hai
tamam Umar katay ik taweel sjday mein
iss ikhtisaar ki bakhshish bhi kaam tera hai
bohat qareeb hai fitrat se rohِ insani
har ik nizaam se barh kar nizaam tera hai
woh khud ko jaan gaya jis ne tujh ko pehchana
woh mohtaram hai jisay ehtram tera hai
har aik saans se aawaz aa rahi hai tri
mra dhadakataa howa dil, payam tera hai
kahan bayan Muzzafar kahan barayi tri
jo tha jo ab hai jo hoga, tamam tera hai
Har khata to dar guzar kar baikas-o-Majboor ki
Ya ilahi ! Magfirat kar baikas-o-Majboor ki
Ya Ilahi! Kar day poori az paye Gauth-o-Raza
Aarzoo-e-Deed sarwar baikas-o-Majboor ki
Zindgi aur Moat ki hay Ya Ilahi kshmakash
Jaan chalay Teri Raza par Baikas-o-Majboor ki
Aala Ilyeen man ya Rabb! Usay daina jaga
Rooh Chalday jab nikal kar baikas-o-Majboor ki
Ya khuda Poori Tamanna ho baqee’a Pak ki
Az panay Hussain-o-Heyder baikas-o-Majboor ki
Wasta Noor-e-Muhammad ka Tujhay piyaray Khuda !
Gaur-e-Tairah kar Munawwar baikas-o-Majboor ki
Aap kay Methay Madeenay man paye Gauth-o-Raza
Hazri Ho Ya Nabi! Har baikas-o-Majboor ki
Amina kay lal! Sadqa Fatima Lal ka
Door Sari Aaftain kar baikas-o-Majboor ki
Naf’s-o-Shaitan Galib Aye lo khabar ab jald tar
Ya Rasool Allah ! Aa kar baikas-o-Majboor ki
Jis kisi ne bhi Dua kay wastay Ya Rabb! Kaha
Kar day Poore Aarzoo har baikas-o-Majboor ki
Bahar shah-e-karbala ho door Aaqa har bala
Aye Habeeb Rabb-e-Dawar! Baikas-o-Majboor ki
Aap Khud Tashreef Laye Apnay Baikas ki Taraf
Aah jab nikle Tarhap kar baikas-o-Majboor ki
Aye Madeenay kay musafir! To kahani dard ki
Un say kehna Khoob Ro kar baikas-o-Majboor ki
Haal Bigrha! Rooh Tarhpi jab Madeenah chut gaya
Jaan thi Ghamgin-o-Muj’tar baikas-o-Majboor ki
Aap kay Qadmoon man Gir kar Maot ki Ya Mustafa ﷺ
Aarzoo Kab Aayegi bar? Baikas-o-Majboor ki
Nama-e-Attar man Husun-e-Amal koi Nahi
Laaj rakhna roz-e-Mahshar baikas-o-Majboor ki
Hui madah-e-peyambar aur hamd-e-khaliq-e-baari
Basad girya’ basad naala’ basad aah-o-basad zaari
Qalam hay dam bakhud’ jazbaat sakin’ rooh larzaan hay
Adeeb’ khatoon-e-Jannat’ Fatima Zahra ki hay baari
Kamala-e-Zikr-e-Zahra say agar hasti hui akmal
Jamaal-e-zikr-e-Noor-e-Fatima say dil bana ajmal
Tauqeer-e-Muhabbat hay ke ye Taseer-e-nisbat hay
Sukhun sanji hui ahsan zubaan daani hui afzal
Takhleeq man tasleem-o-Raza jin kay khasayel
Ma’soom mukhayyar’ mutsarrif’ mutkaffil
Sarkaar-e-do aalam ki tarah Fatima Zahra
Mushafiq’ mutabassim’ muthammil’ mutwakkil
Wo hamid-o-Mahmood ki ulfat ka Zahoor
Wo Rahmat-e-kul Qasim-e-maqsoom ka Noor
Ye shaan’ magar aalam-e-tasleem-o-raza
Cakki ki mushqqat’ ba tabassum manzoor
Shafeeun siraajun muneerun ki dukhtar
Shujaun shareefun shaheedun ki maadar
Wo hurmat khaatoon-e-jannat’ wo jannat ki hurmat
Ameerun jarun Ali jin kay shohar
Jis ko Rahman-o-Raheem-o-Rahmat-e-kul ka shauoor
Jis ko irfan-e-Muhammad’ jis ko faizaan-e-Rasool
Zee hasb’ aala nasab’ Zahra laqab’ zoo-ul-Ihtraam
Deednee-e-Mustafa aur deedah-e-Rahmat ka Noor
ہر ایک لمحے کے اندر قیام تیرا ہے
زمانہ ہم جسے کہتے ہیں نام تیرا ہے
درائے اول و آخر ہے تو مرے مولٰی
نہ ابتدا نہ کوئی اختتام تیرا ہے
تری ثنا میں ہے مصروف بےزبانی بھی
سکوتِ وقت کے لب پہ کلام تیرا ہے
شعور نے سفرِ لاشعور کر دیکھا
تمام لفظ ہیں اسکے ’دوام‘ تیرا ہے
تمام عمر کٹے اِک طویل سجدے میں
اِس اختصار کی بخشش بھی کام تیرا ہے
بہت قریب ہے فطرت سے روحِ انسانی
ہر اِک نظام سے بڑھ کر نظام تیرا ہے
وہ خود کو جان گیا جس نے تجھ کو پہچانا
وہ محترم ہے جسے احترام تیراہے
ہر ایک سانس سے آواز آرہی ہے تری
مرا دھڑکتا ہُوا دل، پیام تیرا ہے
کہاں بیانِ مُظؔفّر کہاں بڑائی تری
جو تھا جو اب ہے جو ہوگا، تمام تیرا ہے
No Content Available
Jo Tasawwar man nahi jis ki nahi koi khabar
Us ki tasweer banaoun man qalam say kionkar
Wo khiyaloon man utar jaye to wasi’e kesa
Chand lafzoon man sama jaye to jam’e kesa
Jis kay ik Naam ko so Naam say t’abeer karain
Jis kay ik harf ko so dhang say tahreer karain
Wo jo Subhan bhi, Rahman bhi, burhan bhi hay
Jo dayyan bhi, Hannan bhi, Mannan bhi hay
Ar’sh wala bhi wohi, Rabbiyal a’ala bhi wohi
Zor Aawar bhi wohi, bakhshanay wala bhi wohi
Us ki t’areef Muhammad kay siwa kaun karay
Khuda ki Zaat ko Zaiba hay shaan-e-yaktaye
Usi nay juraat-e-Iz’har mujh ko farmaye
Usay kay lutuf say shayer bana’ Adeeb huwa
Thana Huzoor ki likhay wok hush Naseeb huwa
Ye us ki shhan ke us kay Huzoori man ho kar
Ye day raha hay Sada Qalb-e-muztarib, ro kar
Kareem hay to mujhay Nudrat-e-bayan daiday
Dahan man Hafiz-e-sheeraz ki zaban daiday
Wo Nutuq day ke har ik Rang say juda karday
Karam say mathnavi Room ki Ada kar day
Bana day khuwaab ki Iqbal kay, mujhay ta’beer
Ho paye fikir man mazboot, ish’q ki zanjeer
Teray karam say Nazar aaye husun har khami
Ho meri tarz-e-nigarash, ibarat-e-jaami
Kamil hay jo Azal say wo hay kamal tera baqi hay jo abad tak wo hay jamal tera
In ki Nazar man shoukat jachti nahi kisi ki
Aankhoon man bas giya hay jis kay jamal tera
Dil ho ko jaan tujh say kioon kar Aziz rakhiye
Dil hay so cheez teri jan hay so maal tera
Go Hukum teri lakhoon yan Taltay rahay han
Lakin Tala na hargiz dil say Khayal tera
Gulshan kay rang wa boo nay tera pata bataya
Gunchay ki muskarahat laye payam tera
Karam mangta hoon ata mangta hoon
Ilahi man tujh say dua mangta hoon
Ata kar too shaan-e-kareemi ka Sadqa
Ata kar day shaan-e-Raheemi ka Sadqa
Na mangoon ga tujh say to mangoon ga kis say
Tera hoon man tujh say dua mangta hoon
Ilahi hamaishah too masroor rakhna
Balaoun say ham ko buhut door rakhna
Praishanian ham ko gharay huway hay
Man un say tera Aasra mangta hoon
Jo muflis hain un ko Too dolat ata kar
Jo beemar hain un ko Sihat Ata kar
Mareezoon ki khatir shifa maangta hoon
Ilahi man tujh say dua maangta hoon
Jo nadaar hain kuch nahin jin kay pallay
Unhian bhi dikha day haram kay Too jalway
Huzoori ho sab ki dua Maangta hoon
Ilahi man tujh say Dua maangta hoon
Watan kay bharhktay sharraray bujha day
Usay Too akhuwat ka gulshan bana day
Man amun-o-aman ki rida maangta hoon
Ilahi man tujh say dua maangta hoon
Ilahi tujhay wasita panjtan ka
Ho shadaab Guncha diloon kay chaman ka
Man Sadqa Gauth-ul-war maangta hoon
Ilahi man tujh say dua maangta hoon
Kia khoob hay teri Aan baan har roz Naye hay shan shan
Hay rishta na koi khandan to Rabb-e-jahan man Abad Abad
Man Hamd kahoon bas Hamd Hamd man Hamd kahoon bas Hamd Hamd
Meray Mola meray Mola
Tujh say Faryad kartay han ham
Meray Mola karam ho karam
Meray mola meray mola
Ye Zameen aur ye Asman
Hay to hi Maalik-e-do jahan
Sab pe Too hi Too hay mehrban
Ham teray dar say jayen kahan
Sab ki suntan hay to hi sada
Too hi rakhta hay sab ka bharam
Sab paak han teray Naam Naam
Man Zikir karoon har Gaam Gaam
Kia Aqal ka is man Kaam Kaam
Hay banda tera har fard fard
Man Hamd kahoon bas Hamd Hamd
Ham ke majbooriyoon bay Haal hain
Ham ke ranjooroon bay haal hain
Apnay daman man Aansoo hain bas
Paak kar day hamaray Nafs
Zik’r tera jahan bhi Karain
Eik pal man hoon Aankhain ye Nam
Bay kasoon ko sahara milay
Doobatoon ko kinara milay
Sar say Toofan pal man Talay
Jo tera ik isharah milay
To jo kar day mehribanian
Door ho jaye har eik Gam
Wahdat ka hay jis man raaz raaz
Seenoon man bajay wo saaz saaz
Jo tujh pe karay han Naaz Naaz
Wo Hamd karay hay Hamd Hamd
Man Hamd kahoon bas Hamd Hamd
Bhool bhaithay hain tera kaha
To nay Quran man jo likha
Aaj hain dar badar is Tarah
Koi bikhray. Larhi jis tarah
Eik kar ham ko bahar-e-shaha
Ham ne khud pe kiye han sitam
Kis Se Maangeñ, Kahañ Jaayeñ, Kis Se Kaheñ, Aur Duniya Me Haajat Rawa Kaun Hai
Sab Ka Data Hai Tu, Sab Ko Deta Hai Tu, Tere Bandoñ Ka Tere Siwa Kaun Hai.
Kaun Maqbool Hai, Kaun Mardood Hai, Be-khabar! Kya Khabar Tujhko Kya Kaun Hai
Jab Tuleñge ‘Amal Sab Ke Meezaan Par Tab Khulega Ke KhoTa Khara Kaun Hai.
Kaun Sunta Hai Faryaad Mazloom Ki, Kis Ke Haathoñ Meiñ Kunji Hai Maqsoom Ki
Rizq Per Kis Ke Palte Haiñ Shah-o-Gada, Masnad-Aara-e-Bazm-e-‘Ata Kaun Hai.
Auliya Tere Mauhtaaj Ae Rabb-e-Kul ! Tere Bande Hain Sab Ambiya-o-Rusul
Inki Izzat Ka Baais Hai Nisbat Teri, Inki Pahchan Tere Siwa Kaun Hai.
Mera Maalik Meri Sun Raha Hai Fughaañ, Jaanta Hain Wo Khaamoshiyoñ Ki Zubaañ
Ab Meri Raah Mein Koyi Haail Na Ho, Naama-Bar Kya Bala Hai, Saba Koun Hai.
Ibtida Bhi Wohi, Inteha Bhi Wohi, Nakhuda Bhi Wohi Hai, Khuda Bhi Wohi
Jo Hai Saare Jahanoñ Me Jalwa Numa Us Ahad Ke Siwa Doosra Kaun Hai.
Wo Haqaaiq Hoñ Ashiya Ke Ya Khushk-o-Tar, Fahm-o-Idraak Ki Zad Meiñ Haiñ Sab, Magar
Maa-Siwa, Ek Us Zaat-e-Be-Rang Ke Fahm-o-Idraak Se Maa-wara Kaun Hai.
Ambiya, Auliya, Ahl-e-Bait-e-Nabi, Taaba’een-o-Sahaaba Pe Jab Aa Bani
Gir Ke Sajde Meiñ Sab Ne Yahi Arz Ki Tu Nahiñ Hai To Mushkil-Kusha Kaun Hai.
Ahl-e-Fikr-o-Nazar Jaante Haiñ Tujhe, Kuchh Na Hone Pe Bhi Maante Hain Tujhe
Ae Naseer ! Is Ko Tu Fazl-e-Baari Samajh Warna Teri Taraf Dekhta Kaun Hai
Koi to hai jo nizam hasti chala raha hai, wohi kkhuda hai
dikhayi bhi jo nah day, nazar bhi jo araha hai wohi kkhuda hai
talaash uss ko nah kar buton mein, woh hai badalti hui ruton mein
jo din ko raat aur raat ko din bana raha hai, wohi kkhuda hai
wohi hai mashriq wohi hai maghrib, safar karen sab usi ki janib
har aaiine mein jo aks apna dikha raha hai, wohi kkhuda hai
kisi ko sochon ne kab saraha, wohi sun-hwa jo kkhuda ne chaha
jo ikhtiyar bashar pay pehray bitha raha hai, wohi kkhuda hai
nazar bhi rakhay, samaatain bhi, woh jaan laita hai nitin bhi
jo khana e lashavr mein jagmaga raha hai, wohi kkhuda hai
kisi ko taaj Waqar bakhshay, kisi ko zillat ke ghaar bakhshay
jo sab ke maathey pay mohar qudrat laga raha hai, wohi kkhuda hai
safaid uss ka siyah uss ka, nafs nafs hai gawah uss ka
jo shola-e jaan jala raha hai, bhuja raha hai, wohi kkhuda hai
Kya hamd kar sakegi meri zabaan teri !
Saari nishaniyañ Haiñ ay be nishaan Teri
Aql o Sha’oortak ki hoti nahiñ rasaayi
Kya zaat paa sakeñge wahm o gumaan Teri
Kaun o Makaañ ki har shai labbaik kar rahi hai
Har simt goonjti hai paiham azaan Teri
Jo shai hai sirf teri ay Khaaliq e Do Aalam
Har ek jism tera har ek jaan Teri
Hai teri kibriyayi saabit ba-har qareena
Baatin hai Shaan Teri zaahir hai Shaan Teri
Teri rabubiyyat ki aaghosh hai kushada
Har amn ki ameeñ hai be shak amaan teri
Khalid ko bandagi ka ikhlaas Tu ne bakhsha
Chaahi hai Iste’aanat Ay Musta’aan Teri
No Content Available
Man teray husun-e-karam aur inayatoon kay nisar
Ho meray rang man sa’adi kay gulustan ki bahar
Kalaam-e-arif-e-urfi ka pairhan ban jaon
Man zuluf-e-naat ki khushboo say shab dulhan ban jaon
Siwa Huzoor koi khawab man bhi aaye na Gair
Tufail burda-e-Altaf bar Imam-e-Boseer
Teray karam kay Tasdduq, kar aur ik ihsaan
Ke meri fikir pe saaya figan rahain Hassan
Tamaam umar wo Naatoon ka ihtimam rahay
Ke meray gird firishtoon ka izdihaam rahay
Tufail-e-Shaah-e-Umam,jin pe sad salaam-o-durood
Adeeb ka bhi Thana man maqam ho Mahmood
Muqaddar baantane wala muqaddar baant deta hai
kabhi qatra kabhi poora samandar baant deta hai
mohabbat is ko ho jaye to phir mehboob ki khatir
zameen o aasan ka sara langar baant deta hai
agar mehfooz rakhna chahay –apne ghar ko dushman se
ababeelun ke lashkar mein woh kanker baant deta hai
yeh saari be basi, kaasa badasti kya tamasha hai ?
mera maalik; agar hissa barabar baant deta hai
woh jiski all ko ummat ne aashiq Tishna lab mara
suna hai hashar mein woh aabb kusar baant deta hai
Naam Rabb e Anaam Hai Tera
Har Jagah Faiz Aam Hai Tera
Laa Makaani Hai Tera Wasf Magar
Qalb e Momin Maqaam Hai Tera
Tu Khaaliq Hai Tu Hi Maalik Hai
Jo Bhi Kuchh Hai Tamaam Hai Tera
Teri Marzi Kabhi Nahiñ Talti
Kitna Kamil Nizam Hai Tera
Jo hai Mushkil Kusha Ba-har Aalam
Mere Maula Woh Naam hai Tera
Tajurboñ Ne Yahi Bataaya Hai
Mehrbaani Hi Kaam Hai Tera
Lab-e ‘Khalid’ Ki Jaag Uthi Qismat
Tazkira Sub’ho Shaam Hai Tera
No Content Available
No Content Available
No Content Available
No Content Available
No Content Available
To jahan kahin bhi hay to jahan kahin raha
Na khiyal ki puhunch, na khird ko rasta
To kamand-e-Aagahi say buland hi raha
Koi justujoo man gum, koi ar’sh tak rasa
وَتُعِزُّ مَنۡ تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَنۡ تَشَآءُؕ
Ye makaan-o-laa makaan ki abath hay guftugoo
Too hi Noor-e-mehroomah’ To hi gul ka rang-o-boo
Raha sab kay Roobaroo’ rahi phir bhi justujoo
Koi raah kho giya, koi tujh ko pagaya
وَتُعِزُّ مَنۡ تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَنۡ تَشَآءُؕ
Mujhay sarfraz kar’ meray bakht ko jaga
Jo Azeez ho tujhay, wohi kar mujhay Ata
Jo tujhay pasand ho, usi raah par chala
Jo teray Gazab man hoon’ mujhay un say rakh juda
وَتُعِزُّ مَنۡ تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَنۡ تَشَآءُؕ
tairay zikar se meri aabaroo, teri shaan jal Jalalah to mere kalaam ka rang o bo, teri shaan jal Jalalah jo Chatak ke Ghuncha khulay yahan, to kere woh Wasf tera bayan hai chaman chaman teri guftagu, teri shaan jal Jalalah mere dil mein ashqِ nabi diya, jo diya bujha tha jala diya jisay chahay jaisay Nawaz y to, teri shaan jal Jalalah jo talabb ka bhaid hain jantay, woh tujhi ko tujh se hain mangte jo tre hue hain inhen ka to, teri shaan jal Jalalah yeh adab Adeeb mein tha kahan, tri shaan karta jo yun bayan hai tre karam se yeh surkhuru, tri shaan jal Jalalah |
Tasawwur se bhi agay tak dr o deewar kُhl jayen
meri aankhon pay bhi ya rab tairay asaraar kُhl jayen
mein teri rehmaton ke haath khud ko baichnay lagoon
meri tanhaiyon mein ishhq ke bazaar kُhl jayen
Jawar arsh Azam is qader mujh ko ataa kardey
marey andar ke garoon par tre Anwaar kُhl jayen
utaaroon Maarfat ki nao jab tairay samandar mein
to mujh par bad banon ki terhan manjhdhar kُhl jayen
andheron mein bhi to itna nazar anay lagey mujh ko
ke sannaate bhi Manind lbِ izhaar kُhl jayen
marey maalik marey harf-e dua ki laaj rakh lena
miley to bah ko rasta, bab-e astaghfar kُhl jayen
muzaffar varsi ki is qader tujh tak rasai ho
ke is ke zehen par sab manaai e afkaar kُhl jayen
Teray Zik’r say meri Aabroo Teri shan Jall Jalalahu
Too meray kalaam ka rang-o-boo Teri shan Jall Jalalahu
Jo chatak kay guncha khilay yahan to karay wo was’f tera bayaan
Hay chaman chaman teri guftugoo teri shaan Jall Jalalahu
Meray dil man Ish’q-e-Nabi dia jo dia bujha tha Jala dia
Jisay chahay jaisay Nawaz to Teri shaan Jall Jalalahu
Jo Talab ka bhaid hain jantay wo tujhi ko tujh say han mangtay
Jo tairay huway han unhi ka Too Teri shaan Jall Jalalahu
Ye adab Adeeb man tha kahan Teri shaan karta jo yoon bayan
Hay teray karam say ye surkhuroo Teri shaan Jall Jalalahu
Teri inayat par Khudaya nigah sab ki lagi hui hay
Teri inayat ki badolat sabhi ki bigrhi bani huwi hay
Too Aasman-o-Zameen ka Rabb hay, sabhi ko mola teri talab hay
Teri Gulami hi teray bandoon ko do jahanoon ki khusrawi hay
Too Hyyu-o-Qayoom hay Ilahi hay char soo teri badshahi
Tamam aalam hay tera ya Rabb too saray aalam ki roshni hay
Jo teri Qudrat kay han Muzhir Qadam Qadam par han Aashkara
Teri karshmoon ki dhoom ya Rabb Zamanay bhar man machi hui hay
Teri hi Tasbeeh man magan han hay Zikr tera har aik lab par
Hay koo ba koo koiloon ki “koo koo”chaman bulbul chehk rahi hay
Teri Sana kon kar sakay ga Qadam yahan kon dhar sakay ga
Magar jisay bhi to nay chaha usay ye tofeeq bakhash de hay
Yoon hi rahi is pe chasham-e-Rahmat Qalam rahay is ka waqaf midhat
Ke tera yameen to hameshah teri karam hi ka maktaji hay
Teri shan Jalla Jalalahu
Meri Rabb kahan pe nahi hay too
Teri shan Jalla Jalalahu
Teri Zarray Zarray man hay Numoo
Teri shan Jalla Jalalahu
Teri Qudratoon ka shumar kia
Teri Wusatoon ka Hisab kia
Too Muheet-e-Aalam Rang-o-boo
Teri shan Jalla Jalalahu
Tera Faiz, Faiz-e-Ameem hay
Too hi mera Rabb-e-Kareem hay
Meri dil man hay teri Aarzoo
Teri shan Jalla Jalalahu
Jisay chahay too wo khaleel hay
Jisay too na chahay Zaleel hay
Teri haath Zillat wa Aabaroo
Teri shan Jalla Jalalahu
Teri Tareef kesay karoon man bayan meri Taqat hay kia man to kuch bhi nahi
Mehr-o-Zarray man Nisbat to hoti hay kuch mujh ko Nisbat hay kia man to kuch bhi nahi
Meri waham-o-Guman say bhi bahir hay to man to Qatra nahi aur Bay kinar samandar hay to
Tera soda huwa mujh ko ye hasti kahan dil ki wusat hay kia man to kuch bhi nahi
Too samnay jo mujh man Tera kam he meri hasti he kuch to Tera Naam hay
Teri Rahmat me Rutbah ye bakhsh mujhe meri jurat he kia man to kuch bhi nahi
Tera Daman jo Pakrha to man shah huwa mera is kay siwa aur matlab hay kia
Teray dar ka gada hoon to hoon shah man warna qismat hay kia man to kuch bhi nahi
Tera dar chorh kar man kahan jaon ga jo yahan khown ga to kahan paon ga
Too khazanoon ka malik hay deday shaha ab kifayat hay kia man to kuch bhi nahi
Mera waris hay too mera malik hay too mera Aaqa hay too mera data hay too
Teri hone say jeena hay jeena mera meri himmat hay kia man to kuch bhi nahi
Jis ne dekha mujhay kiyoon na Hairan hoon man jo pihla sa hoon meri pechan ho
Teri Aayena sazi ki hay ye jila warna Hairat hay kia man to kuch bhi nahi
Tujhi se ibtida hai, to hi ik din intahaa hoga sadaye saaz hogi aur nah saaz be sada hoga hamein maloom hai, hum se suno Mahshar mein kiya hoga sab is ko dekhte hungy, woh hum ko daikhta hoga sar e mahshar hum aisay aasiyoun ka aur kya hoga Dar e jannat nah wa hoga, dar-e rehmat to wa hoga jahannum ho ke jannat, jo bhi hoga faisla hoga yeh kya kam hai hamara aur unn ka saamna hoga azal ho ya abadd dono aseer zulff hazrat hain jidhar nazrein uthaou ge, yahi ik silsila hoga yeh nisbat ishhq ki be rang laaye reh nahein sakti jo mehboob kkhuda hoga, woh MEHBOOB kkhuda hoga isi umeed par hum taliban dard jeetay hain khosha darday ke tera dard, dar daal allahabad laa dawa hoga ngahِ qehar par bhi jaan o dil sab khoye betha hai ngahِ mohar allahabad aashiq par agar hogi to kya hoga yeh mana bhaij day ga hum ko Mahshar se jahannum mein magar jo dil pay guzray gi, woh dil hi jaanta hoga samjhta kya hai to deewan gaah e ishhq ko Zahid ? yeh ho jayen gi jis janib, isi janib kkhuda hoga jigar ka haath hoga hashar mein aur daman e hazrat shikayat hoga, shikwah jo bhi hoga, bermila hoga |
No Content Available
No Content Available
Vo sab kaa maalik hai jis kaa arsh-e-mua.allaa
allaah hii allaah hai bas yaaro allaah hii allaah
zehn-o-dil se ek parda saa haTtaa jaa.e
auraq-e-roz-o-shab-o-vaqt palTaa jaa.e
dariyaa sahraa suuraj chaa.nd sitaare us ke
manzar aur rute.n us kii ham saare us ke
apnii puu.njii ik peshaanii ek musallaa
allaah hii allaah hai bas yaaro allaah hii allaah
dekh rahaa huu.n mai.n apnaa anjaam ‘muzaffar’
mere tan par hai piilaa ehraam ‘muzaffar’
paa.nv ke a.nguuThe me.n hai lohe kaa chhallaa
allaah hii allaah hai bas yaaro allaah allaah
Woh razi hay to phir ahl-e-jafa say kuch nahi hoga
Kisi Zalim kay jabr-e-narawa say kuch nahi hoga
Too wo beemar hay jis ki shifa Makkey man likhe hay
K is Tabdeel-e-Aab-o-hawa say kuch nahi hoga
Maseeha aik hay tera Madeenay man jo Rahta hay
Ye sab qatil han ab in ki dawa say kuch nahi hoga
Tera Mabood kia pathar ka but hay hil nahi sakta
Woh kafir han jo kehtay han Khuda say kuch nahi hoga
Charaagh-e-dil jala aur phir usay toofan man rakh day
Khuda har shay pe Qadir hay hawa say kuch nahi hoga
Buhut Ashab-e-feel aaye jo baqi han wo aa jayen
Yehi kaabah rahay ga Abrha say kuch nahi hoga
No Content Available
Ya Ilahi har jaga teri a’ta ka sath ho
Jab parhay mushkil shah-e-mushkil kusha ka saath ho
Ya Ilahi jab bhool jaon naza’e ki takleef ko
Shadi-e-Deedar-e-Hussun-e-Mustafa ka saath ho
Ya Ilahi gor terah ki jab Aye sakhat Raat
Un kay Piyaray mun ki Subuh janfiza ka Saath ho
Ya Ilahi jab parhay Mahshar man shor dar-o-geer
Aman dainay walay piyaray paishwa ka saath ho
Ya Ilahi jab zabanain bahir Ayen pas say
Sahib-e-Kausar shah-e-jod-o-sakha ka saath
Ya Ilahi sard mahri par ho jab khurshaid Hashar
Sayyed bay saya kay Zill-e-liwa ka saath ho
Ya Ilahi Garmi-e-Mahshar say jab bharhkain badan
Daman-e-Mahboob ki Thandi hawa ka saath ho
Ya Ilahi Naam-e-Aamal jab khulnay lagain
Ayeb posh Khalq-e-Sattar Khata ka saht ho
Ya Ilahi jab bhi Aankhain Hisab-e-Juram man
Un Tabassum Rayes Hontoon ki dua ka saath ho
Ya Ilahi Jab Hisaab Khanda bajar laye
Chasham-e-giryan shafee’-e-Murtaza ka saath ho
Ya Ilahi Rang layen jab meri bay bakian
Un ki neechay neechay Nazroon ki Haya ka Saath ho
Ya Ilahi Jab Chaloon Tareek Raah-e-Pul Sirat
Aaftab hashmi Noor-ul-Huda ka saath ho
Ya Ilahi jab sar shamsheer par chalna parhay
Rabb-e-Sallim kehneay walay Gamzda ka saath ho
Jab Raza Khawab giran say sar uthaye
Daulat-e-Baidar-e-Ishq-e-Mustafa ka saath ho
Yadoon man wo shah’r-e-Madeenah manzar manzar Aaj bhi hay
Ayek Zamana guzra lakin’ Rooh Muattar Aaj bhi hay
Koi nazar khazra say uth kar us ky chehray par na gaye
Ye ihsas-e-Nadamat yaro chand kay rukh par Aaj bhi hay
Madah-e-Nabi ki Nagmah saraye Hamd-o-sana ki gul pashi
Kal bhi yehi tha apna muqaddar’ apna muqaddar Aaj bhi hay
Wo deedar ka mausam’ saqi paish-e-nazar aur jaam-e-deed
Barsoon bait gay us rut ko haath man sagar aaj bhi hay
Ah’d-e-adeeb aur madah-e-Muhammad koi Aaj ki baat nahi
Chodah sadiyoon say ye charcha yoonhi ghar ghar aaj bhi hay
Ye zameen ye falak in say aagay talak jitne dunyien han
Sab man teri jhalak sab say lakin juda
Har sahar phootatey he naye rang say, sabza wa gul khilain seena sang say
Goojta hay jahan teri aahang say
Jis ne ki justujoo mil gaya us ko too sab ka Rahnuma
Aye Khuda Aye Khuda
Har sitaray man Aabad hay ik jahan, chand, Sooraj teri Roshni kay Nishan
Pathroon ko bhe too ne A’ta ki Zuban
Janwar, Aadmi kar rahay han sabhi teri Hamd-o-Sana
Aye Khuda Aye Khuda
Noor hi Noor bikhra hay kalak nahi, doosra koi Hadd-e-Guman tak nahi
Laakh hoon Soortain aik hi rang man too hay jalwa numa
Aye Khuda Aye Khuda
Sonp kar mansab-e-Aadmiat mujhay too ne bakhashe hay Apni khilafat mujhay
Shouq sajda bhi kar ab inayat mujhay
Hay mera sar teri dehleez par hay yehi Iltija
Aye Khuda Aye Khuda
No Content Available
Aarzowon ka shajar day Ya khuda meray Khuda
Phir mujhay taza Thamar day Ya khuda meray Khuda
Thar Tharata hi Rahoon Teri jalal-o-khof say
Khasta dil aur chashm-e-tar day ya khuda meray Khuda
Sahan-e-Kaba man Tilawat aur karoon Tof-e-Haram
Mujh ko Pakeezah safar day ya Khuda meray khuda
Sab’z kirnoon ka ujala man utaroon Rooh man
Meri dil ko wo Nazar day ya khuda meray khuda
Man Ghareeb-e-shahar-e-dil hoon aur mugheelan-e-Jahan
Ik Gulaboon ka shajar day ya khuda meray khuda
Aansowon ki barashoon man Hamad kay ash’er hoon
Meray lafzoon man asar day Ya Khuda Meray Khuda
Dill kay Aangan man baharin Raqs karti hi rahain
Khushbowon ka wo nagar day Ya Kuda meray Khuda
Is ujagar ko bfaiz-e- Naat-e-jaami-o-Raza
Ik Kalam-e-Mutabar day Ya Khuda meray Khuda
Allah da naam laye mola da naam laye
Ik pal na Gafil hoye Subuh tay sham laye
Har shay da khaliq Allah Malik tay Raziq Allah
Oahdi ibadat kariye us toon inaam laye
Allah da Naam laye Mola da Naam laye
Mushakil Noon Talin wala sab noon aoh palin wala
Ban kay hamaishah us day sachay Gulaam rahiye
Allah da Naam laye Mola da Naam laye
Nabian da Nasir Allah Walian da Rahbar Allah
Allah di Raah tay mariye Aali Maqam Laye
Allah da Naam laye Mola da Naam laye
Rabb day Piyaray utay han arabi Laadlay Utay
Raj Raj Durood Parhiye Kamli noon thaam laiye
Allah da Naam laye Mola da Naam laye
Daaman Walian da pharhiye Allah noon Razi kariye
Tauheedi maikhanay choon bhar bhar kay jaam laye
Allah da naam laye Mola da naam laye
Aakhan ameen Aakhan Naal Yaqeen Aakhan
Qaim Tauheed utay zindagi Tamam Rahiye
Allah da naam laye mola da naam laye
ALLAH hoo ALLAH hoo banday har dam ALLAH hoo
Pechay pechay muot hay teray Aagay Aagay ho tum
Tera mera jewan jesay, chaltay phirtay saye
Joon joon barhte jaye umar ya , jewan ghat’ta jaye
Eik saans ka panchi hay to kon tujhay samjhaye?
Rah jaye ga pijra khali urh jaye gi rooh
Na kuch tera na kuch mera aur Gafil Insaan!
Sub kuch jane jaan boojh kar bany han kiyoon anjaan?
Dara aur sikandar jesay shanshah aalishan
Laakhoon man matti man so gay barhay barhay sultan
Teri kia ouqat hay banday, kuch bhi nahi hay to
Tanha Qab’r man hoga tera koi na hoga mayyit
ALLAH hi ALLAH bol salamat jeewan bazi jeet
Dhalta sooraj roz sunaye tujhay fana kay geet!
Neend say Aankhain khol Tammana keysi hay ye pireet?
ALLAH tera jag Raha hay aur to sota hay to