Aaya na ho ga is tarah rang-o-shabab rait par
Gulshan-e-Fatimah kay thay saray gulab rait par
Jaan-e-batool kay siwa koi nahi khila saka
Qatra-e-Aab kay bagair itnay gulaab rait par
Tarsay Hussain aab ko man jo kahoon too bay adab
Lums-e-lab-e-Hussain ko tarsa hay aab rait par
Ish’q man kia lutaye ishq man kia bachaye
Aal-e-Nabi ne likh dia sara Nisaab rat par
Lazzat-e-sozash-e-bilaal, shoq-e-shahadat-e-Hussain
Jis nay lia yoonhi lia apna khitaab rat par
Jitney sawal ishq aal-e-Rasool say kiye
Ayek say barh kay ik dia sab ne jawaab rait par
Aal-e-Nabi ka kaam tha Aal-e-Nabi hi kar gay
Koi na likh saka Adeeb ayesi kitaab rait par
Aaye to kaatne kay liye sab kay paas marg
Rishta jo aadmi kay badan say hay jaan ka
Us tarah sy kisi ki tawadhu’e nahi hui
Khoon-e-shaheed kay liye daaman Quraan ka
Udhar tarteel-e-Qurani’ koi tarmeem Naa Mumkin
Jo aayat Hukum jo laye’ amal ayesa hi karna hay
Idhar tarteeb-e-usmani ke jo soorat jahan rakh di
Qiamat tak isi tarteeb say Quran parhna hay
To ne bhi ajab shaan dikhaye hay khudaya
Jab teeg nay khoon, Hazrat-e-usman bahaya
Girnay na dia qatrah khoon pehlay zameen par
Rahmat ne teri daaman-e-Quraan bichaya
Az Adam ta Muhammad Mustafa koi nahi ayesa
Ke jin kay aqad man do baitiyaan hon ik peyambar ki
Ho kis kis baat ki tareef Zu-ul-Noorain kay haq man
Haya’e ki, Mustafa ki dosti ki, ya Muqaddar ki
Wo ayek manzar wama remait jahan khuda khud ye keh raha hay
Ye dast dast-e-Nabi nahi hay ye dast-e-qudrat faqat mera hay
Ye ayek Manzar, shajar kay neechay Nabi bai’et kay waqat kehna
Ye dast-e-bai’et Nabi ka hay aur ye dast-e-usman doosra hay
Bachoon ko loriyoon man kahin maan Qureish ki
So jao meray laal ke maan gamgasar hay
Hay tum sy itna piyar, ke Rahman ki qasam
Jitna Qabeelay waloon ko usman say piyar hay
Alif ALLAH chambay de booti meri Man wich Murshid laye Hoo
Nafi As’bat da Pani,milseen har ragen har jaye Hoo
Har ja Booti mush’k machaya jan phulan tay Aaye Hoo
Jeeway Murshid Kamil Bahoo jien aih booti laye hoo
Eiman salamt har koi mangay Ish’q slamat koi Hoo
Mangan Eiman sharmawan ish’qoon dil noon Ghairat hoi Hoo
Jis Manzil noon ish’q pachaway Eiman noon khabar na koi hoo
Mera Ish’q salamt rakheen bahoo Eiman day-wan dharoi Hoo
Aih tan mera Chashman ho way tay man Murshid waikh na rajan Hoo
Loon loon day mudh lakh lakh Chash’man hik kholan hik kajjan Hoo
Itna dithiyan Sab’r na Aaway Hoo kitay wal bajjhan Hoo
Murshid da deedar hay bahoo menoon lakh kirorhan Hajjan Hoo
Baghdad shahar di kiya Nishani Auchian lamian cheeran hoo
Tan man sada purzay purzay jiyuon darzi diyan leeran Hoo
En’han leeran di gal kaf’ni pa-kay ral-san sang faqeeran Hoo
Baghdad sheher day Tuk’rhay mang’san Bahoo karsan meran meran Hoo
Aseeroon kay Mushkil kusha Gauth-e-Azam
Faqeeroon kay hajat rawa Gauth-e-Azam
Muredoon ko Khatra nahi bahr-e-gam say
Ke bairhay kay han na Khuda Gauth-e-Azam
Bhanwar man phansa hay hamara safeena
Bacha Gauth-e-Azam bacha Gauth-e-Azam
Jisay khalq kehtey hay piyar khuda ka
Usi ka hay too ladla Gauth-e-Azam
Meri mushkiloon ko bhi Aasan kardo
K ho Aap Mushkil kusha Gauth-e-Azam
Saroon pe jisay laitay han Taaj walay
Tumhara Qadam hay wo ya Gauth-e-Azam
Wahan sar jhukatay han sab aunchay aunchay
Jahan hay tera naqsh pa Gauth-e-Azam
Kahay kis say ja kar Hassan apne dal ki
Sunay kon teri siwa Gauth-e-Azam
Baghdad kay waali say yoon hi Piyar Karin gay
Ham un ky han un say yehi Iqrar krain gay
Thama hay jo daman shah-e-jeelan ka ham nay
Phir kar lo yaqeen Berha wo hi Paar Karin gay
Ham ko jo mila hay wo mila Gauth ka Sadqa
Ham daar pe charh kay bhi ye Izhar Karin gay
Kia kufur hay kia shirk hamain us say Garz kia
Ham Gauth kay han Gauth ka parchar Karin gay
Un ka hay karam sab pe shakeel Apna Yaqeen hay
Wo log han badbakat jo Inkar Karin gay
No Content Available
Dar-e-maikhana wa hota hay ab josh-e-aqeedat ka
Sharaab un kay tasawwur ki saboo un ki muhabbat ka
Nazar kay saamnay sab ahl-e-dil aur ahl-e-nisbat hain
Khudawand bharam rakhna meri nisbat, meray gam ka
Himayat man’ imamat man’ shujaat man’ hawadis man
Ali daawar’ Ali rahbar’ Ali Hayder Ali Mola
Koi aabid’ koi aarif’ koi aatif’ koi aakif
Koi aajiz’ koi aali’ koi aashiq nahi ayesa
Qinaat man qalandar wo sakhawat man samandar wo
Shujaat man laqab hay quwat-e-parwardigaar un ka
Wo saifullah’ wajhullah’ Damaad-e-Rasool-u-Allah
Wo hi shabeer ka baazoo, wohi sarmaya Zahra
Butoon ka sar jhukaanay man’ diloon man ghar banane man
Wohi zarb-ul-fatah nikla, wo hi Khyber shikan thihra
Ameerun wo jariyun wo shujaaun wo shaheedun
wo faseehun wo baleegun wo khitaabat par jahan shaida
meri izzat meri azmat’ meri ulfat meri nisbat
Ali Mola Ali Mola Ali Mola Ali Mola
Adeeb un ki muhabbat man agar aankhoon man ashak aaye
Idhar aankhoon man nam hoga udhar lutuf-o-karam hoga
Dehli Rajisthan Tumhara Ya Khawaja
Saara Hindustan Tumhara Ya Khawaja
Hind May Navve (90) Lakh Ko Kalma Padhwaya
Hum Per Hey Ahsaan Tumhara Ya Khawaja
Saara Ana sagar Kuze May Bhar Aaya
Sunte Hi Farmaan Tumhara Ya Khawaja
Aap Pe Hey Faizan Janab-e-Usman Ka
Hum Per Hey Faizan Tumhara Ya Khawaja
Faiz-e-Madeenah Milta Hey Ajmer Se Hi
Roza Hey Zeeshan Tumhara Ya Khawaja
In Dono Per Khaas Karam Tum Farmana
Shakir Aur Rizwan Tumhara Ya Khawaja
Syed Ko Taiybahh Ki Galiyan Dikhla Do
Hey Adnaa Darban Tumhara Ya Khawaja
Dukhtar-e-khatam-e-Rusul jaan-e-peyambar Fatimah
Aye waqar-e-boo Turabi, shaan-e-Hayder Fatimah
Rooh ki tashna labi ko Aap kausar, Fatimah
Sajdah gaah-e-ahl-e-imaan, Aap ka dar Fatimah
Lut raha tha karbala man Aap ka ghar’ Fatimah
Aap nay daikha hay mahshar’ qabl-e-mahshar, Fatimah
Aap ki nisbat hui ham ko muyassar’ Fatimah
Aap ki madhat hui apna Muqaddar Fatimah
Zab’t kay khoogar Ali thay, Sab’r kay khoogar Hussain
Aap ki hasti man hain donoon hi johar Fatimah
Zee has’b, aala nas’b, Zahrah laqab, zoo-ul-ihtiraam
Sab say aala sab say afzal’ sab say behtar Fatimah
Kham shehnshaahan-e-aalam ki jabeen hay daikh kar
Aap ka naqsh-e-kaf-e-paye mutahhar, Fatimah
Bandage kia, deen kia, imaan kia, Islaam kia
Mustafa, Shair-e-Khuda, shabeer-o-shabar Fatimah
Sarfuroshi ka sabaq day, sabar day, ayesaar day
Ab kahan ayesi koi aagosh-e-madar, Fatimah
Ar’sh hil jata agar faryad ko uthtay wo haath
Aap ne rkha unehain chakki ka khoogar, Fatimah
Mustafa kay aura aal-e-Mustafa kay hain Gulaam
Apnay daman man chupalain ye samjh kar, Fatimah
Khatimah bilkhair ho ish’q-e-Nabi man jab Adeeb
Dal dain Rahmat ki is mujrim pe chadar Fatimah
No Content Available
Fasloon ko Khudara mita do rukh say parda ab apnay hata do
Apna jalwa usi man dikhado jaliyoon pe nigahain jami han
Gauth-ul-Azam ho, Gauth-ul-Wara ho , Noor ho Noor-e-Salle Ala ho
Kia bayan aap ka martaba ho dastageer aur mushkil kusha ho
Aaj deedar apna karado jaliyoon pe nigahain jami han
Har wali Aap kay zair pa hay, har ada Mustafa ki ada hay
Aap nay Deen Zindah kia hay Doobtoon ko sahara dia hay
Meri kashti kinaray laga do jaliyoon pe nigahain jame han
Shiddat-e-Gam say gahbraya hoon, ab to jeenay say tang Aa gaya hoon
Har taraf Aap ko dhoondhta hoon aur ik ik say ye poochta hoon
Koi paigam ho to suna do jaliyoon pe nigahain jami han
Wajad man aye ga sara Aalam jab pukarain gay ya gauth-e-Azam
Wo nikal ayengay jaliyoon say aur qadmoon pe gir jayen gay ham
Phir kahain gay ke bigrhi bana do jaliyoon pe Nigahain jami han
Sun rahay han wo faryad meri khak hogi na barbad meri
Man kahin bhi maroon shah-e-jeelan rooh puhuchay gi Baghdad meri
Mujh ko parwaz kay laga do jaliyoon pe nigahain jami han
Fikr daikho kiyalat daikho ye aqeedat ye jazbat daikho
Man hoon kia meri oqat daikho samane kis ki hay zaat
Aye Adeeb apne sar ko jhuka do jaliyoon pe nigahain jame han
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Baghdadi noorey baazar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Tum ho hamarey
Hum heyn tumharey
Tum ho Nabi ke piyaarey
Har mushkil me Ghawth-e-A’azam
Tutey dilon ke saharey
Ujrhoon ko kar de gulzaar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Qutob, Awliyaa, Ghawth-o-Qalandar
Ek se ek hey barhkar
Saare Awliyaa den ge Salaami
Jaeyn ge Ghawth ke Dar par
Wo heyn Waliyon ke Sardaar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Chor ko pal meyn wali banaya
Nazar se bigrhi banaiy
Duobi kashti bara baras ki
Pal meyn paar lagaIy
Burhiya kehti thi har bar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Aise Ghawth ka hey ye hafiz
Chuote na haath se daman
Bigrhe kaam banaey Aaqa
Qurban un pe tan man
Wo karte heyn berha par
ALLAH ALLAH kiya kehna
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Baghdadi noorey bazaar
ALLAH ALLAH kiya keh na
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
habib kibriya ke humnawa Farooq Azam hain
yaqeenan mut-taqi o paarsa sa Farooq Azam hain
hai larzah un ke naam pak se shetan ka lashkar
jalal o shan mein be had judda Farooq Azam hain
nuzool aayat e furqan hoi tajweez par jin ke
khosha is Awj par jalva numa Farooq Azam hain
zamane ne sabaq seekha hai jin ki zaat se haq ka
wohi haan waaqif srr kkhuda Farooq Azam hain
kabhi un ki hayaat jaan fza parh kar zara dekho
tumhe maloom hoga phir ke kya Farooq Azam hain
dar-e Farooq se ae Arifa jo lena hai le lo
kkhuda ke fazl se haajat rava Farooq Azam hain
Hamaray dil say Zamane kay Gam Mita ya Rabb
Ho methay methay madeenay ka Gam Ata ya Rabb
Gam-e-Hayat abhi Rahatoon man dhal jayen
Teri ata ka ishara jo ho giya Ya Rabb
Paye Hussain-o-hassan Fatima Ali Hayder
Hamaray bigrhay hoi kaam day bana Ya Rabb
Hamari bigrhi hui aadatain nikal jayen
Milay gunahoon kay amradh say shifa Ya Rabb
Mujhay day Khud ko bhi aur saari dunya waloon ko
Sudharne ki Tarhp aur Hosla Ya Rabb
Hamaishah haath bhalye kay wastay uthain
Bachana zulum-o-Sitam say mujhay sada ya Rabb
Rahain bhalaye ki Rahoon man gamzan har dam
Karain na Rukh meray paoun gunah ka Ya Rabb
Gunahgar Talabgar-e-Afw-o-Rahmat hay
Azab sahnay ka kis man hay Hosla Ya Rabb
Ata ho Naiki ki dawat ka khoob jazba ke
Doon dhoom Sunnat-e-Mahboob ke macha Ya Rabb
Ata ho ham sab ko Qabool-e-Aam
Hamain Shuroor-o-Fitan say sada bacha Ya Rabb
Man Pul Siraat bila khof par kar loon ga
Teray karam ka sahara jo mil giya ya Rabb
Kahin ka Aah! Gunahoon nay ab nahi chorha
Azaab-e-Naar say Attar ko bacha Ya Rabb
Hui madah-e-peyambar aur hamd-e-khaliq-e-baari
Basad girya’ basad naala’ basad aah-o-basad zaari
Qalam hay dam bakhud’ jazbaat sakin’ rooh larzaan hay
Adeeb’ khatoon-e-Jannat’ Fatima Zahra ki hay baari
Kamala-e-Zikr-e-Zahra say agar hasti hui akmal
Jamaal-e-zikr-e-Noor-e-Fatima say dil bana ajmal
Tauqeer-e-Muhabbat hay ke ye Taseer-e-nisbat hay
Sukhun sanji hui ahsan zubaan daani hui afzal
Takhleeq man tasleem-o-Raza jin kay khasayel
Ma’soom mukhayyar’ mutsarrif’ mutkaffil
Sarkaar-e-do aalam ki tarah Fatima Zahra
Mushafiq’ mutabassim’ muthammil’ mutwakkil
Wo hamid-o-Mahmood ki ulfat ka Zahoor
Wo Rahmat-e-kul Qasim-e-maqsoom ka Noor
Ye shaan’ magar aalam-e-tasleem-o-raza
Cakki ki mushqqat’ ba tabassum manzoor
Shafeeun siraajun muneerun ki dukhtar
Shujaun shareefun shaheedun ki maadar
Wo hurmat khaatoon-e-jannat’ wo jannat ki hurmat
Ameerun jarun Ali jin kay shohar
Jis ko Rahman-o-Raheem-o-Rahmat-e-kul ka shauoor
Jis ko irfan-e-Muhammad’ jis ko faizaan-e-Rasool
Zee hasb’ aala nasab’ Zahra laqab’ zoo-ul-Ihtraam
Deednee-e-Mustafa aur deedah-e-Rahmat ka Noor
Hujjat kay liye hashar man hogi ye daleel
Har shay ko ata hogi bashar ki Soorat
Allah ki ye shakil kay khursheed-e-Jalal
Allah ka Quran, umar ki Soorat
Deen-e-Haq ki sar bulandi man Nabuwat ki Talab
Bargah-e-Rabbul Izaat man huwa ho jis pe Saad
Saari dunya hay shanshah-e-do aalam ki mureed
Aur umar Khud hain shanshah-e-do Aalam ki Muraad
Saff man jo ghus parhay wo liye Teeg shulah war
Sar kafiroon kay dosh pea aye na phir nazar
Haibat say un ki din man nikaltay na thay aduwe
Ratoon ko khawab man bhi pukarain umar umar
Larhnay man yoon to ayek say ayek bay misaal hay
Phir bhi diloon man khof umar ka ye haal hay
Hain mahir un harb kay baa ham ye mashwaray
Khattab kay pisar say larhaye mahaal hay
No Content Available
Jo tera tif’l hay kaamil hay ya Gauth tufaili ka laqab waasil ya Gauth
Tasawwuf teray maktab ka sabaq hay tasarruf par tera aamil hay ya Gauth
Teri sair-e-ilallah hi hay fillah ke ghar say chaltay hi mosil hay ya Gauth
To Noor-e-awwalo-aakhir hay mola tu khair-e-aajil-o-aajil hay ya Gauth
Malak kay kuch bashar kuch jin kay hain per tu sheikh aali-o-saafil hay ya Gauth
Kitaab-e-har dil aasaar tarruf teray daftar hi say naaqil hay ya Gauth
Futooh-ul-gaib agar roshan na farmaye futoohaat-o-fusoos aafal hay ya Gauth
Tera mansoob hay marfoo’e us ja izafat rafa’e ki aamil hay ya Gauth
Teray kaami mushaqqat say bari hain ke bar tar nasab say fayel hay ya Gauth
Hudan say Ahmad aur Ahmad say tujh ko kun aur sab kun makun haasil hay ya Gauth
Teri izzat, teri rifat tera fazal bifazlihi afzal-o-faazil hay ya Gauth
Teray jalway kay aagay mantiqa say mah-o-khor par khat baatil hay ya Gauth
Sayaahi maayel us ki chaandni aaye qamar ka yoon falak mayel hay ya Gauth
Tala-e-mahar hay texaal bahir ke khaarij markaz haamil hay ya Gauth
To barzakh hay barang noon-e-mannat do jaanib mutassil wasil hay ya Gauth
Nabi say aakhaz aur ummat par Fayez idhar qabil udhar fayel hay ya Gauth
Nateejah had-e-ausat gar kay day aur yahaan jab tak ke Tu shaamil hay ya Gauth
Ala Tooba lakum hay wo ke jin ka shabana roz wird dil hay ya Gauth
Ajam kesa arab hal kia Haram man jami har jaami teri mehfil hay ya Gauth
Hay sharah-e-is’m-Al-Qadir tera Naam ye sharah us matan ki haamil hay ya Gauth
Jabeen-e-jabah farsaaye ka zidal Teri deewar ki keh gal hay ya Gauth
Baja laya laya wo amar-e-saarioo ko teri jaanib jo mustajal hay ya Gauth
Teri qudrat to fitriyaat say hay ke Qadir Naam man dakhil hay ya Gauth
Tasrruf waalay sab mazhar hain teray to hi us parday man fayel hay ya Gauth
Raza kay kaam aur ruk jayen hasha
Tera sayel hay to bazal hay ya Gauth
kaisay kaaton rattiyan sabir
tarre ginat hon saiyan sabir
morey kar jo hook uthath hai
mo ko lgale chattiyan sabir
toree soortiyan pyari pyari
achi achi batian sabir
chhere ko –apne charno lgale
mein paron tory pyan sabir
doly naya mori bhanwar mein
balma pakdae bayan sabir
Khda ka khof zik’r-e-Mustafa sarmaya-e-Usman
Sarwar-o-kaif Qurb-e-Mustafa sarmaya Usman
Bayan sarkar ki madhat sada, paraya-e-Usman
Na tha ayesa na ab hoga koi ham paya-e-Usman
Na tha aayenah dil par gubar-e-asbiat un ky
Agar che thya hareef-e-hashmi ajdaad sab un kay
Safa-e-batni un mukadar ho na sakta tha
Koi is dil man ab tukhum-e-riqabat boo na sakta tha
Jihalat kay andhairoon say nikal kar Noor man Aaye
Qaraabat wo miley do Noor walay Aap kehlaye
Qadam hijrat ka Makkah say nikala Aap ne pehlay
Habsh ko deen ka bakhsha ujaala Aap ne pehlay
Wo dor-e-jahiliyat jo bhara tha Aab-e-gulgoon say
Haya’e walay kay lab na aashna thay us kay afsoon say
Haya’e kay zik’r ka jab bhi koi unwaan hota tha
Lab-e-shaah-e-Madeenah par faqat usman hota tha
Nabi irshaad farmatay kitaabat Aap kartay thay
Barhi dushwaar thi manzil’ ba asaani guzartay thay
Ishaarah par nabi kay maal sab qurbaan ho jata
Jo hatim aaj hota, Aap ka darbaan ho jata
Yahoodi ko dia kul maal, shereen aab kay badlay
Huay sairaab tashnah lab Muslaman’ beer-e-roomah say
Banay wo bai’et-e-Rizwaan man Taaj-e-fakh’r ka Turrah
Nabi ne haath bai’et man jab un kay Naam par rakha
Maraakash say milay Kabul kay danday ah’d man jin kay
Huay islaam kay zair-e-nageen’ dunya kay ye hissay
Turabulus aur Africa bana islaam ka Hissah
Bagawat misir ki torhi’ fatah qabras bhi kar daala
Huwa jab koh-e-larzaan’ Mustafa ne us say farmaya
Ke tujh par ik Nabi’ Siddique ik aur ik shaheed Aaya
Shahdat mu’atbar thi’ ayek din ayesa bhi hona tha
Sar-e-tasleem apna kham kia’ ayesa bhi hona tha
Shahadat ka wo lamha’ wo tahmmul’ sab’r ka paikar
Jo akhlaaq-e-kareemana ka thehra aakhri manzar
فَسَیَکْفِیْکَھُمْ Aayat pe jab khoon aap ka tapka
Quran ka har waraq daaman ko phailaye huway lapka
Qiamat man karain gay log jab Quraan ki batain
Karain gay saath hi wo Hazrat-e-Usman ki baatain
Utar kar khoon kay darya man jo koi ubharta hay
Hata kar zeest kay parday ziyarat haq ki karta hay
Nahi marta Adeeb us raah man, jab koi marta hay
Wo kab marta hay jo raah-e-shahadat say guzarta hay
Kis nay Nabi ka daman thama sab say pehlay barh kar wo Siddiq-e-Akbar
Kis nay uthaya baar-e-Imamat lay kar izin-e-peyambar wo Siddiq-e-Akbar
Hukum-e-Khuda say chorh chala jab Makkah deen ka Rahbar Naam Khuda ka laikar
Raah-e-Khuda man is dam jo shay nikli naqd peyambar wo Siddiq-e-Akbar
Ik din kis nay khawaab man daikha, jholi man chand Aaye aur phir ghar ghar aye
Deen-e-Muhammad ayesi bisharat lay kar Aya kis par wo Siddiq-e-Akbar
Rooh-e-Ameen darbar-e-Nabi man Taat pehan kar Aaye jhuk kar Haal sunaye
Ahl-e-falak ka pehnawa hay aaj ye kis ki ada par wo Siddiq-e-Akbar
Jin kay daman ki paaki par Rooh-e-Qudus ka Aana Soorat Noor sunana
Ayesi Hurmat waali Umm-e-Ummat jin ki dukhtar wo Siddiq-e-Akbar
Jin ka ah’d-e-Risaalat, barash abr-e-karam ki bay had unka Naam-e-Muhammad
Pathar jin kay dor-e-khilafat man thay laal-o-jawahir wo Siddiq-e-Akbar
Kiya Husn-e-iftikhar hey Yaad-e-Husaiyn meyn,
Har ash’q ik bahaar hey Yaad-e-Husaiyn meyn
Darbar-e-Mustafa ki fazeelat na poochhiye,
Insaan ka Waqaar hey Yaad-e-Husaiyn meyn
Har ash’q kalima parhtey heyn bar Deen-e-Mustafa,
Kiya Hus’n-e-yaadgaar hey yaad-e-Husaiyn mein
WALLAH sar ba sar hey wo Eiman ka Sukoon,
Jo qal’b-e-Beqaraar hey yaad-e-Husaiyn meyn
Dil zindagi meyn kaiyse na ho khul’d aashiyaan,
Islaam ki bahaar hey yaad-e-Husaiyn mein
No Content Available
Meray tarz-e-sukhun ki jaan hain gul bhi gulustaan bhi
Mera husun-e-bayan hay khaar bhi chaak-e-giraiban bhi
Meray daaman man, jugnoo hain jahan aur chand taaray bhi
Isi daaman man rakhtaa hoon kuch aahian aur shararay bhi
Jo meri umar ka hasil hay zik’r-e-Mustafa karna
Taqaza-e-Muhabbat hay bayan-e-karbala karna
Taqaza hay zameer-e-shayer haq go ki fitrat ka
Ke haq goi-o-baibaki pe mabni ho sukhun us ka
Bayan sayyid-ush-shuhadaa’e ki jab tamheed hoti hay
Wo hi ahad-e-wafa kay rasam ki tajdeed hoti hay
Hussain ibn-e-Ali, sabt-e-peyambar, sharf-e-Insaani
Wo jis kay rukh pet hi Noor-e-Muhammad ki farawani
Shaheed-e-karbala tareekh ka unwaan hay goya
Hussain ib’n-e-Ali har qal’b man mehmaan hay goya
Bataya’ kis tarah kartay hain ummat ki nigahbaani
Sikhaya, kis tarah rakhtay hain sajdoon man ye paishaani
Jalaya us ne zulmat man charaag-e-Noor-e-imaan
Ye sab kuch jaantay thay phir usay daitay na thay paani
Buhut hi mukhtasar’ bandoon say Rab ka fasla nikla
Haram say lay kay ahl-e-bait ko, jab qaflah nikla
Amaamah baandh kar ah’d-e-wafa ka, Karbala Jana
Tha ummat kay liye Maqsood un raahoon ka dikhlana
Wo rahain jo urooj-e-aadmiat ka sabab thihreen
Zawaal-e-zulum thehreen, Haq parastoon ka laqab thehreen
Arab ki sar zameen’ taptay huway sehra, khazaan kay din
Safar man thay Rasool-e-hashmi ki jaan-e-jaan kay din
Ye manzil aazmayesh ki barhi dushwaar hoti hay
Fiza man zahar hota hay, hawa aazar hoti hay
Jab hasti mard-e-momin ki supard-e-daar hoti hay
To saye kay liye sar par faqat talwaar hoti hay
Wo jis ki shaan man thi aayah tatheer-e-Qurani
Isi ki ahl-e-koofah nay kia naizoon say mehmani
Talab Nana say kausar ki shafaa’et ki sufarah bhi
Nawasay par wohi karnay lagay teroon ki barish bhi
Jalay khaimay badan chalni thay khoon man tar qabayen then
Khuda ko jo pasand aati hain wo saari adayen theen
Wo chehray Noor kay thay, gird jin kay Noor kay haalay
Banay wo khaak-o-khoon man ayek ho kar karbala waalay
Wo chehray wo badan jo ish’q ka israar hotay hain
Gubaar-e-khaak say un kay kafan tayar hotay hain
Na hota gar Muhammad ka gharaana ayesi mazal par
Tu urh jaata faraug deen ka mustaqbal dhuwan ban kar
Salaam us par ke jo Haq kay liye sar bhi kata aaya
Salaam us par jo ummat kay liye ghar bhi luta aaya
Salaam us par mera jo khoon kay darya man tera hay
Salaam us par ke jo Nana kay parcham ka pheraira hay
Salaam us par ke jis ne zindagi ko zindagi bakhshi
Saroon ko sar bulandi aur zauq-e-bandagi bakhshi
Salaam us par ke jo dosh-e-peyambar ki sawaari hay
Salaam us par ke jannat jis kay ghar ki raahdari hay
Teer seenay pe, barchi push’t par jhailay huway insaan
Salaam aye Fatimah ki god man khailay huway insaan
Buhut Aasan hay zik’r-e-shaheed-e-karbala karna
Daroon-e-qal’b mushkil hay wohi haalat bapa karna
Shaheed-e-karbala kay zikr ka mujh par jawaab Aaya
Ke teri Zaat man ab tak na koi inqilaab aaya
Saraasar aabroo bin gairat-e-sharam-o-haya ho ja
Agar mujh say Muhabbat hay to mera naq’sh-e-pa ho ja
Meray tarz-e-sukhun ki jaan hain gul bhi gulustaan bhi
Mera husun-e-bayan hay khaar bhi chaak-e-giraiban bhi
Meray daaman man, jugnoo hain jahan aur chand taaray bhi
Isi daaman man rakhtaa hoon kuch aahian aur shararay bhi
Jo meri umar ka hasil hay zik’r-e-Mustafa karna
Taqaza-e-Muhabbat hay bayan-e-karbala karna
Taqaza hay zameer-e-shayer haq go ki fitrat ka
Ke haq goi-o-baibaki pe mabni ho sukhun us ka
Bayan sayyid-ush-shuhadaa’e ki jab tamheed hoti hay
Wo hi ahad-e-wafa kay rasam ki tajdeed hoti hay
Hussain ibn-e-Ali, sabt-e-peyambar, sharf-e-Insaani
Wo jis kay rukh pet hi Noor-e-Muhammad ki farawani
Shaheed-e-karbala tareekh ka unwaan hay goya
Hussain ib’n-e-Ali har qal’b man mehmaan hay goya
Bataya’ kis tarah kartay hain ummat ki nigahbaani
Sikhaya, kis tarah rakhtay hain sajdoon man ye paishaani
Jalaya us ne zulmat man charaag-e-Noor-e-imaan
Ye sab kuch jaantay thay phir usay daitay na thay paani
Buhut hi mukhtasar’ bandoon say Rab ka fasla nikla
Haram say lay kay ahl-e-bait ko, jab qaflah nikla
Amaamah baandh kar ah’d-e-wafa ka, Karbala Jana
Tha ummat kay liye Maqsood un raahoon ka dikhlana
Wo rahain jo urooj-e-aadmiat ka sabab thihreen
Zawaal-e-zulum thehreen, Haq parastoon ka laqab thehreen
Arab ki sar zameen’ taptay huway sehra, khazaan kay din
Safar man thay Rasool-e-hashmi ki jaan-e-jaan kay din
Ye manzil aazmayesh ki barhi dushwaar hoti hay
Fiza man zahar hota hay, hawa aazar hoti hay
Jab hasti mard-e-momin ki supard-e-daar hoti hay
To saye kay liye sar par faqat talwaar hoti hay
Wo jis ki shaan man thi aayah tatheer-e-Qurani
Isi ki ahl-e-koofah nay kia naizoon say mehmani
Talab Nana say kausar ki shafaa’et ki sufarah bhi
Nawasay par wohi karnay lagay teroon ki barish bhi
Jalay khaimay badan chalni thay khoon man tar qabayen then
Khuda ko jo pasand aati hain wo saari adayen theen
Wo chehray Noor kay thay, gird jin kay Noor kay haalay
Banay wo khaak-o-khoon man ayek ho kar karbala waalay
Wo chehray wo badan jo ish’q ka israar hotay hain
Gubaar-e-khaak say un kay kafan tayar hotay hain
Na hota gar Muhammad ka gharaana ayesi mazal par
Tu urh jaata faraug deen ka mustaqbal dhuwan ban kar
Salaam us par ke jo Haq kay liye sar bhi kata aaya
Salaam us par jo ummat kay liye ghar bhi luta aaya
Salaam us par mera jo khoon kay darya man tera hay
Salaam us par ke jo Nana kay parcham ka pheraira hay
Salaam us par ke jis ne zindagi ko zindagi bakhshi
Saroon ko sar bulandi aur zauq-e-bandagi bakhshi
Salaam us par ke jo dosh-e-peyambar ki sawaari hay
Salaam us par ke jannat jis kay ghar ki raahdari hay
Teer seenay pe, barchi push’t par jhailay huway insaan
Salaam aye Fatimah ki god man khailay huway insaan
Buhut Aasan hay zik’r-e-shaheed-e-karbala karna
Daroon-e-qal’b mushkil hay wohi haalat bapa karna
Shaheed-e-karbala kay zikr ka mujh par jawaab Aaya
Ke teri Zaat man ab tak na koi inqilaab aaya
Saraasar aabroo bin gairat-e-sharam-o-haya ho ja
Agar mujh say Muhabbat hay to mera naq’sh-e-pa ho ja
Main tuo Panjatan ka ghulaam huon
Mujhay ishq hey to Khuda sey hey, mujhey ish’q hey to Rasool hey
Merey munh sey aaey Mahak sadaa, juo main Naam luon tera bhool ke
Mujhey ish’q sar-wo-saman se heyn, mujhay ish’q sarey chaman sey heyn
Mujhay ishq Un ki gali sey hey, mujhay ishq hey Un key watan sey hey
Mujhey ish’q heyn to Ali sey hey, mujhey ish’q hey to Hassan sey hey
Mujhey ish’q hey to Husaiyn sey, mujhay ish’q Shah-e-Zaman sey hey
Men to panjatan ka ghulaam huon
Huwa kesey Tan sey wo Sar judaa, jahan ish’q ho wahein Kar’bala
Meri baat un hi ki baat hey, merey saamnay Wo hi zaat hey
Wo jin ko shayr-e-Khuda kaheyn, jinhein Baab-e- Salle-Alaa kaheyn
Wo jin ko aal-e-Nabi kaheyn, wo jin ko zaat-e-Ali kahein
Wo hi puk’ta heyn meyn tuo khaam hun
Meyn to Panjatan ka ghulaam hun
Mangtoon pe Nazar Ya ganj-e-shakar Aabad rahay tera pakpatan
Aye Khuwaja Qutub kay nor-e-Nazar Aabad Rahay Tera pak patan
Teri deed ko apni Eid kahian, sab tujh ko Fareed Fareed kahain
Daitay han Sada Khuwaja Kalyar aabad Rahay tera Pak patan
Yoon baba teri barat saji, peechay han wali Aagay han Nabi
Nabiyoon kay Nabi bhi Teray ghar Aabad rahay Tera pak patan
Sehray ki Rangat Ajmeri, han Noor kay Taaray Hajwairi
Makhdoom-o-Nizam Parhain Mil kar Aabad rahay Tera Pak patan
Man Kiyoon na Fareed Fareed Kahoon, Man Kiyoon na Teri chokhat chomoon
Hay dar Tera Jannat ka ghar Aabad Rahay Tera Pak patan
Ho Khair Gareeb Nawazi ki, Bharo jholi Gareeb Niazi ki
Hoti hay yaheen Mangtoon ki guzar Aabad Rahay Tera Pak patan
Manzar fizaye deher mein sara Ali ka hai
jis simt daikhta hon nzarah Ali ka hai
dunyae aashtee ki phaban Mujtaba husn
lakht jigar nabi ka to pyara Ali ka hai
hasti ki aabb o taab Hussain aasmaa janab
Zohra ka laal raaj Dulara Ali ka hai
Marhab do name hai sir Khyber para sun-hwa
uthnay ka ab nahi ke yeh mara Ali ka hai
kal ka jamal Mazhar kal mein aks raiz
ghoray pay hain Hussain nzarah Ali ka hai
ae arz pak tujh ko mubarak ke tairay paas
parcham nabi ka chaand sitaara Ali ka hai
ahal hawas ki luqmah tar par rahi nazar
nan joyn pay sirf guzaraa Ali ka hai
tum dakhal day rahay ho aqeedat ke baab mein
dekho maamla yeh hamara Ali ka hai
hain fiqr mast chahanay walay Ali ke hain
dil par hamaray sirf Ijara Ali ka hai
assaar parh ke mehdi dauraa ke yun laga
jaisay zahuur woh bhi dobarah Ali ka hai
duniya mein aur kon hai apna bajuz Ali
hum be kson ko hai to sahara Ali ka hai
to kya hai aur kya hai tairay ilm ki bisaat
tujh par karam Naseer yeh sara Ali ka hai
Markaz-e-Siddiq-o-Safa markaz-e-imaan Siddiq
Mashaf-e-ishiq-o-Mahabbat kay nigahbaan Siddiq
Isim-e-Azam hain junoon kosh Mahabbat kay laye
Hosh waloon kay liye Naqsh-e-sulaiman Siddiq
Kamand-e-aqal man aye karay khird Tahqeeq
Nigah man jo smaye nazar karay toseeq
Hay jibreel ki parwaaz say paray jo maqaam
Hain is maqaam ki tasdeeq kay liye Sidddiq
Pabosi gulaab say mitti hay mushk-e-tar
Paars ki ayek lamha rafaaqat hay qadr zar
Pahloo ho Mustafa ka muyyasr jisay adeeb
Kia kehaye kia hay apnay maraatib man wo bashar
Kaatib taqdeer ka junbash man jab Aaya qalam
Manziloon say ma wara puhunchay faqeeroon kay qadam
Masjid-e-Nabvi man ik din jaan Nisaar-e-Mustafa
Thay Musallay par Imaam aur muqtadi shah-e-umam
Hain parstaaar-e-Muhammad bay hisaab-o-bay shumaar
Zee waqar-o-sar buland-o-sarfurosh jaan Nisaar
Han magar tasdeeq kay hain martabay kuch is tarah
Yaar-e-hijrat, yaar, gazwah, yaar-e-bazam-o-yaar-e-gaar
Tashna ka maan-e-Haqeeqat ko hain kausar Siddiq
Karwaan-e-rah-e-ulfat ko hain Rahbar Siddiq
Khatam hoga na kabhi silslah ishq adeeb
Ish’q kay Rabb hain, Mahabbat kay peyamber Siddiq
muftiِ Azam barri sarkar hai
jabkay adna sa gadda attar hai
muftiِ Azam se hum ko pyar hai
in sha allah apna bera paar hai
muftiِ Azam Raza ka laadla
aur Muhib syed Abrar hai
aalam o mufti fiqiya be badal
khoob khush ikhlaq o bakirdar hai
tajdar ehley snnt almdd
banda e dar be kis o nachar hai
tkhtِ Shahi kya karoon mere liye
taaj izzat aap ki paizaar hai
aala hazrat ka rahon mein bawafa
istiqamat ki dua darkaar hai
astane par khara hai ik gadda
talbِ ashqِ Sheh abrar hai
muskura kar ik nazar gir dekh lo
meri shamِ gham abhi gulzaar hai
mere dil ko shaad farma dijiye
ranj o gham ki qalb par yalghaar hai
sidi Ahmed Raza ka vaastaa
tera mangta talbِ deedar hai
hoon gunaaho ke marz se name jaan
drdِ esiyan ki dawa darkaar hai
haath phela kar mradiN maang lo
saailo un ka sakhi darbaar hai
in sha allah mughfirat ho jaye gi
ae walii! teri dua darkaar hai
khoob khidmat sntoN ki mein karoon
sidi teri dua darkaar hai
kash noori ke sagun mein ho shumaar
yeh tamnnaye dil e attar hai
Na khanqah kay bahir na khanqah man hay
Jo boo turaab ka rutbah meri nigah man hay
Yehi hay dolat-e-imaan-o-eilam-o-aqal-o-yaqeen
Ali ko jis ne pukaara hay wo panah man hay
Gar jahan-e-fikr man darkar hay ik inqilaab
Fikr ki rahoon say uth kar ishq ka ho hamar kaab
Chak kar daaman fasoon-e-falsafah ka, marker
Ayek na’rah ya ali mushkil kusha ya boo turaab
Bahaal-e-gam dil-e-bay taab ra qarar’ ali
Kareem-o-bandah nawaz-o-karam shi’aar ali
Kharaab haal-o-khata kaar-o-dil-e-shikastah raa
Khata muaaf’ khuda taras’ gamgasaar’ ali
Har gardash-e-ayyam pe jo galib hay
Har naara-e-inqilaab ka jo qaalib hay
Har lamha-e-mushkil man talab hay jis ki
Wo Naam’ ali ibn-e-abi talib hay
Zi khaak-e-paye ala ma falak madaar shudaim
Ze lutuf-e-chasham-e-ala fasal-e-no bahaar shudaim
Hain cha faiz raseedi ze bosa-e-na’elain
Gunahgar ke boodaim-o-taajdar shudaim
No Content Available
Peeran waliyoon kay Imam day do panjtan kay Naam
Man nay jholi hay phailaye barhi dair say
Dalo Nazr-e-Karam ik bar apnay mangtoon pe sarkar
Man ne Aas hay lagaye barhi dair say
Dil ki kali to Aaj khili hay Aap aaye han khabar miley hay
Zara dheray dheray Aaow Zara dheray dheray Aaow
Lillah Nazr-e-karam farmao man Mihfil hay sajaye barhi dair say
Charoon Taraf hay gam kay andhairay Madad ko Aao Aaqa meray
Tumhain wasta Nabi ka day do Sadqa Ali ka
Man ne bapta hay Sunaye barhi dair say
Kar do karam ka ik Ishara mil jaye kashti ko kinara
Rakh lo Peeran laj hamari man hoon mangti tumhari
Man ne bapta hay Sunaye barhi dair say
Peeran waliyoon kay Imam day do panjtan kay Naam
Man ne jholi hay phailaye barhi dair say
Peeran-e-Peer Lajpal Meeran Noor-e-Nabi Mustafa kay Lal meeran
Peeran-e-Peer Lajpal Meeran
Khak Qadam ka man Surma banaon Raah man Teri man palkain bichaon
Mahboob Rabb-e-Zuljalal Meeran Peeran-e-Peer Lajpal Meeran
Sar pe Wilayat ka hay Taaj wala Noor-e-Nabi ka hay Kandhay pe do shala
Panj Tani Rukh pe hay Jalal Meeran Peeran-e-Peer Lajpal Meeran
Qadri Sakhawat kay charchay barhay han Gauth-o-Qutub haath bandhay kharhay han
Kar rahay han sab ko mala mal meeran Peeran-e-Peer Lajpal Meeran
Waliyoon nay qadmoon man garden jhukaye saya Fagan tum pe hay Mustafaye
Aap ki nahi Koi Misal Meeran Peeran peer lajpal Meeran
Aasi kay dil ko Madeenah Bana do Noor-e-Muhammad kay jalway saja do
Kardo karam Peer ba kamal Meeran Peer-e-Peer Lajpal Meeran
No Content Available
Ras ba faryad Ya Shah-e-Baghdad
Waqat-e-Imdad Ya shah-e-Baghdad
Teray dar kay Gulam Hazir han
Sun lay Faryad Ya shah-e-Baghdad
Ik Nigah-e-Karam kay Talib han
Dil ho Aabad Ya shah-e-Baghdad
Mushkilain Door ho gayen saari
Jab Kia Yad Ya shah-e-Baghdad
Mujh ko har dil man Nazar Ata hay
To hi Abad ya shah-e-Baghdad
Teray dar ka faqeer hay Mahmood
Kar day Ab shad Ya shah-e-Baghdad
Rukh-e-Mahboob-e-Subhani kay Sadqay
Man is Noorani kay Sadqay
Shah-e-Aqleem-e-irfani kay Sadqay
Janab Gauth-e-Samdani kay Sadqay
Mueen uddin Ajmeri kay Qurban
Muhi uddin Jilani kay Sadqay
Bana hay seena Gulzar-e-Khaleeli
Man Dard-e-phani kay Sadqay
Tasadduq mah-e-Jabeenoon par zamana
Man apnay Peer Lathani kay Sadqay
Fida Baidam Ali kay ladaloon par
Rasoolullah kay jani kay Sadqay
Sarkar Gauth-e-Azam Nazr-e-karam Khudara
Mera khali kasa bhardo man Faqeer hoon tumhara
Jholi ko meri bhardo warna kahay gi Dunya
Ayesay sakhi ka mangta phirta hay mara mara
Mola Ali ka Sadqa ganj-e-Shakar ka Sadqa
Meri laaj Rakh lo ya Gauth-e-Azam man Faqeer hoon Tumhara
Sab ka koi na koi Dunya man Aasra hay
Mera ba juz Tumharay koi nahi sahara
Daman pasaray dar pe Lakhoon wali kharhay han
Hota hay teray dar say konain ka guzara
Ye Tera karam mujh par ke bula lia hay dar par
Kahan roo siyah fareedi kahan Aastan tumhara
Sayyiyan Lillah Ya Abdul Qadir Sakin-ul-Baghdad Ya Shaikh-ul-Jeelani
Idhar bhi Nigah-e-karam Gauth-e-Azam
Karo door Ranj-o-Alam Gauth-e-Azam
Sayyiyan Lillah Ya Abdul Qadir Sakin-ul-Baghdad Ya Shaikh-ul-Jeelani
Ghira hoon man har simit say ranj-o-Gam man
Khudara ho mujh pe karam Gauth-e-Azam
Sayyiyan Lillah Ya Abdul Qadir Sakin-ul-Baghdad Ya Shaikh-ul-Jeelani
Wo Rutba hay tera ke jitney wali han
Han sab Teray zayr-e-Qadam Gauth-e-Azam
Sayyiyan Lillah Ya Abdul Qadir Sakin-ul-Baghdad Ya Shaikh-ul-Jeelani
Hay Gardan man Teri Gulami ka Patta
Tujhi say hay Mera Bharam Gauth-e-Azam
Sayyiyan Lillah Ya Abdul Qadir Sakin-ul-Baghdad Ya Shaikh-ul-Jeelani
Mera Har Marz door ho jaye pal man
Karo ayesa Aa kar kay Dam Gauth-e-Azam
Sayyiyan Lillah Ya Abdul Qadir Sakin-ul-Baghdad Ya Shaikh-ul-Jeelani
Shah-e-daiwah nagar jaan-e-shah-e-Umam Warith-ul-Olya shah-e-Warith Ali
Sadqa Panjtan ho Nigah-e-karam wraith-ul-Olya shah-e-warith Ali
Muzhir zaat ho Muzhir Zaat ho Panjtan ki Nishani ho Saadat ho
Aap ki Zaat-e-Aqdas Sarapa Karam Warith-ul-Olya shah-e-Warith Ali
Saj rahi shah-e-warith ki baraat hay han Jam’e Olya Noori Barsat hay
Sab kay daman bharain gay Khuda ki Qasam Warith-ul-Olya shah-e-Warith Ali
Naam-e-Warith hay Anbar Wazeefah mera aur Salamat Rahay Warthi Aastan
Meray wraith han warith nahin koi Gam warith-ul-Olya shah-e-Warith Ali
Shah-e-Jeelan ba man Zar-o-Praishan madaday
Noor-e-Aeynain Nabi Sayyed-o-Sultan Madaday
Ma Garaibaim, Gareebul Watni hay Aaqa
Chasham-e-Rahmat bakusha sooy-e-Gareeban Madaday
Hazir Baroor-e-Pak to Basad Ranj-o-Alam
Aye Maseeha-e-Zaman, Esa-e-Doran madaday
Bar dil-e-Murda-e-man yak nazar-e-Lutuf bakun
Peer Peeran-e-Jahan Murshid Pakan madaday
Ashrafi Aamad-e-dar Halat-e-Peeri ba dart
Dastageeri ba kuni Hamee-e-Peeran Madady
Tera zarrah mah kaamil hay ya Gauth tera qatrah yam saayel hay ya Gauth
Koi saalak hay ya waasil hay ya Gauth wo kuch bhi ho tera saayel hay ya Gauth
Qad-e-bay saaya-e-zil-e-kibriya hay to us bay saya-e-zil ka zil hay yaa Gauth
Teri jaageer man hay sharq ta garb qalamar-o-man haram ta hill hay ya Gauth
Dil ishq-o-rukh husun aayena hain aur in donoon man tera zil hay ya Gauth
Teri shama’e dil aara ki tab-o-taab gul-o-bulbul ki aab-o-gul hay ya Gauth
Tera majnoon tera sehra tera najad teri laila tera mahmal hya Gauth
Ye teri champaye rangat hussaini husun kay chaand subhuh-e-dil hay yaa Gauth
Gulustaan zaar teri pankhrhi hay kuli so khuld ka haasil hay ya Gauth
Ugaal us ka udhaar abraar ka ho jisay tera ulash haasil hay ya Gauth
Ishaarah man kia jis ne qamar chaak to us mah ka mah-e-kaamil hay ya Gauth
Jisay arsh-e-dom kehtay hain aflaak wo teri kursi-e-manzil hay ya Gauth
Tu apne waqat ka Siddiq-e-akbar Gani-o-Hyeder-e-aadil hay ya Gauth
Wali kia mursal aayen Khud Huzoor aayen wo teri waez ki mehfil hay ya Gauth
Jisay maangay na payen jaah waalay wo bin maangay tujhay haasil hay ya Gauth
Fuyooz-e-aalam ummi say tujh iyaan maazi-o-mustaqbil hay ya Gauth
Jo qarnoon sayar man aarif na payen wo teri pehli hi manzil hay ya Gauth
Malak mashgool hain us ki sana man jo tera zaakir –o-shaagil hay ya Gauth
Na kiyoon ho teri manzil arsh saani ke arsh-e-haq teri manzil hay ya Gath
Wahien say ublay hain saatoon samandar jo teri nahar ka saahil hya ya Gath
Malayek kay bashar kay jin kay halqay teri dho maah har manzil hya ya Gauth
Bukhaara-e-iarq-o-chisht-o-ajmair teri lo shama’e har mehfil hay ya Gauth
Jo tera Naam lay zaakir hay piyaaray Tasawwar jo karay shaagil hay ya gauth
Jo sar day kar tera soda khareeday Khuda day aqal wo aaqil hya Gauth
Kaha tu ne ke jo mango milay ga
Raza tujh say tera sayel hay ya Gauth
Tera Naam Pak Mueen Uddin Too Rasool-e-Pak ki Aal hay
Teri shan Khuwaja Khuwajgan tujhay baikasoon ka Khiyal hay
Mera Bighra waqat Sanwar day, Meray Khuwaja Mujh ko Nawaz day
Teri Ik Nigah ki baat hay meri zindagi ka sawal hay
Yahan bheek Milti hay Bay Gaman, Ye Barhay sakhi ka hay Aastan
Yahan sab ki bharti han jhooliyan ye dar-e-Gareeb Nawaz hay
Man Gada-e-Khawaja-e-chisht hoon Mujhay us Gadaye pe Naaz hay
Mujhay Naaz Khuwaja pe Kiyoon na ho Mera khuwaja banda Nawaz hay
Teri Faizan-e-bay Had say kisay Inkar hay Warith
Ke Ham jesay Gareeboon ka too hi Gamkhuwar hay warith
Meri kashti hay Toofan-e-Hawadith kay Thapherhoon man
Ab ayesay waqat man teri madad darkar hay warith
Adab hay Mane’a Izhar warna Saaf keh daita
Ke Deedar-e-Muhammad Aap ka Deedar hay warith
Hareem Naaz say bahir kisi din Zahmat jalwah
Ke Muddat say zamana
Teri madah khawan har zaban Gauth-e-Azam
Tera Naam Momin ki jan Gauth-e-Azam
Panah-e-Gareeban teri Zaat-e-wala
Tera ghar hay Darul Aman Gauth-e-Azam
Teri Jadd-e-Amjad han Noor-e-Ilahi
Hay Noori tera khandan Gauth-e-Azam
Teri waez man Aa kay shah-e-Arab nay
Barhaye teri Izz-o-shan Gauth-e-Azam
Milay gi hamain teray daman kay neechay
Do aalam man aman wa Aman Gauth-e-Azam
Zara Sidq-e-dil say pukaro to un ko
Abhi jalwa gar hoon yahan Gauth-e-Azam
Jameel ab hoon sakit Maqam-e-Adab hay
Kahan Tera mun aur kahan Gauth-e-Azam
Teri shan shan Yad-o-Ilahi too Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, shan Yad-o-Ilahi
Na ho kaba kiyoon tera Aastan, teri Nisbatain han qarar-e-Jaan
Teri Nisbatoon hi pe Naaz hay too Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Teri dar say Daag-e-Jabeen Mila, ye Nishan Kitna Haseen mila
Ye Naaz Hasil Naaz hay, Too barha Gareeb Nawaz hay
Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Too Mueen Ummat-e-Mustafa, too Suboot-e-Rahmat-e-Mustafa
Too Ata-e-Meer-e-Hijaz hay Too Barha Gareeb Nawaz hay teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Hamain to nay Apna Bana lia, Gam do jahan say bacha lia
Tera dast jo do Raaz hay too Barha Gareeb Nawaz hay teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Teray kaif-e-Zikr say jhoom lain teray Aastanay ko choom lain
Yehi Aashiqoon ki Nimaz hay to Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Too Habeeb zaat-e-Ilah hay, Too hi baikasoon ki panah hay
Too Kareem-o-Bandah Nawaz hay, Too Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Jo suni Gaye sar-e-Karbala, hay Teri Sada bhi wo hai Sada
Wo hi Nagma wo hi Saaz hay too Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, Shan-e-Yad-o-Ilahi
Na Ginay Gaye wo shumar say, jo palay han Teray Diyar say
Darr-e-Faiz Aaj bhi Baaz hay Too Barha Gareeb Nawaz hay Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi
Teri shan-e-Anjum Benwa, kisi Haal man bhi na likh saka
Too Khuda-e-Paak ka Raaz hay too Barha Gareeb nawaz hay
Teri shan, shan-e-Yad-o-Ilahi.
Teri takreem man teri ta’zeem man kis ko shak hay bhala karbala karbala
Phir bhi mera qalam, tujh say shikway raqam aaj karnay chala karbala karbala
To faraat aashna’ tujh man dajlah rawan phir bhi aal-e-Muhammad ki sookhi zuban
Teray mehmaan thay, apnay mehmaan say to ne ye kia kia karbala karbala
Wastah un kay aaba’e ka day kar agar, mangtaa apnay seenah man zam zam ka ghar
Ik karshima dikhata wahan bhi Khuda, kiyoon na maangi dua karbala karbala
Raat ho din ho jab un kay hiltay jo lab, apne khaimoon man Quraan parhtay thay sab
To ne daikha ye sab, to ne khud bhi suna aur kuch na kia karbala karbala
Jin kay ahl-e-haram Noor-e-mastoor-e-Haq, chadrain jin kay sar ki quraan ka waraq
Jin kay khaimoon kay parday gilaaf-e-Haram, un ko loota giya karbala karbala
Aarzoo iltija hasratain manatain, jin kay qadmoon kay bosay ko hoorain karian
Ayesi shahzadiyan aur barbadian, to ne daikha kia karbala karbala
Wo sakeenah thi jo gam say mosoom thi, kitne maasoom thi kitne magmoom thi
Poochti phir rahi thi har ik say pata, to nay kia ke dia karbala karbala
Nasal say bu lahab ki wo do haath thay jin man naizah tha naizay pe far’q-e-Hussain
Kaash! Hotay Nabi to utarti wahan phir say karbala karbala
Ahl-e-bait aur un ki Muhabbat adeeb, ye muqaddar ye qismat’ ye roshan naseeb
Is wazeefah say raazi hay mujh say Khuda daikh ye martaba karbala karbala
Tujh ko Pukarta hoon Aye Khuwaja Ajmeri
Kar day Nigah Mujh par qismat badal day meri
Dar,dar kahan phiroon man , tujh par hi Mar Mitoon man
Man ho gaya hoon tera ab laaj rakh lay meri
Mushtaq-e-Deed laakhoon kab say Tarhap rahay han
Day iszin-e-Haziri ab kis baat ki hay dairi
Ho Teri zaat say wo nisbat mujhay bhi Hasil
Jab bhi pukaroon tujh ko to baat sun lay meri
Pichlay baras to ki thi Ajmair ki Ziyarat
Is saal meray Khuwaja phir Haziri ho meri
Ho jaye kaash poori Mahmood ki Tamanna
Ho har taraf ujala chat jaye ye andhairey
Us Husaiyn Ibne Haddar pei lakhoun salam
Kar liya nosh jis ne shahdat ka jaam
Jis ko Dhoke se Koufe bulaya gaya
Jis ke bachoon ko Piyasa rulaya gaya
Khanjar zulm jis par chalaya gaya
Us ki kamil shahadat pa lakhoun salam
Jis ne haq Karbala ka aada kar diya
Jis ne Nana ka wa’ada wafa kar diya
Jis ne kumba-e-kumba fida kar diya
Baadshah-e-sakhawat pe lakhoon salam
Jis ko ummat ka gham hi satata raha
Ashq gharoun mein jo bhi bahata raha
Jo muqaddar hamare banata raha
Us ki sab Aal-o-Ishrat pe lakhoon salam
Jis ke shohar par khanjar chalaya gaya
Jis ke bethe ko khoon mein nehlaya gaya
Jis ki beti ko qaidi banaya gaya
Us khatoon-e-qayamat pe lakhoon salam
Samne jis ke Akbar zibaah ho gaye
Goad meyn jis ke Asghar tarapte rahe
Jis ko ummat ne teeroon ka tohfa diya
Us shaheed-e-Mohabbat pe lakhoon salam
Zer-e-khanjar bhi haq baat jis ne kahi
Chot par chot seene pe jis ne sahi
Jis ki Sugra Madeenah men roti rahi
Us ki Saaleb shahadat pe lakhoon salam
Wo qaraar-e-dil Sarwar-e-anbiya
Jaan-e-a’alam jigar ghosha-e-murtadhaa
walida jin ki hey Sayyidah Tahirah
Us nasab ki sharafat pe lakhoun salam
No Content Available
Wah kia martabah aye Ghauth hay Baala Tera
Ounchay Ounchoon kay Saroon say Qadam A’la Tera
Sar bhala kia koi jane ko hay kesa Tera
Oliya maltay han Aankhain wo hay Talwa Tera
Kia dabay jis pe Himayat ka ho Panja Tera
Shair ko khatray man laata nahi Kutta Tera
Qsmain day day ke khilata hay, Pilata hay Tujhay
Piyara ALLAH Tera chahne wala Tera
Kiyoon na Qasim ho k Too ibn-e-Qasim hay
Kiyoon na qadir ho k Mukhtar hay baba Tera
Ibn-e-Zuh’ra ko Mubarak ho uroos-e-Qud’rat
Qadri payen Tasadduq meray Dulha Tera
Bad sahi, chor sahi, mujrim wa nakara sahi
Aye wo kesa hi sahi hay too Kareema Tera
Fakhr Aaqa man Raza aur bhi ik Nazam Rafee
Chal likha layen Sana khawanoon man chehra tera
No Content Available
Us Hussain ibn-e-Hayder pe lakhoon Salaam
Kar lia nosh jis ne shahadat ka jaam
Jis ko dhokay say koofay bulaya gaya jis ko baithay bithaye Sataya gaya
Jis kay bachoon ko piyasa rulaya gaya jis ki garden pe khanjar chalaya gaya
Us Hussain ibn-e-Hyder pe lakhoon Salaam
Jis ka jannat say jorha mangaya gaya jis ko dosh-e-Nabi pe bithaya gaya
Zahar bhai ko jis kay pilaya gaya jis ko teroon say chalne karaya gaya
Us Hussain ibn-e-Hyder pe lakhoon Salaam
Jis ne Haq karbala man ada kar dia apnay Nana wada wafa kardia
Sab kuch ummat ki khatir fida kar dia ghar ka ghar hi supard-e-Khuda kar dia
Us Hussain ibn-e-Hyder pe lakhoon Salaam
Kar chuka wo Habeeb apni Hujjat Tamam lay ke ALLAH aur apne Nana ka Naam
Koofiyoon ko sunaye Khuda kay klam aur fida ho gaya wo wahin tashna kam
Us Hussain ibn-e-Hyder pe lakhoon Salaam
Zeenat-e-dosh-e-Mustafa tujh ko mera salaam hay
Noor-e-Nigah Fatimah tujh ko mera salaam hay
Manzal-e-hast-o-bood man kon abad maqam hay
Diakh raha hoon man Hussain ayek Tera hi Naam hay
Kashta-e-khanjar-e-tasleem-o-raza tujh ko Salaam
Mash’el-e-Noor-e-Muhammad ki Zia tujh ko Salaam
Nikaht-e-boo-e-gulustaan-e-wafa tujh ko Salaam
Aabroo-e-sadaf sadaq-o-Safa tujh ko Salaam
Aaya na ho ga is tarah rang-o-shabab rait par
Gulshan-e-Fatimah kay thay saray gulab rait par
Jaan-e-batool kay siwa koi nahi khila saka
Qatra-e-Aab kay bagair itnay gulaab rait par
Tarsay Hussain aab ko man jo kahoon too bay adab
Lums-e-lab-e-Hussain ko tarsa hay aab rait par
Ish’q man kia lutaye ishq man kia bachaye
Aal-e-Nabi ne likh dia sara Nisaab rat par
Lazzat-e-sozash-e-bilaal, shoq-e-shahadat-e-Hussain
Jis nay lia yoonhi lia apna khitaab rat par
Jitney sawal ishq aal-e-Rasool say kiye
Ayek say barh kay ik dia sab ne jawaab rait par
Aal-e-Nabi ka kaam tha Aal-e-Nabi hi kar gay
Koi na likh saka Adeeb ayesi kitaab rait par
Aaye to kaatne kay liye sab kay paas marg
Rishta jo aadmi kay badan say hay jaan ka
Us tarah sy kisi ki tawadhu’e nahi hui
Khoon-e-shaheed kay liye daaman Quraan ka
Udhar tarteel-e-Qurani’ koi tarmeem Naa Mumkin
Jo aayat Hukum jo laye’ amal ayesa hi karna hay
Idhar tarteeb-e-usmani ke jo soorat jahan rakh di
Qiamat tak isi tarteeb say Quran parhna hay
To ne bhi ajab shaan dikhaye hay khudaya
Jab teeg nay khoon, Hazrat-e-usman bahaya
Girnay na dia qatrah khoon pehlay zameen par
Rahmat ne teri daaman-e-Quraan bichaya
Az Adam ta Muhammad Mustafa koi nahi ayesa
Ke jin kay aqad man do baitiyaan hon ik peyambar ki
Ho kis kis baat ki tareef Zu-ul-Noorain kay haq man
Haya’e ki, Mustafa ki dosti ki, ya Muqaddar ki
Wo ayek manzar wama remait jahan khuda khud ye keh raha hay
Ye dast dast-e-Nabi nahi hay ye dast-e-qudrat faqat mera hay
Ye ayek Manzar, shajar kay neechay Nabi bai’et kay waqat kehna
Ye dast-e-bai’et Nabi ka hay aur ye dast-e-usman doosra hay
Bachoon ko loriyoon man kahin maan Qureish ki
So jao meray laal ke maan gamgasar hay
Hay tum sy itna piyar, ke Rahman ki qasam
Jitna Qabeelay waloon ko usman say piyar hay
Alif ALLAH chambay de booti meri Man wich Murshid laye Hoo
Nafi As’bat da Pani,milseen har ragen har jaye Hoo
Har ja Booti mush’k machaya jan phulan tay Aaye Hoo
Jeeway Murshid Kamil Bahoo jien aih booti laye hoo
Eiman salamt har koi mangay Ish’q slamat koi Hoo
Mangan Eiman sharmawan ish’qoon dil noon Ghairat hoi Hoo
Jis Manzil noon ish’q pachaway Eiman noon khabar na koi hoo
Mera Ish’q salamt rakheen bahoo Eiman day-wan dharoi Hoo
Aih tan mera Chashman ho way tay man Murshid waikh na rajan Hoo
Loon loon day mudh lakh lakh Chash’man hik kholan hik kajjan Hoo
Itna dithiyan Sab’r na Aaway Hoo kitay wal bajjhan Hoo
Murshid da deedar hay bahoo menoon lakh kirorhan Hajjan Hoo
Baghdad shahar di kiya Nishani Auchian lamian cheeran hoo
Tan man sada purzay purzay jiyuon darzi diyan leeran Hoo
En’han leeran di gal kaf’ni pa-kay ral-san sang faqeeran Hoo
Baghdad sheher day Tuk’rhay mang’san Bahoo karsan meran meran Hoo
Aseeroon kay Mushkil kusha Gauth-e-Azam
Faqeeroon kay hajat rawa Gauth-e-Azam
Muredoon ko Khatra nahi bahr-e-gam say
Ke bairhay kay han na Khuda Gauth-e-Azam
Bhanwar man phansa hay hamara safeena
Bacha Gauth-e-Azam bacha Gauth-e-Azam
Jisay khalq kehtey hay piyar khuda ka
Usi ka hay too ladla Gauth-e-Azam
Meri mushkiloon ko bhi Aasan kardo
K ho Aap Mushkil kusha Gauth-e-Azam
Saroon pe jisay laitay han Taaj walay
Tumhara Qadam hay wo ya Gauth-e-Azam
Wahan sar jhukatay han sab aunchay aunchay
Jahan hay tera naqsh pa Gauth-e-Azam
Kahay kis say ja kar Hassan apne dal ki
Sunay kon teri siwa Gauth-e-Azam