Aey Shahanshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam
Zeenat-e ar’sh-e-mu’alla, Assalat-o-wassalam
Rabbi-habli-Ummati keh’te huway paida huway
Rabb ne farmaya ke bakhsha Assalat-o-wassalaam
Aey shahanshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam,
Zeenat-e-ar’sh-e mu’alla, Assalat-o-wassalam
sar jhuka kar ba-adab ishq-e Rasool ALLAH mayn,
keh raha he har sitara Assalat-o-wassalam
Aey Shahanshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam
Zeenat-e-ar’sh-e mu’alla, Assalat-o-wassalam
mu’mino parhthay raho tum apnay Aaqa par durood
he firishtoon ka wazifah, Assalat-o-wassalam
aey shahenshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam,
zeenat-e-ar’she mu’alla, Assalat-o-wassalam
meyn wo sunni hun jamil-e-Qadri marney ke ba’d
mayra laasha bhi kahe ga Assalat-o-wassalam
aey shahenshah-e-Madeenah Assalat-o-wassalam
Zeenat-e-ar’she mu’ALLAH, Assalat-o-wassalam
jab firishtay qab’r mein jalwa dhikhayen aap ka
ho zabban par piyaare Aaqa, Assalat-o-wassalam,
aey shahenshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam,
Zeenat-e-ar’sh-e mu’ALLAH, Assalat-o-wassalam.
Amina ka jisay chand kehte hay khalq
Is mih-e-aoj-e-azmat pe lakhoon salam
Chand taroon ko jis say milain tabishain
Us kay jalwoon ki wusat pe lakhoon salam
Jis ki izzat kay waday khuda nay liye
Us ki toqeer-o-izzat pe lakhoon salam
Jis ne daikha jamal-e-khuda bay Hijab
Us ki aine shahadat pe lakhoon salam
Jis ne man zar qabri ka mujdah dia
Us ki noori turbat pe lakhoon salam
Jis ki har junbash-e-lab hay waqaf-e-dua
Us dua, us ijabat pe lakhoon salam
Dast basta dhia chal kay phir kijiye
Apne Aaqa ki turbat pe lakhoon salam
As salat kyu salam ae suroor aliiiii maqam
As salat kyu salam ae rehbar jumla anaam
As salat kyu salam ae Mazhar zaat salam
As salat kyu salam ae paiker husn tamam
As salat kyu salam as salat kyu salam
Ae nabiyo ke nabi aur ae rasoolo ke Imam
Ya habib allah anta mahbitul wahyi al mubin
Anni muznibun sayyadi anta shafiul muznibin
Ya rasool allah anta sadiqul wadil amin
Ya Nabi allah anta rahmatul lulaalamin
As salat kyu salam as salat kyu salam
ae nabiyo ke nabi aur ae rasoolo ke Imam
Aye deen-e-Haq kay rahbar tum par salam har dam
Meray shafee’a mahshar tum par salam har dam
Bandah tumharay dar ka Aafat man mubtala hay
Raham aye Habeeb-e-Dawar Tum salam har dam
Daryozah gar hoon man bhi adna sa is gali ka
Lutuf-o-karam ho mujh par Tum par salam har dam
Koi nahi hay mera man kis say dad chahoon
Sultan bandah parwar Tum par salam har dam
Muhtaj say Tumharay kartay han sab kinarah
Bas ik Tum hi ho yawar Tum par Salam har dam
Koi nahi hamara ham kis kay dar pe jayen
Aye bay kasoon kay yawar tum par Salam har dam
Apne gada-e-Dar ki lijiye khabar khudara
Kejiye karam Hassan par Tum par salam har dam
Aye Madeenay kay Tajdar Tujhay ahl-e-Eiman salam kehtay han
Teri Ushaq Teray deewanay, jan-e-Janan salam kehtay han
Teri furqat man bay qarar han jo Tayyibah say dil fagar han
Wo talabgar-e-deedar ro ro kar aye meri Jaan salam kehtay han
Jin ko Dunya kay Gam satatay han Thokrain dar badar jo khatay han
Gam Naseeboon kay charah gar tum ko wo paraishan salam kehtay han
Ishq-e-sarwar man jo Tarhptay han Haziri kay liye machaltay han
Izin-e-Tayyibah ki Aas man Aaqa wo pur arman salam kehtay han
Teri rozay ki Jaliyoon kay Qareen sari dunya say meray sar dardeen
Kitnay Khush bakhat roz Aa Aa kar teray Mehman Salam kehtay han
Aarzoo-e-Haram hay seenay man ab to bulwaye Madeenay man
Tujh say Tujh hi ko Mangtay han jo wo Muslman Salam kehtay han
Aap Attar kioon piraishan han Aasiyoon par bhi wo mehrban han
Wo karam khas un par kartay han jo Muslman Salam kehtay han
Aye Saba lay ja Madeenay ko Piyaam ar’dh kar day un say ba sad Ihtiram
Aye Makeen-e-Gunbad-e-Khadhra salam
Aye shakeeb-e-har dil-e-shaida salam
Ab Madeenay man mujhay Bulwaye apni baikas par karam farmaye
Bulbul-e-bay par pe ho jaye karam Aashiyanash dih bagulzar-e-haram
Hind ka jangal mujhay bhata nahi bas gye Aankhoon man Tayyibah ki Zameen
Zindagi kay han Madeenay man mazay ayesh jo chahay Madeenay ko chalay
Hay Madeena chashma-e-Aab-e-Hayat Zindagi ko hay Madeenay man Sibat
Khuld ki khatir Madeena chorh doon ein khiyal as’t wa Mahaal as’t wa junoon
Khuld kay Talib say keh do bay guman Talib Tayyibah ki Talib hay janan
Mujh say pehlay mera dil Hazir huwa ar’dh-e-Tayyibah kis qadar hay Dilruba
Kitne piyari Madeenay ki chamak Roshani hay ta falak
Kitne bhene hay Madeenay ki Mahak bas gaye boo-e-Madeenah ar’sh tak
Ya Rasool ALLAH az rahmat nagar dar baqee’a Pak khawaham mustaqar
Bas anokhi hay Madeenay ki bahar Rash’k-e-Sad gul han usi gulshan kay khar
Kitne roshan hay yahan har aik shab har taraf hay tabish-e-mah-e-arab
Kia Madeenay ko Zaroorat chand ki Maah-e-Tayyibah ki hay har soo chandne
Noor walay sahib-e-me’raj han mih’r-e-mah un kay sabhi muhtaj han
Aye khosha bakht-e-rasaye ikhtarat baaz Aawardi gada ra bardarat
No Content Available
No Content Available
No Content Available
No Content Available
No Content Available
Gul-e-bag-e-Risalat pe Lakhoon Salam
Us bahar-e-shareeat pe lakhoon Salam
Jis kay saye man aasi chupain Hashar man
Aisay daman-e-Rahmat pe Lakhoon salam
Jis ki aagosh-e-Rahmat nay ham ko lia
Us ki ulfat, Mahabbat pe Lakhoon salam
Fik’r-e-Ummat man jis kay katay roz-o-shab
Aisay hami Ummat pe lakhoon Salam
Jis ki Soorat say Zahir ho Shan-e-Khuda
Ayesi Noorani Soorat pe lakhoon Salam
Jis ne Aalam do Aalam ko mahka dia
Us ki Zulfoon ki nikhat pe lakhoon Salam
Jis say Mahmood Roshan kiye do Jahan
Us ki shama’e-e-Hidayat pe lakhoon Salam
No Content Available
No Content Available
No Content Available
Khayr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Darood aur Lakhoon Salaam
Jinn-o-Malayek Tere Ghulaam
Sab se siwa hey Tera Maqaam
Yaseen-O-Taha Tere hi Naam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Darood aur Lakhoon Salaam
A’ala se A’ala Tera Maqaam
Sab Ambiyaa ka Tu hey IMAAM
Kul Auliya heyn Tere Ghulaam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Darood aur Lakhoon Salaam
Ar’sh-e-bareen tak Char’cha Tera
Shams-o-Qamar hey Sadaqah Tera
Ye Mah-e-kamil Hus’n-e-Tamam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Darood aur Lakhoon Salaam
Sab ko mayassar ho ye maqaam
Puhuncheyn Madeeney bankar Ghulam
Parhte Durood aur Parhte Salam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Durood aur Lakhoon Salaam
It’na Karam to Far’maiye
Rauwze pe sab ko bul’waiye
Haazir yahaan heyn jit’ne ghulaam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Durood aur Lakhoon Salaam
Teri Sana’a hey mera Naseeb
Qurbaan Tujh par Jaayen Adeeb
Tujh par Tassaduq Aalam tamaam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Durood aur Lakhon Salaam
Khuld-e-bareen khoob hay aarasta
Farsh say ta ar’sh hay perasta
Aao chalay aao barha tay qadam
Dair say Mushtaq han aamad kay ham
Aye meray Mahboob salamun Alaik
Aye meray Matloob Salamun alaik
Aao chalay Aao ke qudsi Tamam
Bandhay huway Saf han baraye salam
Aao chalay aao ke Rizwan-e-khuld
Tum pe Tasdeeq karay saman-e-khuld
Aye meray Mahboob salamun Alaik
Aye meray Matloob Salamun alaik
Ye to bayan hay shab-e-Mi’raj ka
Zik’r Rasoloon kay sartaj ka
Kia kahay baichara Ameer Faqeer
Jab kahay khud Rabb-e-Jaleel-o-Qadeer
Aye Meray Mahboob salamun Alaik
Aye meray Matloob salamun Alaik
No Content Available
Madeenay kay zayer un say kehna
Tarhptay han teray Gulam Un say kehna
Ho jab samne sabz-e-Gunbad Tumharay
Nigah-e-Aqeedat say Daman Pisaray
Hay Hazir Tumhara Gulam Un say kehna
Madeenay kay Zayer Salam Un say kehna
Barhi chahatoon say hay Is dar ko Paya
Parha hi rahoon dar na chootay Tumhara
Na jaon ga ab tashna kaam un say kehna
Madeenay kay zayer salam un say kehna
Isey Aarzoo man guzratay rahay din
K puhunchain Diyar-e-Nabi ham bhi lakin
Nahi hay koi Intizam Un say kehna
Madeenay kay zayer Un say salam kehna
Guma is Tarah shaha apni wila man
Khumar-e-Muhabbat ho har ik ada man
Yoon hi ho basar Subuh wa sham Un say kehna
Madeenay kay Zayer Salam Un say kehna
Shareeat pe Uthay Mera jo Qadam ho
Wazeefa Teray Naam ka dam badam ho
Ye Umar yoon hi Tamam Un say kehna
Madeenay kay Zayer Salam un say kehna
Dikha do Anas ko wo dilkash Nizaray
Tarastay han jin ko Muslman saray
Ye batain basad Ihtiram Un say kehna
Madeenay kay Zayer Salam Un say kehna
Mahboob-e-Kibrya say mera salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera salam kehna
Tujh par khuda ki Rahmat Aye Aazim Madeena Noor-e-Muhammadi say Roshan ho Tera Seena
Jab Sahil-e-Arab par punhunchay Tera Safeena Is waqat Sar jhuka kar Lillah ba Qareena
Mahboob-e-Kibrya say Mera Salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera Salam kehna
Sahil pe Aatay Aatay mojoon ko choom laina
Mojoon kay bad dilkash zarroon ko choom laina
Is pak sar zameen ki Rahoon ko choom laina
Pholoon ko choom laina Kantoon ko choom laina
Mahboob-e-Kibrya say mera Salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera salam kehna
Rah-e-Talab ki Lazzat jab Qal’b ko Maza day
Ish’q-e-Nabi Mursal jab Rooh ko Jila day Jab soz-e-Aashiqana Jazbat ko jaga day hasti ka Zarrah Zarrah jab Aah ki Sada day
Washam’s ki dhia say mera salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera salam kehna
Darbar-e-Mustafa ki Hasil ho jab Huzoori Paish-e-Nazar ho jis dam wo bargah-e-Noori
Ho Door Ranj-o-kulfat Mit jaye fikr-e-doori Deedar-e-Mustafa ki jab Aarzoo ho Poori
Mahboob-e-Kibriya say mera salam kehna
Sultan-e-Anbiya say mera salam kehna
Rozay ki jaliyoon kay jis dam qareeb ja Ro Ro ke hal-e-Muslim sarkar ko sunana
Bay sakhta machlna josh-e-junoon dikhana seenay man bhi basana Aankhoon man bhi basana
Phir noor-e-haq Numa say mera say salam kehna

Mahboob-e-Zulkaram tak mera salam lay ja
Sultan-e-Zee Hasham tak mera salam lay ja
Shanshah-e-ajam tak mera salam lay ja
Darbar-e-Muhtram tak mera salam lay ja
Bad-e-Saba! Haram tak mera salam lay ja
Bazm-e-shah-e-Um tak mera salam lay ja
Phir aye Saba! Adab say mera salam kehna
Sarkar-e-do jahan say mera salam kehna
Meray Sultan-e-ba waqar Salam
Shehr Yaroon kay shehr yar Salam
Aye shah-e-Ar’sh-e-Iqtidar Salam
Aye Madeenay kay tajdar Salam
Aye Gareeboon kay Gamgasar salam
Mearay malja pe, meray mawa par
Meray sarwar pe meray mola par
Meary malik pe meray data par
Meray piyaray pe meray Aaqa par
Meri janib say lakh bar salam
Jab ke meri Talash Hashar man ho
Banda ruswa na kash Hashar man ho
Lutuf-e-Haq Lutuf pash Hashar man ho
Parda mra na fash Hashar man ho
Aye meray Haq kay raz dar salam
Pur musrat raha Qiyamat man
Mahw-e-Midhat raha qiyamat man
Zair-e-Rahmat raha Qiyamat man
Wo slamat raha Qiyamat man
Parh liye jis ne dil say char salam
Mohni Awaz walay
Gaib walay, Raz walay
Bay kasoon kay naz walay
Ho karam, aijaz walay
Ya nabi salamun Alaik
Ya Rasool Salamun Alaik
Ya Habeeb Salamun Alaik
Salwat Allah Alaik
Sarwar-e-har do jahan ho
Gam gasar-e-bay kasan ho
Rahnima-e-rahbran ho
Tum hi meer-e-Karwan ho
Ya nabi salamun Alaik
Ya Rasool Salamun Alaik
Ya Habeeb Salamun Alaik
Salwat Allah Alaik
Aik deewana mila tha
Paon sab kay parh raha tha
Ho kay Baikal ro raha tha
Dast basta keh raha tha
Ya nabi salamun Alaik
Ya Rasool Salamun Alaik
Ya Habeeb Salamun Alaik
Salwat Allah Alaik
mustafa shan-e qudrat pay lakhoon salam
awaleen naqash-e khalqat pay lakhoon salam
qaail wahdah lashrik lh
Mahi bidat pay pay lakhoon salam
bheer mein choom len Shah ki jallain
ae nazar teri himmat pay lakhoon salam
kis ki chokhat pay day raha hai to sada
ae gadda teri qismat pay lakhoon salam
un ki aamad ka sun kar jo hoga bapaa
aisay shore qayamat pay lakhoon salam
chaar yaranِ hazrat pay har dam duroood
un ke dour khilafat pay lakhoon salam
shahِ baghdad Ghaus alori Mohi den
abro e tareqat pay lakhoon salam
kiijiye band ankhen Naseer aur phir
bhijie un ki soorat pay lakhoon salam
No Content Available
No Content Available
No Content Available
No Content Available
Rasool-e-Muazam Salamun Alaikum
Nabi-e-Mukaram salamun Alaikum
Sana teri karta hay quran kay andar
Khuda-e-do aalam, Salamun Alaikum
Teri yad man ayesi sa’at bhi Aaye
Meri aankh ho nam salamun Alaikum
Ye Rabb ki ata hay, ye Rab ka karam hay
Sana khawan teray ham salamun alaikum
Hamain hay bharwasa shafat pe teri
Mita hashar ka Gam salamun alaikum
Qiyamat kay din saari makhlooq hogi
Teray zayer-e-parcham salamun alaikum
Ye daikha hay aksar huwa dard-e-furqat
Teray Zik’r say kam salamun alaikum
Laboon par rahay is Riaz-e-Hazeen kay
Tera Zik’r har dam Salamun alaikum
Sab say a’la Izzat waly Galba-o-Qahar-o-Taqat walay
Khidmat walay Karamat walay Tum par lakhoon Salam
Tum par lakhoon Salam
Rabb kay Piyaray raj dularay ham han tumharay Tum ho hamaray
Aye Daman-e-Rahmat walay Tum par lakhoon salam
Tum par lakhoon salam
A’rsh-e-Ula par Rabb nay Bulaya Apna Jalwa-e-Khas dikha ya
Khalwat walay jalwat walay Tum par Lakhoon Salam
Tum par lakhoon Salam
Aap ka Khadim hay farsh ki Nuzhat Aur qadam hay Ar’sh ki Zeenat
Husun-o-Jamal-o-Latafat walay Tum pe Lakhoon Salam
Tum pe Lakhoon Salam
Khawab man apna jalwa Dikhao Noori ko tm Noori Banao
Aye chamkailey Rangat walay Tum pe Lakhoon Salam
Tum pe Lakhoon Salam
sab se aala izzat walay
ghalba o qehar o taaqat walay
hurmat walay karamat walay
tum par lakhoon salam
zahir bahar siyadat walay
ghalib Qaher Riyasat walay
qowat walay Shahadat walay
tum par lakhoon salam
noore ilm o hikmat walay
nafiz jari hukoomat walay
rab ki aala khilafat walay
tum par lakhoon salam
aap ka chaha rab ka chaha
rab ka chaha aap ka chaha
rab se aisi chahat walay
tum par lakhoon salam
Sab se Awola wa A’ala hamara Nabi
Sab se Baala-o-A’ala hamara Nabi
Apne Mouwla ka piyara hamara Nabi
Dono Aalam ka Duolha hamara Nabi
Baz’m-e-Aakhir ka Sham’a faroza huwa
Noor-e-awwal ka Jalwa hamara Nabi
Bujh gayin jis ke aage sabhi mash’aleyn
Sham’a wo le ke aaya hamara Nabi
Jis ke Talwon ka dhuowan he aab-e-Hayaat
Hey wo Jaan-e-Maseeha hamara Nabi
Khalq se Auwliyaa Auwliyaa se Rusul
Aur Rasoolon se A’ala hamara Nabi
Jayse sab ka Khuda ek hey wayse hi
In ka un ka tumhara hamara Nabi
Kuwn deta he dene ko mun chahiye
Dene Waala he sacha hamara Nabi
Kiya khabar kitne taare khile chhup gaey
Par na doobe na dooba hamara Nabi
Saare uonchon meyn uoncha samajhye jise
Hey us uonche se uoncha hamara Nabi
Gham zadoun ko Raza muzdah dijiye ke he
Be-kason ka sahara hamara Nabi
Sahib-e-taj-e-izzat pe lakhoon salam
Waqif-e-raz-e-fitrat pe lakhoon salam
Qasim-e-kanz-e-Nemat pe lakhoon salam
Mustafa jan-e-Rahmat pe lakhoon salam
Shame’a bazm-e-hidayat pe lakhoon salam
Jis ko bay chain Rakhta tha ummat ka gam
Naik-o-bad par raha jis ka yaksan karam
Wo Habeeb-e-Khuda, wo shafee-e-umam
Shehr yar iram, Taaj dar-e-Haram
No bahar-e-safat pe lakhoon salam
Khawaja taash Naseer Sana khawan, Raza
Wo birali kay Ahmad Raza khan Raza
La kay Saf man Mujhay un kay darban, Raza
Mujh say khidmat ky qudsi kahain han Raza
Mustafa jan-e-Rahmat pe lakhoon Salam
Salamun Alaik aye Habeeb-e-Khuda
Salamun Alaik Aye Haqeeqat numa
Salamun Alaik Aye Madadgar-e-deen
Salamun Alaik aye shah-e-anbiya
Salamun Alaik aye shifa-e-khaleel
Salamun Alaik aye shah-e-doosra
Salamun Alaik aye Haseen-o-Jameel
Salamun Aalik aye mah-e-Asfiya
Salamun Alaik aye mueen-e-khaleel
Salamun Alaik aye karam aashna
Baroz-e-jaza aasiyoon kay liye
Nahi koi hami tumharay siwa
Han mushtaq muddat deedar kay
Dikha do hamian chehra-e-pur Zia
Bura hay judai man Ahmad ka hal
Dil-o-jaan say wo Aap par hay fida
Shams-u-Dhuha par lakhoon salam
Badar-u-Duja par lakhoon Salam
A’la say A’la Tera maqam sab anbiya ka Too hay Imam
Kul olya man Teray Gulam Shams-u-Dhuha par Lakhoon Salam
Hay Hukmarani kis shan say Qaim hay Teray Faizan say
Dunya-o-Deen ka Sara Nizam Shams-u-Dhuha Par lakhoon salam
Har rukh say Eiman hay Surkhuroo Zahir bhi to hay Batin bhi Too
Dil man Durood Lab par Salam
Shams-u-Dhuha par lakhoon Salam
Teri A’ta ki kia baat hay abr-e-karam ki barsat hay
Radd-e-bala hay tera hay Naam Shams-u-Dhuha par lakhoon Salam
Sab Pal rahay han dar say teray
Sab pa rahay han Ghar say teray
Is man nahin hay koi kalam Shams-u-Dhuha par Lakhoon Salam
Itna Karam to farmaye Rozay pe sab ko Bulwaye
Hazir yahan han jitney Gulam shams-u-Dhuaha par Lakhoon par Salam
Anjum kay Aaqa Anjum hi kia Teray bhikarai Teray Gada
Saray Khawas aur saray Awam Shams-u-Dhuha par lakhoon par Lakhoon Salam
No Content Available
No Content Available
No Content Available
No Content Available
No Content Available
Ya Habeeb-e-Ahmad-e-Mujtaba Dil-e-mubtala ka salam lo
Man Talab say baz na Aaon ga to karam ka haath barhaye ja
Jo teray karam say han Aashna usi Aashna ka salam lo
Meri Haziri ho Madeenay man milay Lutuf mujh ko bhi jeenay man
Tera Noor ho meray seenay man meri us Dua ka salam lo
Wo Hussain jis ne chirhak kay khoon chaman-e-wafa ko hara kia
Us jan nisar ka wasta k har ik gada ka salam lo
Koi mar raha hay behshat par koi chahta hay nijat ko
Man tujhi ko chahoon Khuda karay meri is dua ka salam lo
Tamam olya kay buland sar han Qadam pe jin kay jhukay huway
Usi piyaray Gauth ka wasta ham bay kasoon ka salam lo.
Ya Nabi Salam Alaik Ya Rasool Salam Alaik
Ya habeeb Salam Alaik Salawatullah Alaik
Tale-Al-Badru Alaina Min Thaniyatil Wada’e
Ya Nabi salam Alaik
An’t Shamsun An’t Badarun An’t Loorun Fauq Noorun
An’t wa aali an’t Misbah-ul Sudoore
Ya Nabi Salam Alaik
Ya habeebi Ya Muhammad Ya Uroosul Khafiqeen
Ya Muwayyadu Ya Muhammad Ya Imam-Al-Qiblatain
Ya Nabi Salam Alaik
Ya Nabi Salamun Alaik
Ya Rasool Salamun Alaik
Rahmatoon kay Taj Walay
Do jahan kay Raaj walay
Ar’sh kay Miraj walay
Aasiyoon kay Laaj walay
Ya Nabi Salamun Alaik , Ya Rasool Salamun Alaik
Ya Rasool Salamun Alaik , Salwatullah Alaik
Hay hasrat dar pe Aayen
Ashak kay darya bahain
Daag seenay kay dikhayen
Saamnay ho kar sunayen
Ya Nabi Salamun Alaik , Ya Rasool Salamun Alaik
Ya Rasool Salamun Alaik , Salwatullah Alaik
Jaan kar kafi sahara
Lay lia hay dar tumhara
Khalq kay waris khudara
Lo salam ab to hamara
Ya Nabi Salamun Alaik , Ya Rasool Salamun Alaik
Ya Rasool Salamun Alaik , Salwatullah Alaik
Meray mola , meray sarwar
Hay yehi arman akbar
Pehlay qadmoon man rakhay sar
Phir kahay ye sar ko utha kar
Ya Nabi Salamun Alaik , Ya Rasool Salamun Alaik
Ya Rasool Salamun Alaik , Salwatullah Alaik
Ya Nabi Tum pe bar bar salam
Bay adad aur bay shumar salam
Roz-e-awwal say lay kay tabah abad
Aap par roz soo hazar salam
Ye bhi thorha hay aap ki khatir
Bhaijiye karor bar salam
A’rz karta hoon ya Rasoolallah
Kafi khasta wa nazar salam
Sayyed-e-kainat-o-kharul anam
Un kay opar hazar bar salam
Ya shaf-Al-Wara Salamun Alaik
Ya Nabi-Al-Huda Salamun Alaik
Khatim-ul-Anbia Salamun Alaik
Sayyid-ul-Asfia Salamun Alaik
Lailatu isra bihi Qalatil Anbia
Marhaba Marhaba Salamun Alaik
Wajibun Hubbuk Alal Makhlooq
Ya Habeeb-Al-ula Salamun Alaik
A’Zam-Al-Khalq Ashraf-Ul-Shurfa
Afdhal-Al-Azkia Salamun Alaik
Innak Maqsadi wa Maljaye
Innak Muddua Salamun Alaik
Ashfaye Ya Habeebi Yom-Al-Jaza
A’nt shafiuna Salamun Alaik
Sayyidi Ya Habeebi Molaye
Lak Qalbi Fidak Salamun Alaik
Haza Qolu Ulamik Ishqi
Minhu Ya Mustafa Salamun Alaik
Ye qaul sach hay Habeeb-e-dawar, Durood Tum par Salam Tum par
Tumhara koi nahi hay hamsar, Durood Tum par Salam Tum par
Ham aasiyoon ka sahara tum ho, ke jis ko dil say pukara tum ho
Ho rahnma Tum , Tumehain ho rahbar, Durood Tum par Salam Tum par
Tumhara rutba hay ouncha sab say, ke tum ho aala-o-bala sab say
Ho chand tum to Sahaba Akhtar, Durood Tum par Salam Tum par
Ho dhoop mahshar man taiz jis din, Tapash say sab kay badan jalay hoon
Ata ho rahmat ki ham ko chadar, Durood Tum par Salam Tum par
Nuzool-e-Rahmat Tumharay dam say, Husool-e-barkat tumhari nisbat
Rasool-e-Akram Huzoor-e-Anwar, Durood Tum par Salam Tum par
Sha’oor jeewan Tumhi nay bakhsha, Tumhi nay rasta dikhaya seedha
Tum hi ho bhatkay huwoon kay Rahbar , Durood Tum par Salam Tum par
Quloob-e-aalam man bastay Tum ho, ke Rooh-e-Dunya man rahtay tum ho
Tumhara charcha Rahay ga ghar ghar, Durood Tum par salam tum par
Wo Hajr-e-Aswad, wo Aab-e-Zam zam, wo Gar-o-pathar, Sutoon-o-member
Tumhari Nisbat milay han gohar, Durood tum par salam tum par
Hay harjr-e-Tayebah man Aankh Purnam, Mujhay bhi khushiyon bhara do jeewan
Gamoon ki orhay hoon sar pe chadar, Durood Tum par Salam Tum par
Jo jism-o-jan man han zakham Aaye dikhaon kesay, bataon kesay
Ho chara gar tum maseeha Akbar, Durood tum par Salam tum par
Kahani Gam ki Tumhain Sunaon, fasana dukh ka kahoon ga Tum say
Ho Tum hi Pursan-e-hal-e-Mujtar, Durood Tum par Salam Tum par
Talab hay ham ko karam ki Aaqa, Hamain hay Rahmat ka Aasra bhi
Parhay han dukh kay saroon pe Pathar, Durood Tum par Salam Tum par
Judai ka bhi Ajab Maza hay magar do izn-e-Safar khudara
Ke Rakho marham ko Zakham-e-Dil par, Durood Tum par Salam Tum par
Nazar ko meri dikha do jalwa ke dil ko meray Qarar Aaye
Sadain deta hay dil ye Mujtar, Durood Tum par Salam Tum par
Jabeen-e-Khursheed-o-mah-o-Anjum jhuki hay sab ki Tumharay dar par
Firshtay Tum say nahi han behtar, Durood Tum par Salam Tum par
Hain Subhain shayer baharoon jesi, suhani jis ki han sari shamain
Haseen wahan ka dikha do manzar, Durood Tum par Salam Tum par