Aa gaey muzdah shafa’at
Ka sunane waley
Naar-e-Dozakh se gulamoon
Ko bachane waley
Hey muqaddar me
Bulandi hi bulandi apney
Hum to hai Qadmon meyn
Sar Un ke jhukane waley
Kar ke ehsaan jatana
Ye nahi shaan Un ki
Aur koi honge wo
Ehsaan jatane waley
Mar ke punh’cha jo lehed me
To nakeeron ne kaha
Marhaba Naat Shah-e-Deen
Ki sunane waley
Tu jala sakti nahi sunn le
Jahannam hum ko
Hum to heyn Jashan-e-Wilaadat
Ke manane waley
Kash! Sarkaar Sar-e-Hash’r
Kaheyn mujh se Ubaid
Aaja Daman mein Meri
Naat sunane wale
aaj asshk mere naat sunaein to ajab kya
sun kar woh mujhe paas bulayen to ajab kya
un par to gunehgaar ka sab haal khula hai
is par bhi woh daman mein chupayen to ajab kya
mun dhaanp ke rakhna ke gunehgaar bohat hon
maiyat ko meri dekhnay ayen to ajab kya
ae josh junoo paas adab bazm hai jin ki
is bazm mein tashreef woh layein to ajab kya
deedar ke qabil to nahi chasham tamanna
lekin woh kabhi khawab mein ayen to ajab kya
paband nawa to nahi faryaad ki rasmen
ansoo yeh mra haal sunaein to ajab kya
nah zaad safar hai nah koi kaam bhallay hain
phir bhi mujhe sarkar bulayen to ajab kya
haasil jinhein aaqa ki ghulami ka Sharf hai
thokar se woh mardon ko jalayen to ajab kya
woh husn do aalam hain Adeeb un ke qadam se
sehraa mein agar phool khil ayen to ajab kya
Aakhay Sonhray noon waye ni jay tera guzar ho way
Main mar ke vi nain marda jay teri nazar ho way
Dam dam naal Zikar kar un main terian shaman da
Teray nam toon war dian jine meri umar ho way
Dio anyo baitho Rowo Mehfil noon Saja kay tay
Shayad meray Aaqa da aithoon vi guzar ho way
O kisian gharhian san mehman san sonheray da
Dil fir wi kar da aye Tayyibah das afar ho way
Jay jeewan da cha Rakhna toon Rahia Madeenay dia
Sonhray day dawary tay marjawain jisay mar ho way
Kion fikir karain yara masah wi agairi da
O hoon ran satay e Khabran nen jida Sain magar ho way
Aiha dil wich niazi day ik Aas char wakani aye
Sohney day shehar andar meri wi qabar ho way
Aankh man jab ashk Aaya ho gaye Naat-e-Rasool
Dard jab dil man samaya ho gaye Naat-e-rsool
Jab kisi bay bas ko daikha Zulum ka hotay shikaar
Is Zalim say churhaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jihil ki tareekiyoon man iatmad ilam ka
Ik dia jis nay jalaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jab kisi Masooom ko paya yateemi ka shikaar
Apnay seenay say lagaya’ ho gaye Naat-e-Rasool
Imtiaz-e-bandah-o-Aaqa mitanay kay liye
Jab koi maidaan man aaya ho gaye Naat-e-Rasool
Kha kay sang dushmanan-e-deen agar ye keh dia
Kar bhala is ka khudaya, ho gaye Naat-e-Rasool
Yaad kar kay arsa-e-sha’ab-e-Abi Talib kabhi
Jis nay do Aansoo bahaya ho gaye Naat-e-Rasool
Mohsin-e-insaniat ki jaan kar, sunnat agar
Jis ne rotoon ko hansaya, ho gaye Naat-e-Rasool
Kia bataon kis qadar hain mehrban mujh par huzoor
Jab qalam man ne uthaya ho gaye Naat-e-Rasool
Seerat-e- خیر البشر ko daikhta ja aye adeeb!
Jo warq nay to uthaya ho gaye Naat-e-Rasool
Aankhain ro ro kay sujanay waalay jaanay waalay nahi aanay waalay
Koi din man ye sira aujarh hay aray aochaouni chanay waalay
Zibah hotay han watan say bicharhay dais kiyoon gaatay hain gaanay waalay
Aray badfaal buri hoti hay dais ka jangla sunaanay waalay
Sun lain aada man bigrhnay ka nahi wo salaamat hain banane waalay
Aankhain kuch kehtey hain tujh say paigaam ao dar-e-yaar kay jaanay waalay
Phir na karwat li Madeenah ki taraf aray chal jhootay bahanay waalay
Naf’s man khaak huwa to na mita hay meri jaan kay khaanay waalay
Jeetay kia daikh kay hain aye hooro! Tayyibah say khuld man aanay waalay
Neem jalway man do aalam gulzaar waah wa rang jamaanay waalay
Husun tera san a daikha na suna kehtay hain aglay zamaanay waalay
Wohi dhoom un ki hay MashAllah mit gay aap mitaanay waalay
Lab-e-sairaab ka sadqah paani aye lagi dil ki bujhaanay waalay
Saath lay lo mujhay man mujrim hoon raah man parhtay hain thaanay waalay
Ho giya dhak say kalaija mera haye rukhsat ki sunaanay waalay
Khalq to kia ke hain khaaliq ko aziz kuch ajab bhaatay bhanay waalay
Kushta-e-dasht-e-haram jannat ki khirhkiyaan apnay sirhaanay waalay
Kiyoon Raza aaj gali soni hay
Uth meray dhoom machanay waalay
Charoon Taraf Noor Chaya,
Aaqa Ka Milad Aaya,
Khushiyon Ka Pegham Laya,
Aqa Kaa Milad Aya.
Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah.
Shams-O-Qamar Aur Taaray,
Kyun Na Hon Khush Aaj Saaray,
Unsay He To Noor Paaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Khushiyan Manatay Hain Wohi,
Dhoomain Machatay Hain Wohi,
Jin Par Hua Unka Saaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Ghar Ko Sajatay Hain Wohi,
Jhanday Lehratay Hain Wohi,
Jin Par Hua Unka Saaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Hai Shaad Har Ek Muslimaan,
Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan,
Galiyoon Ko Bhi Jagmagaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhein,
Noori Bashar Jaanay Jou Unhe,
Naara Ussi Nay Lagaya,
Aariz shams-o-qamar say bhi hain anwar ayerhiyan
Ar’sh ki aankhoon kay taaray hain wo khushtar ayerhiyan
Jabaja par to Fagan hain Aasman par ayerhiyan
Din ko hain Khurseed shab ko maah-o-akhtar ayerhiyan
Najam gardoon to nazar aatay hain chotay aur wo paaoun
Ar’sh phir kiyoon na hoon mahsoos lagar ayerhiyan
Dab kay zer pa na gunjayesh samanay ko rahi
Ban gaya jalwah kaf-e-pa ka ubhar kar ayerhiyan
Un ka mangta paaoun say thukra day wo dunya ka taaj
Jis ki khatir mar gay mun’am ragarh kar ayerhiyan
Do qamar do panja-e-khur do sitaray das hilaal
Un kay talway panjay naakhun paye athar ayerhiyan
Haye is pathar say is seena ki qismat phorhiye
Bay takalluf jis kay dil man yoon karain ghar ayerhiyan
Taaj rooh-ul-Qudus kay moti jisay sajdah karain
Rakhti hain wallah wo pakeezah go har ayerhiyan
Ayek thokar man uh’d ka zilzilah jata raha
Rakhti hain kitna waqar Allah Akbar ayerhiyan
Charkh par charhtay hi chandi man siyahi aagaye
Kar chuki hain badar ko takaal bahir ayerhiyan
Aye Raza toofan-e-mahshar kay talatum say na dar
Shaad ho hain kashti-e-ummat ko langar ayerhiyan
Aasioun ko dar tumhara mil gaya
be thikanon ko thikana mil gaya
fzlِ rab se phir kami kis baat ki
mil gaya sab kuch jo tayyiba mil gaya
kashaf raaz mann Rani yun sun-hwa
tum miley to haq taala mil gaya
be khudi hai baasِ kashaf hijaab
mil gaya milnay ka rasta mil gaya
un ke dar ne sab se Mustaghni kya
be talabb be khwahish itna mil gaya
na khudai ke liye aaye huzoor
doobtun niklo sahara mil gaya
dono aalam se mujhe kyun kho diya
nafs khud matlab tujhe kya mil gaya
ankhen par num ho gayeen sir jhuk gaya
jab tra naqash-e kaf-e pa mil gaya
Khuld kaisa kya chaman kis ka watan
mujh ko sehraye madinah mil gaya
hai mohabbat kis qader Naam kkhuda
Naam haq se Naam wala mil gaya
un ke taalib ne jo chaha pa liya
un ke sayel ne jo manga mil gaya
tairay dar ke tukre hain aur mein ghareeb
mujh ko rozi ka thikana mil gaya
ay hassan Firdous mein jayen janab
hum ko sehraye madinah mil gaya
Aasyion ko Dar Tumhara mil gaya
Bay Thikanooon ko Thikana mil gaya
Fazl-e-Rabb say phir kami kis baat ki
Mil gaya sab kuch jo Taiyybah mil gaya
Un ky dar nay sab say mustagna kia
Bay talab bay khawahish itna mil gaya
Na khudaye kay liye Aaye Huzoor
Doobto niklo sahara mil gaya
Aankhain par nam ho gayen sar jhuk gaya
Jab tira naqsh-e-kaf-e-pa mil gaya
Khuld kaysee kia chaman kis ka watan
Mujh ko sahraye Madeenah mil gaya
Un kay Talib ny jo chaha palia
Un ky sail nay jo manga mil gaya
Teray dark ay Tukrhay han aur man Gareeb
Mujh ko rozee ka Thikana mil gaya
Aye Husun firdos man jayen janab
Ham ko Sahraye Madeenah mil gaya
Aatay rahay anbia کَما قِیْلَ لَھُمْ
وَالْخَاتَمُ حَقُّکُم ْ ke khaatam huway Tum
Yeni jo huwa daftar tanzeel tamaam
Aakhir man hui muhar ke اَکْملْتُ لَکُمْ
Ab meri Nigahoon main jachta Nahi koi
Jesay meri Sarkar hain waisa nahi koi
Tums a to Haseen Aankh ne daikha nahi koi
Ye toor se kehti hay Tamasha nahi koi
Hota he jahan Zikar MUHAMMAD kay karam ka
Us bazam main Mahroom-e-Tammana Nahi koi
I’ezaz ye Hasil he to Hasil he Zameen ko
Aflaak pe to Gumbad-e-Khazra Nahi koi
Sarkar ki Rahmat ne magar Khoob Nawaza
Ye Sach he ke Khalid sa nikama nahi koi
‘adam se laa.ii hai hastii me.n aarzuu-e-rasuul
kahaa.n-kahaa.n liye phirtii hai justajuu-e-rasuul
KHushaa vo dil ki ho jis dil me.n aarzuu-e-rasuul
KHushaa vo aa.nkh jo ho mahv-e-husn-e-ruu-e-rasuul
talaash-e-naqsh-e-kaf-e-paa-e-mustafaa kii qasam
chune hai.n aa.nkho.n se zarraat-e-KHaak-e-kuu-e-rasuul
phir un ke nashsha-e-irfaa.n kaa puuchhnaa kyaa hai
jo pii chuke hai.n azal me.n mai-e-subuu-e-rasuul
balaa.e.n luu.n tirii ai jazb-e-shauq-e-salli-alaa
ki aaj daaman-e-dil khi.nch rahaa hai suu-e-rasuul
shagufta gulshan-e-zahraa kaa har gul-e-tar hai
kisii me.n ra.ng-e-alii aur kisii me.n buu-e-rasuul
‘ajab tamaashaa ho maidaan-e-hashr me.n ‘bedam’
ki sab ho.n pesh-e-KHudaa aur mai.n ruu-ba-ruu-e-rasuul
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba..
Ek nazar asmaan per daal, marhaba,
Chamka mah-e-noor ka hilal, marhaba marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Jhanday lagao galiyan sajao,
Karlo charaghan ghar jagmagao,
Razi ho ga Rab-e-Zuljalal (SWT), marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Mehfil sajaayein naatein sunaein,
Aaqa ki aamad ki dhoomain machayein,
Roz-o-shab yehi ho apna haal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Laaraib nabiyon kay saalar aaye,
Aaye do aalam k ghum khaar aaye,
Shahkaar-e-Rab-e-Zuljalal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Aashiq key dil jagmaganay lagay hain,
Dekho zara muskuranay lagay hain,
Deedni hain unkay khad-o-khaal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba
Sadqa wiladat ka jalwa dikha do,
Dil ki lagi ab to aaqa bujha do,
Dikhla do apna ab jamaal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Jood-o-sakhawat hai aadat tumhari,
Phailaaye daaman kharay hain bhikari,
Kar do karam amna k laal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Jaam-e-shahadat piya hai jinho ne,
Ahle-sunan ko jila di unho na,
Yaad aayengay wo har saal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba
Shaadi kay naghmay sunatay rahengay,
Jashn-e-wiladat manaatay rahengay,
Waar daingay tum pay jaan-o-maal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba
Parhnay laga jab Ubaid un ki naatein,
Honay lageen chaar soo us ki baatein,
Faiz-e-Raza ka hai sub kamaal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba
Aey Kaash! Tasawwur mein Madeeney ki gali ho
Aur yaad Muhammedصلی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم ki mere dil meyn basi ho
Do suoz-e-Bilaal Aaqa mile dard-e-Raza sa
Sarkaar ataa ish’q-e-Owais-e-Qarni ho
Aey kaash! mayn banjaoon Madeeney ka Musafir
Phir roti huwi Taiybahh ko baraat chali ho
Phir Rahmat-e-Bari se chaloon suw-e-Madeenah
Aey kaash! Muqaddar se mayassar wo gharhi ho
Jab aown Madeeney meyn to ho chaak gareyban
Aankhuwn se barasti huwi ashkaun ki jharhi ho
Aey kaash! Madeeney mein mujhe maut youn aaye
Qadmuwn mein Tere sar ho meri Rooh chali ho
Jab le ke chalo ghuoristaan ko janazah
Kuch khaak Madeeney ki mere munh pe saji ho
Jis waq’t Nakireyn meri qab’r meyn aaeyn
Us waq’t mere lab pe saji Na’at-e-Nabi ho
ALLAH! Karam aysa kare tujh pe jahaan mein
Ai Ahle-e-Islam Teri dhoom machi ho
Aaqa ka gada hoon Aey jahan’nam tu bhi sunle
Wo kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho
Sadaqa mere murshid ka karoon door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan-e-dili ho
ALLAH ki Rahmat se to Jannat hi mile gi
Aey kaash! Muhalley me jagah un ke mili ho
Mahfooz sada Rakh’na Shaha be-adabuon se
Aur mujh se bhi sarzad kabhi be-aadabi ho
Attar Hamara hey sar-e-hashr aey kaash!
Das’te Shah-e-bat’ha se yehi chit’thi mili ho
Aey Shahanshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam
Zeenat-e ar’sh-e-mu’alla, Assalat-o-wassalam
Rabbi-habli-Ummati keh’te huway paida huway
Rabb ne farmaya ke bakhsha Assalat-o-wassalaam
Aey shahanshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam,
Zeenat-e-ar’sh-e mu’alla, Assalat-o-wassalam
sar jhuka kar ba-adab ishq-e Rasool ALLAH mayn,
keh raha he har sitara Assalat-o-wassalam
Aey Shahanshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam
Zeenat-e-ar’sh-e mu’alla, Assalat-o-wassalam
mu’mino parhthay raho tum apnay Aaqa par durood
he firishtoon ka wazifah, Assalat-o-wassalam
aey shahenshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam,
zeenat-e-ar’she mu’alla, Assalat-o-wassalam
meyn wo sunni hun jamil-e-Qadri marney ke ba’d
mayra laasha bhi kahe ga Assalat-o-wassalam
aey shahenshah-e-Madeenah Assalat-o-wassalam
Zeenat-e-ar’she mu’ALLAH, Assalat-o-wassalam
jab firishtay qab’r mein jalwa dhikhayen aap ka
ho zabban par piyaare Aaqa, Assalat-o-wassalam,
aey shahenshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam,
Zeenat-e-ar’sh-e mu’ALLAH, Assalat-o-wassalam.
Aeysa koi Mahboob na hoga , na kahin hay
Baitha hay Chitaye Pe Magar arash nasheen hay
Milta nahin kia kia do jahan ko tiri dar say
Ik lafz nahin hay ke tire lab pe nahin hay
To chahey to har shab ho missal-e-Shab Isra
Tiri lie do char qadam arsh brin hay
Har ik ko mayasar kahan is dar ki gulami
Us Dar ka to darban bhi jibril amen hay
Aye Shah-e-Zaman Ab to Ziyart ka Sharaf day
Bay chain hain Aankhain miri baitab jabin hay
Dil girya kinan aur nazar sooye Madina
Aazam Tira Andaz-e-talab kitna Haseen hay
Ahle-e-siraat rooh-e-ameen ko khabar karain jaati hay ummat-e-nabvi farsh par karain
In fitna haye hashar say kehdo hazar karain nazoon kay paalay aatay hain rah say guzar karain
Bad hain to aap kay hain bhalay han to aap kay tukrhoon say to yahan kay palay rukh kidhar karain
Sarkaar ham kameenoon kay atwaar par na jayen Aaqa Huzoor apnay karam par nazar karain
Un ki haram kay khaar kasheedah hain kis liye aankhoon man aayen sar pe rahain dil man ghar karain
Jaaloon pe jaal parh gay lillah waqat hay mushkil kushaye aap kay nakhun agar karain
Manzil karhi hay shaan tabassum karam karay taroon ki chaawon Noor kay tarhkay safar karain
Kilik-e-Raza hay khanjar khonkhuwaar barq baar aada say kehdo khair manayen na shar karain
aisa tujhe khaaliq ne terhan daar banaya
Yousuf ko tra taalib deedar banaya
Talat se zamana ko pur anwaar banaya
nikhat se gali kochoon ko gulzaar banaya
dewaron ko aaina banatay hain woh jalwey
aa_iinon ko jin jloon ne deewar banaya
woh jins kya jis ne jisay koi nah pouchye
is ne hi mra tujh ko khredar banaya
ae nazam risalat ke chamakate hue mqtaa
to ne hi isay mutala anwaar banaya
konain banaye gaye sarkar ki khatir
konain ki khatir tumhe sarkar banaya
kunji tumhe di –apne khazanon ki kkhuda ne
mehboob kya maalik o mukhtaar banaya
allah ki rehmat hai ke aisay ki yeh qismat
aassi ka tumhe haami o gam_khvar banaya
aaina e zaat Ahdi aap hi thehray
woh husn diya aisa terhan daar banaya
anwaar tajallii se woh kuch hairatein chaen
sab aa_iinon ko pusht ba deewar banaya
Aj sik Mitran di vadheyri ay
kyoun dilri udaas ghaneyri ay?
loon loon vich shawq changeyri ay
uj nainan laiyan kyon jhariyan!
Why is the yearning for the Loved One (RASULALLAHﷺ) especially strong today?
Why is my heart sadder today than even before?
Why does longing penetrate every tissue of mine?
And why are the eyes shedding tears like a shower of rain?
Mukh chan badr sha shani ay
Mathay chamkay lat noorani ay
Kali zulf tey akh mastaani ay
Makhmur ukheen hin madh bhariyan
His shining face appeared to me in a vision,
And fragrance emanated in profusion from His tresses;
I fainted from the sight of these visions;
The beauty of his eyes overpowered me.
Is surat nun mein jaan akhan
jan akhan ke jan-e-jahan akhan?
Such akhan tey Rabb di shaan aakhaan
jis shan toon shanan sab baniyan
I am not sure whether I should call his face the essence of life;
Or life of the entire universe;
The truth is that it is the glory of God,
From which all other worldly glories originated.
Subhan ALLAH! Ma ajmalaka
ma ahsanaka, maa akmalaka
Glory be to ALLAH! There is no one more beautiful than Thee!
No one more excellent than Thee, no one more Perfect!
Kithey Mehr Ali kithay teri sana
gustakh akhin kithey ja ariyan!
Who is (the humble) Meher Ali to chant thy praises;
How (presumptuous and) impudent his eyes are to aspire to the heights of thy love!
ajab rang par hai bahhar madinah ke sab jannaten hain nisar madinah mubarak rahay anda leebo tumhe gul Hamein gul se behtar hain khaar madinah malaik lagatay hain aankhon mein apni shab o roz khakِ mazaar madinah rahen un ke jalwey baseen un ke jalwey mِra dil banay yadgar madinah do aalam mein bat ta hai sadqa yahan ka hamein ik nahi rezah Khawar madinah bana aasmaa mnzlِ ibn maryam gaye la makaan tajdar madinah sharf jin se haasil sun-hwa Anabia ko wohi hain hasan Iftikhar e madinah |
Ala aman qahar hay aye gauth wo taikha Taira
Mar kay bhi chain say sota nahi mara Tera
Badloon say kahian rukti hay karhkti bijli
Dhalain chint jati hain uthta hay jo taiga Tera
Ak’s ka daikh kay mun aur bahpar jata hay
Char aayena kay bal ka nahi naiza Tera
Koh sar makh ho to ik war man do par kaalay
Haath parhta hi nahi bhool kay oucha Taira
Us pe ye qahar kea b chand mukhalif Tairay
Chahtay hain ke ghata dain kahian paya Tera
Aqal hoti to khuda say na larhaye laitay
Ye ghatayen , usay manzoor barhana Tera
Ka hay Saya Tujh par وَرَفَعۡنَا لَکَ ذِکۡرَکۡ
Bol bala hay Tera Zikr hay uncha Tera
Mit gay Tutay hain mit jaye gay aada Taray
Na mita hay na mitay ga kabhi charcha Tera
Tu ghataye say kisi kisi kay na ghata hay na ghatay
Jab bharhaye Tujhay Allah tala Tera
Samm-e-qatil hay Khuda ki qasam un ka inkaar
Munkir fazal Huzoor Aah ye likha Tera
Meray siyaaf kay khanjar say tujhay baak nahi
Cheer kar daikhay koi Aah kalaija Tera
Ibn-e-zahara say teray dil man hain ye zahar bharay
Bal bay ao munkar-e-bay baak ye Zahra Tera
Baaz-e-shahab ki Gulami say ye aankhain phirni
Daikh urh jaye ga imaan ka tota Tera
Shaakh par baith kay jarh kaatanay ki fikr man hay
Kahin neecha na dikhaye tujhay shujra tera
Haq say bad ho kay zamana ka bhala banta hay
Aray man khoob samjhta hoon Mamma Tera
Sag-e-dar qahar say daikhay to bikharta hay abhi
Band band-e-badan aye rooba dunya Tera
Ar’z Aaqa say karoon ar’z ke teri panah
Bandah-e-majboor hay khatir pe hay qabza Tera
Hukum nafiz hay tera khama tera saif Teri
Dam man jo chahay kray door hay shaha Tera
Jis ko lalkaar day Aata ho to ulta phir jaye
Jis ko chamkaar lay har phir kay wo Tera Tera
Kunjian dil ki Khuda nay tujhay den ayesi kar
K ye seena ho Muhabbat ka khazeena Tera
Dil pe kundah ho tera naam ke wo duzd-e-Rajeem
Ultay hi paon phiray daikh kay tugra tera
Naza’e gor man, meezan pe, sar-e-pal pe kahin
Na chutay haath say damaan-e-muallah Tera
Dhoop mahshar ki wo jaan soz qiyamat hay magar
Mutmain hoon ke meray sar pe hay palla tera
Bahjat is sar ki hay jo bahjatul israar man hay
Ke falak waar mureedoon pe hay saaya tera
Aye raza chest gam arjmalah jahan dushman-e-tist
Kardah am ma man-e-khud qiblah haja taira
Allah kay Nabi say faryaad hay naf’s ki badi say
Din bhar khailoon man khaak urhaye laaj aaye na zarron ki hansi say
Shab bhar sonay hi say garz thi taroon nay hazaar daant paisay
Emaan pe mot behtar ao nafs teri napaak zindagi say
Ao shahid numa-e-zahar dar jaam gum jaaoun kidhar teri badi say
Gehray piyaray puranay dil soz guzra man teri dosti say
Tujh say jo uthaye man nay sadmay ayesay na milay kabhi kiseay say
Uf ray khud kaam bay muruwwat parhta hay kaam aadmi say
Tu ne he kia say Nadim Tu nay kia kia khajal Nabi say
Kesay Aaqa ka hukum taala ham mar mitay teri Khud sari say
Aati na thi jab badi bhi tujh ko ham jaantay hain tujhay jabhi say
Had kay zaalim sitam kay kattar pathar sharmayen teray jee say
Ham khaak man mil chukay hain kab kay nikla na gubaar teray jee say
Hay zalim man nibahoon tujh say Allah bachaye us gharhi say
Jo tum ko na jaanta ho hazrat chaales chaliye us ajnabi say
Allah kay samnay wo gun thay yaaroon man kesay mutaqi say
Rahzan nay loot li kamaye faryaad hay khizir haashmi say
Allah kunwain man Khud gira hoon apni naalish karoon tujhi say
Hain pusht panaah guath azam
Kiyoon dartay ho tum Raza kisi say
Andhairi raat hay gam ki ghata isyaan ki kaali hay
Dil bay kas ka is aafat man aaqa tu hi waali hay
Na ho mayoos aati hay sada gor-e-gareeban say
Nabi ummat ka haami hay Khuda bandoon ka waali hay
Utartay chaand dhalti chandni jo ho sakay kar lay
Andhaira paakh aata hay ye do din ki ujaali hay
Aray ye bhairhiyoon ka ban hay aur sham aagaye sar par
Kahan soya musaafir haye kitna la ubaali hay
Andhaira ghar akaili jaan dam gutata dil uktata
Khuda ko yaad kar piyaray wo saat aanay wali hay
Zameen tapti kataili raah bhari bojh ghayel paoun
Museebat jhailnay waalay tera Allah waali hay
Na chonka din hay dhalnay par teri manzil hoi khoti
Aray ao jaanay walay nend ye kab ki nikaali hay
Raza manzil to jesi hay wo ik man kia sabhi ko hay
Tum us ko rotay ho ye to kaho yaan haath kahli hay
Apni A’ta Ka Haq Ney Ye Manzar Dikha Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Khu’we Shah-e-Arab ka bana aar mujhy faqeer
Shahi ka Martaba Mery dil Sey ghata Diya
Aysa Kareem Aysa Sakhi Aur Kon Hey!?
Mangta Ju Aya Mangney Sultan Bana Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Ponhcha Diya Khuda Ney Dar-e-Shah Par Humeyn
ALLAH Ney Ye Na’at Ka Acha Sila Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Hum Sey Ziada Kon Hey Dunya Meyn Khush Naseeb
Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sanaa Khawan bana Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Rashk-e-Falaq hey Mery Muqadar Ki Rif’aateyn
Mujh Ko Ghulam Un Ka Khuda Ney Bana Diya
Ankhoo Meyn Bas Giya Hey Jamal-e-Khuda Riyaz
DEEDAR Jab sey Un ka Khuda Ney Kara Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Ar’sh ki aqal dang hay charkh man asmaan hay
Jaan-e-muraad ab kidhar haye tera makaan
Bazam-e-sana-e-zulf man meri uroos-e-fikir ko
Saari bahar-e-hasht khuld chota sa itar daan hay
Ar’sh pe jaa kay murg-e-aqal thak kay gira gash aa gaya
Aur abhi manziloon paray pehla hi aastaan hay
Ar’sh pe taazah cherh charh farsh man tarfa dhoom dhaam
Kaan jidhar lagaye teri hi daastaan hay
Ik teray rukh roshni chain hay do jahan ki
Ins ka uns usi say hay jaan ki wohi jaan hay
Wo jo na thay to kuch na tha wo jo na hoon to kuch na ho
Jaan hain wo jahaan ki jaan hay to jahan hay
Gaud man aalam-e-shabaab haal-e-shabaab kuch na pooch!
Gulban-e-baag-e-noor ki aur hi kuch uthaan hay
Tujh sa siyaah kar kaun un sa shafee’a hay kahan
Phir wo tujhi ko bhool jayen dil ye tera gumaan
Paish nazar wo no bahaar sajday ko dil hay bay qaraar
Rokiye sar ko rokiye haan yehi imtihaan hay
Shaan-e-Khuda na saath day un kay kharaam ka wo baaz
Sidrah say taaz man jisay naram si ik urhaan hay
Baar-e-jalaal uthaa liya garcha kalaija shaq huwa
Yoon to ye maah-e-sabzah-e-rang nazroon man dhaan paan hay
Khauf na rakh Raza zara tu to hay abd-e-Mustafa
Teray liye amaan hay teray liye amaan hay
Arsh ki aqal dang hai charkh mein aasman hai
jaan-e morad ab kidhar haae tra makaan hai
bazm e sanaye zulff mein meri aroos fikar ko
saari bahhar husht Khuld chhota sa itar daan hai
arsh pay jaake murgh aqal thak ke gira ghash agaya
aur abhi manzlon paray pehla hi Aastan hai
arsh pay taaza chairr chhar farsh mein Tarfah dhoom dhaam
kaan jidhar lagayiyae teri hi daastaa’n hai
ik tre rukh ki roshni chain hai do Jahan ki
ans ka ans usi se hai jaan ki woh hi jaan hai
woh jo nah thay to kuch nah tha woh jo nah hon to kuch nah ho
jaan hain woh Jahan ki jaan hai to Jahan hai
goad mein aalam shabab haal shabab kuch nah pooch
gulban baagh noor ki aur hi kuch uthaaen hai
tujh sa siyah car kon unn sa Shafi hai kahan
phir woh tujhi ko bhool jayyn dil yeh tera gumaan hai
paish ntr woh no bahhar sjday ko dil hai be qarar
rokiye sir ko rokiye haan yahi imthehaan hai
shaan kkhuda nah sath day unn ke Khiraam ka woh baz
sidra se taaz mein jisay naram si ik uraan hai
baar jalal uttha liya gir chay kaleja shaqq huwa
yun to yeh mahe sabza rang nazron mein dhaan paan hai
khauf nah rakh Raza zara tun, to hai Abdul mstfe ?
tairay liye Amaan hai, tairay liye Amaan hai
Ashkoon pe say bhi likh un ki sana un ka Qaseedah
Likh jesay wo hain ayesa na deedah na shuneedah
Jab yaad kia qal’b nafah Aahoon
Jab naam lia ho gay lab shahid chakeedah
Daikha hay bulandi pe har ik ja sar-e-aflaak
Lakin usay daikha hay Madeenay man khameedah
Hasrat man ziarat ki bahay jatay hain Aansoon
Acha hay wuzu karta hay deedar ko deedah
Kia us ko khareedain gay salateen-e-Zamana
Aye Rahmat-e-Aalam! Teri Rahmat ka khareeda
Umat hay buhut zaar-o-praishaan karam kar
Chadar bhi dareedah hui’ daman bhi dareedah
Wo shayeri achi ke dikhaye jo ye manzar
Aagosh-e-karam man sag-e-dunya ka gazeedah
Muhtaj na hoga kabhi wo haath jo likhay
Us muatta-o-man’am ki sakhawat ka Qaseedah
Mahroom nahi hon gi basarat say wo aankhain
Go khuwab sahi, hoon Rukh-e-anwaar ki deedah
Bas ayek hi jhonka hay buhut shahr-e-Nabi ka
Awaz ye daitay hain tan-o-qal’b tapeedah
Laya dar-e-Rahmat pe mujhay jaadah-e-Rahmat
Kaafi meri bakhshash kay liye hay ye Qaseedah
Jis raah say guzra hay Adeeb un ki Sana man
Rukhshanda-o-tabinda’ darkhshan-o-damaidah
Aye Saba Mustafa se keh dena , Gam ke marey Salam kehtay han
Yad kartay han Tum ko Shaam-o-Sahar , Dil hamaray Salam kehtay han
ALLAH ALLAH Huzoor ki batain Marhaba rang-o- Noor ki baatain
Chand jin ki balayen lata hay aur taray salam kehtay hain
ALLAH ALLAH Huzoor key gaisoo bheney bheney Mehkety wo Khushboo
Jis se mamoor hay fiza har soo wo Nizaray Salam kehtay han
Jab MUHAMMAD ka Naam Aata hay Rahmatoon ka Paigam Aata hay Lab hamaray Durood Parhtay hain Dil hamary Salam kehtay han .
Zayer-e-Taiyyba to Madinay main , Piaray Aaqa say Itna keh daina
Aap ki Gird-e- Rah ko Aaqa bay saharay Salam kehtay han
Zikr tha Aakhri Maheenay ka Tazkira chir gaya Madeenay main
Hajyio Mustafa se keh daina Gam kay maray Salam kehtay han
Aye Khuda ke Habeeb Piyaray Rasool ye hamara Salam kijiye Qabool
Aaj Mehfil main jitney Hazir hain mil kay saray Salam kehtay han.
Aye shafe’e umam shah-e-zee jaah lay khabar
Lillah lay khabar meri lillah lay khabar
Darya ka josh, nao na barha na na khuda
Man doba , to kahan hay mery shah lay khabar
Manzal karhi hay raat andheri man na balad
Aye khizir lay khabar meri aye maah lay khabar
Puhunchay puhunchenay waalay to manzil magar shaha
Un ki jo thak kay baithay sar-e-raah lay khabar
Jangal darindoon ka hay man bay yaar shab qareeb
Ghariray hain chaar simat say bad khawah lay khabar
Manzil naye uzair juda log na shunaas
Toota hay koh-e-gam man par-e-kaah lay khabar
Wo sakhtiyaan suwal ki wo soortain muhaib
Aye gamzadoon kay haal say aagah lay khabar
Mujrim ko bargaah-e-adalat man laye hain
Takta hay bay kasi man teri raah lay khabar
Ahl-e-amal ko un kay amal kaam aayengay
Mera hay kaun teray siwa aah lay khabar
Pur khaar raah barahna pa tishnah aab door
Mola parhi hay aafat-e-ja nikah lay khabar
Bahir zubanain piyaas say hain aaftab garam
Kausar kay shah kassar-ul-Allah lay khabar
Mana ke sakht mujrim-o-naakarah hay Raza
Tera hi to hay bandah dargaah lay khabar
Aye sukoon-e-qalb-e-muztar aye qarar-e-zindagi
Aye ameen-e-raaz-e-fitrat, aye bahar-e-zindagi
Teri har har junbash-e-lab barg-o-baar-e-zindagi
Too diyar-e-ishq man hay shehryar-e-zindagi
Teray qadmoon ki badolat teri aamad kay tufail
Gulustan hi gulustan hay khar zaar-e-zindagi
Tera qur’b-e-khaas pakar teray dast-e-paak man
Sangraizay ban gay han shahkar-e-zindagi
Jis ne paye teri nisbat ho gaya wo Zee waqar
Aye furog-e-aadmiat, aye waqar-e-zindagi
Shayeran-e-husun-e-fitrat, Sahiban-e-dark-o-faham
Hay qadam bosi man har ik wazadar-e-zindagi
Daras tera Zalimoon say jang, mazloomoon say piyar
Kitni sadah ho gaye rah guzar-e-zindagi
Aadmi ko aadmi say piyar ka nuskha dia
To Tabeeb-e-khalq hay, teemar dar-e-zindagi
Too nay aa kar di nigahoon ko baseerat Husun ki
Warna thi mahdood lafzoon man’ bahar-e-zindagi
Too nay sahraye Takhayyul man lagaye gulustan
Aur chatanoon say nikalay Aabshar-e-zindagi
Goonj uthay nagmay lagaye to nay jab mazraab-e-ish’q
Ba rabt-e-fitrat pet ha khamosh taar-e-zindagi
Bay khabar dunya wama feeha say Too ne kar dia
Kia sharaab-e-zindagi hay, kia khumaar-e-zindagi
Rooh-o-jaan ki saltnat par hukmrani hay teri
Ham gulaam-e-ish’q hain, to Tajdar-e-zindagi
Ish’q ki deewangi kay samnay sab haich hain
Torh daiti hay Mahabbat’ har hisaar-e-zindagi
Teray paye naaz ka ik lams pa kar hay rawan
Chan chanatey, gungunatey joyebar-e-zindagi
اَ َلَا یٰاَ یُّھَا السَّاقِیْ اَدْرِکَا سًا وَّ نَاوِلْھَا
Ke bar yaad-e-shah-e-kausar bana sazaim mehfilha
Bila bareed Hubb-e-shaikh najdi bar wahabia
Ke ish’q asaan namud awwal walay uftaad mushkilha
Wahaabi garcha ikhfa may kunad buguz-e-Nabi lakin
Nahan kay maenad aa raazay kaz-o-saa zand mehfilha
Tawwahbgaah milk-e-hind iqaamat ra name shaayad
Jars faryaad may dard ke barbandeed mahmleha
Salaye mujalsam dar gosh aamad bain baya bashuno
Jars-e-mastaana may goyad ke bar bandeed mahmlaha
Magar daan ro azeen mehfil rah-e-arbaab-e-sunnat ro
Ke saalak bay khabar nabud ze raah-o-rasam manzalaha
Darayen jalwat baya az raah-e-khalwat ta Kuda
مَتٰی مَا تَلْق مَن قَھْوٰی دَعِ الدُّنْیا وَاَمْھِلْھا
Walam qurbaanat aye dood-e-charaag mihfil-e-molad
Za taab-e-jaad-e-mushkeenat cha khoon uftaad dar dalha
Gareeq-e-bahar-e-ishq-e-Ahmadaim az farhat molad
Kuja daanad haal-e-ma subkasa raan-e-sahla
Raza mast jaam-e-ishq saagar baaz mey khawahad
اََلَا یٰاَ یُّھَا السَّاقِیْ اَدْرِکَا سًا وَّ نَاوِلْھَا
Baad-e-Saba tera guzar gar ho kabhi sooye Haram
Puhuncha Salam-e-shouq to paish-e-Nabi Muhtaram
Jo Zat hay Noorul Huda chehra hay jo Shams ul Dhuha
Aaraz hain jo Badar-ul-Duja Dast-e-Ata Bahar-e-Karam
Ya Mustafa ya Mujtaba ham aasyoon par rahm ho
Hain Nafs-e-Ammarah se Ab Majboor Ham Magloob ham
Quran hi wo burhan hay , jo natiq Adyan hay
Hukum us ka jab nafiz huwa , thay sab Saheefay kalaadam
Bandah milnay ko qareeb-e-hazrat qadir giya lame-e-baatin man gumne jalwa-e-zahir giya
Teri marzi paagaya sooraj phhira ultay qadam teri ungli uth gaye ma ka kalaija chir gaya
Barh chali teri zia andhair aalam say ghata khul gaya gaisoo tira rahmat ka baadal ghar gaya
Bandh gaye teri hawa sa wo man khaak urhnay lagi barh chali teri zia aatash pe pani phir giya
Teri Rahmat say safiullah ka bairha paar tha teri haibat thi ke har but thar thara kar gir giaya
Momin un ka kia huwa Allah us ka ho gaya kafir un say kia phira Allah hi say phir giya
Wo ke us dar ka huwa khalq-e-khuda us ki hui wo ke is dar say phira Allah us say phir gaya
Mujh ko deewana batatay ho man wo hushiyar hoon paon jab tauf-e-Haram man thak gay sar phir giya
Rahmat-ul-lil Aalmeen Aafat man hoon kesi karoon meray mola man to is dil say bala man ghir gaya
Man teray haathoon kay sadqay kesi kinkiryaan theen wo jin say itnay kafiroon ka daf’atan munh phir gaya
Kiyoon janaab bu hurairah tha wo kesa jaam-e-sheer jis say satar Sahiboon ka doodh say munh phir gaya
Wasita piyaray ka ayesa ho ke jo Snni maray yoon na farmayen teray shahid ke wo faajir giya
Ar’sh par dhoomain macheen wo momin salih mila far’sh say maatam uthay wo Tayyib-o-Tahir giya
Allah Allah ye uluw-e-khaas abdiat-e-Raza bandah milnay ko qareeb-e-Hazrat-e-Qadir giya
Thokrain khatay phirogay unkay dar par parh raho qafila to aye Raza awwal giya aakhir giya
Ni’matain bantata jis simat wo zeeshan giya saath hi munshi-e-Rahmat ka qalam daan giya
Lay khabar jald ke gairoon ki taraf dhiyaan giya meray mola meray Aaqa teray Qurban giya
Aah wo Aankh ke nakaam-e-Tamanna hi rahi haye wo dil jo teray dar say pur arman giya
Dil hay wo dil jo teri yaad say mamoor raha sar hay wo sar jo teray qadmoon pe qurbaan giya
Unehian jana unehain mana na rakha gair say kaam Lillah-il-hamd man dunya say musliman giya
Aur tum par meray aaqa ki inayat na sahi Najdiyo! Kalmah parhaane ka bhi ihsaan giya
Aaj lay un ki panaah Aaj madad maang un say phir na maanain gay qiyamat man agar maan giya
Uf ray munkar ye barha josh-e-Tassub Aakhir bhairh man haath say kam bakht kay emaan giya
Jaan-o-dil hosh-o-khird sab to madeenay puhunchay tum nahi chaltay Raza saraa to samaan giya
Bandah qadir bhi qadir bhi hay Abdul Qadir
Sarr-e-batin bhi hay zahir bhi hay Abdul Qadir
Mufti shar’e bhi hay Qazi-e-Millat bhi hay
Il’m-e-israr say mahir bhi hay Abdul Qadir
Munba-e-faiz bhi hay majma’e afzaal bhi hay
Mahar-e-irfan ka munawwar bhi hay Abdul Qadir
Qutub abdaal bhi hay mahwar-e-irshaad bhi hay
Markaz-e-dayerah sir bhi hay Abdul Qadir
Salak-e-irfan ki Zia hay yehi darr-e-mukhtar
Fakhr-e-ashbah-o-nazayer bhi hay Abdul Qadir
Us kay farmaan hain sab sharih-e-shar’e
Mazhar naahi-o-aamir bhi hay Abdul Qadir
Zee Tasarruf bhi hay mazoon bhi mukhar bhi hay
Kaar-e-aalam ka Mudabbar bhi hay Abdul Qadir
Rashk-e-bulbul hay Raza lala-e-sad daag bhi hay
Aap ka wasif-o-zakir bhi hay Abdul Qadir
Bandah qadir bhi qadir bhi hay Abdul Qadir
Sarr-e-batin bhi hay zahir bhi hay Abdul Qadir
Mufti shar’e bhi hay Qazi-e-Millat bhi hay
Il’m-e-israr say mahir bhi hay Abdul Qadir
Munba-e-faiz bhi hay majma’e afzaal bhi hay
Mahar-e-irfan ka munawwar bhi hay Abdul Qadir
Qutub abdaal bhi hay mahwar-e-irshaad bhi hay
Markaz-e-dayerah sir bhi hay Abdul Qadir
Salak-e-irfan ki Zia hay yehi darr-e-mukhtar
Fakhr-e-ashbah-o-nazayer bhi hay Abdul Qadir
Us kay farmaan hain sab sharih-e-shar’e
Mazhar naahi-o-aamir bhi hay Abdul Qadir
Zee Tasarruf bhi hay mazoon bhi mukhar bhi hay
Kaar-e-aalam ka Mudabbar bhi hay Abdul Qadir
Rashk-e-bulbul hay Raza lala-e-sad daag bhi hay
Aap ka wasif-o-zakir bhi hay Abdul Qadir
Bar tar qiyaas say hay Maqaam-e-Abul Hussain sidrah say poocho rifat-e-baam Abul Hussain
Warstah paye basta-e-daam-e-Abul Hussain Aazad Naar say hay Gulaam-e-Abul Hussain
Khat-e-sayeh man Noor-e-Ilahi ke tabashain kia Subuh-e-Noor baar hay Shaam-e-Abul Hussain
Saqi suna day sheesha-e-bgdaad ki tapak mahki hay boo-e-gul say madam-e-Abul Hussain
Boo-e-kabaab sokhta aati hay may kasho chilka sharaab-e-chisht say jaam-e-Abul Hussain
Gulgoon sahar ko hay sahar soz-e-dil say aankh sultan-e-suhurward hay Naam-e-Abul Hussain
Kursi Naseen hay naqsh muraad un kay faiz say mola-e-naqsh band hay Naam-e-Abul Hussain
Jis nakhl pak man hain chiyalees daliyan ik shaakh un man say hay banaam-e-Abul Hussain
Mastodon kw aye kareem bachaye khumaar say ta do hashar dorah-e-jaam-e-Abul Hussain
Un kay bhalay say lakhoon gareeboon ka hay bhala ya Rabb zamana baad bakaam-e-Abul Hussain
Maila laga hya shaan-e-maseeha ki deed hay murday jila raha hay kharaam-e-Abul Hussain
Sar gashata mahroomah hain par ab tak khula nahi k is charkh par hay maah Tamam-e-Abul Hussain
Itna pata mila hay ke charkh chanbri hay haft paaya zeenah baam-e-Abul Hussain
Zarrah ko mahar-e-qatrah ko darya karay abhi gar josh zan ho bakhshash aam-e-Abul Hussain
Yahya ka sadqa waaris-e-Iqbal mand paye sajadah-e-shuyookh kiraam-e-Abul Hussain
Inaam lain bahar-e-jinaan tahniat likhain phoolay phalay to nakhal maraam-e-Abul Hussain
Allah ham bhi daikh lain shahzadah ki bahaar soonghay gul murad mashaam-e-Abul Hussain
Aqa say meray suthray miyaan ka huwa hay naam us achay suthray say rahay Naam-e-Abul hussain
Ya Rabb wo chand jo falak-e-Izz-o-jaah par har sair man ho gaam bagaam-e-Abul Hussain
Aao tumhain hilaal sipahar sharaf dikhayen garden jhukayen bahar salaam-e-Abul Hussain
Qudrat Khuda ki hay ke talatum kinaan uthi bahar fina say moj dawaam-e-Abul Hussain
Ya Rabb hamain bhi chashni is apni yaad ki jis say hay shukkrain lab-o-kaam-e-Abul Hussain
Han tali’e Raza Allah ray ya wari
Aye bandah judood kiraam-e-Abul Hussain
Bashar kia likhay ga maqam-e-Muhammad
Khud apna qaseedah hay Naam-e-Muhammad
Bhalay sab Khuda kay, buray sab hamaray
Hadees-e-Muhammad, Kalaam-e-Muhammad
Shameem-e-Muattar, Naseem-e-muanbar
Huwa jis taraf bhi kharaam-e-Muhammad
Shuayen karam ki, ghata Rahmatoon ki
Wo Subuh-e-Muhammad, ye sham-e-Muhammad
Har ik kaasa labraiz, har fasla tay
Ze dast-e-Muhammad ze gaam-e-Muhammad
Ye kaabah hay kia? Tarbiat gah-e-ulfat
Sikhata hay jo ihtiraam-e-Muhammad
Banaya Muhammad ko khaliq nay, Aaqa
Bani saari khalqat Gulaam-e-Muhammad
Yad-e-Mustafa man Sunatay thay kinkar
Piyaam-e-Muhammad salaam-e-Muhammad
Naseema! Teray din bhi kesay phiray jab
Khulay gaisoo-e- mushak-e-faam-e-Muhammad
Adeeb ab koi khof dil man nahi hay
Wahan par to likha hay, Naam-e-Muhammad
Be khud kiye dete heyn, andaz-e-hijaabaana,
Aa dil meyn tujhe rakh lun aey Jalwa-e-jaanana.
Bas itna karam karna aey Jalwa Jaanana
Jab jaan labuon par ho Tum aa jaana.
Jee chahta hey tohfe meyn bhijoon man uneheyn aankheyn
Darshan ka to darshan ho nazraane ka nazrana.
Peene ko to pee lunga, par arz zara si hey,
Ajmeyr ka Saqi ho, Baghdad ka maykhana.
Kiyun aankh lagayi thee kiyun .aankh milayi thee.
Ab Rukh ko chupa bayithey kar kay mujhay deewana
Be dam meri qismat meyn sajdey heyn Usi Dar ke,
Chootey heyn na choote ga Sang-e-dar-e-Jaana’na
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Laut kar main na jaaun ga khaali
Tumhaare Aastaane se zamaana kiya nahin paata
Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeenah
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeenah
Tum zamaane ke Mukhtaar ho ya Nabi
Bekason ke Madadgaar ho ya Nabi
Sab ki sunte ho apne hon ya gheyr hon
Tum ghareebon ke Gham-Khwaar ho ya Nabi
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeenah
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeenah
Hum heyn ranj-o-museebat ke maare huwe
Sakht mushkil meyn heyn gham se haare huwe
Ya Nabi kuchh Khudaara humein bhiek do
Dar pe aaey heyn jholi pasaare huwe
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeenah
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeenah
Hey mukhaalif zamaana kidhar jaaeyn hum
Haalat-e-bekasi kis ko dikhlaeyn hum
Hum tumhaare bhikaari heyn ya Mustafa
Kis ke aage bhalaa haath phaylaaeyin hum
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeenah
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeenah
Bhar do jholi meri ya Muhammad
Laut kar main na jaaun ga khaali
Kuchh Nawaason ka sadqa ataa ho
Dar pe aaya hoon ban kar sawaali
Haq se paayi wo Shaan-e-Kareemi
Marhaba Dono Aalam ke Waali
Us ki qismat ka chamka sitaara
Jis pe Nazr-e-Karam tum ne daali
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo deen-e-Haq ki bachaa li
Wo Muhammad ka piyara Nawaasa
Jis ne sajde mein gardan kataa li
Jo Ibn-e-Murtazaa ne kiya kaam khoob hey
Qurbaani-e-Husaiyn ka anjaam khoob hey
Qurbaan ho ke Fatima Zahraa ke chein ne
Deen-e-Khuda ki shaan barhaayi Husaiyn ne
Bakhshi hey Jis ne Mazhab-e-Islam ko Hayaat
Jitni Azeem Hazrat-e-Shabbir ki hey Zaat
Maydaan-e-Karbala mein shah-e-Khush khisaal ne
Sajde mein sar kataa ke Muhammad ke Laal ne
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo deen-e-haq ki bachaali
Wo Muhammad ka Piyara nawaasa
Jis ne sajde mein gardan kataali
Hash’r mein un ko dekhenge jis dam
Ummati ye kahen gey khushi se
Aa rahey heyn wo dekho Muhammad
Jin ke kaandhe pe Kamli hey kaali
Mehshar ke roz peysh-e-Khuda hon gey jis ghari
Hogi gunah gaaron mein kis darjaa beykali
Aate huwe Nabi ko jo dekhen ge ummati
ik doosre se sab ye kahen gey khushi khushi
Aa rahey heyn wo dekho Muhammad
Jinke kaandhe pe kamli hey kaali
Sar-e-Mahshar gunahgaaron se pursish jis ghari hogi
Yaqeenan har bashar ko apni bakhshish ki pari hogi
Sabhi ko aas us din Kamli waale se lagi hogi
Ke aise mein Muhammad ki sawaari aa rahi hogi
Pukaarega zamaana us ghari dukh dard ke maaro
Na ghabraaow gunah gaaro na ghabraaow gunah gaaro
Aa rahey heyn wo dekho Muhammad
Jinke kaandhe pe Kamli hey kaali
Aashiq-e-Mustafa ki Azaan mein ALLAH ALLAH kitna asar thaa
Sachaa ye Waaqiya hey Azaan-e-Bilaal ka
Ek din Rasool-e-Paak se logon ne yuon kahaa
Ya Mustafa Azaan ghalat detey heyn Bilaal
Kahiye Huzoor aap ka is mein hey kiya khayaal
Farmaaya Mustafa ne ye sach hey to dekhiye
Waqt-e-Sahar ki aaj azaan aur koi de
Hazrat Bilaal ne jo Azaan-e-Sahar na di
Qudrat Khuda ki dekho na mutlaq sahar huwi
Aaey Nabi ke paas kuchh as’haab-e-baasafaa
Ki arz Mustafa se ay Shah-e-Ambiya
Hey kiya sabab sahar na huwi aaj Mustafa
Jibreel laaey aiyse mein payghaam-e-Kibriyaa
Pehle to Mustafa ko Adab se kiya Salaam
Baad az Salaam unko Khuda ka diya Payaam
Yuon Jibraeel ne kahaa Khair-ul-Anaam se
ALLAH ko hey piyar tumhaare ghulaam se
Farmaa raha hey Aap se ye Rabb-e-Zul Jalaal
Ho gi na subha dengey na jab tak Azaan Bilaal
Aashiq-e-Mustafa ki Azaan mein ALLAH ALLAH kitna asar thaa
Ar’sh waale bhi sunte they jisko
Kiya Azaan thi Azaan-e-Bilaali
Kaash! Purnam bhi aaey Madeene
Jeete ji ho bulaawa kisi din
Haal-e-Gham Mustafa ko sunaaown
Thaam kar unke rauwze ki jaali
Bhar do jholi meri ya Muhammad
Laut kar main na jaaunga khaali
Bheni suhani subuh man thandak jigar ki hay
Kaliyaan khileen diloon ki hawa ye kidhar ki hay
Khabti hoi nazar man ada kis sahar ki hay
Chubhti hui jigar man sada kis gujar ki ahy
Daalain hari hari hain to baalain bhari bhari
Kashat-e-amal pari hay ye bearish kidhar ki hay
Ham jayen aur qadam say lipat kar haram kahay
Sonpa Khuda tujh ko ye azmat safar ki hay
Ham gird kaabah phirtay thay kal tak aur aaj wo
Ham par Nisaar hay ye iraadat kidhar ki hay
Kalak jabeen ki sajdah-e-dar say churhao gay
Mujh ko bhi lay chalo ye tamanna hajar ki hay
Dooba hua hay shauq man zamzam aur aankh say
Jhaalay bars rahay hain ye hasrat kidhar ki hay
Barsa ke jaanay waaloon pe gohar karoon Nisaar
Abar-e-karam say ar’z ye mazaab zar ki hay
Aagosh shauq kholay hay jin kay laye hateem
Wo phir kay daikhtay nahi ye dhan kidhar ki hay
Haan haan rah-e-Madeenah hay gafil zara too jaag
Aopaoun rakhnay waalay ye ja chasham-o-sar ki hay
Waaroon qadam qadam pe ke har dam hay jaan-e-no
Ye raah-e-fiza meray mola kay dar ki hay
Gharhiyaan gini hain barsoon ke ye sub gharhi phiri
Mar mar kay phir ye sal meray seenay say sar ki hay
Allah-o-Akbar apnay qadam aur ye khaak-e-paak
Hasrat malayekah ko jahaan waza’e sar ki hay
Meraaj ka samaan hay khan puhunchay zaayero!
Kursi say ounchi kursi usi paak ghar ki hay
Ushaaq-e-roza sajdah man soo-e-Haram jhukay
Allah jaanta hay ke Niyyat kidhar ki hay
Ye ghar ye dar hay us ka jo ghar dar say paak hay
Mujdah ho bay ghar-o-ke Salaah achay ghar ki hay
Mahboob Rabb-e-arsh hay us sabz Qubbah man
Pehloo man jalwah gaah ateeq-o-umar ki hay
Chaaye malayekah hain laga taar hay Durood!
Badlay hain pahray badly man baarsh durar ki hay
Saadeen ka qiraan hay pehloo-e-maah man
Jhurmat kiye hain taaray tajalle qamar ki hay
Sattar hazaar subuh hain sattar hazaar shaam
Yoon bandagi zulf-o-rukh aathoon pahar ki hay
Jo ayek baar aaye dobarah na aayen gay
Rukhsat hi baargaah say bas us qadar ki hay
Tarhpa karain badal kay phir aana kahan Naseeb
Bay hukum kab majaal parinday ko par ki hay
Aye waaye bay kasi-e-tamanna kea b umeed
Din ko na shaam ki hay na shab ko sahar ki hay
Ye badliyaan na hoon to karoroon ki aas jaye
Aur baargaah marhamat-e-aam tar ki hay
Masoomoon ko hay umar man sirf ayekbaar bar
Aasi parhay rahin tawasalan umar bhar ki hay
Zindah rahian to haaziri-e-baargah Naseeb
Mar jayen to hayaat-e-abad aish ghar ki hay
Muflis aur aisay dar say phiray bay gani hui
Chandi har ik tarah to yahaan gadia gar ki hay
Janaan pe takiah khaak nahali hya dil nahaal
Haan bay nawaou khoob ye Soorat guzar ki hay
Hain chitar-o-takhat saaya-e-deewaar-o-khaak-e-dar
Shahoon ko kab Naseeb ye dhaj karr-o-far ki hay
Is paak ko man khaak basar sar bakhaak hain
Samjhay hain kuch yehi jo haqeeqat basar ki hay
Kiyoon taajdaro! Khawaab man daikhi kabhi ye shay
Jo aaj jholiyoon man gada yaan-e-dar ki hay
Jaar-o-kashoon man chehray likhay hain malook kay
Wo bhi kahan Naseeb faqat Naam bhar ki hay
Tayyibah man mar kay thanday chalay jaaou aankhain band
Seedhi sarhak ye shahar shafaat nagar ki hay
Aasi bhi hain chaheetay ye Tayyibah hay zahido!
Makkah nahi ke jaanch jahaan khar-o-shar ki hay
Shaan-e-jamaal-e-Tayyibah jaanaan hay nafa’e mahaz!
Wusat jalaal-e-Makkah man sood-o-zarar ki hay
Kaabah ha bay skhak anjuman aara dulhan magar
Saari bahaar dulhaniyoon man doolha kay ghar ki hay
Kaabah dulhan hay turbat-e-athar naye dulhan
Ye rashak-e-aftaab wo gairat qamar ki hay
Donoon baneen sajeeli aneeli bani magar
Jo pe kay paas kay wo suhagan kanwar ki hay
Sar sabz-e-wasal ye hay sayah posh-e-hajar wo
Chamki do patoon say hay jo haalat jigar ki hay
Ma-o-shuma to kia ke khaleel-e-jaleel ko
Kal daikhna ke un say tamanna nazar ki hay
Apna sharf dua say hay baaqi raha qubool
Ye jaanain un kay haath man kunji asar ki hay
Jo chahay un say maang ke donoon jahaan ki khair
Zarna khareedah ayek kaneez un kay ghar ki hay
Roomi gulam din habshi bandiyaan shabeen
Ginti kaneez zadoon man shaam-o-sahar ki hay
Itna ajab bulandi jannat pe kis liye
Daikha nahi ke bheek ye kis ounchay ghar ki hay
Ar’sh-e-bareen pe kiyoon na ho firdos ka dimaag
Utri hui shabia teray baam-o-dar ki hay
Wo khuld jis man utaray gi abraar ki barat
Adna nichawar us meray doolaha kay sar ki hay
Anbar zameen abeer hawa mushak-e-tar gubaar!
Adna se ye shanaakhat teri rahguzar ki hay
Sarkaar ham ganwaaroon man tarz-e-adab kahan
Ham ko to bas tameez yehi bheek bhar ki hay
Maanay gay maangay jayengay munh maangi paayen gay
Sarkaar man na la hay na haajat agar ki hay
Uf bay hayaiyan ke ye munh aur teray Huzoor
Haan tu kareem hay teri khoo dar guzar ki hay
Tujh say chupaoun munh to karoon kis kay saamnay
Kia pursash-e-aur jaa bhi sag-e-bay hunur ki hay
Baab-e-ata to ye hay jo behka idhar udhar
Kesi kharaabi us nighray dar badar ki hay
Abad aik dar hay tera aur teray siwa
Jo bargaah daikhay gairat khandar ki hay
Lab wa hain aankhain band hain phaili han jholiyaan
Kitnay mazay ki bheek teray paak dar ki hay
Ghaira andhariyoon nay duhaye hay chand ki
Tanha hoon kaali raat hay manzal khatar ki hay
Qismat man laakh paich hoo so bal hazaar kaj
Ye saari guthi ik teri seedhi nazar ki hay
Aesi bandhi naseeb khulay mushkilan khulen
Donon jahaan man dhoom tumhaari kamar ki hay
Jannat na dain, na dain, teri royat ho khair say
Us gul kay aagay kis ko hawas barg-o-bar ki hay
Sharbat na dain, na dain, to karay baat lutuf say
Ye shaheed ho to phir kisay parwa shukur ki hay
Man khana zaad kehna hoon soorat likhi hui
Bandoon kaneezoon man meray maadar pidar ki hay
Mangta ka haath uthtay hi data ki den thi
Doori qabool-o-ar’z man bas haath bhar ki hay
Sinki wo daikh bad shafaat ke day hawa
Ye aabroo Raza teray damaan-e-tar ki hay
Bhini suhaani subah mein thandak jigar ki hai
kaliyan khulein dilon ki sun-hwa yeh kidhar ki hai
hum jayen aur qadam se lapat kar haram kahe
sonpa kkhuda ko yeh Azmat kis safar ki hai
mujrim bulaye aaye hain jaou k hai gawah
phir radd ho kab yeh shaan krimon ke dar ki hai
pehlay ho un ki yaad ke paye jala namaz
yeh kehti hai azaan jo pichlle pehar ki hai
sarkar hum ganwaroon mein tarz adab kahan
hum ko to bas tameez yahi bheek bhar ki hai
apna Sharf dua se baqi raha qubool
yeh jaanen un ke haath mein kunji asar ki hai
kaaba hai be shak anjuman aara dulhan magar
saari bahhar dlhnon mein dulha ke ghar ki hai
woh Khuld jis mein utre gi Abrar ki baarat
adna nichhawar is marey dulha ke sir ki hai
haan haan reh madinah hai ghaafil zara to jaag
o paon rakhnay walay yeh ja chasham o sir ki hai
sattar hazaar subah hain sattar hazaar shaam
yun bandagi e zulff o rukh aathon pehar ki hai
mehboob rab arsh hai is sabz quba mein
pehlu mein jalva gaah Ateeq o Umar ki hai
lab wahein ankhen band hain phaily hain jholyan
kitney mazay ki bheek tre pak dar ki hai
qismat mein laakh paich hon so bil hazaar kaj
yeh saari guthi ik teri seedhi nazar ki hai
momin hon mominon pay raouf Raheem ho
sayel hon saylon ko khushi laa neher ki hai
Mooli Ali ne vari tِri neend par namaz
aur woh bhi asar sab se jo aala khatar ki hai
Seddiq balkay ghaar mein jaan is par day chuke
aur Hifz jaan to jaan furooz e gharar ki hai
ha n to ne un ko jaan unhein phair di namaz
par woh to kar chuke jo kar ni bashar ki hai
saabit sun-hwa jumla faraiz Faroo hain
asalul usool bandagi is Tajwar ki hai
aa kuch suna day ishhq ke bolon mein ae Raza
mushtaq taba lzztِ soze jigar ki hai
Bigri Bhi Banain Ge, Jalwy Bhi Dekheyn ge
Ghabrao na Deewano Sarkar Bulayn Ge
Hum masjid-e-Nabavi key Dekhyn Ge Minaroon Ko
Aur Gumbad-e-Khazra key Purnoor nazaroon ko
Hum Ja Key madeenah phir wapis nahi aay ge
Mil Jay gi Tabirein Eik Rooz To khawaboo ki
Gir Jay Gein Dewarein Sab Dekhna Rahoo ki
Hum Rowza-e-Aqdas par jab ansoo baheyn ge
Dil Ishq-e-Nabi meyn tum kuch aur tarapny do
Is deed ki atish ko kuch aur bharkny do
Hum Tishna-dily chal kar Zam Zam sey bojhay ge
Jab hashar Key maidan meyn eik hash’r bapaa ho ga
Jab Faisla Ummat Ka Karney Ko Khuda ho ga
Ummat Ko Shah-e-bat’ha Kamli mey chupain ge
Lillah Muhammad Sey Rudad meri kehna
ye poch key Aaqa Sey aey Hajiyo Tum Ana
Ish’rat Ko Dar-e-Aqdas kab aap bolain ge
Ghabrao Na Deewano Sarkar Bolain Ge…
Bosa gah-e-ashaab wo muhar saami
Wo shana-e-chup man us ki anbar faami
Ye tarfah ke hay kaabaha jaan-o-dil
Sang-e-aswad Naseeb rukun-e-shaami
Bulalo phir mujhey ay shah-e-bahr-o-bar, Madeenahy main
Main phir rota huwa aoo, teray dar par Madeenahy main
Na douwlat dey nah shouhrat dey, mujhey bas ye shahaadat dey
Teray Qadmo mayn marjaoon, main ro ro kar Madeeney main
Madeene jaaney Waalo jawo jawo fi-Aman’illah
Kabhi to apna bhi lag jaey ga bistar Madeeney main
Meraa gham bhi to dekho, main paraa hoo dur Tayba sey
Sukoon Paey’ga bas meraa dil-e-Muztar Madeeney main
Salaam-e-showq kehna haajyo meraa bhi ro ro kar
Sunaa na Dastan-e-Gham meri ro kar Madeenay meyn
Madeenah is liye Attar jaan-o-diil se hey piyaara
Key rehtay heyn meray Aqa meray dil-bar Madeenay meyn
Chalo diyar-e-Nabi ki janib Durood Lab par saja saja kar
Bahar loutain gay ham karam ki , diloon ko daman bana bana kar
Na un kay jesa sakhi hay koi na un kay jesa Gani hay koi wo hay nwaon ko har jaga say nawaztay han bula bula kar
Main wo nikama hon jis ki jholi main koi husun-e-Amal nahi hay
Magar wo ihsan kar rahay han khatain meri chupa chupa kar
Hay un ko ummat say piyar kitna karam hay Rahmat shiyar kitana
Hamaray jurmoon ko dho rahay han wo apnay Aansoon baha baha kar
Ye hi Asas-e-amal hay meri usi say bigri bani hay meri
Sametata hoon karam khuda ka Nabi ki naatain suna suna kar
Wo rahain ab tak saji hui han diloon ka kaba bani hui han
Jahan jahan say Huzoor guzray han naqsh apna jama jama kar
Agar muquddar nay yawari ki agar madeenay gaya main Khalid
Qadam Qadam Khak us gali ki main choom loon ga utha utha kar
Chamak tujh say patay han sab pany waly
Mera dil bhi chamka day aye chamkanay waly
Barsta nahi daikh kar abr-e-Rahmat
Bandoon par bhi barsa day barsanay walay
To zindah he Wallah to Zindah he wallah
Miray chasham-e-Aalam say chup janay waly
Rahay ga yoon hi un ka charcha rahay ga
Parhay Khak ho jayen jal janay walay
Raza Nafs Dushman hay dam main na Aana
Kahan tum nay daikhay han chandranay walay
Chaman Tayyibah man sunbul jo sanwaaray gaisoo
Hoor barh kar shikin naaz pe waaray gaisoo
Ki jo baaloon say teray roza ki ja rob kashi
Shab ko shabnam nay tabaruk ko hain dharay gaisoo
Ham saye karoon pe ya Rabb tapash-e-mahshar man
Saaya afgan hoon teray piyaray kay piyaray gaisoo
Charchay hooroon man hain daikho to zara yaal-e-buraaq
Sunbul-e-khuld kay qurbaan utaaray gaisoo
Aakhir-e-Hajj gam-e-ummat man praishaan ho kar
Tairah bakhatoon ki shafaat ko sudhaaray gaisoo
Gaush tak suntay thay faryaad ab aaye ta dosh
Ke banain khana badoshoon ko shaaray gaisoo
Sookhay dhanoon pe hamaaray bhi karam ho jaye
Chaaye Rahmat ki ghata ban kay tumhaaray gaisoo
Kaabah jaan ko pehnaya Gilaaf-e-mushkeen
Urh kar aaye hain jo abaroo pe tumhaaray gaisoo
Silslah paa kay shafaat ka jhatkay parhtay hain
Sajdah-e-shukar kay kartay hain ishaaray gaisoo
Muskhk boo kocha ye kis phool ka jharha un say
Hooriyo anbar-e-saara huay saaray gaisoo
Daikho Quraan man shab-e-Qadar hay ta matla’e fajar
Yeni nazdeek hain aariz kay wo piyaaray gaisoo
Bheeni khushboo say mahak jaati hain galiyaan wallah
Kesay phoolooon man basaye hain tumharay gaisoo
Shaan-e-Rahmat hay ke shaana na juda ho dam bhar
Seenah chakoon pe kuch darja hain piyaray gaisoo
Shaanah hay panja-e-Qudrat teray baaloon kay liye
Kesay haathoon nay shaha teray sanwaray gaisoo
Uhud-e-Paak ki choti say ulajh lay shab bhar
Subuh honay do shab-e-eid nay haaray gaisoo
Mujdah ho qiblah say ghunghoor ghatayen umadain
Abroowoon par wo jhukay jhoom kay baaray gaisoo
Taar-e-sheeraza-e-majmooa-e-konain hain ye
Haal khul jaye jo ik dam hoon kinaray gaisoo
Tail ki boondain tapkati nahi baaloon say Raza
Subuh aariz pe luta tay hain sitaaray gaisoo
Chand taray hi kia daikhtay rah gay
Un ko a’rz-o-Sama daikhtay rah gay
Parh kay Rooh ul Amin Soorah Dhuha
Soorat-e-Mustafa daikhtay rah gay
Muqtadi muqtada daikhtay rah gay
Mujza thaw o hijrat main un ka safar
Dushmanan-e-khuda daikhtay rah gay
Marhaba shan-e-meraj Khatam-e-Rusul
Sab ky sab anbiya daikhtay rah gay
Main Naseer aaj wo hay naat Nabi
Naat go mun mera daikhtay rah gay
Charagan charagan piyam-e-MUHAMMD
Buhat mustanad hay Kalam-e-MUHAMMD
Ameer wa gada main nahi faraq koi
Zamanay main yaksan Nizam-e-MUHAMMD
Adalat , shujaat, Sakhawat, wafa main
Shenshah-e-Doran Gulam-e-MUHAMMD
Azal say lutata huwa phool gunchay
Abad tak hay gardash main jam-e-MUHAMMD
Shafee’e Umam bhi , wo Khatam ul Rusul bhi
Buhat Arfa aala maqam-e-MUHAMMD
Madeena bhi hay mustaqqar un ka akhtar
Makan la makan bhi qiyam -e-MUHAMMD
Chorh fikr dunya ki chal Madeenay caltay han
Mustafa Gulamoon ki Qismatain badaltay han
Naqsh kar lay seenay par Naam-e-Sarwar deen ka
Ye wo Naam hay jis say sab azaab Taltay han
Sirf saari dunya main wo hay kuch aye AHMAD
Jis jaga ye ham jesay khotay sikkay chaltay han
Aamina kay palay ka kaali Zulfoon waalay ka
Jashan ham manatay han jalnay walay jaltay han
Ham ko roz milta hay Sadqa madeenay walay ka
Mustafa kay Tukrhoon pe Khush Naseeb paltay han
Rahmatoon ki chadar sar pe saye chaltay han
Mustafa kay deewanay ghar say jab nikaltay han
Zikar shah-e-batha ko wird ab bana lijiye
Wo zikar jis say Gam khushi man Dhaltay han
Dar paish ho Taiyybah ka safar kesa lagay ga
Guzrain jo wahan sham-o-sahar kesa lagay ga
Aye piyaray Khuda daikhon main sarkar ka jalwa
Mil jaye dua ko jo Asar kesa lagy ga
Yoon to guzartay han sabhi zindagi lakin
Darbar-e-Nabi main ho basar kesa lagay ga
Taiyybah ki saadat to yoon patay han hazaroon
Murshid kay saath ho jo safar kesa lagay ga
Aye kash Madeenay mian mujhay mout yoon Aaye
Qadmoon main ho sarkar kay sar kesa lagay ga
Jis dar pe shehnshahoon nay bhi daman han pasaray
Har saal wahan jaon agar kesa lagay ga
Paye hay Munawwar nay Qaza dar pe Nabi kay
Aaja kay watan ayesi Khabar kesa lagay ga
Dar-e nabi ki taraf chala hon
badan pay chadar hai aansoun ki
lahoo mein lazzat hai raastoon ki
baghair khushbu mehak raha hon
dar-e nabi ki taraf chala hon
sukoon amaiz be qarari
hai meri yaksouyion pay taari
chali buraq kashish pay le kar
rasool akram ki gham gsari
rasai hai bikhat naarsa mein
sira hai ik dastay mstfe? mein
mein dor ka dosra sira hon
dar-e nabi ki taraf chala hon
Tuwaf kaaba t_ha farz mujh par
dar-e nabi ka hai karzzzz mujh par
simat ke saya figan howa hai
Jahan ka tole o arz mujh par
shrikِ raftaar jo rahay hain
woh faaslay khatam ho rahay hain
mein aaj se apni ibtida hon
dar-e nabi ki taraf chala hon
dikhai dainay laga madinah
misaal dar k_hl raha hai seenah
hawae hurron ke lams jaisi
fizayen khuld bareen ka zeena
khuly hue bazoon si rahein
har ik musafir ko aِtna chahain
ke unn ki chahat pay mar mita hon
dar-e nabi ki taraf chala hoon
yeh saa-at qeemti b_h aayi
ke haazri ko chali judaee
dharak rahay hain hawaas Khamsa
laraz rahi hai burhenapa payi
bahisht aalam hai yeh ilaqa
qadam qadam naqash-e paye aaqa
zamee ke sheeshay mein dekhta hon
dar-e nabi ki taraf chala hoon
dar-e nabi par pahonch gaya hoon
yaqeen haawi sa hai guma par
zameen par hoon ke aasmaa par
mein hoon nahi hoon jo hon to kya hon
dar-e nabi par pahonch gaya hoon
nah rang naam o namood mera
nah saya hast o bood mera
khank khank Noor mstfe se
pِghl raha hai wujood mera
Jamal sarkar zofashan hai
nigah b_h darmia kahan hai
saraapaa aankhein bana sun-hwa hon
dar-e nabi par pahonch gaya hoon
yeh Deed mairaaj hai nazar ki
yahi kamaai hai Umar b_hr ki
raees Lail o nehar Thihra
talabb ho kya mujh ko maal o zar ki
shaoor o Urfan o aagahi se
khazana jalva nabi se
tjoryon ki terhan b_hra hon
dar-e nabi par pahonch gaya hoon
hayaat ko jis ki dُhn rahi hai
woh qurb ke phool chuun rahi hai
salam ka bhi jawab goya
samaat ishhq sun rahi hai
ab aur kya maangna hai rab se
ke haath bandhay huay adab se
huzoor? ke samnay khara hon
dar-e nabi par pahonch gaya hoon
yeh roza Shah Anabia hai
ke Kursi arsh kibriya hai
bandha hwa hai drbaryon ka Tanta
ajeeb andaz takhlia hai
baghair ijazat ho baaryabi
siyahi dil ho aaftabi
mein zeng khorda chamak utha hon
dar-e nabi par pahonch gaya hoon
dar-e nabi se palat raha hoon
zameen hai mere sir pay jaisay
Thihir gayi rooh dar pay jaisay
badan ke hamrah chal para hoon
dar-e nabi se palat raha hoon
sukoon chenna sawab chenna
nzarah lajawab chenna
faraiz dunewi ne mujh se
dar-e risaalat ma aab chenna
rawan rawan aap ko pukare
kattain rgِ jaan se mourr saaray
haram ko mُrh mُrh ke daikhta hoon
dar-e nabi se palat raha hoon
mein yun dyarِ nabi se Nikla
ke jaisay shola kalie se nikla
liye hue rehmaton ke saaye
mein halqa roshni se nikla
agarchay pi aaya hon samandar
magar barri tashnagi hai andar
mein khush hon lekin bujha bujha hon
dar-e nabi se palat raha hoon
dobarah jane ki Arzoo hai
ke khud ko panay ki Arzoo hai
jo hajj pay ahraam bandhtay hain
pehan ke anay ki Arzoo hai
jo boye aaqa ki day gawahi
usi kafan mein maroon ellahi
tarap hoon, faryaad hoon, dُaa hoon
dar-e nabi se palat raha hoon
mujhe mere zehen ne dooboya
bohat hi, kam mayigi pay roya
ta-assur apna bayan kar ke
skhnori ka bharam bhi khoya
nah laaj rakhi qalam ki mein ne
kya tha mehsoos jo bhi mein ne
kahan muzaffar woh likh saka hon
nabi nabi phir pukaarta hon
nabi nabi nabi nabi nabi nabi nabi nabi
Dikha day Khdaya Bahar-e-Madeenah
Buhat ho gaya Intizar-e-Madeenah
Jahan ka har eik Husan hay manad jab say
Nigahoon main chahiye nigar-e-Madeenah
Milay Aab-e-koasar ki Thandak si dil ko
Main jab choom loon raigzar-e-Madeenah
Mazar-e-Muqaddas ki barkat to daikho
Barhaya hay us nay waqar-e-Madeenah
Meri Rooh Taiyybah ki galiyoon main niklay
Meri zindagi ho nisar-e-Madeenah
Madeenay man mah-e-Siyam Aa gaya hay
Chalo daikh hamdam nikhar-e-Madeenah
Dil ko un say khuda juda na karay
Bay kasey lot lay Khuda na karay
Us man rozah ka sajdah ho ke tawwaf hosh man jo na ho wo kia na karay
Ye wohi hain ke bakhsh daitay hian kon un jurmoon par saza na karay
Sab tabeeboon nay day dia hay jawaab aah esa agar dawa na karay
Dil kahan lay chala haram say mujhay aray tera bura Khuda na karay
Uzar umeed af’w gar na sunain roo sayyah aur kia bahana karay
Dil man roshan hay shama’e ishq Huzoor kaash josh-e-hawas huwa na karay
Hashar man ham bhi sair daikhain gay munkir aaj un say iltijaa na karay
Zu’af maana magar ye zaalim dil un kay rastay man to thaka na karay
Jab teri khoo hay sab ka jee rakhna wohi acha jo dil bura na karay
Dil say ik zauq-e-maye ka taalib hoon kon kehta hay ittiqa na karay
Lay raza sab chalay madeenay ko
Man na jaoun aray Khuda na karay
Dil main kisi aur ko basaya na jayega
Zikr-e-Rasool-e-Paak Bhulaya na jayega
Wo khud hi jaan lain gay , jataya na jayega
Ham ko jaza milay gai Muhammad say ishaq ki
Dozakh kay Aas paas bhi laya na jayega
Kehtay thay Bilal Tashadud say kufur kay
Ishaq-e-Nabi ko dil say nikala na jayega
Bay shak Huzoor Shaf’e Mahshar han munkiro
Kia un kay samnay tumhain laya nah jayega
Manay ga un ki baat Khuda Hashar main Naseer
Bin Mustafa Khuda ko manaya na jayega
Diyar-e-madah an alfaz ka jab karwan nikla
Alam lay kar qalam nikla’ ada ban kar bayan nikla
Basad andaaz-e-ra’naye, basad husun-e-shakeebaye
Barang-e-gulustan nikla, bashakal-e-kahkshan nikla
Udhar chirhka jorih man chandni ko maah-e-nudrat nay
Idhar khursheed-e-Ma’ana dar qubaye sad bayan nikla
Wafad Qaus-e-qazah laaye ke shamil rangtain kar lo
Tayooran-e-chaman dorhay ke daikho gulustan nikla
Ameer-e-karwaan ko muntakhab karnay ki baat aaye
Faqat ik ish’q ayesa tha jo sab man kamran nikla
Pay pardaz, baraq-e-takhyyul, samnay aaya
Tajassus nay zara sey ayerh di wo lamakan nikla
Buhut hi saaz-o-samaan kheema-e-fikir sukhun man tha
Magar un sab man aansoon hi mataa’e-e-karwaan nikla
Murassa’e ho gaye jab naat Husun-e-lafaz-o-ma’na sy
Adaye naat ka ik masala bhi imtihan nikla
Sunaya bulbul-o-qamari nay so andaaz say lakin
Adeeb-e-khush nawahi tha jo sab man khush bayan nikla
Do jahan kay wali ka do jahan pay saya hay
Un ko to khuda nay un ki marzi say banaya hay
Noori noori Talway kesay piyaray jalway hain
Chand un kay jalwoon ki bheek lainay Aaya hay
Wadhuha ka chehra hay Taha ka sehra hay
Un kay muskranay say zamana jagmagaya hay
Nabiyoon nay salami di walioon nay gulami ki
Sar pe un kay khaliq nay taaj wo sajaya hay
Toor par kaha Rabb nay lan Tarani Moosa ko
Par Madeenay waalay ko a’rsh par bulaya hay
Barkatoon kay railay hain nor yoon kay mailay han
Haleemah teri Kuttia main ye koan Muskraya hay
Mouj main jab Aatay han taaj war banatay han
Sab pe hay karam Nasir Apna ya Paraya hay
Dushman-e-Ahmad pe shiddat kejiye mulhidoon ki kia murawwat kejiye
Zikr un ka charhiye har baat man chairhna shaitaan ka aadat kejiye
Misl-e-faaris zalzalay hoon najad man zikr-e-aayaat-e-wiladat kejiye
Gaiz man jal jayen bay deenoon kay dil ya Rasool-ul-Allah ki kasrat kejiye
Kejiye charcha unhi ka subuh-o-shaam jaan-e-kaafir par qayamat kejiye
Aap dargaah-e-Khuda man han wajeeh haan shafaat bil wajaahat kejiye
Haq tumhain farma chukka apna Habeeb ab shafaat bilmuhabbat kiejiye
Izin kab ka mil chukka ab to Huzoor ham gareeboon ki shafaat kejiye
Mulhidoon ka shak nikal jaye Huzoor jaanib-e-mah phir ishaarat kejiye
Shirk thehray jis man taazeem Habeeb us buray mazhab pe laanat kejiye
Zaalimo! Mahboob ka haq tha yehi ishq kay badlay adaawat kejiye
والضحٰے حجرات الم نشرح say phir Momino ! itmaam-e-hujjat kejiye
Baithtay uthtay Huzoor paak say iltija-o-istiaanat kejiye
Ya Rasool-al-Allah duhaye aap ki goshmaal-e-ahle-e-bidaat kejiye
Gauth-e-azaam aap say faryaad hay zindah phir ye paak millat kejiye
Ya Khuda tujh tak hay sab ka muntaha olya ko hukum-e-nusrat kejiye
Meray Aaqa Hazrat-e-achay miyaan
Ho Raza acha wo soorat kejiey
درِ نبی کی طرف چلا ہوں
بدن پہ چادر ہے آنسووں کی
لہو میں لذت ہے راستوں کی
بغیر خوشبو مہک رہا ہوں
درِ نبی کی طرف چلا ہوں
سکون آمیز بے قراری
ہے میری یکسوئیوں پہ طاری
چلی براقِ کشش پہ لے کر
رسُول اکرم کی غم گساری
رسائی ہے بختِ نارسا میں
سِرا ہے اِک دستِ مصطفے ﷺ میں
میں ڈور کا دوسرا سِرا ہوں
درِ نبی کی طرف چلا ہوں
طوافِ کعبہ تها فرض مجھ پر
درِ نبی کا ہے قرض مجھ پر
سمٹ کے سایہ فگن ہُوا ہے
جہان کا طول و عرض مجھ پر
شریکِ رفتار جو رہے ہیں
وہ فاصلے ختم ہو رہے ہیں
میں آج سے اپنی ابتدا ہوں
درِ نبی کی طرف چلا ہوں
دکهائی دینے لگا مدینہ
مثال در کُهل رہا ہے سینہ
ہوائیں حوروں کے لمس جیسی
فضائیں خُلدِ بریں کا زینہ
کهلے ہوئے بازؤوں سی راہیں
ہر اک مسافر کو اِتنا چاہیں
کہ اُن کی چاہت پہ مر مٹا ہوں
درِ نبی کی طرف چلا ہُوں
یہ ساعتِ قیمتی بهی آئی
کہ حاضری کو چلی جُدائی
دهڑک رہے ہیں حواسِ خمسہ
لرز رہی ہے برہنہ پائی
بہشتِ عالم ہے یہ علاقہ
قدم قدم نقشِ پائے آقا
زمیں کے شیشے میں دیکهتا ہوں
درِ نبی کی طرف چلا ہُوں
درِ نبی پر پہنچ گیا ہُوں
یقین حاوی سا ہے گماں پر
زمین پر ہُوں کہ آسماں پر
میں ہُوں نہیں ہُوں جو ہوں تو کیا ہوں
درِ نبی پر پہنچ گیا ہُوں
نہ رنگِ نام و نمود میرا
نہ سایۂ ہست و بود میرا
خنک خنک نُورِ مصطفے سے
پِگھل رہا ہے وجُود میرا
جمالِ سرکار ضَوفشاں ہے
نگاہ بهی درمیاں کہاں ہے
سراپا آنکهیں بنا ہوا ہوں
درِ نبی پر پہنچ گیا ہُوں
یہ دِید معراج ہے نظر کی
یہی کمائی ہے عمر بهر کی
رئیسِ لیل و نہار ٹهہرا
طلب ہو کیا مجھ کو مال و زر کی
شعور و عرفان و آگہی سے
خزانۂ جلوۂ نبی سے
تجوریوں کی طرح بهرا ہوں
درِ نبی پر پہنچ گیا ہُوں
حیات کو جس کی دُھن رہی ہے
وہ قُرب کے پُھول چُن رہی ہے
سلام کا بھی جواب گویا
سماعتِ عشق سُن رہی ہے
اب اور کیا مانگنا ہے رب سے
کہ ہاتھ باندھے ہُوئے ادب سے
حضور ﷺ کے سامنے کھڑا ہوں
درِ نبی پر پہنچ گیا ہُوں
یہ روضۂ شاہ انبیا ہے
کہ کُرسیِ عرشِ کبریا ہے
بندها ہوا ہے درباریوں کا تانتا
عجیب اندازِ تخلیہ ہے
بغیر اجازت ہو باریابی
سیاہیِ دِل ہو آفتابی
میں زنگ خوردہ چمک اُٹها ہوں
درِ نبی پر پہنچ گیا ہُوں
درِ نبی سے پلٹ رہا ہُوں
زمین ہے میرے سر پہ جیسے
ٹهہر گئی رُوح دَر پہ جیسے
بدن کے ہمراہ چل پڑا ہُوں
درِ نبی سے پلٹ رہا ہُوں
سکون چھینا ثواب چھینا
نظارۂ لاجواب چھینا
فرائضِ دنیوی نے مجھ سے
درِ رسالتمآب چھینا
رُواں رُواں آپ کو پکارے
کٹیں رگِ جاں سے موڑ سارے
حرم کو مُڑ مُڑ کے دیکھتا ہُوں
درِ نبی سے پلٹ رہا ہُوں
میں یوں دیارِ نبی سے نِکلا
کہ جیسے شعلہ کلی سے نکلا
لِیے ہوئے رحمتوں کے سائے
میں حلقۂ روشنی سے نکلا
اگرچہ پی آیا ہوں سمندر
مگر بڑی تشنگی ہے اندر
میں خُوش ہوں لیکن بجها بجها ہوں
درِ نبی سے پلٹ رہا ہُوں
دوبارہ جانے کی آرزُو ہے
کہ خُود کو پانے کی آرزُو ہے
جو حج پہ احرام باندھتے ہیں
پہن کے آنے کی آرزُو ہے
جو بُوئے آقا کی دے گواہی
اُسی کفن میں مروں الہی
تڑپ ہُوں، فریاد ہُوں، دُعا ہُوں
درِ نبی سے پلٹ رہا ہُوں
مجھے میرے ذہن نے ڈبویا
بہت ہی، کم مائیگی پہ رویا
تاثّر اپنا بیان کر کے
سخنوری کا بھرم بھی کھویا
نہ لاج رکھی قلم کی میں نے
کیا تھا محسوس جو بھی میں نے
کہاں مظفر وہ لکھ سکا ہوں
نبی نبی پھر پکارتا ہوں
نبی نبی نبی نبی نبی نبی نبی نبی
Eik bar madinay man ho jaye mera jana
Phir aur na kuch mangay sarkar ka deewana
Pal pal mera dil Tarhpay din raat karay Zaari
Kab aaoun Madeenay main? Kab Aaye meri baari?
Kab ja ke main daikhoon ga darbar wo Shahana
Is Aas pe jeeta hoon ik roaz bulayengay
Aur Gumbad-e-Khazra ka deedar karaigay
Phir paish karoon ga main ashkoon bhara nazrana
Bay chain nigahoon ko deedar ata kar do
Daman mira khushion se ya shah-e-Umam bhar do
Aabad Khuda Rakhay Aaqa Tera maikhana
Itne se Tammana hay ho jaye ye Manzoori
Bin deed kiye shaha mar jaye na deewana
Faasluon ko takalluf hey hum se agar, hum bhi bay-bus nahi, bay-sahara nahi
Khud Inhi ko pukarenge hum door se, raaste me agar paown thak jaeyn ge
Jayse hi Sab’z Gumbad nazar aeyga, bandagi ka qareenah badal jaey ga
Sar jhukane ki fursat milegi kise, khud hi aankhaun se sajdey se tapak jaengey
Hum Madeenah meyn tanha nikal jaenge, aur galiyauon meyn qasdan bhatak jaeyn ge
Hum wahaan jakay wapas nahi aeyn ge, dhoondte dhoondte log thak jaeynge
Naam In ka jahaan bhi liya jaeyga, Zikr Inka jahaan bhi kiya jaeyga
Noor hi Noor seenaun meyn bhar jaeyga, Sari Mehfil me Jalwe lapak jaeynge
Ai Madeena ke zayer Khuda ke liye, daastaney safar mujh ko yuon mat suna
Dil tarhap jaeyga, baat barh jaeygi, mere muh’taat aansoon chalak jaeynge
In ki Chashm-e-Karam ko hey, iss ki khabar, kis musafir ko hey kitna shauq-e-safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili, hum bhi AAQA ke Darbaar tak jaeng
Falak ke nazaruo, zameen ki bahaaruo
Sub Eidein manawo Huzoor agaey heyn
Uttho bay-saharo chalo gham ke maaro
khabar ye sunawo Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Anokha niraala Wo Zee-Shaan Ayaa
Wo saray Rasoolun ka Sultan Aayaa
Aray kaj-kula’ho aray baadshaho
Nigaheyn jhukao Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Huwaa char su Rahmataun ka ba’seyra
Ujaala Ujaala, Sawera, Sawera
Halima (رضی اللہ عنہا ) ko pohnchi khabar Aaminah (رضی اللہ عنہا )ki
Mere ghar meyn aao, Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Hawaun meyn jazbaat heyn Marhaba ke
Fazaun meyn naghmaat Salle A’lla ke
Durooduwn ke gajrey, Salamuwn ke tohfey
Ghulamon sajawo, Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Saman hey sana-e-Habeeb-e-Khuda ka
Ye Meelad hey Sarwarey Ambiyaa ka
Nabi ke gadawo sub ek doosre ko
Khabar ye sunao, Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Kahaan mayn Zahuri kahaan Un ki Bateyn
Karam hi Karam heyn ye Din aur Ratein
Jahaan par bhi jaao diluwn ko jagawo
Yahi kehte jawo, Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Gham ho gaye be shumaar aaqa
bandah tairay Nisar aaqa
bigra jata hai khail mera
aaqa aaqa sanwaar aaqa
manjhdhar pay aake naaow tooti
day haath ke hon mein paar aaqa
halka hai agar hamara palla
bhaari hai tera Waqar aaqa
majboor hain hum to fikar kya hai
tum ko to hai ikhtiyar aaqa
mein daur hon tum to ho mere paas
sun lo meri pukaar aaqa
mujh sa koi gham zada nah hoga
tum sa nahi gham gsar aaqa
gardaab mein par gayi hai kashti
dooba, dooba, utaar aaqa
tum woh ke karam ko naz tum se
mein woh ke badi ko aar aaqa
phir mun nah parre kabhi khizaa ka
day day aisi bahhar aaqa
jis ki marzi kkhuda nah talaay
mera hai woh Namdar aaqa
hai malik kkhuda pay jis ka qabza
mera hai woh kaamgaar aaqa
soya kiye naabkaar bande
roya kiye zaar zaar aaqa
kya bhool hai ke unkay hotay kehlayen
duniya ke yeh Tajdar aaqa
unn ke adna gadda pay mit jayyn
aisay aisay hazaar aaqa
be abr karam ke mere dhabbay
laa taghsilhal bihaar aaqa
aap ke karam ki barish ke baghair mere gunaaho
ke daagh samndron ke pani se nahi dhul satke
itni rehmat Raza pay kar lo
laa yaqirro bihilbawar aaqa
itni rehmat Raza pay kar den ke
barbadi o halakat Raza ke qareeb nah aaye
Gul Az Rukhat Aamokhata Nazuk Badneera Badneera
Bulbul ze to Aamokta Sheeren Sukhneera Sukhneera
Har kis k ke lab la’el Tura deedah be dil guft
Haqqa ke che kunadah Aqeeq-e-Yamneerah Yamneerah
Khiyat-e-Azal dokhta bar qamat-e-Zeeba
Dar Qito en jama sar-o-Chamneera chamneera
Az jama baichara Rasaneed Salamay
Har dar gahe darbar Rasool Madaneera Madaneera
Gunah gaaroon ko haataf say naveed-e-khush maali hay
Mubark ho shafaat kay liye ahmad sa waali hay
Qaza haq hay magar is shoq ka Allah waali hay
Jo un ki raah man jaye wo jaan Allah waali hay
Tera qadd-e-mubark gulban-e-Rahmat ki daali hay
Usay bo kar teray Rabb nay bina Rahmat ki daali hay
Tumhari sharam say shaan-e-jalaal haq tapakti hay
Kham-e-gardan hilaal-e-asmaan-e-zuljalaali hay
Zahay khud gum jo gum honay pe ye dhonday ke kia paya
Aray jab tak ke pana hay jabhi tak haath khaali hay
Man ik muhtaaj bay waqaat gada teray sag-e-dar ka
Teri sarkaar waala hay tera darbaar aali hay
Teri bakhshash pasandi uzar joi tobah khuwaaye say
Umoom-e-bay gunaahi juram shaan-e-la ubaali hay
Abu bakar-o-Umar, Usmaan-o-Haidar jis kay bulbul hain
Tera sarw-e-sahi us gulban-e-khoobi ki daali hay
Raza qismat hi khul jaaye jo geilan say khitaab aaye
Ke Tu adna sag-e-dargaah-e-khudaam-e-maali hay
Guzray jis raah wo sayyid-e-waala ho kar
Rah gaye saari zameen anbar-e-saara ho kar
Rukh-e-anwar ki tajalli jo qamar nay dekhi
Rah gaya bosah dah-e-naqsh-e-kaf-e-paa ho kar
Waye mahroomi qismat kay hain phir ab ki baras
Rah giya hamrah-e-zawwar-e-Madeenah ho kar
Chaman-e-Tayyibah hay wo baag ke murg-e-sidrah
Barsoon chehkay hain jahan bulbul-e-shaida ho kar
Sarsar-e-dasht-e-Madeenah ka magar aaya khiyaal
Rashk-e-gulshan jo bana guncha-e-dil wa ho kar
Gosh-e-shah kehtay hain faryaad rasi ko ham hain
Wada-e-chasham hay bakhshayen gay goya ho kar
Paye shah par giray ya rabb tapash-e-mahar say jab
Dil-e-bay taab urhay hashar man para ho kar
Hay umeed-e-Raza ko teri rahmat say shaha
Na ho zindani dozkh tera bandah ho kar
Hajio Aao Roza daikho Shensha ka roza
Kaaba to daikh chukay , kaabay ka kaaba daikho
Aab-e-zam zam to piya khoob bhujayen piyasain
Aao jood-e-shaha koasar ka bhi darya daikho
Zair-e-mez ab milay khoob karam kay chentay
Abr-e-Rahmat ka yahan roz barsna daikho
Dhoom daikhi hay dar-e-kaba pe hay taboon ki
Un kay mushtaqoon main Hasrat ka Tarhpna daikho
Khoob Aankhon say lagaya hay gilaf-e-kaaba
Qasr-e-mahboob kay parday ka bhi jalwa daikho
Wan muteen ka jigar khof say pani paya
Ya sahin karoon ka daman pe machalna daikho
Goar say sun to Raza kaabay say Aati hay sada
Meri Aankhon say meri piyaray ka roza daikho
Hajio ao shenshah ka roza dekho
kaaba to dekh chuke kaabay ka kaaba dekho
rukan Shami se matti wehshat shaam gurbat
ab madinah ko chalo subah dil aara dekho
aabb zmzm to piya khoob bujhai piyasein
ao jood sheh kusar ka bhi darya dekho
zeher meezab miley khoob karam ke cheenthay
abr rehmat ka yahan zor se barasna dekho
khoob aankhon se lagaya hai ghilaaf kaaba
Qaisar e Mehboob ke parday ka bhi jalva dekho
dho chuka zulmat dil bousa e sang Aswed
khaak bosi madeeney ka bhi rutba dekho
awaleen khanah haq ki bhi zeaien dekhen
Akhreen bet nabi ka bhi tajalla dekho
ghhor se sun to Raza kaaba se aati hai sada
meri aankhon se mere pyare ko roza dekho
Ham khaak hain aur khaak hi mawa hay hamara
Khaki to wo Adam jad-e-aala hay hamara
Allah hamain khaak karay apni talab man
Ye khaak to Sarkar say Tamga hay hamara
Jis khaak pe rakhtay thay qadam Sayyid-e-Aalam
Us khaak pe qurbaan dil-e-shaida hay hamara
Kham ho gaye pasht-e-falak is taan-e-zindagi
Sun ham pe Madeenah hay wo rutba hay hamara
Us ne laqab-e-khaak shehnshah say paya
Jo haidar-e-karrar ke mola hay hamara
Aye Muddayo! Khaak ko tum khaak na samjhay
Us khaak man madfoon shah-e-batha hay hamara
Hay khaak say ta’meer mazaar-e-shah-e-konain
Ma’moor usi khaak usi khaak say qibla hay hamara
Ham khaak urhain gay jo wo khaak na paye
Abad Raza jis pe Madeenah hay hamara
Ham ko apni talab say siwa chahiye
Aap jaisay han wesi Ata chahiye
Kiyoon kahoon ye ata wo Ata chahiye
Un ko maloom hay ham ko kia chahiye
Ik Qadam bhi na ham chal sakaingay Huzoor!
Har qadam par karam Aap ka chahiye
Ishaq man Aap kay ham Tarhaptay to han
Har Tarhap man bilali ada chaiye
Aur koi bhi apni tamana nahi
Un kay piyaroon ki piyari ada chaiye
Apnay qadmoon ka dhuwan Ata kijiye
Ham mareezoon ko Aab-e-shifa chahiye
Dard-e-jaami milay,Naat Khalid likhoon
Aur andaz-e-Ahmad Raza chahiye
Hameyn apna Wo صلی الہ علیہ وآلہٖ وسلم keh’tey heyn, Muhabbat ho to aysi ho
Hameyn Nazroon meyn rakh’tey heyn, Inaayat ho to aiyse ho
Woصلی الہ علیہ وآلہٖ وسلم pathar maarne waalon ko detay heyn Dua ak’sar
Koi lawo misaal aysi, Sharaafat ho to ayse ho
Ishaara jab woصلی الہ علیہ وآلہٖ وسلم famaeyn, to pat’har bol uthtay heyn
Nubuwwat ho tou aysi ho, Risaalat ho to ayse ho
Wahan muj’rim ko milti heyn panaheyn bhi jazaeyn bhi
Madeeney mey jo lagti hey, Adalat ho tu aysi ho
Mere Aaqa صلی الہ علیہ وآلہٖ وسلم ki Wilaadat per huwey sab ko ata baitey
Isey Meelad kehtey heyn, Wilaadat ho tu ayse ho
Namaz-e-As’r ko qurbaan ker kay Un ﷺ ki Hasti per
Ali Maula رضی اللہ عنہ ne batlaaya, Ibaadat ho tu ayse ho
Namaz-e-As’r ko qurbaan ker kay Un ﷺ kay chahrey per
Ali Maula رضی اللہ عنہ ne batlaaya, Ziyaarat ho tu ayse ho
Husaiyn Ibn-e-Ali رضی اللہ عنہ ne Karbala meyn ye kiya saabit
Rahe jaari jo neyzey per, Tilaawat ho tu ayse ho
haqiiqat me.n ho sajda jubba-saa.ii kaa bahaana ho
ilaahii meraa sar ho aur un kaa aastaana ho
tamannaa hai ki merii ruuh jab tan se ravaana ho
dam aa.nkho.n me.n ho aur pesh-e-nazar vo aastaana ho
zabaa.n jab tak hai aur jab tak zabaa.n me.n taab-e-goyaa.ii
tirii baate.n ho.n teraa zikr ho teraa fasaana ho
mirii aa.nkhe.n nahii.n aa.iina-e-husn ruu-e-saabir kaa
dil-e-sad-chaak un kii ambarii.n zulfo.n kaa shaana ho
balaa us kii Dare phir garmii-e-KHurshed mahshar se
tire lutf-o-karam kaa jis ke sar par shaamiyaana ho
unhe.n to mashq-e-tiir-e-naazukii dhun hai vo kyaa jaane.n
kisii kii jaan jaa.e yaa kisii dil kaa nishaana ho
na puuchh us ‘andaliib-e-soKHta-saamaa.n kii haalat ko
qafas ke saamne barbaad jis kaa aashiyaana ho
sar-e-‘bedam’ azal ke din se hai vaqf jabii.n-saa.ii
kisii kaa naqsh-e-paa ho aur ko.ii aastaana ho
Har baat ik Saheefah thee ummi Rasool ki
Alfaz thay khuda kay, zaban thee Rasool ki
Wahdaniat kay phool khilay garam rait par
Dey Sang bay zaban nay gawahi Rasool ki
Parcham thay naqsh-e-pak, sitaroon kay hath man
Guzri jo kakshan say, sawari Rasool ki
Seerihey lagaye Ar’sh khuda par Nabi ki yad
Chalti hay saans , Thaam kay ungli Rasool ki
Dakhain gay meray sar ki tarf log Hashar man
Chamkay gi Taaj ban kay Gulaami Rasool ki
Pihla Qadam Azal hay, Abad Aakhri Safar
Pheley hay kainat pe hastey Rasool ki
Khultay han dar kuch aur Muzfar shaoor kay
Karta hoon jab man baat Khuda ki, Rasool ki
Hay kalaam-e-ilahi man shams-o-dhuha teray chehra-e-Noor fiza ki qasam
Qasam-e-shab-e-taar man raaz ye tha ke Habeeb ki zulf-e-do ta ka qasam
Teri khulq ko haq ne Azeem kaha teri khulq ko haq nay jameel kia
Koi tujh sa huwa hay na hoga shaha teray khaliq-e-husun-o-ada ki qasam
Wo Khuda nay he martba tujh ko dia na kisi ko milay na kisi ko mila
Ke Kalaam-e-majeed ne khaye shaha teray shahr-o-kalaam-o-baqa ki qasam
Tera masnad naaz hay ar’sh-e-bareen tera muhrim raaz Rooh-e-Ameen
To hi sarwar-e-har do jahan hay shaha tera misil nahi hay Khuda ki qasam
Yehi ar’z hay khaliq-e-arz-o-samaa wo Rasool hain teray man banda tera
Mujhay un kay jawaar man day wo jaga ke hay khuld ko jis ki Safa ki qasam
Too hi bandoon pe karta hay lutuf-o-ata hay tujhi pe bharoon tujhe say dua
Mujhay jalwa-e-paak Rasool dikha tujhay apnay hi Azz-o-ala ki qasam
Meray garcha gunah had say siwa magar un say umeed hay tujh say raja
Tu Raheem hay un ka karam hay guwa wo kareem hain teri ata ki qasam
Yehi kehti hay bulbul-e-baag janan ke raza ki tarah koi sahar biyan
Nahi hind man wasif-e-shah-e-huda mujhay shokhi taba’e-e-Raza ki qasam
Hay ye dil ki Sada ya Nabi Nabi
Ho ata par ata ya Nabi Nabi
Jis gharhi Rooh tan say juda ho meri
Ho Wazeefa mera Ya Nabi Ya Nabi
Aap hi bakhshawain gay Mehsh’r kay din
Hoon bhala ya bura ya Nabi ya Nabi
Ayen jis dam firishtay meri qabar man
Ho laboon pe ya Nabi ya Nabi
Mustafa ka agar chahtay ho karam
Mil kay keh do Zara ya Nabi ya Nabi
Radd kabhi na Dua hogi us shakhas ki
Day ga jo wasta ya Nabi ya Nabi
Us muyyan-e-Hazeen pe karam kijiye
Dar guzar ho khata ya Nabi ya Nabi
Hirz-e-jaan zikr-e-shafaat kijeye naar say bachnay ki soorat kejiye
Un kay naqsh-e-pa pe gairat kejiye aankh say chup kar ziarat kejiye
Un kay husun-e-ba malaahat par nisaar shaira-e-jaan ki halaawat kejiye
Un kay dar pr jaisay ho mit jaye na tawano! Kuch to himmat kejiye
Phair dejiye panj-e-daiv-e-laeen Mustafa kay bal taaqat kejiye
Doob kar yaad-e-lab-e-shaadab man Aab-e-kausar ki sabaahat kejiye
Yaad-e-qaamat kartay uthiye qabar say jaan-e-mahshar par qiamat kejiye
Un kay dar par baithay ban faqeer bay nawao fikir-e-sarwat kejiye
Jis ka husun Allah ko bha gaya ayesay piyaray say Muhabbat kejiye
Hayyun baki jis ki karta hay sana martay dam tak us ki madhat kejiye
Ar’sh par jis ki kamanain charh gayen sadqay us baazoo pe quwwat kejiye
Neem wa Tayyibah kay phooloon pr ho aankh bulbulo! Paas nazakat kejiye
Sar say girta hay abhi baar-e-gunaah kham zara farq-e-iraadat kejiye
Aankh to uthti nahi kia dain jawaab ham pe bay pursash hi rahmat kejiye
Uzur bad tar az gunah ka zikir kia bay sabab ham par inaayat kejiye
Naarah kejiye Ya Rasool ul Allah ka mufliso! Samaan-e-daulat kejiye
Ham tumharay ho kay kis kay paas jayen Sadqa shahzadoon ka Rahmat kejiye
مَن ْ رَاٰنِیْ قَد ْ رَأ ی الحق jo kahay kia bayaan us ki haqeeqat kejiye
Aalim ilam-e-do aalam hain huzoor aap say kia arz haajat kejiye
Aap sultaan-e-jahan ham bay nawa yaad ko waqat-e-nemat kejiye
Tujh say kia kia aye meray Tayyibah kay chaand zulmat-e-gam ki shikaayat kejiye
Dar badar kab tak phirain khasta kharaab Tayyibah man madfan inaayat kejiye
Har bars wo qafiloon ki dhoom dhaam aah seenay aur gaflat kejiye
Phir palat kar munh na us jaanib kia sach hay aur daywa-e-ulfat kejiye
Aqriba hub-e-watan bay himati aah kis kis ki shikayat kejiye
Ab tu Aaqa munh dikhanay ka nahi kis tarah rafa-e-nadaamat kejiye
Apnay haathoon Khud luta baithay hain ghar kis pe dawa-e-bidhaat kejiye
Kis say kahiye kia kia kia hogia khud hi apnay par malamat kejiye
Arz ka bhi ab to munh partha nahi kia ilaaj-e-dard-e-farqat kejiye
Apni ayek methi nazar kay shahid say charah-e-zahar-e-museebat kejiye
Day khuda himmat ke ye jaan hazeen aap par waarain wo soorat kejiye
Aap ham say barh kay ham par mehrbaan ham karain juram aap Rahmat kejiye
Jo na bhoola ham gareeboon ko raza
Yaad us ki apni aadat kejiye
Ho gay han door sab ranj-o-alam
Jab huwa sarkar ka mujh par karam
Hay yaqeen Darbar man apnay mujhay
Eik din bulwain gay Shah-e-umam
Hay jisay nisbat meray sarkar say
Paas us kay kion bhala Aayengay Gam
Bas yehi hay iltaja Mahshar kay din
Aap rakh laina Gulamoon ka bharam
Jal uthain gay Aarzoon kay diyay
Jab Dar-e-Sarkar pe jayengay ham
Aarzoo ab hay yehi meri muyyan
Un kay rozay pe nikal jay ye dam
Ho Karam Sarkar Ab Tu Ho Gaey Gham Beshumaar
Jaan-o-Dil Tum Par Fidaa Aey Do-Jahan Ke Taaj Dar
Meyn Akeyla Aur Masyil Zindagi Ke Beshumaar
Aap Hi Kuch Ki jiye Na Ae Shah-e-A’ali Waqaar
Yaad Aata Hey Tawaaf-e-Khana-e-Ka’aba Mujhe
Aur Lipatna Multazam Se Waalihana Baar Baar
Sang-e-As’wad Choom Kar Milta Mujhey Kayf-O-Suroor
Chayn Paata Dekh Kar Dil Mus’tajaab-O-Mus’tajaar
Gumbad-e-Khizra Ke Jalway Aur Wo Iftariyan
Yaad Aati Heyn Bohot Ramazan-e-Taiybah Ki Bahaar
Ya RasoolALLAH Sunn Leejiye Meri Faryad Ko
Kon Hey Ju Ke Sunay Tere Siwaa Meri Pukaar
Ghum Zadaa Youn Na huwa Hota Ubaid-e-Qadri
Is Baras Bhi Dekhta gar Sab’z Gumbad ki Bahaar
How is beautiful Madeenah, very very good Madeenah,
My choice is Madeenah, How fine is Madeenah,
I can tell about Madeenah, We can tell about Madeenah
Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, very Lovely
Give me a chance to go to Madeenah,
Give me a chance to go to Madeenah,
Our heart say to us, go to Madeenah,
Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, very Lovely
So appealing is Madeenah, So alluring is Madeenah,
So enchanting is Madeenah, So attracting is Madeenah,
So loving is Madeenah, So loving is Madeenah,
So charming is Madeenah,
Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, very Lovely
Everyone’s eyes say their place is Madeenah,
Everyone’s eyes say their place is Madeenah,
Each and every heart is saying Madeenah,
Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, very lovely
Quite Nice is Madeenah, Quite clear is Madeenah,
Quite fine is Madeenah, Quite famous is Madeenah,
Quite Matchless is Madeenah,
Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, very lovely
Connect your heart to love the Madeenah,
Connect your heart to love the Madeenah,
Because there is no city like Madeenah,
Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, very lovely
Much Bright is Madeenah, Much glean is Madeenah,
Much Clean is Madeenah, Much Prayer is Madeenah,
Much Holy is Madeenah, Much kind is Madeenah,
Sweeet Madeenah, Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, very lovely
My wish is Madeenah, My heart is Madeenah,
My shelter is Madeenah, My axis is Madeenah,
My moon is Madeenah, My soul is Madeenah,
My heaven is Madeenah,
Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, very lovely
We will be Forgiven by Muhammad,
We will be Forgiven by Muhammad,
Kamal’s Wish is to Die in Madeenah,
Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, very lovely
How is beautiful Madeenah, Very very good Madeenah,
My choice is Madeenah, How fine is Madeenah,
I can tell about Madeenah, we can tell about Madeenah,
Such a beautiful Madeenah,
Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, Sweet Madeenah, very lovely,
Very lovely, very lovely, very lovely…
Humko Bulana Yaa RasoolAllah (صلّی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم)
Kabhi to Sabz Gumbad ka Ujala Hum Bhi Dekhe Gain
Humhey Bulwaaye Gay Aaqa Madina Hum Bhi Dekhe Gain
Humko Bulana Yaa RasoolAllah (صلّی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم)
Dharakh Uthey Ga Ye Dil Yaa Dharakhna Bhool Jaaye Gaa
Dilley Bismill Ka Uss Darpar Tamasha Hum Bhi Dekhe Gain
Humko Bulana Yaa RasoolAllah (صلّی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم)
Aadab se haath bandhe Unke Rozey Par kareh ho Gain
Sunheri Jaaliyon Kaa Yoo Nazaara Hum Bhi Dekhe Gain
Humko Bulana Yaa RasoolAllah (صلّی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم)
Darrey Dolatt Se Lottahya Nahi Jata Koi Khalli
Waha Khairaaat ka Batna Khudayaa Hum Bhi Dekhe Gain
Humko Bulana Yaa RasoolAllah (صلّی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم)
Barasti Gumbade Khizra se takraati Huwee Bhoondey
Wahaa Par Shaan se Baarish Barasnaa Hum Bhi Dekhe Gain
Humko Bulana Yaa RasoolAllah (صلّی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم)
Guzaare Rath Din Apne Issee Umeed Par Hamne
Kisee Din Toh Jamaal E Roohey Zaibah Hum Bhi Dekhe Gain
Humko Bulana Yaa RasoolAllah (صلّی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم)
Kabhi to Sabz Gumbad ka Ujala Hum Bhi Dekhe Gain
Humhey Bulwaaye Gay Aaqa Madina Hum Bhi Dekhe Gain
Humko Bulana Yaa RasoolAllah (صلّی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم)
حاجیو آو شہنشاہ کا روضہ دیکھو
کعبہ تو دیکھ چکے کعبے کا کعبہ دیکھو
رکن شامی سے مٹی وحشت شام غربت
اب مدینہ کو چلو صبح دل آرا دیکھو
آب زمزم تو پیا خوب بجھائی پیاسیں
آو جود شہ کوثر کا بھی دریا دیکھو
زہر میزاب ملے خوب کرم کے چھینٹے
ابر رحمت کا یہاں زور سے برسنا دیکھو
خوب آنکھوں سے لگایا ہے غلاف کعبہ
قصرمحبوب کے پردے کا بھی جلوہ دیکھو
دھو چکا ظلمت دل بوسہء سنگ اسود
خاک بوسی مدینے کا بھی رتبہ دیکھو
اولیں خانہ حق کی بھی ضیائیں دیکھیں
آخریں بیت نبی کا بھی تجلا دیکھو
غور سے سن تو رضا کعبہ سے آتی ہے صدا
میری آنکھوں سے میرے پیارے کو روضہ دیکھو
ik mai.n hii nahii. un par qurbaan zamaana hai
jo rabb-e-do-a.alam kaa mahbuub-e-yagaana hai
kal jis ne hame.n pul se KHud paar lagaanaa hai
zohra kaa vo baabaa hai sibtain kaa naanaa hai
us haashmii duulhaa par kaunain ko mai.n vaaruu.n
jo husn-o-shamaa.il me.n yaktaa-e-zamaana hai
izzat se na mar jaa.e.n kyuu.n naam-e-mohamaad par
ham ne kisii din yuu.n bhii duniyaa se to jaanaa hai
aa.o dar-e-zohra par phailaa.e hu.e daaman
hai nasl kariimo.n kii laj-paal gharaanaa hai
huu.n shaah-e-madiina kii mai.n pusht-panaahii me.n
kyaa is kii mujhe parvaah dushman jo zamaana hai
ye kah ke dar-e-haq se lii maut me.n kuchh mohlat
miilaad kii aamad hai mahfil ko sajaanaa hai
qurbaan us aaqaa par kal hashr ke din jis ne
is ummat-e-aasii ko kamlii me.n chhupaanaa hai
sau baar agar tauba TuuTii bhii to hairat kyaa
baKHshish kii rivaayat me.n tauba to bahaana hai
har vaqt vo hai.n merii duniyaa-e-tasavvur me.n
ai shauq kahii.n ab to aanaa hai na jaanaa hai
Imaan hai qaal e Mustafai
quran hai haal e Mustafai
Allah ki saltanat ka dulha
naqsh Tamsaal e Mustafai
kal se baala Rasal se aala
Ajlal o jalal e Mustafai
adbar se to mujhe bacha le
pyare Iqbal e Mustafai
marsal mushtaq haq hain aur haq
mushtaq visal e Mustafai
khawhan e visale kibriya hai
Joyan e jamal e Mustafai
mehboob o Muhib ki malik hai ik
konain hain maal e Mustafai
Allah nah chhootey dast dil se
Daman khayaal e Mustafai
hain tairay supurd sab umeeden
ae jodo Nawal e Mustafai
roshan kar qabar baikason ki
ae shama jamal e Mustafai
andher hai be tairay mera ghar
ae shama jamal e Mustafai
mujh ko shab gham dara rahi hai
ae shama jamal e Mustafai
aankhon mein chamak ke dil mein aja
ae shama jamal e Mustafai
meri shab taar din bana day
ae shama jamal e Mustafai
chamka day naseeb bad nsiban
ae shama jamal e Mustafai
qazzaq hain sir pay raah gum hai
ae shama jamal e Mustafai
chaaya aankhon taley andhera
ae shama jamal e Mustafai
dil sard hai apni lo laga day
ae shama jamal e Mustafai
ghanghoor ghatain gham ki chaen
ae shama jamal e Mustafai
bhatka hon to rasta bta ja
ae shama jamal e Mustafai
faryaad dbati hai siyahi
ae shama jamal e Mustafai
mere dil murda ko jala day
ae shama jamal e Mustafai
ankhen teri raah tak rahi hain
ae shama jamal e Mustafai
dukh mein hain andheri raat walay
ae shama jamal e Mustafai
tareek hai raat ghmzdon ki
ae shama jamal e Mustafai
tareqi goar se bachana mujh ko
ae shama jamal e Mustafai
pur noor hai tujh se bazm aalam
ae shama jamal e Mustafai
hum terah dilon pay bhi karam kar
ae shama jamal e Mustafai
lillah idhar bhi koi phera
ae shama jamal e Mustafai
taqdeer chamak uthay Raza ki
ae shama jamal e Mustafai
Ish’q ky charaag jal gay
Zulmatoon say ham nikal gay
Un kay naqsh-e-pa pe chal gay
Gar rahay thy jo sanbhal gay
Jis taraf Huzoor chal diay
Khaar phool man badal gay
Roo-e-Mustafa ki ik kiran
Zulmatoon kay bal nikal gay
Daikh kar jamal-e-Mustafa
Sang dil jot hay paghal gay
Un ka zik’r sun kay ranj-o-gam
Apnay rastay badal gay
Hay yaqeen ke dar pe ham
Aaj gar nahi to kal gay
Un kay dar pe jo puhunch gay
Har hisaar say nikal gay
Un pe jab Durood parh liya
Hadsoon kay rukh badal gay
Ishaq jis ko bhi Mustafa say hay
Bas wohi Aashna Khuda say hay
Sirf itna hi janta hoon main
Meri pehchan Mustafa say hay
Wajah-e-Takhleeq-e-Kainat han Aap
Zindagi Aap ki ata say hay
Dahar main us kia kami jis ka
Rabta shah-e-do Sara say hay
Wo dar-e-Mustafa pe jhuk jaye
Khof jis ko kisi Saza say hay
Un ka Manzoor say hay Rabt yehi
Jo sakhi kisi Gada say hay
Ishq mola man ho khoon baar kinaar-e-daman
Ya khuda jald kahian aaye bahar-e-daman
Ba chlai aankh bhi ashkoon ki tarah daman par
Ke nahi taar nazar dosa taar-e-daman
Ashk barsaoun chalay kocha-e-janaan say naseem
Ya Khuda jald kahin niklay bukhaar-e-daman
Dil shudoon ka ye huwa daman-e-athar pe hujoom
Baidil aabad huwa naam dayar-e-daman
Mushk sa zulf shah-o-noor fashan roo-e-Huzoor
Allah Allah halb-e-jaib-o-tataar-e-daman
Tujh say aye gul man sitam deedah-e-dasht-e-hirmaan
Khalash dil ki kahoon ya gam-e-khaar-e-daman
Ak’s afgan hay hilaal-e-lab-e-shah jaib nahi
Mahar aariz ki shuayen hain na taar-e-daman
Askh kehtay hain ye shaidaye ki aankhain dho kar
Aye adab gird-e-nazar na gubaar-e-daman
Aye Raza aah wo bulbul ke nazar man jis ki
Jalwa-e-jaib gul aye na bahaar-e-daman
Ish’q-e-shah-e-konain man dil daag jigar daag
Gulzar-e-Mahabbat ki hay shakhoon pe samar daag
Likhta hoon shab-e-hajar man jab naat nabi ki
Tahreer kay nuqtay mujhay aatay hain nazar daag
Korhi kay koi mol na lay la’l-e-badkhshan
Jo hij’r-e-Madeenah kay dikhaon man agar daag
Daikha jo nazar bhar kay soo-e-gumbad-e-khazra
Ba’ad us kay nazar aaye mujhay shams-o-qamar daag
Ik man hi nahi hijir man, aflaak ka aalam
Daikho to nazar aayen gay ta had-e-Nazar daag
Is jasad man kuch qalb-o-nazar par nahi moqoof
Aqa ki inayat say hay sab ghar ka ye ghar daag
Har daag ko hay Noor-e-Ala Noor ki nisbat
Almas koi daag’ koi mis’l-e-ghar daag
Khursheed-e-Mahabbat ki tamazat say pigal kar
Ban jata hay ushaaq kay seenoon man jigar daag
Bakhash ka sahara hay shafa’at ki sanad hay
Kehnay kaliye lafz-o-bayan man hay agar daag
Jis daag ko ish’q-e-shah-e-wala say hay nisbat
Zulmat kay har aalam man hay wo nor-e-daag
Dhotay han gunahon ki siyahi kay ye dhabay
Ulfat man dikhatay han kabhi ye bhi hunur daag
Rakhta tha adeeb apni jabeen dar pe jhukaye
Dhota tha gunahoon kay wahan sham-o-sahar daag
Ja zindagi madeeney se jhonkay sun-hwa ke laa
shayad huzoor hum se khafa hain mana ke laa
kuch hum bhi apna chehra batin sanwaar len
Bubakr ? se kuch aaiine Sadaq o Safa ke laa
duniya bohat hi tang musalmaan pay hogayi
Farooq ? ke zamane ke naqshay utha ke laa
mahroom kar diya hamein jin se nigah ne
usmaan? se zawiye zara sharam o haya ke laa
maghrib mein mara mara nah phir ae gdaye ilm
darwaaza Ali ? se yeh khairaat ja ke laa
baatil se dab rahi hai phir aُmt rasool ki
manzar zara Hussain se kuch karbalaa ke laa
karna hai –apne aap ko aarasta agar
kirdaar –apne samnay sab aulia ke laa
yeh jang-e kufar o haq hai agar tujh ko jitni
har nuwjawan ko Qasim o tarek bana ke laa
sajda mein gur gara ya Mohammad ke paiir par
ja aur jald Rehmat haq ko bulaa ke laa
kis mun se paish hoga Muzzafar Huzoor e haq
iss ko shaheed Uswah aaqa? bana ke laa
Jab madeenay main hazirey hogi
Wo ghari bhi Haseen ghari hogi
Tum pukaro to un ki Rahmat ko
Khoti qismat abhi khari hogi
Tum sarapa durood ban jao
Phir ziyarat Huzoor ki hogi
Un kay Gam main Tarhap ke daikho to
Tum pe Qurban har Khushi hogi
Koi aisa nahi karam teri
Jis ki jholi nahi bhari hogi
Mujh khata kar ka bharam rakhna
Aap ki banda parwari hogi
Un ko dhondhain gay sab qiyamat main
Un pe sab ki nazar Lagi hogi
Baat ban jaye gi Niazi ki
Chashm-e-Rahmat jo Aap ki hogi
Jab Masjid Nabvi kay meenar Nazar aaye
ALLAH ki Rahmat kay aasar Nazar aaye
Manzar ho bayan kesay ?Alfaz nahi miltay
Jis waqat MUHAMMAD ka darbar nazar aaye
Bas yad raha itna seenay say lagi jali
Phir yad nahi kia kia anwar nazar aaye
Dukh dard kay maron ko Gamy ad nahi rahtay
Jab samnay Aankhon kay gamkhawar nazar aaye
Makkay ki fizaon main Taiyybah ki hawaon mian
Ham nay to jidhar daikha sarkar nazar aaye
Chorh Aaya Zahoori main dil wa jan madeenay main
Ab jeena yahan mujh ko dushwar nazar aaye
Jahan Roza pak Khair ul Wara Hay wo Jannat nahi to Aur kia hay
Kahan main kahan ye Madeenay ki galian ye Qismat Nahi to phir kia hay
MUHAMMAD ki Azmat ko kia poochtay ho ke wo Sahib-e-Qab kosain Thehray
Bashar ki Sarr-e-A’rsh Mehman Nawazi ye Azmat nahi hay to phir aur kia hay
Jo Aasi ko kamli main apni chupa lay jo dushman ko bhi zakham kha kar dua day
Usay aur kia Naam day ga Zamana wo Rahmat nahi to phir kia hay
Qiymat ka ik din muyyan hay laikin hamaray har nafs he Qiyamat
Madeenay say ham jan nisaroon ki doori Qiyamat nahi hay to phir kia hay .
Tum Iqbal ye N’emat keh to rahay ho magar ye bhi socha k kia kar rahy ho
Kahan tum kahan madah-e-yazdan ye jurrat nahi to phir aur kia hay
Jalal-e-Aayat-e-Quran ko jo sahaar sakay
Nabi kay dil ky siwa doosra maqam nahi
Wo lazzat-e-Gam-e-ish’q-e-Rasool kia janay
Durood jis kay laboon par nahi salaam nahi
Wo dushmanoon ka hadaf wo Qureish ka mazloom
Magar kisi say liya koi intiqaam? Nahi
Khiyal us kay taqqub man thak kay baith gaya
Safar buraaq pe us ka magar tamam nahi
Tamam umar na paye, milay to lamhoon man
Mataa’e-e-ish’q-e-Muhammad mazaaq-e-aam nahi
Jalwa gar Huzoor Ho gay
Sab andhairay door ho gay
A’rdh-e-Mustafa ki Khak kay
Zrray ashak Noor ho gay
In ki yaad main Khushi mili
Jab Gamoon say choor ho gay
In kay rastay main jo milay
Ranj bhi Suroor ho gay
Aap kay huway na jo qareeb
Wo Khuda say door ho gay
Jin main un ka wasta raha
Kaam wo Zaroor ho gay
Sadqa hay Zahoori Naat ka
Muaaf sab Qusoor ho gay
Jalwo tunhunjo bagan man
Sabh bootan man gulrhan man
Har wan jo pan Zikir karay
Lailah Illalah
Mithrha Mola eid karaye
Panhanjay Nabi je deed karaye
Bas he nemat dil thee ghuray
Lailah Illalah
Panjtan jo man khadim Aahiyan Mola Ali tay Jan diyan
Labrhan tay poye cho na hujay
Lailah Illalah
Hoslo Rakh bhaleem Ada
Heye Sa’adat Dheendo Khuda
Maut Mahal jhoongarenden
Lailah Illalah
Jannat Meyn ley ke jaey gi Chaahat Rasool ki
Kiyun kar na meray dil meyn ho Ul’fat Rasool ki
Jannat meyn lay ke jaey gi Chaahat Rasool ki
Chalta hoon meyn bhi Qafiley walo ruko! Zara
Milney do bus mujhay bhi Ijaazat Rasool ki
Phocheyn Jo Deen-o-Eiman Nakerayn Qab’r mein
Us waq’t meray lab pay ho Mid’hat Rasool ki
Tarhpa kay Un key Qadmun meyn mujh ko gira dey Shuoq
Jis waq’t ho lahad meyn Ziyaarat Rasool ki
Sarkar ney bula key Madeenah dikha diya
Ho gi mujhey naseeb Shafa”at Rasool ki
Ya Rabb dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habeeb
Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki
Daman mein Un key ley lu panah Aaj munkiro
Mahngi parey gi warna A’daawat Rasool ki
Tu hey Ghulaam Un ka Ubaid-e-Raza teray
Mahshar meyn ho gi saath Himayat Rasool ki
Kiyun kar na meray dil meyn ho Ul’fat Rasool ki
Jannat meyn ley key jaey gi Chaahat Rasool ki
Jashan-e-Aamad Rasool ALLAH hi ALLAH
Bi bi Aamina kay phool ALLAH hi ALLAH
Jab ke sarkar Tashreef lanay lagay
Horoon Gilman bhi Khushian mananay lagy
Har taraf Noor ki Roshni cha gaye
Mustafa kia milay zindagi mil gaye
Aye Haleema Teri Gaud man Aagay
Do no Aalam kay Rasool
Chehra-e-Mustafa jab Dikhaya gaya
Jhuk gay tary aur chand Sharma gay
Aamina daikh kar muskrany lagen
Hawwa Maryam bhi Khushiyan Mananay lagen
Aamina bi bi sab say kehnay lgen
Dua ho gaye Qabool ALLAH hi ALLAH
Shadyany Khushi bajay gay
Shadi kay nagmay sab ko sunay gay
Har taraf Shor Salle Ala ho gaya
Aaj paida Habeeb Khuda Ho gaya
To Jibreel nay bhi ye Ailan kar dia
Ye Khuda kay han Rasool ALLAH hi ALLAH
Noor ki tan gayen chadarain char soo
Horoon Gilman ki poori hui Aarzoo
Mustafa Mujtaba shah-e-konain wa makan
Rabb ki sarkar jab ho gay roo baroo
Phir Khuda nay kaha meri Mahboob Tum
Farsh say A’rsh tak Noor ka hay sama
Laye shareef dunya main Khair ul wara
Aisay Ummat ki Qismat Sanwarnay lagi
Barashain Rahmat ki barasnay lagen
Aye Haleema Teri loryon kay liye
Rabb kay Aa gay Rasool ALLAH hi ALLAH
Un ka saya Zameen par na Paya gaya
Noor say Noor daikho Juda na huwa
Ham ko aabid Nabi par Barha naz hay
Kia bhala meray Aaqa kaa Andaz hay
Jis ne Rukh par mili wo Shifa pa gaya
Khaak-e-Tayyibah teri dhool ALLAH hi ALLAH
Jobanoon par hay bahar-e-chaman Aaraye dost
Khuld ka naam no lay bulbul shaidaye dost
Thak kay baithay to dar-e-dil pe tamannaye dost
Kun say ghar ka ujaala nahi zaibaye dost
Arsa-e-Hashar kuja muwaqqaf-e-Mahmood kuja
Saaz hangamoon say rakhti nahi yaktaye dost
Mahar kis munh say jalw-e-daari janaan karta
Saaya kay Naam say baizaar hay yaktaye dost
Marne waloon ko yahaan milti hay umar-e-javed
Zindah chorhay gi kisi ko na maseehaye dost
Un ko yakta kia aur khalq banaye yeni
Anjman kar kay tamasha karain tanhaye dost
Ka’aba-o-ar’sh man kuhraam hay nakaami ka
Aah kis bazam man hay jalwa-e-yaktaaye dost
Husun bay pardah kay parday nay mita rakha hay
Dhoondhne jayen kahan jalwa-e-har jaye dost
Shauq r okay na rukay paoun uthaye na uthay
Kesi mushkil man hain Allah Tamannaye dost
Sharam say jhukti hay mehraab ke sajid hain Huzoor
Sajdah karwati hay ka’aba say jabeen saye dost
Taaj waloon ka yahan khaak pe maatha daikha
Saye daraoun ki dara hui daraye dost
Toor par koi charkh pe ye arsh say paar
Saaray balaoun pe baala rahi baalye dost
Ant feehim nay aduw-o-ko bhi liya daaman man
Ayesh javed Mubark tujhay shaidaye dost
Ranj aada ka Raza charah hi kia hay jab unehain
Aap gustaakh rakhay hil’m-o-shakeebaye dost
جا زندگی مدینے سے جھونکے ہوا کے لا
شاید حضور ہم سے خفا ہیں منا کے لا
کچھ ہم بھی اپنا چہرۂ باطن سنوار لیں
بوبکر ؓ سے کچھ آئینے صدق و صفا کے لا
دنیا بہت ہی تنگ مسلماں پہ ہوگئی
فاروق ؓ کے زمانے کے نقشے اٹھا کے لا
محروم کر دیا ہمیں جن سے نگاہ نے
عثمان ؓ سے زاویے زرا شرم و حیا کے لا
مغرب میں مارا مارا نہ پھر اے گدائے علم
دروازۂ علی ؓ سے یہ خیرات جا کے لا
باطل سے دب رہی ہے پھر اُمت رسول کی
منظر ذرا حسین سے کچھ کربلا کے لا
کرنا ہے اپنے آپ کو آراستہ اگر
کردار اپنے سامنے سب اولیاء کے لا
یہ جنگِ کفر و حق ہے اگر تجھ کو جیتنی
ہر نوجواں کو قاسم و طارق بنا کے لا
سجدہ میں گڑ گڑا یا محمد کے پیر پڑ
جا اور جلد رحمتِ حق کو بلا کے لا
کس منہ سے پیش ہوگا “مظفر”حضورِ حق
اِس کو شہیدِ اُسوۂ آقا ﷺ بنا کے لا
Ka’abe ke dar ke saamne mangi hey yeh dua faqat
Haathon me Hash’r tak rahe Daman-e-Mustafa faqat
Apne karam se Aay Khuda! Ishq-e-Rasool kar ata
Aakhiri dum zaban pe ho Salle ALLAH sada faqat
Taiybah ki saiyr ko chaley Qadmo meyn un ki jaan deyn
Daf’n hon un ke shaha’r meyn hey yahi iltija faqat
Dunya ki saari ne’mateyn meri nazar meyn heych heyn
Rakhne ko sar pe gar miley Na’alain-e-Mustafa faqat
Munkar Nakeer qab’r me hum se suwal jab kareyn
Aiyse meyn vird hum rakhe Aapke Naam ka faqat
Naza’a ke waqt jab meri saanso me intishaar ho
Meri nazar ke samne Gumbad ho wo Hara faqat
Na’at-e-Rasool-e-Paak hey Nazmi ka maqsad-e- hayaat
Qab’r meyn bhi labon pe ho Sarkar ki sana faqat
Kaabah say agar turbat-e-shah fazil hay
Kiyoon bayen taraf us kay liye manzil hay
Us fikir man jo dil ki taraf dhiyaan gia
Samjha ke wo jisam hay ye marqad dil hay
Tum chaho to qismat ki museebat tal jaye
Kiyoon kar kahoon sa’at say qiyamat tal jaye
Lillah utha do rukh roshan say niqaab
Mola meri aaye hui shamat tal jaye
kaalii kamlii vaale ai shaah-e-shab-e-israa kaunain ke rakhvaale darbaar alag teraa jibriil tiraa KHaadim mohtaaj hai jag teraa big.Dii ko sa.nvaare.ng dukh-dard ke a.alam me.n tujh ko hii pukaare.nge kyuu.n aur kisii ghar se jo kuchh hame.n milnaa hai milnaa hai tire dar se chaukhaT tirii aa.alii hai kuchh bhiik mile aaqaa jholii merii KHaalii hai milne hii nahii.n jaataa shaaho.n ko teraa ma.ngtaa KHaatir me.n nahii.n laataa ab kaun hamaaraa hai duulhaa shab-e-israa ke ik teraa sahaaraa hai |
Kaash ye dua meri maujzay man dhal jaye
Saamany Madeenah ho aur dam nikal jaye
Aap gar karm kardain ham gunah garoon par
Nao bakuda Toofan say kiyoon na phir Nikal jaye
Jab guzar rahay hoon ham pul Siraat say Aaqa
Paon Dagmagay to khud ba khud sanbhal jaye
Wasta nawasoon, ka Sadqa Gauthe-e-Azam ka
Aafat-o-bala sari sab kay sar say Tal jaye
Aye meray sakhi Data meri Soi qismat bhi
Aap kay isharay say ya Nabi badal jaye
Naam-e-Mustafa ka ye Mujzah man Asar hay
Naam san kay Aaqa har gada machal jaye
Panjtan kay sadqay man ho lahid Madeenay man
Ho karam jo Mohsin par zindagi badal jaye
Kahin na daikha Zamanay bhar man jo Madeenay man Aa kay Daikha
Tajallion ka laga hay maila jidhar nigahain utha kay daikha
Wo daikho daikho sunahri jali idhar suwali suwali
Qareeb say jo bhi un kay guzra Huzoor nay Muskra kay daikha
Ajeeb lazzat hay Khudi ki Ajab kashash hay Dar-e-Nabi ki
Suroor kesa hay kuch na chou lipat kay seenay laga kay daikha
Tawwaf Rozay ka kar rahi han yahan wahan ashak bar aankhain
Hay gonj Salle Ala ki har soo jahan jahan pe bhi ja kay daikha
Jahan gay un ka Zikar chaira jahan rahya un ki yad aaye
Na gam zamanay kay pas Aay Nabi ki naatain suna kay daikha
Zahoori jagey Naseeb teray bas ik Nigah-e-Karam kay Sadqay
Karam kay badal baras rahay han, Diloon ki khaitey harey bharey hay
Ye kon Aaya kh Zikr jinka , nagar nagar gali gali hay
Diay diloon kay jala kay rakhna , Nabi ki mehfil saja kay rakhna
Jo rahat-e-Sukoon jaan hay , wo Zikir Zikir-e-MUHAMMADI hay
Jo galiyan sun kay day duain , buroon ko apnay galay lagain
Sarapa lutuf-o-karam jo Thehrey wo meray aaqa ki zindagi hay
Nabi ko apna Khuda na mano , khuda say lakin juda na mano
Hay ahal-e-Eiman ka ye aqeedah Khuda khuda hay Nabi Nabi hay
Man Apni qismat pe kion na jhoomon man kion na walyoon kay dar ko choomoon
Man naam lewa Mustafa ka , Khdua kay bandoon say dosti hay
Hay dosh pr jin kay kamley kali , wo hi to han do jahan kay wali
Koi suwali na bheja khali ye shan meray kareem ki hay
Na mango dunya kay tum khazanay Niazi chalain Madeenay
Ke Badashah say barh kar piyaray Nabi kay dar ki Gada gari hay
Kharaab hal kia dil ko pur malal kia tumharay kocha say rukhsat kia nihaal kia
Na roo-e-gul abhi diakha na boo-e-gul soonghi qaza nay la kay qafs man shikast baal kia
Wo dil ke khoon shudah arman thay jisman mal dala Fagan keg or-e-shaheedan ko payemal kia
Ye raye kia thi wahan say palatnay ki aye naf’s sitam gar ulti churi say hamain hilaal kia
Ye kab ke mujh sy adawat thi tujhko aye zaalim churha kay sang-e-dar paak sarw baal kia
Chaman say phiank dia aashiyana-e-bulbul ujaarha khana-e-bay kas barha kamaal kia
Tera sitam zadah aankhoon nay kia bigarha tha ye kia samaye ke door un sy wo Jamaal kia
Huzoor un kay khiyaal-e-watan mitana tha ham Aap mit gay acha faraag baal kia
Na ghar ka rakha na is dar ka haye naakami hamaari bay basi par bhi na kuch khiyaal kia
Jo dil ne mar kay jalaya tha manatoon ka charrg sitam ke ar’z rah-e-sar sar-e-zawaal kia
Madeenah chorh kay wairaanah hind ka chaaya ye kesa haye hawasoon ne ikhtilaaf kia
Tu jis kay wastay chorh aaya Tayyebah sa Mahboob bata to is sitam aara ne kia nihaal kia
Abhi abhi to chaman man thya chehchehay naagah ye dar kiesa utha jis nay ji nidhaal kia
Ilahi sun lay Raza jeetay je ke Mola ne sagan-e-kocha man chehrah mera bahal kia
Khiraaj-e-ashak say qaim hay qaisarey meri
Sarwar-e-ish’q-e-Risalat, sikandari meri
Ye mera ah’d-e-gulami, gualami-e-shah-e-deen
Us ah’d man hay khiyaloon pe afsari meri
Gazal ka phair kay rukh lay chala sana ki taraf
Haraf haraf ko pasand aaye rahbari meri
Ameer-e-shah’r-e-sukhun hoon faqeer-e-koi Rasool
Unehain say fiqar’ unehain say taungari meri
Mata’e-e-Naat isi dar say man nay paye hay
Na kiyoon ho Naaz kay qabil sukhun wari meri
Wo wardat jo guzuri hay meray dil pe adeeb
Samajh rahay hain usay log shayeri meri
Khuda ka zikar karay Zikar-e-Mustafa na karay
Hamaray mun main ho ayesi zuban Khuda na karay
Dar-e-Rasool par ayesa kabhi nahi daikha
Koi sawal karay aur wo ata na karay
Kaha Khuda nay shafat ki baat Mahshar main
Mera Habeeb karay koi doosra na karay
Madeenay ja kay niklana na shahar say bahir
Khuda na khawasta ye zindagi wafa na karay
Aseer jis ko bana kar rakhain Madeenay main
Tamam umar Rihaye ki wo dua na karay
Nabi kay Qadmoon pe jis dam Gulam ka sar ho
Qaza say keh do kh ik lamha bhi qaza na karay shaoor-e-Naat bhi ho aur zuban bhi ho adeeb
Wo aadmi nahi jo in ka Haqq ada na karay
Khuda ne de hay zuban Zikar Mustafa kay liye
Ab us say kam na lay aur kuch Khuda kay liye
Ihdar uthaye na thay hath iltaja kay liye
Udhar say dast-e-karam barh gaya ata kay liye
Utho tm parcham-e-Zikr-e-Rasool ban kay utho
Jhuko to khaak bano paye Mustafa kay liye
Agar to mehk ban ky shahar-e-batha main
Rahay to Thandi yehi Hukum hay hawa kay liye
Mareez-e-hijir-e-Madeena hoon miray chara gro
Dilado izn-e-Huzoori Mujhay shifa kay liye
Bas itni baat ke ham han tumharay shaidaye
Tula huwa hay har eik zamana jafa kay liye
Hazar shukar baja laon us at ape Adeeb
Ye ashk tum ko milay han jo iltaja kay liye
Khusrawi achi lagi na sarwari achi lagi
Ham faqeeroon ko Madeenay ki gali achi lagi
Door thay to zindagi bay rang thee by kaif thee
Un kay koachay main gay to zindagi achi lagi
Main na jaon ga kahin bhi Dar-e-Nabi ka chor kar
Mujh ko koi Mustafa ki chakri achi lagi
Naaz kar to aye Haleema Sarwar-e-konain par
Gar lagi achi to tiri jhonpri achi lagi
Walihana ho gay jo teray qadmoon par nisar
Sarwar-e-kon-o-makan ki sadgi achi lagi
Aaj mehfil main Niazi naat jo main nay parhe
Aashiqan-e-Mustafa ko wo barhi achi lagi
Kia hi zoq afza shafaat hay tumhari wah wah
Qarz leti hay gunah parhaiz gari waah waah
Khama-e-qudrat ka husun-e-dastkaari waah waah
Kia hi tasweer apnay piyari ki sanwaari waah waah
Ashak shab bhar intizaar-e-af’w-e-ummat man bahain
Man fida chand aur yoon akhtar shumari waah waah
Ungliyaan hain faiz par tootay hain piyasay jhoom kar
Nadiyaan panjab-e-Rahmat ki hain jaari waah waah
Noor ki khairat lainay dorhtay hain mahar-o-maah
Uthti hay kis shaan say gard-e-sawaari waah waah
Neem jalway kin a taab aaye qamar saan to sahi
Mahar aur un talwoon ki aayena daari waah waah
Naf’s ye kia Zulum hay jab daikho tazah juram hay
Naatawaan kay sar par itna bojh bhari waah waah
Mujrimoon ko dhoondhti phirti hay Rahmat ki nigaah
Taliy-e-bargashtah teri saazgari waah waah
Ar’z baigi hay shafaat afw-e-ki sarkaar man
Chant rahi hay mujrimoon ki fard saari waah waah
Kia Madeenah say Saba aaye ke pholoon man hay Aaj
Kuch naye boo bhaini bhaini piyari piyari waah waah
Khud rahay parday man aur aayenah ak’s-e-khaas ka
Bhaij kar anjaanoon say ki raah daari waah waah
Is taraf rozah ka Noor us simat mimbar ki bahaar
Beech man Jannat ki piyaari piyaari kiayari waah waah
Sadqay is inaam kay qurbaan us ikraam kay
Ho rahi hay donoon aalam man tumhari waah waah
Paarah-e-dil bhi na nikla dil say tuhfay man Raza
Un sagaan-e-ko , say itni jaan piyaari waah waah
Kia mehktay hain mehknay waalay boo pe chaltay hain bhatknay waalay
Jagmaga uthi meri gor ki khaak teray qurbaan chamknay waalay
Mah-e-bay daag kay sadqay jaaoun yoon damktay hain damktay waalay
Ar’sh tak phailey hay taab-e-aariz kia jhalktay hain jhalknay waalay
Gul tayyibah ki sana gaatay hain nakhl-e-tooba pe chehknay waalay
Aasiya! Thaam lo daman un ka wo nahi haath jhatknay waalay
Abr-e-Rahmat kay salaami rahna phailtay hain poday lachkanay waaly
Aray ye jalwah gah-e-janaan hay kuch adab bhi hay phrhknay waalay
Seeno! Un say madad maangay jaaou parhay baktay rahain baknay waalay
Shama-e-yaad-e-rukh-e-janaan na bujhay khaak ho jayen bharhknay waalay
Mot kehti hay ke jalwah hay qareeb ik zara so lain balaknay waalay
Koi un taiz rawoon say keh do kis kay ho kar rahain thaknay waalay
Dil sulagta hi bhal hay aye zabt bujh bhi jaatay hain dahknay waalay
Ham bhi kamhlaanay say gafil thay kabhi kesa hansa gunchay chatknay waalay
Nakhal say chat kay ye kia haal huwa Aah ao pattay kharhknay waalay
Jab giray munh soye maikhaana tha hosh man hain ye behknay waalay
Daikh aur zakham-e-dil aapay ko sanbhaal photo bahtay hain tapaknay waalay
May kahan aur kahan man zahid yoon bhi to chaktay hain chaknay waalay
Kaf-e-darya-e-karam man hain Raza
Paunch fawaaray chaliknay waalay
Kia shor Zik’r-o-fik’r, dua panjgana kia
Aata nahin hay ish’q man Aanso bana kia
Aankhain bhi ashkbar han lab par Durood bhi
Rahmat ko ab bhi chaiye koi bahana kia
Rakha jo haath seenay pe dharhkan nahin mili
Dil, ho giya Madeenay ki janib Rawana kia?
Wo bhi han Aastan bhi hay, kar day Nisar jaan
Phir lot kar ab ayega ayesa zamana kia
Moosa ka Haal man’e-e-Hasrat huwa hamain
Taab-e-nazar nahin ho to nazrain uthana kia
Tasbeeh danay danay Musalla hay taar taar
Aaya hay khanqah man koi dawana kia
Darta hay kis liye gam-e-doraan say raat dn
Paala nahi hay to nay Gam-e-aashiqana kia
Ye marhalah hay zeest ka tay kar usay abhi
Ab mar kay hoga soo-e-Madeenah rawana kia
Deedar bhi Huzoor ka, kausar ka jaam bhi
Daikho Qaseedah likh kay mila hay khazanah kia
Sar ko jhuka dia jo dar-e-yaar par adeeb
Jab tak Qaza na aaye to sar ko uthana kia
Kia theek ho rukh-e-Nabvi par misaal-e-gul
Pamaal jalwa-e-kaf-e-pa hay jamaaal-e-gul
Jannat hay un kay jalwa-e-say jo paye rang-o-boo
Aye gul hamaray gul say hay gul ko sawal-e-gul
Un kay qadam say sal’ea-e-gaali hui jinaan
Wallah meray gul say hay jaah-o-jalal-e-gul
Suntan hoon ishq-e-shaah man dil hoga khoon fashan
Ya Rabb ye mujdah sach ho Mubarak ho faal-e-gul
Bulbul-e-Haram ko chal gam faani say fayedah
Kab tak kahaige haye wo guncha-o-dalaal-e-gul
Gamgeen hay shauq-e-gaza-e-khaak-e-Madeenah man
Shabnam say dhul sakay gin a gird-e-malaal-e-gul
Bulbul ye kia kaha man kahan fas’l-e-gul kahan
Umeed rakh kea am hay jood-o-Nawaal-e-gul
Bulbul ghira hay abar-o-lamujdah ho ke ab
Girti hay aashyana pe barq-e-jamaal-e-gul
Ya Rabb hara bhara rahay daag-e-jigar ka baag
Har ma mah-e-bahaar ho har saal saal-e-gul
Rang-e-mujdah say kar kay khajal yaad-e-shah man
Khaincha hay ham ne kaantoon pe itar-e-jamaal-e-gul
Man yaad-e-shah-e-man rowon anadil karian hujoom
Har ashak-e-lala-e-faam pe ho ihtimaal-e-gul
Hain ak’s-e-chehrah say lab-e-gulgoon man surkhiyaan
Dooba hay badar-e-gul say shafq man hilaal-e-gul
Naat-e-Huzoor man mutrannam hay andleeb
Shakhoon kay jhoomne say eyaan wajad-o-haal-e-gul
Bulbul gul-e-Madeenah hamaishah bahar hay
Do din ki hay bahar fana hay maal-e-gul
Shaikhain idhar Nisar gani-o-ali udhar
Guncha hay bulbuloon ka yameen-o-shimaal-e-gul
Chahay khuda to payen gay ishq-e-Nabi man khuld
Nikli hay naama-e-dil-e-pur khoon man faal-e-gul
Kar us ki yaad jis say milay chain andleeb
Daikha nahi ke khaar-e-alam hay khiyaal-e-gul
Daikha thaa khawaab-e-khaar-e-Haram andleeb ne
Khatka kia hay aankh man shab bhar khiyaal-e-gul
Un do ka sadqah jin ko kaha meray phool hain
Kejiye Raza ko hashar man khandan misaal-e-gul
Kis kay jalway ki jhalak hay ye ujaala kia hay
Har taraf deedah-e-hairat zadah takta kia hay
Maang min maanti munh maangi muraadain lay ga
Na yahan”na “ na mangtaa say ye kehna ”kia hay “
Pand karhwi lagay naasih say tursh ho aye naf’s
Zahar isyaan man sitamgar tujhay meetha kia hay
Ham un kay wo hain teray to huway ham teray
Us say barh kar teri simat aur waseelah kia hay
Un ki ummat man banaya unehain Rahmat bheja
Yoon na farma ke tera Raham man daawa kia hay
Sadqah piyaaray ki Hayya ka ken a lay mujh say hisaab
Bakhshash bay poochay lajaaye ko lajana kia hay
Zahid un ka man gunah gaar wo meray shaafi’e
Itni nisbat mujhay kia kam hay tu samjha kia hay
Bay basi ho jo mujhay pursash-e-aamaal kay waqat
Dosto! Kia kahoon us waqat tamanna kia hay
Kaash faryaad meri sun kay ye farmayen Huzoor
Han koi daikho ye kia shor hay goo gaan kia hay
Kon aafat zadah hay kis pe bala tooti hay
Kis museebat man griftaar hay sadmah kia hay
Kis say kehta hay ke lillah khabar lejiye meri
Kiyoon hay baitaab ye bay chaini ka rona kia hay
Us ki bay chaini say hay khatir-e-aqdas pe malaal
Bay kasi kesi hay poochoo koi guzara kia hay
Yoon malayek karein maarooz ke ik mujrim
Is say pursash hay bata tu ne kia kia kia hay
Saamna qahar ka hay daftar-e-aamaal hain paish
Dar raha hay ke khuda hukum sunaata kia hay
Aap say karta hay faryaad key a shaah-e-rusul
Bandah bay kas hay shaha raham man waqfah kia hay
Ab koi dam man griftaar bala hota hoon
Aap aajayen to kia khof hay khutka kia hay
Sun kay ye ar’z meri bahar-e-karam josh man aaye
Yoon malayek ko ho irshaad thehrna kia hay
Kis ko tum morid-e-aafaat kia chahtay ho!
Ham bhi to aa kay zara daikhian gay tamasha kia hay
Un ki awaaz par kar uthoon man bay sakhtah shor
Aur tarhp kar ye kahoon ab mujhay parwa kia hay
Lo wo aaya mera hami mera gam khawaar umam!
Aa gaye jaan tan-e-bay jaan man ye aana kia hay
Phir mujhay daaman-e-aqdas man chupa lain sarwar
Aur farmayen hato us pe taqazah kia hay
Bandah aazad shudah hay ye hamaray dar ka
Kesa laitay ho hisaab us pe tumhara kia hay
Chorh kar mujh ko frishtay kahain mahkoom hain ham
Hukum wala ki na taameel ho zaharah kia hay
Ye saman daikh kay mahshar man uthay shor ke waah
Chasham-e-bad door ho kia shaan hay rutbah kia hay
Sadqay is raham kay is saaya-e-daaman pe nisaar
Apnay banday ko museebat say bachaya kia hay
Aye Raza jaan-e-anadil teray nagmoon kay nisaar
Bulbul-e-baag-e-Madeenah tera kehna kia hay
Koi misil-e-Mustafa ka kabhi than a hay na ho ga
Kisi aur ka ye rutba kabhi than a hay na ho ga
Kisi waham nay Sada dey koi Aap ka Mumassil ?
To yaqeen pukar utha kabhi tha na hay na ho ga
Meri Taq-e-jan man nisbat kay charaag jal rahay han
Mujhay khof teragey ka kabhi tha , na hay na ho ga
Marhay daman-e-Talab ko hay unhi kay dar say nisbat
Kahin aur say ye Rishta kabhi tha na hay na ho ga
Man hwn waqf-e-Naat goi kisi aur ka Qaseedah
meri shairey ka Hissa , kabhi tha na hay na ho ga
sar-e-Hash’r un ki Rahmat ka Subuh man hoon Talib
mujhay kuch amal ka dawa kabhi tha hay na ho ga
Koi to hay jo nizam-e-Hasti chala raha hay wo hi khuda hay
Dikhaye bhi jo na day , nazar bhi jo Aa Raha hay wo hi khda hay
Wo hi hay mashriq , wo hi hay magrib , safar Karain sab usi ki janib
Har aayenay man jo akas apna dikha raha hay wo hi khuda hay
Talash us ko na kar Butoon man wo hay badaltey hoi Rutoon man
Jo din ko raat aur raat ko din bana raha hay wo hi khuda hay
Kisi ko sochoon nay kab saraha? Wo hi huwa jo khuda nay chaha
Jo ikhtiar-e-bashar pe pehray bitha raha hay wo hi khdua hay
Nazar bhi rakhay , sam’atain bhi , wo jan laita hay wo hi khuda hay
Kisi ko Taaj-e-waqar bakhashay , kisi ko Zillat kay Gar bakhashay
Jo sab kay hathoon pe mehr-e-qudrat laga raha hay wo hi khuda hay
Sufaid us ka sayyah us ka nafs nafs hay gawah us ka
Jo shula jan jala raha hay, bujha raha hay wo hi khuda hay
Kuch Rahay ya na rahay mujh bay Asar kay samnay
Gumbad-e-Khazra rahy meri Nazar kay samnay
Gahay ba gahay jo kafalat kar raha hay khud meri
Aur kia mangoon bhala us chara gar kay samnay
Daikey kuch dunya bhi ham nay ghoom kar laikin janab
Sab safar bay kaif han Taiyybah kay safar kay saamnay
Ya Nabi ham ko Ataa kar itni shahee chand roz
Ham kahain ke ghar lia hay teray ghar kay samnay
Jo durood pak parh kar yad kartay han unhain
Jaati hay unj ki khabar khair-ul-Bashar kay saamnay
Mudd’a Abid Khuda nay us ka poora kar dia
Jo barastey Aankh daikhey un kay dar kay saamnay
Kya khabar kya saza mujh ko millti, mere aaqa ne izzat bchali
Frdِ e isiyaan meri mujh se le kar, kaali kamli mein apni chupali
woh ataa par ataa karne walay aur hum bhi nahi talnay walay
jaisi deorhi hai waisay bhikari, jaisa dataa hai waisay sawali
mein gadda hon magar kis ke dar ka? woh jo Sultan kon o makan hain
yeh ghulami barri mustand hi, mere sir par hai taaj blali
meri umar rawan bas thehr ja, ab safar ki zaroorat nahi hai
un ke qadmon mein meri jabeen hai aur hathon mein roze ki jaali
iss ko kehte hain bandah nawazi, naam iss ka hai rehmat mizaji
doston par bhi chashm-e karam hai, dushmanon se bhi sheree maqali
mein madeeney se kya agaya hon, zindagi jaisay bujh si gayi hai
ghar ke andar fiza sooni sooni, ghar ke bahar samaa khaali khaali
koi baad-e mukhalif se kahde, ab meri roshni mujh se cheenney
mein ne aankhon ki shammen bujha kar, dil mein tayyiba ki shama Jalali
mein faqat naam lewa hon un ka, un ki tauseef mein kya karoon ga
mein nah Iqbal Khusroo, nah Saadi, mein nah Qudsi nah Jami, nah Hali
Lab meray par MUHAMMAD ka Naam Aayega
Zindagi man jo mushkil Maqam Aayega
Di kahbar Aaminah ko ye Jibreel nay
Teray ghar Anbiya ka imam Ayega
Koi many na manay magar Hashar man
Sirf Naam MUHAMMAD hi ka Kaam Aaye ga
Teragi roshani man badal jayege
Qabar man jab wo Mah-e-Tamam Aayega
Gar bulaya mujhay sarkar nay
Phir na wapis ye un ka Gulam Ayega
lab par naat pak ka naghma kal bhi tha aur aaj bhi hai mere nabi se mera rishta kal bhi tha aur aaj bhi hai aur kisi janib kyun jayen aur kisi ko kyun dekhen apna sab kuch gunbad khizry kal bhi tha aur aaj bhi hai pust woh kaisay ho sakta hai jis ko haq ne buland kya dono jahan mein unn ka charchaa kal bhi tha aur aaj bhi hai fikar nahi hai hum ko kuch bhi dukh ki dhoop kari to kya hum par unn ke fazl ka saya kal bhi tha aur aaj bhi hai batla do gustaakh nabi ko ghairat muslim zindah hai unn par mar mitne ka jazba kal bhi tha aur aaj bhi hai jin aankhon se tayyiba dekha woh ankhen be taab hain phir un aankhon mein aik taqaza kal bhi tha aur aaj bhi hai sab ho aaye un ke dar se ja nah saka to aik Sabih yeh ke ik tasweer tamanna kal bhi tha aur aaj bhi hai |
Lam Yati Nazeero Kafi Nazarin Misle To Na Shud Paida Jaana
Jag Raaj Ko Taaj Tore Sarso Hai Tujh Ko Shah e Do Saraa Jaana
Al Bahru ‘Alaa Wal Mawju Taghaa Man Be-Kas o Toofaañ Hosh Ruba
Manjhdhaar Me Huñ, Bigri Hai Hawa Mori Nay’ya Paar Laga Jaana
Ya Shamsu Nazarti Ilaa Laylee Chu Ba Taiba Rasi ‘Arz e Ba Kuni,
Tori Jowt Ki Jhal-Jhal Jag Me Rachi Mori Shab Ne Na Din Hona Jaana
Laka Badrun Fil Wajhil Ajmal Khat Haala e Mah, Zulf Abr e Ajal
Tore Chandan Chandr Paro Kundal Rahmat Ki Bharan Barsa Jaana
Ana Fee Atashin-Wa Sakha Ka Atam Ay Gaisoo e Paak Ay Abr e Karam
Barsan Haare Ram-Jham, Ram-Jham, Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana
Ya Qaafilatee Zeedee Ajalak Rahm e Bar Hasrat Tishna Labak
Mora Jiyaara Larje Darak-Darak, Taiba Se Abhi Na Suna Jaana
Waahan Lisuwiy’aatin Dhahabat Aañ ‘Ahad e Huzoor Baar e Gahat
Jab Yaad Aawat Mohe Kar Na Parat Darda Wo Madina Ka Jaana
Al-Qalbu Shajuw Wal Ham’mu Shujooñ Dil Zaar Chunaañ Jaañ Zer e Chunooñ
Pat Apni Bipat Maiñ Ka Se Kahuñ Mera Kaun Hai Tere Siwa Jaana
Ar-Roohu Fidaaka Fa-Zid Harqaa Yak Sho’la Digar Barzan ‘Ishqaa
Mora Tan Man Dhan Sab Phoonk Diya Ye Jaan Bhi Pyaare Jalaa Jaana
Bas Khaama e Khaam e Nawa e RAZA Na Ye Tarz Meri Na Ye Rang Mera
Irshaad e Ahib’ba Naatiq Tha Na-Chaar Is Raah Par’raa Jaana
Lam yati Nazeeruk fi anzarin misil to na shud paida jana
Jag ra ko taj toray sar so hay tujh ko shahe dosra jana
Albahro ala wal maujo Taga man baikas wa toofan ho sharba
Munjhdar man hon bigri hay hawa moori naya par laga jana
Ya shamas nazart ila laili cho bateeya rasi arazee bakune
Torey jot ki jhaljhal jag man rachi meri shab nay no dan ho jana
Ana fi atashin wa sakhak atam aye gaisoo-e-pak aye abar-e-karam
Barsan haray rim jhim rim jhim do boond idhar bhi gira jana
Ya qafilatey zeedey ajalak rahamy bar Hasrat tashna labbaik
Mora jera larjay dark dark Taiyybah say abhi na suna jana
Alqalbo shajin wal hamm shuon dil zar chuna jan zair chunoon
Pat apni bitay man ka say kahoon mora kon hay teray siwa jana
Al Roohu fidak fazid Harqan yak shula digar barzan ishqa
Mora tan man sab phonk dia ye jan bhi piyary jala jana
Bas khama kham nawaye Raza na ya tarz meri na ye rang mera
Irshad-e-Ahaba natiq than a char us raah par parha jana
lau madiine kii tajallii se lagaa.e hu.e hai.n
dil ko ham matla-e-anvaar banaa.e hu.e hai.n
ik jhalak aaj dikhaa gumbad-e-kHazraa ke makii.n
kuchh bhii hai.n duur se diidaar ko aa.e hu.e hai.n
sar pe rakh diije zaraa dast-e-tasallii aaqaa
Gam ke maare hai.n zamaane ke sataa.e hu.e hai.n
naam kis mu.nh se teraa le.n ke tire kahlaate
terii nisbat ke taqaazo.n ko bhulaa.e hu.e hai.n
ghaT gayaa hai tirii ta.aliim se rishta apnaa
Gair ke saath rah-o-rasm ba.Dhaa.e hu.e hai.n
sharm-e-isyaa.n se nahii.n saamne jaayaa jaataa
ye bhii kyaa kam hai tire shahar me.n aa.e hu.e hai.n
tirii nisbat hii to hai jis kii badaulat ham log
kufr ke daur me.n iimaan bachaa.e hu.e hai.n
kaash diivaana banaa le.n vo hame.n bhii apnaa
ek duniyaa ko jo diivaana banaa.e hu.e hai.n
allaah allaah madiine pe ye jalvo.n kii phuvaar
baarish-e-nuur me.n sab log nahaa.e hu.e hai.n
kashtiyaa.n apnii kinaare se lagaa.e hu.e hai.n
kyaa vo Duube jo mohammad ke tiraa.e hu.e hai.n
naam aane se abuu-bakr-o-omer kaa lab par
kyuu.n biga.Dtaa hai vo pahluu me.n sulaa.e hu.e hai.n
haazir-o-naazir-o-nuur-o-bashar-o-Gaib ko chho.D
shukr kar vo tere aibo.n ko chhupaa.e hu.e hai.n
qabr kii nii.nd se uThnaa ko.ii aasaan na thaa
ham to mahshar me.n unhe.n dekhne aa.e hu.e hai.n
kyuu.n na pal.Daa tere a.amaal kaa bhaarii ho ‘nasiir’
ab to miizaan pe sarkaar bhii aa.e hu.e hai.n
Lutuf un ka aam ho hi jaye ga shad har nakaam ho hi jaye ga
Jaan day do wada deedar pr naqad apna daam ho hi jayega
Shad hay firdos yani ayek din qismat-e-Khudaam ho hi jayega
Yaad rah jayen gi ye bay bakian nafs to to raam ho hi jaye ga
Bay nishanoon ka nishaan mitta nahi mittay mittay naam ho hi jayega
Yaad-e-gaisoo zikr-e-haq hay aah kar dil man paida laam ho hi jaye ga
Ayek din aawaz badlain gay ye saaz chehcheha kuhraam ho hi jayega
Sayelo! Daman sakhi ka thaam lo kuch na kuch inaam ho hi jaye ga
Yaad-e-abro kar kay tarhpo bulbulo! Tukrhay tukrhay daam ho hi jayega
Mufliso! Un ki gali man ja parho baag-e-khuld ikraam ho hi gayega
Gar yoon hi rahmat ki taweelian rahin madah har ilzaam ho hi jayega
Badah khuwari ka saman bandhay to do sheikh durd aasham ho hi jayega
Gam to un ko bhool kar lipta hay yoon jaisay apna kaam ho hi jayega
Mit kar yoon hi rah qarz-e-hayaat jaan ka neelam ho hi jayega
Aaqilo! Un ki nazar seedhi rahay boroon ka bhi kaam ho hi jayega
Ab to laye hay shafaat af’w par barhtay barhtay aam ho hi jayega
Aye raza har kaam ka ik waqat hay
Dil ko bhi aaram ho hi jayega
لَم یَاتِ نَظیرُکَ فِی نَظَر مثل تو نہ شد پیدا جانا
جگ راج کو تاج تورے سر سوہے تجھ کو شہ دوسرا جانا
اَلبحرُ عَلاَوالموَجُ طغےٰ من بیکس و طوفاں ہوشربا
منجدہار میں ہوں بگڑی ہے ہواموری نیا پار لگا جانا
یَا شَمسُ نَظَرتِ اِلیٰ لیَلیِ چو بطیبہ رسی عرضے بکنی
توری جوت کی جھلجھل جگ میں رچی مری شب نے نہ دن ہونا جانا
لَکَ بَدر فِی الوجہِ الاجَمل خط ہالہ مہ زلف ابر اجل
تورے چندن چندر پروکنڈل رحمت کی بھرن برسا جانا
انا فِی عَطَش وّسَخَاک اَتَم اے گیسوئے پاک اے ابرِ کرم
برسن ہارے رم جھم رم جھم دو بوند ادھر بھی گرا جانا
یَا قاَفِلَتیِ زِیدَی اَجَلَک رحمے برحسرت تشنہ لبک
مورا جیرا لرجے درک درک طیبہ سے ابھی نہ سنا جانا
وَاھا لسُویعات ذَھَبت آں عہد حضور بار گہت
جب یاد آوت موہے کر نہ پرت دردا وہ مدینہ کا جانا
اَلقلبُ شَح وّالھمُّ شجوُں دل زار چناں جاں زیر چنوں
پت اپنی بپت میں کاسے کہوں مورا کون ہے تیرے سوا جانا
اَلروح فداک فزد حرقا یک شعلہ دگر برزن عشقا
مورا تن من دھن سب پھونک دیا یہ جان بھی پیارے جلا جانا
بس خامہ خام نوائے رضا نہ یہ طرز میری نہ یہ رنگ مرا
ارشاد احبا ناطق تھا ناچار اس راہ پڑا جانا
Meray tarz-e-sukhun ki jaan hain gul bhi gulustaan bhi
Mera husun-e-bayan hay khaar bhi chaak-e-giraiban bhi
Meray daaman man, jugnoo hain jahan aur chand taaray bhi
Isi daaman man rakhtaa hoon kuch aahian aur shararay bhi
Jo meri umar ka hasil hay zik’r-e-Mustafa karna
Taqaza-e-Muhabbat hay bayan-e-karbala karna
Taqaza hay zameer-e-shayer haq go ki fitrat ka
Ke haq goi-o-baibaki pe mabni ho sukhun us ka
Bayan sayyid-ush-shuhadaa’e ki jab tamheed hoti hay
Wo hi ahad-e-wafa kay rasam ki tajdeed hoti hay
Hussain ibn-e-Ali, sabt-e-peyambar, sharf-e-Insaani
Wo jis kay rukh pet hi Noor-e-Muhammad ki farawani
Shaheed-e-karbala tareekh ka unwaan hay goya
Hussain ib’n-e-Ali har qal’b man mehmaan hay goya
Bataya’ kis tarah kartay hain ummat ki nigahbaani
Sikhaya, kis tarah rakhtay hain sajdoon man ye paishaani
Jalaya us ne zulmat man charaag-e-Noor-e-imaan
Ye sab kuch jaantay thay phir usay daitay na thay paani
Buhut hi mukhtasar’ bandoon say Rab ka fasla nikla
Haram say lay kay ahl-e-bait ko, jab qaflah nikla
Amaamah baandh kar ah’d-e-wafa ka, Karbala Jana
Tha ummat kay liye Maqsood un raahoon ka dikhlana
Wo rahain jo urooj-e-aadmiat ka sabab thihreen
Zawaal-e-zulum thehreen, Haq parastoon ka laqab thehreen
Arab ki sar zameen’ taptay huway sehra, khazaan kay din
Safar man thay Rasool-e-hashmi ki jaan-e-jaan kay din
Ye manzil aazmayesh ki barhi dushwaar hoti hay
Fiza man zahar hota hay, hawa aazar hoti hay
Jab hasti mard-e-momin ki supard-e-daar hoti hay
To saye kay liye sar par faqat talwaar hoti hay
Wo jis ki shaan man thi aayah tatheer-e-Qurani
Isi ki ahl-e-koofah nay kia naizoon say mehmani
Talab Nana say kausar ki shafaa’et ki sufarah bhi
Nawasay par wohi karnay lagay teroon ki barish bhi
Jalay khaimay badan chalni thay khoon man tar qabayen then
Khuda ko jo pasand aati hain wo saari adayen theen
Wo chehray Noor kay thay, gird jin kay Noor kay haalay
Banay wo khaak-o-khoon man ayek ho kar karbala waalay
Wo chehray wo badan jo ish’q ka israar hotay hain
Gubaar-e-khaak say un kay kafan tayar hotay hain
Na hota gar Muhammad ka gharaana ayesi mazal par
Tu urh jaata faraug deen ka mustaqbal dhuwan ban kar
Salaam us par ke jo Haq kay liye sar bhi kata aaya
Salaam us par jo ummat kay liye ghar bhi luta aaya
Salaam us par mera jo khoon kay darya man tera hay
Salaam us par ke jo Nana kay parcham ka pheraira hay
Salaam us par ke jis ne zindagi ko zindagi bakhshi
Saroon ko sar bulandi aur zauq-e-bandagi bakhshi
Salaam us par ke jo dosh-e-peyambar ki sawaari hay
Salaam us par ke jannat jis kay ghar ki raahdari hay
Teer seenay pe, barchi push’t par jhailay huway insaan
Salaam aye Fatimah ki god man khailay huway insaan
Buhut Aasan hay zik’r-e-shaheed-e-karbala karna
Daroon-e-qal’b mushkil hay wohi haalat bapa karna
Shaheed-e-karbala kay zikr ka mujh par jawaab Aaya
Ke teri Zaat man ab tak na koi inqilaab aaya
Saraasar aabroo bin gairat-e-sharam-o-haya ho ja
Agar mujh say Muhabbat hay to mera naq’sh-e-pa ho ja
Madhat un ki Rahmat bhi hay bakhshash ka saman bhi hay
Ish’q ki dastaweez bhi hay aur aashiq ki pechan bhi hay
Meri bhala auqaat hi kia jo un ki Sana man lab kholoon
Ye to unhain ka lutuf-o-karam hay aur un ka ihsaan bhi hay
Ayesi koi shay paas nahi jo nazar man un ko paish karoon
Yoon kehnay ko qal’b-o-jigar han jism bhi hay aur jaan bhi hay
Paas-e-adab rakh apni hadoon say barh kar koi baat na kar
Un ki hadoon tak janay walay apni tujhay pehchan bhi hay
Zik’r man un kay koi adab ka daman haath say chorhay to
Meri zuban talwar bhi hay aur taqleed-e-hassan bhi hay
Mahki hui hawa ka mujhay lams jab mila
Meray tasawwurat ka dr misil gul khila
Afkaar kay dareechoon say aanay lagi sada
Kia khoob Haq nay tujh ko ye moqa ata kia
Uth, madah kahwan sayad-e-aali maqam ho
Chal aye gunaah gar zara naik Naam ho
Alfaaz dast basta meray saamnay hain sab
Jancha hay man ne khoob har ik lafz ka nasab
Thara raha hay phir bhi qalam, kia likhoon laqab
Man paish Aftaab misaal charag shab
Kesay bayan ho martaba aali waqar ka
Laon kahan say dhang man parwardigar ka
Lab wa karoon sana-e-kay liye kin kay baab man
Jibreel dast basta hain jin ki janab man
Madaah khud Quran hay risaalat maab man
Meray khiyal ki tag-o-do kis hisaab man
Manzoor shayeri hay na husun-o-kalaam
Aye khama khiyal, adab ka maqam
Sair khiyal-o-fikr ko bastan hain buhut
Tafreeh taba’e Naaz kay samaan hain buhut
Tahreer husun-o-ish’q kay unwan hain buhut
She’r-o-sukhun kay wastay maidan hain buhut
Jin kay qadam say raunaq bazam Hayaat
Tareef is Nabi ki taqaza-e-Zaat
Ye masala-e-takhayyul-o-jazbaat ka nahi
Waqif man gird-o-paish kay Halaat ka nahi
Aur il’m ye ke il’m bhi har baat ka nahi
Irfan mujh ko apni hi khud Zaat ka nahi
Phir mujh say poochna ke Muhammad ki shaan
Goongay ke mun man ho bhi agar to zaban
Qand-o-shahid nabaat ko yak ja karain agar
Gul ki har ayek Zaat ko yak ja karain agar
rangeeni Hayaat ko yak ja karain agar
kul husun-e-kainaat ko yak ja karain agar
jitna bhi rang-o-Noor liye kainaat hay
ye sab tabasum shah-e-deen ki zakaat hay
kehtay hain jis ko madhat sultaan Zul manan
musnad nasheen hay nok-e-zuban par wo gulbadan
sar ta bapa hay nikhat-o-ruanaye chaman
is Noor kay badan pe hay khushboo ka pairhan
khushboo say aur Noor say jis ka khameer hay
zulfoon ki jis kay shaan mashiyat aseer hay
tamheed say guzeer ki jaanib qadam qadam
parhtay huway Durood Muhammad mera qalam
lay kar sarwar ish’q man dooba huwa il’m
ho kar niaz mand’ kia is nay sar ko kham
kham ho kay khat meem banata chala giya
parday rumooz-e-Haq kay uthata chala gaya
wo meem jo Kaman hay ik aagosh ki tarah
mahshar man ayek saya gul posh ki tarah
bandoon pe rab ki rahmat pur josh ki tarah
kham is ka faraq aashiq may nosh ki tarah
jo darmayan Kaman kay aaya amaan man hay
baahar jo rah gaya wo shumaar ziyaan man hay
khulnay lagay rumooz’ muhabbat kay sar basar
honay laga khiyaal pe ilhaam ka asar
ifkaar khushbowon man shara bor tar ba tar
junbash jo lab ko di to tapaknay lagay ghar
is par bhi un ki shaan kay shayaan na likh saka
banda hoon is liye koi Quraan na likh saka
yoon kar rahay hain madhat sarkaar Zulmanan
kausar say dho kay layen hain ta’reef ka matan
phirtay rahay bahaar man lay kar chaman chaman
pehna dia zuban ko anbar ka pairhan
surma hay koh-e-toor ka’ gazah gulaab ka
Agaaz-e-Naat yoon hay Risaalat Maab ka
Pehlay Nabi kay ish’q ki dolat khuda say li
Dolat miley to fik’r ki juraat khuda say li
Juraat mili to husun-e-aqeedat khuda say li
Tarz-e-bayan kay wastay nudrat khuda say li
Juraat mili khiyal mila aur qalam mila
Ye sab milay to Naat pe iz’n-e-raqam mila
Torhi hay man nay maikdah ish’q ki quyood
Meray junoon gam ki tayyun nahi hudood
Hota hay har naf’s mera mannat kash Durood
Pehlay Durood phir sukhun Naat ka wurood
Man bhajta hoon nazar Salaat-o-Salaam ki
Wo bhaijtay hain mujh ko ijaazat kalaam ki
Tabaan usi kay Noor say hay chehra Hayaat
Sadyoon kay jis nay Aakay mitaye to hamaat
Ayek jist jis ki nuskha taskheer kainaat
Jis kay qadam ka naqsh bana il’m madniat
Kehnay ko wo bashar hay agar qeel-o-qaal man
Apni misaal bhi nahi rakhta misaal man
Ye Mahtaab Aap ka chehra nahi nahi
Ye Aftab Aap ka jalwah nahi nahi
Ye boo-e-mushk zul’f ka hissah nahi nahi
Is auj tak na jaye gi pasti shauoor ki
Baala hay har khiyaal say hasti Huzoor ki
Jalti na is jahan man jo shama’e-e-Muhammadi
Dunya ko hashar tak nazar aati na roshni
Hakim ho ya Gulam, gunah gar-o-Mutaqi
Milta na admi ko shuoor khud Aagahi!
Hoti na kuch tameez safaid-o-siyaah
Jalwoon ka aitbar na hota nigah
Jis roz lab kusha kisi ki nahi majal
Daikhain gay Asman-o-zameen Roo-e-zuljala
Hoga maqam deed Rasool-o-Nabi ka haal
Daikhin gay ayek ayek ko miskeen ki misaal
Dhoondain gay anbiya isi Rahmat naveed ko
Tarhpay gi har nigaah Muhammad ki deed ko
Hay kon day sakay ga jo us din koi hisaab
Tobah bhi yaad Aaye to’ tobah ka band baab
Bhai ko bhai day ga na faryaad ka jawaab
Shulay zameen pe hoon gay to naizay pe aftab
Ummat ho, ya Nabi ho, gazab ki nigaah man
Mahshar man hoon gay saaray unhein ki panaah man
Nazaan ho garcha hoon man gunahgar daikhna
Us kamli posh ka hoon parstar daikhna
Anwaar Zik’r sayed-e-abraar daikhna
Mujh say gada kay lab hain ghar baar daikhna
Har dam hay lab pe tazkirah bay nazeer bhi
Raazi Rasool-e-Paak bhi Rabb-e-Qadeer bhi
Naat-e-Rasool-e-Paak man wo aaab-o-taab ho
Ayek ayek lafz madah ka izzat Maab ho
Roshan meray Kalaam ka yoon Aftaab ho
Maqbool bargah-e-Risaaalat Maab ho
Mahshar jab bulaen to is tarah dain Sada
Hazir kar-o-kahan hay Sana khawan Mustafa
Har Aayena dil ki jila zik’r-e-Muhammad
Allah ki bandoon ko Ataa’e Zik’r-e-Muhammad
Makhlooq say khaliq ki raza Zik’r-e-Muhammad
Lazim isi maqsad say ho Zik’r-e-Muhammad
Har aarzoo-e-nutuq ka anjaam yehi hay
Dunya kay liy aman ka paigaam yehi hay
Ho baz’m-e-sukhundan to ye pholoon ka bayan hay
Mojoon ka tarannum hay ye bulbul ki zuban hay
Alfaaz ki az’mat hay khitaabat ki ye shaan hay
Is zik’r say bandoon ko gunaahoon say amaan hay
Jazbaat ko seemaab takhyyul ki jila hay
Ye khaas sharf zik’r-e-Muhammad ko mila hay
Qaim hay muslman ka emaan isi say
Allah kay Talib ko hay irfan isi say
Har aashiq-e-Sadiq ki hay pechan isi say
Insaan ko hay azmat-e-Insaan isi say
Sarmaya emaan-o-Qaraar-e-dil-o-jaan hay
Quraan ki tilawat hay ye Ka’bah ki azaan hay
Naat-e-shah-e-Konain ki sarw-o-samni daikh
Lafzoon ki Qaba man ye ajab gulbadni daikh
Chehrah ki damak Toor kay jalwoon say bani daikh
Zulfoon ki mahak Naafa-e-mushk-e-khatni daikh
Nisbat agar alfaaz ko doon Qaus-e-qazah say
Sairaab hoon shayad may mana ki qadah say
Aye Taha-o-Muzammil-o-yaseen-o-Mudassir
Aye Sayyad-o-Sardaar-e-umam Tayyib-o-Tahir
Kia keh kay pukaaray meray Aqa ko ye shayer
Tasweer-e-khudawand kay shahkaar Musawwar
Kham garden-e-Tafseer hay sharmandah Saraahat
Ya Rabb! Meray Alfaaz ko day nahaj-e-balagat
Aye Sall-e-Ala Noor shah-e-Jinn-o-bashar Noor
Lab Noor dahan Noor sukhun Noor Nazar Noor
Sar Noor Qadam Noor shikam Noor kamar Noor
Jis ghar man tera zik’r karain log, wo ghar Noor
Aan Zeenat-e-Konain-o-zaiba-e-jahan As’t
Aan bayes-e-Hairaani Aayenah giran As’t
Ham ko bhi khabar hay ke gunahoon ki saza hay
Lakin wo khata posh hamara bhi Khuda hay
Zahid ko agar Naaz-e-Ibaadat hay baja hay
Pallah man hamaray bhi Muhammad ki Sana’e hay
Mahshar man jo niklay ga yehi Naam dahan say
Jhuk jaye ga pallah mera neki kay wazan say
Wo maah-e-arab, maah-e-mubeen, maah-e-liqa hay?
Tasweer hay, Tanweer hay, Tabeer hay , kia hay ?
Ik Noor ka paikar hay ke pardah man Khuda hay
Aafaq man ayesa na to hoga na huwa hay
Aashiq ki sada ye hay meray dil man nahan hay
Jibreel sar-e-ar’sh pukaaray wo yahan hay
Ye junbash-e-lab, Taab-e-sukhun, aur ye guftaar
Ifkaar ki yorash hay to alfaaz ki yalgar
Ho jaye agar waq’f-e-sana-e-shah-e-abraar
Hota hay wo Hassan ki manand ghar baar
Rahta hay isi duhan man wo shab ho ke sahar ho
Jis par meray Sarkaar ki ik baar nazar ho
Man guzrta hi giya raah thi purnam purnam
Mujh pe sarkar ki nazrain jo then paiham paiham
Un kay darbar man puhuncho k yahan say mango
Shart itni hay ke ye Aankh ho purnam purnam
Aap aaye to parhi jaan man thandak warna
Zindagi zakham thi’ Awaz thi marham marham
Paish kar doon ga sar-e-hashar kamaye apni
Daulat-e-Naat jama’e ki hay jo dirham dirham
Ar’sh ho far’sh ho mahshar ho, zaman ho ke makan
Har jaga un kay hi lihraatay hain parcham parcham
Mahroomah’ kahkshan’ naqsh-e-kaf-e-paye Rasool
Gaisoo-e-shab hay usi Noor say barham barham
Un ki Rahmat ki to har boond samandar hay Adeeb
Jis kay Aagay ye samandar bhi hay shabnam shabnam
Man hoon Gam-e-Tayyibah man girftar chunacha
Hain deedah-e-dil zindah-e-baidar chunacha
Gam bhi han madawa bhi han Gam ka meray Aansoo
Rahti hay sada Aankh ghar bar chunacha
Juz chashm-e-Muhammad koi daikhay na Khuda ko
Moosa ka Muqaddar na tha deedar chunacha
Makhlooq man koi bhi na tha un sa Mukarram
Bakhasha ki bandhi un pe hi distaar chunach
Tums a to na Sadiq hay koi aur na ameen hay
Dushman ko bhi karna parha iqrar chunacha
Mahdood bashar tak na rahay un ki buzurgi
Jhuk jatay thay Ta’zeem ko ashjar chunacha
Ab Aap hi Aakar mujhay daman ki hawa dain
Zindah usi hasrat man hay beemar chunacha
Idraak say baala hay Takhyyul say paray hay
Mahroom rasaye say han afkar chunacha
Rahta hay adeeb Aap ki Naatoon kay chaman man
Likhta hay naye Rang man har baar chunacha
Man Madeenay man hoon aur zik’r peyambar bhi Naseeb
Ya’eni piyasay ko hay darya dar darya bhi Naseeb
Khushboo-e-zuluf bhi ak’s-e-rukh-e-anwar bhi Naseeb
Subuh-e-kafoor bhi’ aur sham-e-muanbar bhi Naseeb
Rukh pe malnay kay liy’ Rooh man dhalnay kay liye
Gird-e-kocha bhi Naseeb, baad-e-muattar bhi Naseeb
Masnad-e-Suffah kay anwar wo baab-e-jibreel
Us gunahgar ki aankhoon ko wo manzar bhi Naseeb
Meri aankhoon man Haram aankh say bahir bhi haram
Khana-e-chasham ko aayenah ka johar bhi Naseeb
Un ki yadoon ko jahan chain say neend aati hay
Naam say dil kay hay ik hajra-e-bay dar bhi Naseeb
Ayek ik lamha meray lab ko Madeenay man adeeb
Kalam-e-shukur bhi aur naat-e-peyambar bhi Naseeb
Charoon janib ye kesa Noor sa chaya hay!
Aamina Bi Bi ka piyara Mehfil man aaya hay
Aa ke jibreel nay ye mujdah sunaya hay
Chaliye Huzoor tum ko Rabb nay Bulaya hay
Tairay ilawa ham ko kon Milata Rabb say?
Tum he nay Aa kay Aaqa, Rabb say milaya hay
Un kay Naseeb Achay, Bakhat sawaya hay
Jin kay saroon pe un ki Rahmat ka saaya hay
Man kia tha aur kia thee ouqat meri logo!
Ye sab karam hay Nabi ka, Kamli ka Saaya hay
Kaash! Saba Taiyybah ki Aa kar ye mujh say keh day
Chal ishtiaq tujh ko dard pe bulaya hay
Mein so jaoon ya mustafa kehte kehte
khulay aankh sale Ali kehte kehte
mein wal lail parhnay laga be khudi mein
teri zulff ka maajra kehte kehte
qayamat mein jab mein ne hazrat ko dekha
tarpne laga wad duha kehte kehte
nabi ki ziyarat mad lane mein ho gi
mad neyye yahi chal diya kehte kehte
hzaro hueyin Mushkilain meri aasan
faqat aik mushkil kusha kehte kehte
woh maalik hai sab ka woh bakhshay ga sab ko
bُra kehte kehte bhala kehte kehte
Mein to khud un ke derka gadda hon –apne aaqa ko mein Nazar kya dun
ab to aankhon mein kuch bhi nahi hai warna qadmon mein ankhen bichadun
anay wali hai un ki sawari phool naton ke ghar ghar sajadun
mere ghar mein andhera bohat hai apni palkon pay shammen jladon
meri jholi mein kuch nahi hai mera sarmaya hai to yahi hai
apni aankhon ki chandi bahadoo –apne maathey ka sona lutadun
be nighai pay meri nah jayen deedaa dar mere nazdeek ayen
mein yahin se madinah dikhadun dekhnay ka saleeqa sikhado
roza pak pishِ nazar hai samnay mere aaqa ka dar hai
mujh ko kya kuch nazar araha hai tum ko lafzon mein kaisay btadon
qaafley ja rahay hain madeeney aur hasrat se mein tak raha ho
ya lapat jaoon qadmon se un ke ya qaza ko mein apni sada dun
meri bakhshish ka saman yahi hai aur dil ka bhi arman yahi hai
bas aik din un ki khidmat mein ja kar un ki naatain unhi ko suna dun
mere ansoo bohat qeemti hain un se wabasta hain un ki yaden
un ki manzil hai khaak madinah yeh Gohr yun hi kaisay lutadun
mujh ko Iqbal nisbat hai un se jin ka har lafz jaan-e sukhan hai
mein jahan naat apni sunadun saari mehfil ki mehfil jagadun
Mera dil aur meri jaan Madinay waley
Tujh peh sow jaan sey qurbaan Madinay waley
Bhar dey bhar dey meray Aqa meri jholi bhar dey
ab na rukh bey sar-o-samaan Madinay waley
Tera dar chowr kai jaaun tho kahan jaaun mein
meray Aqa meray Sultaan Madinay waley
Phir thamanaey ziyarath ney kiya dil beychaeyn
phir Madinay ka hai armaan Madinay waley
Sabz Ghunbad ki fazaaon mey bula lo mujh ko
tera ghaafil hei pareeshan Madinay waley
Likh dey likh dey meri qismat mey Madinay likh dey
hai teri milk qalamdaan Madinay waley
Sag-e-Taibah mujhay sab kahe key pukaray Baydam
yahi rakhein meri pehchaan Madinay waley
Meray dil man Yaad-e-MUHAMMAD meray hontoon pe Zikr-e-Madeenah
Taajidar-e-Haram kay karam say Aa gaya Zindagi ka Qareena
Dil shikasta hay mera to kia gam us man rahtay han shah-e-do Aalam
Jab say mehman huway han wo dil mera ban gaya hay Madeena
Man gulam-e-Gulaman-e-Ahmad man sag Aastan-e-MUHAMMAD
Qabl-e-fakhar hay muat meri qabil-e-Rashak hay mera jeena
Har khata par meri chash poshi har talab par ataon ki barash
Mujh gunahgar par kis qadar han mehrban Tajidar-e-Madeenah
Mujh ko Toofan ki mojoon ka kia Dar wo guzar jaye ga Rukh badal kar
Na khuda han meray jab MUHAMMD kesay Doobay ga mera safeenah
In ky chashm-e-karam ki ata hay meray seenay man un ki Zia hay
Yaad-e-Sultan-e-Taiyybah kay Sadqay mera seena hay misil-e-Nageenah
Chal madeenay ko chal Gam kay maray Zindagi ko milain gay saharay
Aagaya hay haram say bulawa koach kartay han soye Madeenah
Dolat-e-ishaq say dil Gani hay meri Qismat hay Rashaq-e-Sikandar
Madhat-e-Mustafa ki badolat mil gaya hay mujhay ye khazeenah
Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai
Teri Rah May Akhiya Bichate Bichate
Teri Hasrato May Teri Chahato me
Qayamat Ka Manzar Bada Pur khatar hai
Magar Mustafa Ko jo Diwana Hoga
Woh Pool Se Guzar Jaayega Wajd Karte
Ye Naara Nabi Ka Lagate Lagate
Mere Lab Pe Maula Na Koi Sada Hai,
FAaqat Mujh Nikamme Ki Yehi Dua Hai
Mere rooh Nikle Dar-e-Mustafa Pe
Game-e-Dil Nabi Ko Sunate Sunate
Ye Maana Ke Ek Din aani Qaza Hai
Magar Dosto Tumse Ye Iltijaa Hai
Sehre-e-Muhammad ki Har Ek Gali Se
Jaanaza Oothana Ghumate Ghumate
Hai Kaabe Ki Azmat Bhi Apni Jaaga Par
Magar Dil Me Hakim Tamanna Yahi Hai
Jo Mil Jaaaye Naqshe Kafe Paaye Ahmed
To Mar Jaaaye Sar Ko Jhukate Jhukate
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte
Tere Ishq ki Badaulat, Mujhe Zindagi Mili Hai
Tere Ishq ki Badaulat, Mujhe Zindagi Mili Hai
Mujhe Mout Aaqa Aaye, Tera Zikr Karte Karte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte
Kisi Cheez Ki Talab hai, Na Hai Arzu Bhi Hai Koi
Kisi Cheez Ki Talab hai, Na Hai Arzoo Bhi Hai Koi
Tu Ne Itna Bhar Diya Hai, Kashkoal Bharte Bharte
Tu Ne Itna Bhar Diya Hai, Kashkoal Bharte Bharte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte
Mere Soonay Soonay Ghar Mein, Kabhi Ronake Ataa Hon
Mere Soonay Soonay Ghar Mein, Kabhi Ronake Ataa Hon
Main Deewana Ho Gaya hoon, Teri Raah Takte Takte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte
Hai Jo Zindagani Baaki, Yeh Irada Kar Liya Hai
Hai Jo Zindagani Baaki, Yeh Irada Kar Liya Hai
Tere Munkiron Se Aaqa, Mai Maroon Ga Ladte Ladte
Tere Munkiron Se Aaqa, Mai Maroon Ga Ladte Ladte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte
Nasir Ki Haazri Ho, Kabhi Aastan Pe Tere
Nasir Ki Haazri Ho, Kabhi Aastan Pe Tere
Ke Zamana Ho Gaya Hai, Mujhe Aahen Bharte Bharte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Shehar Mein Main Aoon, Teri Naat Parhte Parhte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Shehar Mein Main Aoon, Teri Naat Parhte Parhte
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Koi Guftugu Ho Lab Par Tera Naam Agaya Hai
Teri Midha Kartay Kartay ye Maqaam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Dar-e-Mustafa Ka Manzar Meri Chasm-e-Tar Ke Andar
Kabhi Subhu Agaya Hai Kabhi Shaam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Ye Talab Thei Ambiya Ki Rukh-e-Mustafa Ko Dekhein
Ye Namaz Ka Waseela Unhe Kaam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Do Jahan Ki Ne’matoon Se Tere Dar Se Jo Bhi Maanga
Mere Daaman-e-Talab Mein Woh Tamaam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Jisse Pee Ke Sheikh Saadi Balaghal Ula Pukarain
Mere Dust-e-Natawan Mein Wohi Jaam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Woh Adeeb Jisne Mehshar Mein Bipa Kiya Hai Mehshar
Woh Kaheingay Aao Dekho Ye Ghulam Agaya Hai
Meri Dharkan Mein Ya Nabi
Meri Saanson Mein Ya Nabi
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
Meri Qismat kay taray us tarah Rabb chamkayega
Meray Aaqa kay dar say mera bhi bulawa Aayega
Meray dil kay Aangan man bhi phool khilain gay
Un Aankhoon ko jab un ka deedar karaya jayega
Day dain gay Hasnain ka Sadqa Sarwar-e-Aalam mujhko
Jab un ka mangta apnay daman ko phalayega
Naatain donon Aalam ki us ko mil jayengi
Jo meray sarkar ki aamad ka jashan manayega
Un kay karam say khil jayengay dil kay dareechay sabhi
Un kay dar pe ja kar jab muyyan uan ki naat sunayega
Mitho Piyaro suhno Nalo Aaqa jo
Mitho Piyaro suhno Nalo Madani jo
Aahi ALLAH khay Piyaro jinhin jo Aa jo Aa shan Niralo
Ihrho Mursal Asan khay Milyo
Jinhin jo ALLAH ba zikir kando Aa
Firshtan khay ba Hukum dheendo Aa
Momin khay ba Hukum Aa
Quran man ba likhial Aa
Sallay Allah sabhi Parho
Kaido ta Mithrho Nalo Aahi Muhammad
Mohammad ka roza qareeb aa raha hai bulandi pay apna naseeb aa raha hai farishto! yeh day do pegham unko khabar ja ke day do unko firshton ke khadim tumahra Saeed aa raha hai madinah, madinah, madinah, madinah bara lutaf deta hai naam madinah wafa tum nah dekho ge hargiz kisi mein zamana woh aisa qareeb aa raha hai hifazat karo –apne imaan o den ki zamana woh aisa ajeeb aa raha hai Mohammad ka roza qareeb aa raha hai bulandi pay apna naseeb aa raha hai farishto! yeh day do pegham unko khabar ja ke day do unko farishto ke khadim tumahra Saeed aa raha hai madinah, madinah, madinah, madinah bara lutaf deta hai naam madinah tumhe kuch khabar hai kahan ja raha hon rsolِ kkhuda hain wahan ja raha hon tumhe kuch khabar hai mein kya pa raha hon mohabbat ka unki maza pa raha hon chalo ja ke rehna madeeney mein ab to qayamat ka manzar qareeb aa raha hai farishto yeh day do pegham unko khabar ja ke day do unko firshton ke khadim tumahra Saeed aa raha hai madinah, madinah, madinah, madinah bara lutaf deta hai naam madinah nigahon mein sultaniyat heech ho gi jo paye ga dil mein payam madinah sakoon-e jahan tum kahan dhoondtay ho sakoon-e jahan hai nizaam madinah madinah, madinah, madinah, madinah bara lutaf deta hai naam madinah Mohammad ka roza qareeb aa raha hai bulandi pay apna naseeb aa raha hai Mohammad ka roza qareeb aa raha hai bulandi pay apna naseeb aa raha hai farishto yeh day do pegham unko khabar ja ke day do unko firshton ke khadim tumahra Saeed aa raha hai |
Momin wo hay jo un ki izzat pe maray dil say
Taazeem bhi karta hay najdi tu maray dil say
Wallah wo sun lain gay faryaad ko puhunchain gay
Itna bhi to ho koi jo aah karay dil say
Bichrhi hay gali kesay bigrhi hay bani kesay
Pocho koi ye sadmah armaan bharay dil say
Kia us ko giraye dahar jis par to nazar rakhay
Khaak us ko uthaye hashar jo teray giray dil say
Behka hay kahan majnoon lay daaley banoon ki khaak
Dam bhar na kia kheemah laila nay paray dil say
Sonay ko tapayen jab kuch meel ho ya mail
Kia kaam jahannam kay dharay ko kharay dil say
Aata hay dar-e-wala yoon zauq-e-Tawwaf aana
Dil jaan say sadqay ho sar gird phiray dil say
Aye abar-e-karam faryaad faryaad jala dala
Is sozash-e-gam ko hay zid meray haray dil say
Darya hay charha tera kitni hi urhayen khaak
Utrain gay kahaan mujrim aye af’w teray dil say
Kia janain ham gam man dil doob giya kesa
Kis tah ko gay armaan abtak na teray dil say
Karta to hay yaad un ki gaflat ko zara rokay
Lillah Raza dil say han dil say aray dil say
Muhammad mazhar Kaamil hay Haq ki shaan Izzat ka
Nazar aata hay is kasrat man kuch andaaz-e-wahdat ka
Yehi hay asal aalam Maddah ejaad khalqat ka
Yahan wahdat man barpa hay ajab hangama kasrat ka
Gada bhi muntazir hay khuld man naikoon ki dawat ka
Khuda din khair say laye sakhi kay ghar Ziafat ka
Gunah magfoor, dil roshan, khanak aankhain, jigar thanda
Taala Allah Maah-e-Tayyebah aalam teri talat ka
Na rakhi gul kay josh-e-hassan nay gulshan man ja baqi
Chitakta phir kahan guncha koi baag-e-Risaalat ka
Barha ye silsial-e-rahmat ka dor-e-zulf-e-wala man
Tasalsul kalay kosoon rah gaya isyaan ki zulmat ka
Saf-e-maatam uthay khali ho zindan totain zanjeerain
Gunahgaro! Chalo mola nay dar khola hay jannat ka
Sikhaya hay ye kis gustakh nay aayenah ko ya Rabb
Nizarah roo-e-janan ka bahana kar kay hairat ka
Idhar ummat ki hsarat par udhar khaliq ki rahmat par
Nirala Toor hoga gardash-e-chasham shafaat ka
Barhaian is darja mojain kasrat-e-afzaal wala ki
Kinarah mil gaya is nahar say darya-e-wahdat ka
Zakham-e-zulf-e-Nabi Sajid hay mehrab-e-do abaroo man
Ke Ya Rabb too hi wali hay saye karan-e-ummat ka
Madad aye joshish girya baha day koh aur sahra
Nazar aajaye jalwa bay hijaab us paak turbat ko
Huway kam khawabi hijran man satoon parday kamkhawabi
Tasawwur khoob bandha aankhoon nay astaar turbat ka
Yaqeen hay waqat jalwa lagzashain paye naga paye
Milay josh-e-safaye jisim say pa bos hazrat ka
Yahan chirhka namak wan marham-e-kafoor haath aaya
Dil-e-zakhmi namak parwar dah hay kis ki malahat ka
Ilahi muntazir hoon wo kharaam naz farmayen
Bicha rakha hay farsh aankhoon nay kamkhawab-e-basaarat ka
Na ho Aaqa ko sajdah Aadam-o-Yousuf ko sajdah ho
Magar Sayed-e-zaraye daab hay apni shareeyat ka
Zuban khar kis kis dard say un ko sunati hay
Tarhpna dahst-e-Tayyebah man jigar afkaar ffarqat ka
Sirhanay un kay bismal kay ye baitabi ka maatam hay
Shah-e-kausar Tarahham tashna jaata hay ziyarat ka
Jinhain marqad man ta hashar ummati keh kar pukaaro gay
Hamian bhi yaad kar lo un man Sadqa apni Rahmat ka
Wo chamken bijliyan ya rabb tajallehaye janaan say
Ke chasham-e-Toor ka surmah ho dil mushtaq ruyat ka
Razaye khasta josh-e-bahar-e-isyan say na ghabrana
Kabhi to haath aajaye ga daman un ki rahmat ka
Mujdah abad aye aasio! Shafie’a shah-e-abraar hay
Tuhniat aye mujrimo! Zaat-e-Khuda Gaffar hay
Ar’sh safrash zameen hay farsh pa arsh bareen
Kia niraali tarz ki Naam-e-Khuda riftaar hay
Chand shaq ho pairh bolain janwar sajday karain
BarkAllah marji-e-aalam yehi sarkaar hay
Jin ko suno-e-aasmaan phaila kay jal thal bhar diay
Sadqah un haathoon ka piyaray ham ko bhi darkaar hay
Lab zalaal-e-chashma kun man gandhay waqat-e-khameer
Murday zindah karna aye jaan tum ko kia dushwaar hay
Goray goray paaon chamka do Khuda kay waastay
Noor ka tarhka ho piyaray gor ki shab taar hay
Teray hi daaman pe har aasi ki parhti hay nazar
Ayek jaan-e-bay khata par do jahan ka baar hay
Josh-e-toofaan bahar-e-bay payaan huwa nasaaz gar
Nooh kay mola karam kar lay to bairha paar hay
Rahmatullil aalmeen teri dihaye dab gaya
Ab tu mola bay tarah sar par gunah ka baar hay
Hairatain hain aayenah daar-e-wa for-e-wasaf-e-gul
Un kay bulbul ki khamoshi bhi lab-e-izhaar hay
Goonj gooj uthay hain nagmaat-e-Raza say bostaan
Kiyoon na ho kis phool ki madhat man wa minqaar hay
Mujh man un ki Sana ka Saleeqa kahan
Wo Shah-e-do jahan wo kahan man kahan
Un ka madah sara khaliq en wa aan
Wo rasool-e-Zaman wo kahan man kahan
Un kay daman wabista meri nijaat
Un pe qurban meri Hayaat w mamat
Man gunahgar wa shafi-e-Aasiyan
Bay kasoon ki aman wo kahan man kahan
Wo Madeenah Nageenah hay jo ar’sh ka
Wo Madeenah jahan Rahmat bay karan
Man bhi puhunchon wahan wo kahan man kahan
Ham sarapa adam wo sarpa wujood
Un pe har dam salam un pe hra dam durood
Ham Haqeeqat man afsana wo dastan
Un ka mada Khawan wo kahan man kahan
Shak nahin aye Riaz us man hargiz Zarra
Man sarapa khata wo sarapa ata
Naam un ka rahay kioon na wird-e-Zaban
Hay jo taskeen-e-jan wo kahan man kahan
mujh pe bhii chashm-e-karam ai mire aaqaa karnaa
haq to meraa bhii hai rahmat kaa taqaaza karnaa
mai.n ki zarra huu.n mujhe vus’at-e-sahraa de-de
ki tire bas me.n hai qatre ko bhii dariyaa karnaa
mai.n huu.n bekas teraa sheva hai sahaaraa denaa
mai.n huu.n biimaar teraa kaam hai achchhaa karnaa
tuu kisii ko bhii uThaataa nahii.n apne dar se
ki tirii shaan ke shaayaa.n nahii.n aisaa karnaa
tere sadqe vo usii ra.ng me.n KHud hii Duubaa
jis ne jis ra.ng me.n chaahaa mujhe rusvaa karnaa
ye tiraa kaam hai ai aamna ke durr-e-yatiim
saarii ummat kii shafaa’at tan-e-tanhaa karnaa
aal-o-ashaab kii sunnat miraa me’yaar-e-vafaa
tirii chaahat ke ‘evaz jaan kaa saudaa karnaa
shaamil-e-maqsad-e-taKHliiq ye pahluu bhii rahaa
bazm-e-aalam ko sajaa kar teraa charchaa karnaa
mujh pe mahshar me.n ‘nasiir’ un kii nazar pa.D hii ga.ii
kahne vaale use kahte hai.n KHudaa kaa karnaa
Mujh sa Aajiz Madah-e-Mamdooh-e-Khuda likhta raha
Aur kia likhta’ وَرَفَعۡنَا لَکَ likhta raha
Hamd man likhta raha Naat-e-Habeeb-e-Kibriya
Naat kay she’aroon man bhi Hamd-e-Khuda likhta raha
Zihin ko thi justujoo alfaz ki shayan-e-shayan
Man tha chup’ mera qalam Sall-e-ala likhta raha
Raushnaye ashk thi aur nok-e-mazgan thi qalam
Is tarah bhi aek shab un ki thana likhta raha
Kiyoon pukaray gair ko apni madad kay wastay
Umar bhar jis ka qalam Ya Mustafa likhta raha
Fik’r-o-fan bay bas nazar aaye mujhay us raah man
Ish’q tha jo kia say kia aur kia say kia likhta raha
Shaiwa-e-jood-o-karam ki baat jab nikli adeeb
Mujh pe jo guzri man apna majra likhta raha
Musht-e-gubar-e-khaak aur tera bayan-e-bartari
Khaliq-e-kul kalaam say kun karay ga hamsri
Hamd-e-Khuda-e- لَمْ یَزلْ teri sana-e-dilruba
Wahi-e- وحیِ الٰہ العالمیںteri zaban-e-dilbari
Teri urooj ki khabar rooh-e-qudus na pa saki
Dawa-e-ma’rfat ko hay paish tiray subuk sari
Kalma la shareek man’ Zik’r tera shareek hay
Manzil la ilaah tak, to hi nishan-e-rahbari
Qlab hay kasa-e-gada, sast-e-sawal hay wujood
Rooh, faqeer-e-Aastaan’ ish’q tera tongari
Zik’r-e-Habeeb-e-kibriya’ madah-o-sana-e-Mustafa
Mera shauoor-e-fik’r-o-fan, mera Zameer-e-shayeri
Sada lab pe ho jab sadaye Madeenah
Kahan chain dil ko siwaye Madeenah
Chalay Aaj ayesi hawaye Madeenah
Urhaye hamain lay kay jaye Madeenah
Baraye Madeenah binaye do Aalam
Binaye do aalam baraye Madeenah
Haram ka pata mujh say kiyoon poochtay ho
Mera dil hay qibla numaye Madeenah
Gunah gar kay dil man dozakh ki aatash
Lagaye zamana’ bujhaye Madenah
Madeenay ka banda Madeenay hi puhunchay
Bas itna karam kar, khudaye Madeenah
Qadam choom loon bay watan karnay walay
Mujhay day agar to’ sazaye Madeenah
Kahin to gunah garoon ka ho thikana
Khuda nay rakhi yoon’ binaye Madeenah
Girftar ko ab girftar rkhiye
Kahan jaye ga phir rihaye Madenah
Wo طلع wo بدر علینا kay nagmay
Kuja ham kuja wo sanaye Madeenah
Adeeb hashar man zayer-e-Saya rahain gay
Tani hogi sar par ridaye Madeenah
Mustafa ka Naam, tauqeer-e-adab Mustafa ka zikr, t’ameer-e-adab
Naat man hona qalam ka sar nagoon sar bulandi mushaher-e-adab
Who Mujahid Hazrat-e-Hassan thay jinkay hathoon man thi shamsheer-e-adab
Parah Parah kar gay Qal’b-e-Ganeem us Kaman-e-ish’q kay Teer-e-adab
Hafiz-e-sheraz say poochay koi Lazzat-e-sherni-e-sher-e-adab
Pervi-e-Masnavi-e-Room say ban gay Iqbal bhi peer-e-adab
Soorah-e-kausar pe hay Hujjat tamam Raf’at-e-Aflaak tahrer-e-adab
Na ar’sh-e-aiman na اِنّی ْ ذاہبٌ man mehmaani hay
Na Lutuf اُدْنُ یَا اَحْمَدْ Naseeb لَنْ تَرَانِی hay
Naseeb dostaan gar un kay dar par mot aani hay
Khuda yoon hi karay phir to hamaishah zindagani hay
Usi dar par tarhptay hain machaltay hain bilaktay hain
Utha jaata nahi kia khoob apni naatwani hay
Har ik deewaar-o-dar par mihar nay ki hay jabeen saaye
Nigaar-e-masjid-e-aqdas man kab sonay ka paani hay
Teray mangta ki khamoshi shafaat khuwaah hay us ki
Zabaan-e-bay zubaani tarjmaan-e-khastah jaani hay
Khulay kia raaz-e-Mahboob-o-muhib mastaan-e-gaflat par
Sharaab قَدرَای الحق zaib-e-jaam-e- مَنْ رَاٰنِیhay
Jahan ki khakroobi nay chaman aara kia tujh ko
Saba ham nay bhi un galyoon ki kuch din khaak chaani hay
Shaha kia zaat teri haq numa hay fard-e-imkaan man
Ke tujh say koi awwal hay na tera koi saani hay
Kahan us ko shak-e-jaan-e-janaan man zar ki nuqaashi
Iram kay taayer-e-rang-e-pareedah ki nishani hay
ذِیابٌ فی ثِیابٍ Lab pe kalma dil man gustaakhi
Salaam assalam mulhid ko ke tasleem zabaani hay
Ye aksar saath un kay shaanah-o-miswaak ka rahna
Batata hay ke dil raishoon pe zayed mehrbaani hay
Isi sarkaar say dunya-o-deen miltay hain sayel ko
Yehi darbaar-e-aali kanz aamaal-o-amaani hay
Dar-o-deen soorat-e-hala-e-muheet-e-maah-e-Tayyibah hain
Barista ummat-e-aasi pea b rahmat ka paani hay
Taala Allah istigna teray dark ay gadaaoun ka
Ke un ka aar far-o-shokat-e-sahib qiraani hay
Wo sar garam-e-shafaat hain arq afshaan say paishaani
Karam ka atar sandal ki zameen Rahmat ki ghaani hay
Ye sar ho aur wo khaak-e-dar wo khaak-e-dar ho aur ye sar
Raza wo bhi agar chahain to ab dil man ye thaani hay
Na Asman ko yoon sar kasheedah hona taha Huzoor-e-khaak Madeenah khameedah hona tha
Agar guloon ko khizaan na raseedah hona tha kinaar-e-khaar-e-Madeenah damaidah hona tha
Huzoor un kay khilaaf adab thi baitabi meri umeed tujhay aarmaidah hona tha
Nazarah khaak-e-Madeenah rahtain miltin dil-e-hzeen tujhay ashk chakeedah hona hona tha
Panah daman-e-dashat-e-Haram man chain aata na sabar-e-dil ko gazal-e-rameedah hona taha
Ye kesi khulta ke un kay siwa shafee’a nahi abas na auroon kay aagay tapeedah hona tha
Hilal kesay nab anta maah-e-kaamil ko salaam-e-abroo-e-shah man khamaidah hona tha
لَاََ مْلئَن َّ جہَنَّم tha wada azali na munkiroon ka abas bad aqeedah hona tha
Naseem kiyoon na shameem un ki tayyibah say lati ke subuh gul ko giraban daraidah hona tha
Tapakta rang-e-junoon ishiq-e-shah man har gul say rag-e-bahar ko nashtar raseedah hona tha
Baja tha arsh pe khaak-e-mazar-e-pak ko naaz ke tujh sa arsh nasheen aafredah hona tha
Guzartay jaan say ik shor “Ya Habeeb kay’’ saath Fagan ko naala-e-halaq bareedah hona tha
Miray kareem guna zaharay magar aakhir koi to shaheed-e-shafat chasheedah hona tha
Jo sang-e-dar pe jabeen sayioon man tha mitna to meri jaan sharrar-e-jaheedah hona tha
Teri quba kay na kiyoon nechay nechay daaman hoon ke khaksaaroon say yaan kab kasheedah hona tha
Raza jo dil ko banan tha jalwa gaah-e-Habeeb
To piyaray qaid-e-Khudi say raheedah hona tha
Na kahin say door manzilain
Na koi Qareeb ki baat hay
Jisay chahay us ko nawaz day , ye dar-e-Habeeb ki bat hay
Jisay chaha dar pe bula lia jisay chaha apna bana lia
Ye baray karm kay faislay ye baray Naseeb ki baat hay
Wo bhatak kay rah man rih gaye ye machal kay dar say lipat gaye
Wo kisi ameer ki shan thee ye kisi Gareeb ki baat hay
Man buroon say laakh bura sahi magar un say hay mera wasita
Meri laaj rakh lay meray Khuda ye teray Habeeb ki baat hay
Tujhay aye Munwwar bay nawa dar shah-e-say chaye aur kia
Jo Naseeb ho kabhi samna to baray Naseeb ki bat hay
Naaz-e-dozakh ko chaman kar day bahar-e-aariz
Zulmat-e-hashar ko din karday nahar-e-aariz
Man to kia chez hoon Khud Sahib-e-Quraan ko shaha
Laakh Mushif say pasand aaye bahar-e-aariz
Jesay Quraan hay wird us gul-e-Mahboobi ka
Yoon hi Quran ka wazeefah hay waqar-e-aariz
Garcha Quraan hay na Quraan ki barabar lakin
Kuch to hay jis pe hay wo madah nigaar-e-aariz
Toor kia ar’sh jalay daikh kay wo jalw-e-garam
Aap aariz ho magar aayena daar-e-aariz
Tarfah aalam hay wo Quraan idhar daikhain udhar
Mushaf-e-Pak ho hairan bahar-e-aariz
Tarjuma hay ye Sifat ka wo Khud aayena Zaat
Kiyoon na Mushaf say ziyadah ho waqar-e-aariz
Jalwah farmayen rukh-e-dil ki siyahi mit jaye
Subuh ho jaye ilahi shab-e-taar-e-aariz
Naam-e-haq par karay mahboob dil-o-jaan qurbaan
Haq karay ar’sh say ta farsh nisar-e-aariz
Mushk bo zulf say rukh chehrah say balloon man shua’e
Mu’ejzah hay halb-e-zulf-o-tataar-e-aariz
Haq nay bakhsha hay karam nazr-e-gadayan ho qabool
Piyaray ik dil hay wo kartay hain nisaar-e-aariz
Aah bay mayegi dil ke Raza-e-muhtaaj
Lay kar ik jaan chala bahar nisar-e-aariz
Nabi sarwar-e-har Rasool-o-wali hay Nabi raaz dar-e- مَعَ اللہ لِی hay
Wo Naami ke Naam-e-Khuda Naam tera Raouf-o-Raheem-o-Aleem –o-Ali hay
Hay baitaab jis kay liye ar’sh-e-azam wo raharwe laa makaan ki gali hay
Nakeerain kartay hain taazeem meri fida ho kay tujh par ye izzat milay hay
Talatum hay kashti pe toofaan-e-gam ka ye kesi hawaye mukhalif chali hay
Na kiyoon kar kahoon یَا حَبِیْبی اَغِثْنِیْ isi Naam say har museebat tali hay
Saba hay mujhay sarsar-e-dasht-e-Tayyibah isi say kali meray dil ki khili hay
Teray chaaroon hamdam hain yak jaan yak dil Abu bakar farooq Usman Ali hay
Khuda nay kia tujh ko aagaah sab say do Aalam man jo kuch khafi-o-jali hay
Karoon ar’z kia tujh say aye aalim-ul-sirr ke tujh par meri haalat-e-dil khuli hay
Tamanna hay farmaye roz-e-mahshar ye teri rihaye ki chithi mili hay
Jo maqsad ziyaarat ka bar aaye phir jo na kuch qasad kijiye ye qasad-e-dili hay
Teray dar ka darbaan hay jibreel-e-azam tera madah khawaan har Nabi-o-wali hay
Shafaat karay hashar man jo Raza ki
Siwa teray kis ko ye qudrat mili hay
Nabii kaa naam jab mere labo.n par raqs karataa hai
lahuu bhii mere shiryaano.n ke andar raqs karataa hai
merii bechain aa.nkho.n me.n jab vo tashriif laate hai.n
musavvir un ke daaman se lipaT kar raqs karataa hai
vo sahraa.o.n me.n bhii paanii pilaa dete hai.n pyaaso.n ko
ki un kii u.ngliyo.n me.n bhii samundar raqs karataa hai
pa.De hai.n naqsh-paa-e-mustafaa ke haar gardan me.n
jabhii to ruuh lahraatii hai paikar raqs karataa hai
zamiin-o-aasmaa.n bhii apne qaabuu me.n nahii.n rahte
ta.Dap kar jab mohammad kaa qalandar raqs karataa hai
lagii hai bhii.D us ke gird ye kaisii farishto.n kii
ye kis kaa naam le-le kar ‘muzaffar’ raqs karataa hai
Nabiyo ke nabi
Ummi Laqabi
konain ke wali
mein tera sawali
kar mujh ko ataa
thori si zia
tarre tairay moti
chanda teri thaali
yeh kis ne kaha
saya hi nah tha
mujh ko nazar aaya
har soo tera sayaa
jo tera sun-hwa
rab is ka sun-hwa
payi hai khudai
jis ne tujhe paaya
ae surood den
shab jis ki nahi
baantey woh sawera
kamli teri kaali
saqi mera to
bhar mera subu
darya hon ke jhelen
sab teri sbilin
khurshid Hara
thokar se gira
aanhon ki tnabin
duuri ki fasilain
Firdous mera
roza hai tera
palkon mein piro day
Deewar ki jaali
Mehboob e khuda
ae Noor Huda
chamkay mera seenah
ban jaye madinah
karti hai anaa
ab teri Sana
is paar laga day
lafzon ka safena
rakh mera bharam
day shahِ mnh
hassan ki nazrain
aawazِ blali
bas aik yahi
hasrat hai meri
dil mout se pehlay
kuch tujh se bhi ke le
bharkey jo talabb
ho dard ajab
ab tera muzaffar
yaado se nah behlay
rehmat ki nazar
ho jaye agar
ban jaye gulisitan
Sookhi hui daali
Naematain baantta jis simt woh zeshaan gaya
sath hi munshi rehmat ka qalamdan gaya
le khabar jald ke gheiron ki taraf dheyaan gaya
mere Mooli mere aaqa tairay qurbaan gaya
aah woh aankh ke nakaam tamanna hi rahi
haae woh dil jo tre dar se par armaan gaya
dil hai woh dil jo tri yaad se maamoor raha
sir hai woh sir jo tre qadmon pay qurbaan gaya
unhein jana unhein mana nah rakha ghair se kaam
lillah alhmd mein duniya se musalman gaya
aur tum pr mery aaqa ki inayat nah sahi
Najdiou! kalma parhanay ka bhi ahsaan gaya
aaj le un ki panah aaj madad maang un se
phir nah manen ge qayamat mein agar maan gaya
uff ray munkir yeh barha joshِ taasub aakhir
bheer mein haath se kam bikhat ke imaan gaya
jaan o dil hosh o khiirad sab to madeeney puhanche
tum nahi chaltay Raza sara to samaan gaya
Nigah ho ke sama’et zaban ho ke qalam
Chalay hain qaflah madah man qadam baqadam
Kabhi zaban ka da’ewa ke ham hain bar tar ham
Kabhi qalam ki ye gairat ke ham say sab hain kam
Ye ma’erkah bhi to wajah-e-husool-e-sabqat hay
Husool sabqat madhat bhi husun-e-madhat hay
Qalam nay khainch diay naqash wok e sab hairaan
Zaban nay dil say nikalay khitaab kay arman
Suna raha hoon usi ma’erkah ki baat yahan
Ke jis kay nuqtay sitaray to lafz kaah kashan
Sama’etoon ko jo lay jaye hauz-e-kausar tak
Suroor jis ka rahay dil man roz-e-mahshar tak
Chala hay aaj qalam saya-e-karam lay kar
Gadaaz dil ka, tarhap aur chashm-e-nam lay kar
Shauoor-o-fik’r ka hathoon man jaam-e-jam lay kar
Khayaal-e-Sarwar-e-konain Muhtram lay kar
Rawan buraaq ki maanand lay kar
Firshtay Aaye hain aflaak say gawahi man
Zuban khuli kay phiraira khula hay Rahmat ka
Har ayek simat huwa ghul Azaan-e-ulfat ka
Nimaz ishq ka aur sajdah mahabbat ka
Sarwar-e-jaan hay jo sab ka isi ki madhat ka
Sama’etoon ka ye aalam ke gaush’ bar awaz
Meray Rasool ki madhat ka yoon huwa Agaz
Jhuka ke rabb do aalam kay paish apni jabeen
Kaha qalam nay ke khallaq-e-Asman-o-Zameen
Raqam ho teray Nabi ka bayan itna haseen
Ke harf harf sitarah to nuqtah nuqtah nageen
Zameen pe shor to halchal ho aasmanoon man
Firshtay choom kay bandhain usay amamoon man
Barhay adab say zuban ne ye ar’z ki ya rabb
Ada ho mujh say bhi apnay bayan ka mansab
Meri sada ho rawan jesay Noor ka murkab
Falak pe aaye nazar jesay raat man kaukab
Ke hay Nabi Samee’a-o-Baseer ki tauseef
Khabar jo Gaib ki day us khabeer ki tauseef
Kaha qalam nay ke tahreer meri lasaani
Khiyaal lafzoon man ayesa ke yoosaf-e-Sani
Tamaam harf guman ye ke, la’el ramaani
Har ik sitar meri kahkshan ki peeshani
Meri siyahi gunahoon ko dhonay waali hay
Sayee zaroor hoon lakin sifat bilali hay
Zuban ye boli ke man aaj hoon turb-e-manoos
Hay shauq raqs man meray bayan ka taous
Haseen khiyaloon say roshan hain ja baja fanoos
Ye zik’r-e-Tayyib-o-Tahir ke hay meri Namoos
Sunay jo khar bayaban to rang-o-boo man dhalay
Teray Habeeb ka wo zik’r ho ke too bhi sunay
Kaha qalam nay ke man har bayan ka malboos
Meri khamoshi hay ulfat ka naala-e-naqoos
Sana-e-sarwar-e-konain ka hoon man fanoos
Ye khad-o-khaal hain meray hi loh par manqoosh
Safaid par man siyahi ka daag hota hoon
Par aashiqoon kay diloon ka charaag hota hoon
Kaha zuban nay ke ra’naaye man nay ki hay kasheed
Meri nawa say hi boo-e-khitaab ki hay shumeed
Kahin sarwar-e-balagat, kahin faseeh nasheed
Khulain na par meray, parwaz kia karay gi shuneed
Har ik zaman man fazayen yateem, meray begair
Kalaam kis ko sunayen kaleem meray begair
Suna jo roz-e-bayan-e-madeeh-e-shah-e-umam
Jhuka adab say hamaishah ki tarah faraq qalam
Raqam taraaz huwa, aye khuda! Teri hay qasam
Azal say was’f-e-nigaar-e-Huzoor hoon paiham
Gunaah gar nahi doob kar siyahi man
Har aik naat hay meri isi gawahi man
Man khainch lawon ga fan ka har ik satar man kamala
Hisaar-e-khat man haseenan-e-rang-o-boo ka Jamaal
Likhoon ga jab man sulaiman Naat ka ahwaal
Hamain bhi izin do, balqees-e-fan karay gi sawal
Nabi ka faiz hay, faiz-o-kamaal par hay girift
Rah-e-farraaz na doon ga, khiyaal par hay girift
Azal say ta be abad loh par noshta man
Kahin pe haal hoon aur hoon kahin guzushta man
Hoon dast-e-kaatib-e-taqdeer man nishastah man
Sanaa’e kay was’f say ham rutba firshtah man
Man apnay rang man rang-e-gilaaf-e-kaabah hoon
Rukh-e-bilal-o-galeem-e-rasool-e-batha hoon
Ye ma’rkah jo suna, gaib say sada Aaye
Har ik chaman man unhain ki hay jalwah farmaye
Faqat qalam hi nahi un ka ayek shaidaye
Faqat zuban ko hi hasil nahi hay yaktaye
Shajar hajar hoon mah-o-mihir hoon zuban-o-huroof
Wujood jin ko mila sab sanaa man hain masroof
Zuban ko nutuq diya kul ki aabroo kay liye
Meray Habeeb ko aana tha guftugoo kay liye
Qalam bana usi tahreer-e-mushak-e-boo kay liye
Har ik zamana man islaam ki numoo kay liye
Rasa ho Adam khaki ke dil man tum donoon
Meray Habeeb ki jo yaad man ho gum donoon
No Content Available
Paat wo kuch dhar ye kuch zaar ham ya Ilahi kiyoon kar utrain paar ham
Kis bala ki may say hian sar shaar ham din dhahla hotay nahi hushiyar ham
Tum karam say mushtari har ayeb kay jins-e-Na maqbool-e-har bazaar ham
Dushmanoon ki aankh man bhi phool tum dostoon ki bhi nazar man khaar ham
Lagsh-e-pa ka shara ayek Tum girnay walay lakhoon nahanjaar ham
Sadqa apnay bazoon ka Al madad kesay torhain ye but-e-pandaar ham
Dam qadam ki khair aye jaan-e-maseeh dar pe laye hain dil-e-beemaar ham
Apni Rahmat ki taraf daikhin huzoor jantay hain jesay hain badkaar ham
Apnay mehmanoon ka sadqa ayek boond mar mitay piyasay idhar sarkar ham
Apnay kocha say nikal to na do hain to had bhar kay Khudaye khuwar ham
Hath utha kar ayek tukrha aye kareem hain sakhi kay maal man haqdaar ham
Chandni chatki hay un kay Noor ki Ao daikhain sair Toor-o-naar ham
Himmat aye zu’ef un kay dar par giray hoon bay takalluf saya-e-deewar ham
Ba ata tum shah tum Mukhtar tum bay nawa ham zaar ham nachar ham
Tum ne lakhoon ko janain phair dain ayesa kitna rakhtay hain Aazar ham
Apni sattari ka ya Rabb wasita hoon na ruswa bar sar-e-darbar ham
Itni ar’z-e-aakhri keh do koi nao tooti aa parhay munjdhar ham
Munh bhi daikha hay kisi kay af’w ka daikh aoo isyaan nahi bay yaar ham
Man Nisar musliman keyjiye torh dalain gay nafs ka znnar ham
Kab say phailaye hain daman teeg ishq ab to payen zakham daman daar ham
Sunniat say khatkay sab ki aankh man phool ho kar ban gay kia khaar ham
Natwani ka bhala ho ban gay naqsh paye talibaan-e-yaar ham
Dil kay tukrhay nazar-e-hazir laye han aye sagaan-e-kocha-e-dildar ham
Qismat-e-saur-o-haraam ki hirs hay chahtay hain dil man gehra gaar ham
Chasham poshi-o-karam shaan-e-shuma kaar-e-ma bay baki-o-israar ham
Fas’l-e-gul sabza saba masti shabaab chorhain kis dil say dar khumaar ham
Makadah chuteta hay lillah saqia ab kay sagar say na hoon hushiyar ham
Naazashain kartay hain aapas man malak hain gulaman-e-shah-e-abrar ham
Lutuf-e-az Khud raftagi ya Rabb naseeb hoon shaheed jalwa-e-riftaar ham
Un kay aagay da’wa hasti Raza
Kia bakay jata hay ye har baar ham
Peygam Saba laye hay Gulzar-e-Nabi say
Aaya hay Bulawa mujhay Darbar-e-Nabi say
Har Aah gaye a’rsh pe ye Aah ki Qismat
Har ashak pe ik khuld he har ashk ki qeemat
Tuhfa ye mila hay Mujhay Sarkar-e-Nabi say
Bhati nahi hamdam mujhay Jannat ki jawani
Sunta nahi Zahid say main Horoon ki kahani
Ulfat he mujhay saya-e-Deewar Nabi say
Irfan ki kisk Khulq ki may Sabar ka Sagar
Kia lutuf mila karta hay jo Daitay han Sarwar
Ye pooch lay Aa kar koi beemar-e-Nabi say
Phir kay gali gali tabah thokarain sab ki kahaye kiyoon
Dil ko jo aqal day Khuda teri gali say jaye kiyoon
Rukhsat-e-qafilah ka shaur gash say hamain uthaye kiyoon
Sotay hain un kay saya man koi hamain jagaye kiyoon
Bar na thay jaib ko paaltay hi gareeb ko
Royen jo ab naseeb ko chain kaho ganwayen kiyoon
Yaad-e-Huzoor ki qisim gaflit ayesh hay sitam
Khoob hain qyed-e-gam man ham koi hamain churhaye kiyoon
Daikh kay hazrat-e-Gani phail parhay faqeer bhi
Chaye hay ab to chawoni hashar hi aan na jaaye kiyoon
Jaan hay ishq-e-Mustafa roz fazoon karay Khuda
Jis ko ho dard ka mazah naaz-e-dawa uthaye kiyoon
Ham to hain aap dil fagaar gam man hansi hay naagawar
Chairh kay gul ko na bahar khoon hamain rulaye kiyoon
Ya to yoon hi tarhap kay jayen ya wohi daam say churhayen
Mannat-e-gair kiyoon uthayen koi tars jitaye kiyoon
Un kay jalal ka asar dil say lagaye hay qamar
Jo ke ho loot zakham par daag-e-jigar mitaye kiyoon
Khush rahay gul say andleeb kharim haram mujhay naseeb
Meri bala bhi zik’r par phool kay khaar khaye kiyoon
Gard-e-malaal agar dhulay dil ki agar khilay
Barq say aankh kiyoon jalay rozay pe muskraye kiyoon
Jaan-e-safar naseeb ko kis nay kaha mzay say so
Khatka agar sahar ka ho shaam say mot aaye kiyoon
Ab to na rok aye gani aadat-e-sag bigarh gaye
Meray kareem pehlay hi luqma-e-tar khilaye kiyoon
Raah-e-Nabi man kia kami farsh-e-biaadh deedah ki
Chadar-e-zill hay malgaji zer-e-qadam bichaye kiyoon
Sang-e-dar Huzoor say ham ko Khuda na sabar day
Jana hay sar ko ja chukay dil ko qaraar aaye kiyoon
Hay to Raza nara sitam juram pe gar lajayen ham
Koi bajaye soz, gam saaz tarb bajaye kiyoon
Piyaro Piyaro Aa Madeeno Niyaro Niyaro Aa Madeeno
Panhanjo Sah Madeeno Wah wah Madeeno
Reay-e-Pak Nabi na saray thee he dil Thadha Saah Bharay thee
Jay nazar thiyay ha hikrhey wajan sindh khan Tayyibah nikrey
Madeenay Pak achan pasey Rozay khay Tharan
Madeenay Pak achan pasey Rozay khay Tharan
Shal Muat milay ha Madeenay man munhunje khak ralay ha Madeenay man
Jay jism khan Rooh hitay Nikray Gumbad khay dhisey Meenar dhisey
Bhaleem chaway Subhan ALLAH jay Qabar Madeenay manjh Milay
Poochtay kia ho ar’sh pr yoon gay Mustafa ke yoon
Kaif kay par jahan jalain koi bataye kia ke yoon
Qasar-e-dana kay raaz man aqlain to gum hain jesi hain
Rooh qudus say poochiye tum ne bhi kuch suna ke yoon
Man ne kaha ke jalwa-e-asal man kis tarah gumain
Subuh ne Noor muhar man mit kay dikha dia ke yoon
Haye ray zauq-e-bay Khudi dil jo sanbhalnay sa laga
Chak kay mahak man phool ki girnay lagi saba ke yoon
Dil ko day Noor-o-daag ishq phir man fida do neem kar
Mana hay sun kay shaq-e-maah aankhoon say ab dikha ke yoon
Dil ko hay fikr kis tarah murday jilaatay han Huzoor
Aye man fida laga kar ayek thokar usay bata ke yoon
Baag man shukur-e-wasal tha hijir man haye haye gul
Kaam hay un kay zik’r say khair wo yoon huwa ke hoon
Jo kahay she’r-o-paas shiroou donoon ka hasan kiyoon kar aaye
La usay paish-e-jalwa zamzama-e-Raza ke yoon
Poochte kiya ho Madeeney se Meyn kiya laya hoon
Apni aankhuwn meyn Madeeney ko basa laya hoon
Dil bhi mera hey waheen Jaan bhi meri hey waheen (to phir le kar kiya aaye ho?)
Apne kaandhuwn par apne laashey ko utha laya hoon
Jisne choomeyn heyn Qadam Sarwar-e-‘Aalam ke
Khaak-e-Taiybah ko main apni palkuwn pay saja laya hoon
Saya-e-Gumbad-e-Khazra meyn ada kar ke namaaz
Apne sar ko meyn Ar’sh ka hum-paya bana laya hoon
Jaan-o-dil wahaan rakh ke amanaat ki tarh
Phir wahaan janey ke asbaab bana laya hoon
Pul se utaro raah guzar ko khabar nah ho
Jibreel par bichaeyin to par ko khabar nah ho
kaanta marey jigar se gham rozgaar ka
yun khech lijiye ke jigar ko khabar nah ho
faryaad ummati jo kere haal zaar mein
mumkin nahi ke kher bashar ko khabar nah ho
kehti thi yeh Buraq se is ki subk rawi
yun jaiye ke gird safar ko khabar nah ho
farmatay hain yeh dono hain sardar do jahan
ae murteza Ateeq o Umar ko khabar nah ho
gumaa day un ki wla mein kkhuda hamein
Dhoondha kere par apni khabar ko khabar nah ho
Aa dil haram se roknay walon se choup ke aaj
yun uth chalein ke pehlu o Bar ko khabar nah ho
Tayyar e haram hain yeh kahin rishte bapaa nah hon
yun dekhieye ke taar nazar ko khabar nah ho
ae khaar tayyiba dekh ke daman nah bhiig jaye
yun dil mein aa ke deedaa tar ko khabar nah ho
ae shoq dil yeh sajda gir un ko rava nahi
acha woh sajda kiijiye ke sir ko khabar nah ho
un ke siwa Raza ko yi haami nahi jahan
guzra kere pasar pay pidar ko khabar nah ho
Qadam Aagay Barha Zeena ba Zeena
Tujhay mil jaye ga ik din Madeenah
Nigahoon man Khataon ka Taswwar
Jabeen par hay Nadamat ka paseena
Mera dil maskan-e-Ishq-e-Nabi hay
Na Doobay ga kabhi mera safeena
Tumhara Zikar hay mefil ba mehfil
Tumhari yad hay seena ba seena
Ba faiz Izn-e-Sarkaar do Aalam
Mujhay Aajaye jeenay ka Qareena
MUHAMMAD Mustafa Tashreef laye Maheenoon man hay Afzal ye maheena
Jo log Akhtar baseerat kho chukay han
Unhain Darkar hay Khaak-e-Madeenah
Qalb-e-Aashiq hay ab parah parah
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Kulfat hijir-o-Firqat nay mara
Teray Aanay say dil khush huwa tha
Aur zauq-e-Ibadat barha tha
Aah ab dil pe hay Gam ka galba
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Masjidoon man bahar Aagaye thee
Joq dar joq Aatay Nimazey
Ho gaya kam Nimazoon ka jazba
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Bazam Iftar Sajti thee kaisee
Khoob Sahrey ki ronaq bhi hotey
Sab smaan ho gaya Soona Soona
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Teray deewany ab Ro rahay han
Haye ab Waqat-e-Rukhsat hay Aaya
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Tum pe lakhoon salam mah-e-Ramdhan
Tum pe lakhoon slam mah-e-Gufran
Jao Hafiz Khuda ab tumhara
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Nekian kuch na ham kar sakay han
Aah isyan man hey din katay han
Haye Gaflat man tujh ko Guzara
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Jab guzar jayen gay mah-e-giyarah
Teri Aamad ka pahar shor hoga
Kiya meri zindagi ka bharwasa
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Kuch na Husun-e-Amal kar saka hoon
Nazar chand ashak man kar raha hoon
Bas yehi hay mera kul asaasah
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Haye Attar baikaar kahil
Rah gaya ye ibadat say Gafil
Is say khush ho kay hona rawana
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Saal Aaindah Haram tum
Karna Attar par ye karam tum
Tum Madeenay main Ramdhan dikhana
Alwidae Alwidae Mah-e-Ramdhan
Ronaq-e-bazm-e-jahan hain aashiqan-e-sokhtah
Keh rahi hay shama’e ki goya zaban-e-sokhta
Jis ko qars-e-mahar samjha hay jahan aye munimo!
Un kay khuwaan-e-jood say hay ayek naan-e-sokhtah
Maah-e-man ye nayyar mahshar ki garmi taabkay
Aatash isyan man Khud jalti hay jaan-e-sokhtah
Barq angushat Nabi chamki thi us par ayek baar
Aaj tak hay seena mah man nishaan-e-sokhtah
Mahar aalam taab jhukta hay pay tasleem roz
Paish-e-zarrat-e-mazaar-e-baidilaan-e-sokhtah
Kocha gaisoo-e-janaan say chalay thandi naseem
Baal-o-par afshaan hoon ya Rabb bulbulaan-e-sokhtah
Bahar haq aye Bahar-e-Rahmat ik Nigaah-e-lutuf baar
Tabkay bay Aab tarhpain maahiyaan-e-sokhta
Rokash khursheed mahshar ho tumharay faiz say
Ik sharraar-e-seenah-e-sheedaiyaan-e-sokhta
Aatsh-e-tar daamni nay dil kiye kia kia kabaab
Khizar ki jaan ho jila do maahiyaan-e-sokhta
Aatash gulhaye Tayyibah par jalanay kay liye
Jaan kay talib hain piyaaray bulbulaan-e-sokhta
Lutuf-e-barq jalwah-e-meraaj laya wajad man
Shula-e-jawwalah saan hay aasman-e-sokhta
Aye Raza mazmoon soz-e-dil ki rifat nay kia
Us zameen-e-sokhta ko aasman-e-sokhta
Raah pur khaar kia hona hay paoun afgaar hay kia hona hay
Khushuk hay khoon ke dushman zaalim sakh’t khoonkhuwaar hay kia hona hay
Ham ko bid karo hi karna jis say dost baizaar hay kia hona nay
Tan ki ab kon khabar lay hay hay dil ka aazar hay kia hona hay
Methay sharbat day maseeha jab bhi zid hay inkaar hay kia hona hay
Dil ke teemaar hamara karta aap beemar hay kia hona hay
Par katay tang qaf’s aur bulbul no griftaar hay kia hona hay
Chup kay logoon say kiye jis kay gunaah wo khabar daar hay kia hona hay
Aray ao mujrim bay parda daikh sar pe talwaar hay kia hona hay
Teray beemar ko meray esa gash lagataar hay kia hona hay
Naf’s par zor ka wo zor aur dil zair hay zaar hay kia hona hay
Kaam zindaan kay kiye aur hamain shauq-e-gulzaar hay kia hona hay
Haye ray neend musaafir teri kauch Tayyar hay kia hona hay
Door jaana hay raha din thorha raah dushwaar hay kia hona hay
Ghar bhi jana hay musaafir ke nahi mat pe kia maar kia hona hay
Jaan halkaan hoi jaati hay baar sa baar hay kia hona hay
Paar jana hay nahi milti naao zor par dhaar hay kia hona hay
Raah to teeg par aur talwoon ko gila-e-khaar hay kia hona hay
Roshni ki hamain aadat aur ghar terah-o-taar hay kia hona hay
Beech man aag ka darya hayel qasd is paar hay kia hona hay
Is karhi dhoop ko kiyoon kar jheelain shulah zan naar hay kia hona hay
Haye bigrhi to kahan aakar naao ain munjdhaar hay kia hona hay
Kal to deedar ka din aur yahan aankh bay kaar hay kia hona hay
Munh dikhanay ka nahi aur sahar aam darbaar hay kia hona hay
Un ko raham aaye to aaye warna wo karhi maar hay kia hona hay
Lay wo hakim kay sipaahi aaye subuh izhaar hay kia hona hay
Waan nahi baat banane ki majaal charah iqraar hay kia hona hay
Saath waloon ne hamain chorh dia bay kasi yaar hay kia hona hay
Aakhri deeda hay aao mil lain ranj bay kaar hay kia hona hay
Dil hamain tum say lagana hi na tha ab safar baar hay kia hona hay
Jaanay waloon pe ye rona kesa bandah naachar hay kia hona hay
Naza’e man dhiyaan na bat jaaye kahin ye abas piyaar hay kia hona hay
Is ka gam hay k har ik ki soorat galay ka haar hay kia hona hay
Baatain kuch aur bhi tum say kartay par kahan waar hay kia hona hay
Kiyoon Raza kurhahtay ho hanstay utho
Jab wo Gaffar hay kia hona hay
Raah-e-irfan say jo ham na deedah ro muharram nahi
Mustafa hay masnad-e-irshad par kuch gam nahi
Hoon musliman gar cha naqis hi sahi aye kaamilo!
Maahiat pani ki aakhiriam say nam man kam nahi
Gunchay مَا اَوْحٰی kay chatkay dana kay baag man
Bulbul sidrah tak un ki boo say bhi muhram nahi
Us man zam zam hay kay tham tham us man jam jam hay ke baish
Kasrat-e-kausar man zam zam ki tarah kam kam nahi
Panja mahar arab hay jis say darya bah gay
Chashma-e-khurseed man to Naam ko bhi nam nahi
Ayesa ummi kis liye mannat kash-e-ustad ho
Kia kifayat us ko اِقْرَأ وَ رَبُکَ الْاَکْرمْ nahi
Aus maha hashar par parh jaye piyasoo to sahi
Us gul-e-khandaan ka rona girya-e-shabnam nahi
Hay unhi kay dam qadam ki baag aalam man bahar
Won a thay aalam na tha giroh na hoon aalam nahi
Saya-e-deewar-o-khaak-e-dar ho ya rabb aur Raza
Khuwahish-e-dehiyam qaisar shauq-e-takht-e-jam nahi
Rahmat-e-Aalam Teri ochi shan
Shan ochi shan mola teri shan
Badar-e-ul- Duja ho ,Noor-e-Khuda ho
Chehra hay misil-e-Quraan
Sar pay Tumhary Taaj-e-Shafat
Bakhashash ka saman
Kali zulfain kaali chadar
Aap ki hay pehchan
Aap han Awwal , Aap han Aakhir
Nabion kay sultan Khatam-e-Nubuwat Mah-e-Raisalat
Roshan hay dil wa jan
Deen kay Rahbar , shaf’e-e-Mahshar
Har dil ka arman
Zikar tumhara do non jahan main
Har lab pe har Aan
Donon jahan kay Aap han waali
Muhsin ka Eiman
Raskh-e-qamar rang rukh Aftab hoon
Zarrah tera jo aye shah-e-girdoon janaab hoon
Darr-e-najaf hoon gohar-e-pak-e-khoshab hoon
Yeni turaab-e-rah guzar bo turaab hoon
Gar aankh hoon to abar ki chasham pur aab hoon
Dil hoon to barq ka dil par iztiraab hoon
Khoonain jigar hoon tayer bay aashiyan shaha
Rang-e-paredah-e-rukh-e-gul ka jawaab hoon
Bay asal-o-bay subaat hoon bahar karam madad
Par wardah-e-kinaar suaraab-o-habab hoon
Ibrat fizaa hay sharam guna say mera sukoot
Goya lab-e-khamosh-e-lahad ka jawab hoon
Kiyoon nala-e-soz lay karoon kiyoon khoon-e-dil piyoon
Seekh kabaab hoon na man jaam sharaab hoon
Dil basta bay qaraar jigar chaak ashkbaar
Guncha hoon gul hoon barq-e-tapan hoon sahaab hoon
Mola dihaye nazroon say gir kar jala gulaam
Ashk-e-mujdah raseedah-e-chasham kabaab hoon
Mit jaye ye khudi to wo jalwa kahan nahi
Darda man Ap apni nazar ka hijaab hoon
Sadqay hoon is pe naar say daiga jo mukhlisi
Bulbul nahi ke aatish-e-gul par kabaab hoon
Qaalab tahi kiey hama aagosh hay hilaal
Aye shahsawaar tayyibah man teri rikaab hoon
Kia kia hain tujh say naaz teray qasar ko ke man
Ka’ba ki jaan ar’sh bareen ka jawab hoon
Shaha bujhay saqar meray ashkoon say taana man
Aab-e-abas chakeedah-e-chasham-e-kabaab hoon
Man to kaha hi chahoon ke banda hoon shaah ka
Par lutuf jab hya kehdain agar wo janaab “hoon”
Hasrat man khaak bosi tayyibah ki aye Raza
Tapka jo chasham-e-mahar say wo khoon-e-naab hoon
Roye rangin nazar aaya to chaman bhool gaye
sungh kar zulff ki bo mushk Khitan bhool gaye
khawab mein dekh liye jab lab o dandan nabi
Laal ka dheyaan gaya dar Aden bhool gaye
naat goi mein hue mehv to paaya woh maza
masiwa is ke kal aqsam sukhan bhool gaye
koye tayyiba mein jo aa puhanche Anadel urr kar
dekh kar rang fiza yaad chaman bhool gaye
dar badar ho ke dar Shah pay jab ja puhanche
gham ghalat ho gaya sab ranj o mahan bhool gaye
roza e pak pay puhanche to yeh thandak pohanchi
soaz furqat nah raha dil ki jalan bhool gaye
ishhq suroor ne yeh taseer dikhayi Faaiq
soye tayyiba jo chalay hub watan bhool gaye
Rukh din hai ya mohar sama hamza yeh bhi nahi woh bhi nahi
shab zulff ya mushk khata yeh bhi nahi woh bhi nahi
mumkin mein yeh qudrat kahan wajib mein abdiyyat kahan
heraan hon yeh bhi khata yeh bhi nahi woh bhi nahi
haq yeh ke hain Abdul ala aur aalam e imkaan ke Shah
barzakh hain woh sir khuda ye bhi nahi woh bhi nahi
bulbul ne Gul un ko kaha qamri ny sarwar o jaan fiza
herat ne jhungula kar kaha yeh bhi nahi woh bhi nahi
Khurshid tha kis zor par kya barh ke chamka tha Qamar
be parda jab woh rukh sun-hwa yeh bhi nahi woh bhi nahi
dar tha ke isiyaan ki saza ab ho gi ya roz jaza
di un ki rehmat ne sada yeh bhi nahi woh bhi nahi
koi hai Nazaan Zuhad par ya husn tauba hai super
yaan hai faqat teri ataa yeh bhi nahi woh bhi nahi
din lahoo mein khona tujhe shab subah tak sona tujhe
sharam nabi khauf kkhuda yeh bhi nahi woh bhi nahi
rizaq kkhuda khaya kya farmaan haq taalla kya
shukar karam taras saza yeh bhi nahi woh bhi nahi
hai bulbul rangin Raza ya toti naghma serra
haq yeh ke wasif hai tera ye bhi nahi woh bhi nahi
Rukh din hay ya mahar samaa ye bhi nahi wo bhi nahi
Shab zulf ya mushk khata ye bhi nahi wo bhi nahi
Mumkin man ye qudrat kahaan wajib man abdiat kahan
Hairaan hoon ye bhi hay khata ye bhi nahi wo bhi nahi
Haq ye ke hain abd-e-ilaah aur aalam-e-imkaan kay shah
Barzakh hain wo sarr-e-Khuda ye bhi nahi wo bhi nahi
Bulbul nay gul un ko kaha Qamri nay sard-e-jaanfiza
Hairat nay jhanjhla kar kaha ye bhi nahi wo bhi nahi
Khurseed tha kis zor par kia barh kay chamka tha qamar
Bay pardah jab wo rukh huwa ye bhi nahi wo bhi nahi
Dar tha ke esyaan ki saza ab hogi ya roz-e-jaza
Di un ki Rahmat ne Sada ye bhi nahi wo bhi nahi
Koi hay naazan zuhud par ya husun-e-tobah hay sipar
Yan hay faqat teri ata ye bhi nahi wo bhi nahi
Din lahoo man khona tujhay shab subuh tak sona tujhay
Sharm-e-Nabi khof-e-Khuda ye bhi nahi wo bhi nahi
Rizq-e-Khdua khaya kia farmaan-e-Haq tala kia
Shukur-e-karam tars-e-saza ye bhi nahi wo bhi nahi
Hay bulbul-e-rangeen raza ya tooti nagma sara
Haq ye k wasif hay tera ye bhi nahi wo bhi nahi
Rukh-e-Mustafa ko daikha to diyoon nay chalna sekha
Ye karam hay Mustafa ka shab-e-Gam nay dhalna sekha
Ye Zameen Ruki hui they ye falak thama hua tha
Chalay jab meray Mustafa to jahan nay chalna sekha
Bara khush Naseeb hoon main meri khush Naseebi hay daikho
Shah-e-Anbiya kay Tukrhoon pe hay main palna sekha
Man gira nahin jo ab tak ye kamal-e-Mustafa hay
Meri Zaat nay Nabi say hay sanbhalna sekha
Mera dil barha hi bay has tha kabhi nahi ye Tarhpa
Suni naat jab Nabi ki to ye dil machlna sekha
Main talash main tha Rabb ki kahan dhoondhta main us ko
Lia Naam jab Nabi ka to Kuda say milna sekha
Man Raha Khalash Muzafar Darr-e-pak Mustafa par
Meri Jazzb-e-Aashiqi nay kahan ghar badalna sekha
رُخ دن ہے یا مہر سما ء یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
شب زلف یا مشک ختا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
ممکن میں یہ قدرت کہاں واجب میں عبدیت کہاں
حیراں ہوں یہ بھی خطا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
حق یہ کہ ہیں عبد الہ اور عالم امکاں کے شاہ
برزخ ہیں وہ سر خدایہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
بلبل نے گل ان کو کہاقمری نے سروجان فزا
حیرت نے جھنجھلا کر کہا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
خورشید تھا کس زور پر کیا بڑھ کے چمکا تھا قمر
بے پردہ جب وہ رح ہوا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
ڈر تھا کہ عصیاں کی سزا اب ہو گی یا روز جزا
دی ان کی رحمت نے صدا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
کوئی ہے نازاں زہد پر یا حسن توبہ ہے سپر
یاں ہے فقط تیری عطا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
دن لہو میں کھونا تجھے شب صبح تک سونا تجھے
شرم نبی خوف خدا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
رزق خدا کھایا کیا فرمان حق ٹالا کیا
شکر کرم ترس سزا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
ہے بلبل رنگیں رضا یا طوطی نغمہ سرا
حق یہ کہ واصف ہے تیرایہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
Shukur-e-Khuda ke aaj gharhi us safar ki hay
Jis par Nisaar jaan falaah-o-zafar ki hay
Garmi hay tap hay dard hay kulfat safar ki hay
Na shukria too daikh azeemat kidhar ki hay
Kis khaak-e-paak ki to bani khaak-e-pa shifa
Tujh ko qasam janaab-e-maseeha kay sar ki hay
Aab-e-hayaat-e-rooh hay zurqa ki boond boond
Akseer azam mas-e-dil khaak dur ki hay
Ham ko to apnay saaye man araam hi say laye
Heelay bahaanay waloon ko ye raah dar ki hay
Lutatay hain maaray jaatay hain yoon hi suna kiye
Har baar di wo aman ke gairat hazar ki hay
Wo daikho jagmagaati hay shab aur qamar abhi
Paharoon nahi ke bast-o-chaharam safar ki hay
Maah-e-Madeenah apni tajalli ata karay!
Ye dhalti chandni to pahar do pahar ki hay
مَنْ زَارَ تُرْبَتِیْ وَجَبَتْ لَہ شَفَاعَتِی ْ
Un par Durood nin say naveed in bushar ki hay
Us kay tufail haj bhi khuda nay kara diye
Asl-e-muraad haaziri is paak dar ki hay
Kaabah ka naam tak na lia Tayyibah hi kaha
Poocha tha ham say jis nay ke nahidhtu kidhar ki hay
Kaabah bhi hay unehain ki tajalli ka ayek zill-e-
Roshan unehain kay akas say patli hajar ki hay
Hotay kahaan khaleel-o-bina kaabah-o-mina
Lolak waalay saahibi sab teray ghar ki hay
Mola Ali ne waari teri neend par Nimaaz
Aur wo bhi asar sab say aala khatar ki hay
Siddique balkeh gaar man jaan us pe day chukay
Aur hif’z-e-jaan to jaan furooz-e-garar ki hay
Han tu ne un ko jaan unhein phair di Nimaaz
Pardah to kar chukay thay jo karni bashar ki hay
Saabit huwa ke jumlah farayez-e-furoo’a hain
Asl-ul-usool bandage us taajwar ki hay
Shar khair shor soor sharar door naar Noor!
Bushra ke baargaah ye khairul bashar ki hay
Mujrim bulaye aaye hain jaaouk hay gawaah
Phir rad ho kab ye shaan kareemoon kay dar ki hay
Bad hain magar unhain kay han baagi nahi hain ham
Najdi na aaye us ko ye manzil khatar ki hay
Tuf najdiat na kufur na islaam sab pe haraf
Kaafir idhar ki hay na udhar ki idhar ki hay
Hakim hakeem daad-o-dawa dain ye kuch na dain
Mardood ye muraad kis aayat khabar ki hay
Shakl-e-bashar man Noor-e-Ilahi agar na ho!
Kia qadar us khameera-e-ma-o-madar ki hay
Noor-e-illah kia hay Muhabbat Habeeb ki
Jis dil man ye na ho wo jaga khook-o-khar ki hay
Zki’r-e-Khuda jo un say juda chaho najdio!
Wallah zikr-e-Haq nahi kunji saqar ki hay
Bay un kay waasitah kay Khuda kuch ata karay
Hasha galat galat ye hawas bay basar ki hay
Maqsood ye hain Adam-o-Nooh-o-Khaleel say
Tukhum-e-karam man saari karaamat samar ki hay
Un ki Nabuwwat un ki ubuwwat hay sab ko aam
Umm-ul Bashar uroos unhain kay pisar ki hay
Zaahir man meray phool haqeeqat man meray nakhal
Us gul ki yaad man ye sada bul bashar ki hay
Pehlay ho un ki yaad ke paaye jila Nimaaz
Ye kehti hay azaan jo pichlay pahar ki hay
Dunya mazaar hashar jahaan hain Gafoor hain
Har manzil apnay chaand ki manzil gafar ki hay
Un par Durood jin ko hajar tak karain salaam
Un par salaam jin ko tahiyyat shajar ki hay
Un par Durood jin ko kas-e-bay kasaan kahain
Un par salaam jin ko khabar bay khabar ki hay
Jinn-o-bashar salaam ko haazir hain Asslaam
Ye bargaah maalik-e-jin-o-bashar ki hay
Shams-o-qamar salaam ko haazir hain asslaam
Khoobi unehin ki jot say shams-o-qamar ki hay
Sab baha-o-bar salaam ko haazir hain asslaam
Tamleek unhein kay naam to har bahar-o-bar ki hay
Sang-o-shajar salaam ko haazir hain asslaan
Kalmay say tar zubaan darkhat-o-hajar ki hay
Ar’z-o-asar salaam ko haazir hain asslaam
Malja ye baargaah dua-o-asar ki hay
Shoreedah sar salaam ko haazir hain asslaam
Raahat unehain kay qadmoon man shoreedah sar ki hay
Khasta jigar salaam ko haazir hain asslaam
Marham yahen ki khaak tu khasta jigar ki hay
Sab khushuk-o-tar salaam ko haazir hain asslaam
Ye jalwah gaah maalik har khushuk-o-tar ki hay
Sab karo far salaam ko haazir hain asslaam
Topi yahin to khaak pe har karr-o-far ki hay
Ahl-e-nazar salaam ko haazir hain asslaam
Ye gird hi to surmah sab ahl-e-nazar ki hay
Aansoo baha ke ba gay kaalay gunah kay dhair
Haathi dobaou jheel yahaan chasham tar ki hay
Teri qaza khaleefa-e-ahkaam-e-ze-al-jalal
Teri Raza haleef qaza-o-qadar ki hay
Ye piyaari piyaari kiyaari teray khana baag ki
Sard us ki aab-o-taab say aatash-e-saqar ki hay
Jannat man aa kay naar man jata nahi koi
Shukur-e-Khuda Naweed najaat-o-zafar ki hay
Momin hoon mominoon pe Rauf Raheem ho
Sayel hoon sayeloon ki khushi la nahar ki hay
Daaman ka wasitah mujhay us dhoop say bacha
Mujh ko to shaaq jarhoon man is do pahar ki hay
Maan donoon bhai batay bhateejay azeez dost
Sab tujh ko sonpne milk hi sab teray ghar ki hay
Jin jin muraadoon kay liye ahbaab nay kaha
Paish khabeer kia hay mujhay haajat khabar ki hay
Fazal-e-Khuda say gaib-e-shahaadat huwa unehain
Us par shahaadat aayat-o-wahi-o-asar ki hay
Kehna na kehnay waalay thay jab say to itlaa’e
Mola ko qaul-o-qayel-o-har khushuk-o-tar ki hay
Un par kitaab utari بَیَا نًا لِّکلِّ شَیءٍ
Tafseel jis man ma abar-o-maa gabar ki hay
Aagay rahi ata wo baqadar talab to kia
Aadat yahaan umeed say bhi baishtar ki hay
Bay maangay dainay waalay ki nemat man garq han
Maangay say jo milay kisay faham us qadar ki hay
Ahbaab us say barh kay to shayad na payen arz
Na kar wo ar’z ar’z ye tarz-e-digar ki hay
Dandaan ka naat khuwaan hoon payaab hogi aab
Nadi galay galay meray aab-e-ghuhar ki hay
Dasht-e-haram man rahnay day sayyad agar tujhay
Mitti aziz bulbul-e-bay baal-o-par ki hay
Ya Rabb na Ahmad pareenah ho kay jaye
Ye bargaah teray Habeeb-e-abar ki hay
Taufeeq day ke aagay na paida ho khoye bad
Tabdeel kar jo khaslat-e-bad paishtar ki hay
Aa kuch suna day ishq kay boloon man aye Raza
Mushtaaq taba’e Lazzat-e-soz-e-jigar ki hay
sair Gulshan kon dekhe dast-e tayyiba chore kar soye jannat kon jaye dar tumhara chore kar sir gazasht gham kahoon kis se tre hotay hue kis ke dar par jaoon tera astana chore kar be liqaye yaar un ko chain aa jata agar baar baar atay nah yun Jibreel sidra chore kar kon kehta hai dil e be mudda hai khoob cheez mein to kori ko nah lon un ki tamanna chore kar mar hi jaoon mein agar is dar se jaoon do qadam kya bachay bemaar gham qurb masiihaa chore kar kis tamanna par jiyeen yarab asiiraan qafas aa chuki baad-e Saba baghِ madinah chore kar bakhshawana mujh se aassi ka rawa ho ga kisay kis ke daman mein chupun daman tumhara chore kar Khuld kaisa nafs sarkash jaoon ga tayyiba ko mein bad chalan hatt kar khara ho mujh se rasta chore kar aisay jalwey par karoon mein laakh hurron ko Nisar kya gharz kyun jaoon jannat ko madinah chore kar hashar mein aik aik ka mun taktey phirtay hain ado aafton mein phas gaye unn ka sahara chore kar mar ke jeetay hain jo unn ke dar pay jatay hain Hassan jee ke martay hain jo atay hain madinah chore kar |
sanaye Ahmad-e-Mursal man jo sukhun likhoon
Usi ko Nudrat-e-fik’r-o-Kamaal fan-e-likhoon
Wo lafz jis ka ho mafhoom shan-e-Khatam-e-Rusul
Man is ko chashm-e-Seemab ki kirn likhoon
Wo justujoo jo rahay fik’r-e-naat man har dam
Man us ko rafraf-e-Aflaak fik’r-o-fan likhoon
Wo Rooh man jo mahkta hay Raat din ik Naam
Usay Gulab likhoon ya ke shab dulhan likhoon
Unhi kay naam ko likhoon Hayat-e-no ka Piyaam
Hayaat-e-no kay jo mazmoon ka matan likhoon
Fiza man rang bikhar jayen jis Tasawwar say
Man is khiyal ko fitrat ka bankpan likhoon
Saba jo kakal-e-mushkeen ka lams paa kay chalay
Man us saba ko ram-e-Aa huway khatan likhoon
Wo gird-e-kocha-e-batha, rumooz ka jaama
Usay shaheed-e-Mahabbat ka man kafan likhoon
Hazar jaan-e-girami Nisar-e-Lazzat-e-Gam
Jo un ki Yaad ki dil man koi chubhan likhoon
Wo Noor jis ka ujalaa Muheet-e-kaun-o-makaan
Man kiyoon na us ko Muhammad ka perhan likhoon
Wo eik Naam jo tashbeeh ka nahi Muhtaj
Man us ki sharah man kia? Rabb-e-Zul Minan likhoon
Hay joye sheer agar Naat-e-Mustafa likhna
To phir Adeeb tujhay kiyoon na kohkun likhoon
Sar ta baqadam hay tan-e-sultaan-e-zaman phool
Lab phool dahan phool zaqan phool badan phool
Sadqay teray baag to kia laye hain ban phool
Is guncha-e-dil ko bhi to ayema ho ke ban phool
Tinka bhi hamaray to hilaye nahi hilta
Tum chaho to ho jaye abhi koh-e-mahan phool
Wallah jo mil jaye meray gul ka paseena
Mangay na kabhi itar na phir chahey dulhan phool
Dil basta-o-khoon gashta na khushboo na latafat
Kiyoon guncha kahoon hay meray Aaqa ka dahan phool
Shab yaad thi kin dantoon ki shabnam ke dam-e-subuh
Shokhan-e-bhari kay jurhwa han kiran phool
Dandaan-o-lab-o-zulf-o-rooh-e-shah kay fidaye
Hain darr-e-adan la’l yaman mushk-e-khatan phool
Boo ho kay nahan ho gay taab-e-Rukh-e-shah man
Lo ban gay hain ab to haseenoon ka dahan phool
Hoon baar-e-gunah say na khajal dosh-e-azeezan
Lillah meri na’ash kar aye jaan-e-chaman phool
Dil apna bhi shedaye hay is naakhin-e-paka
Itna bhi mah-e-no pen a aye charkh-e-kahan phool
Dil khol kay khoon ro lay gam-e-aariz shah man
Niklay to kahin hasrat-e-khoon na ba shudan phool
Kia gaza mala gard-e-Madeenah ka jo hay Aaj
Nikhray huay jo ban qiyamat ki phaban phool
Garmi ye qiyamat hay ke kaantay hain zuban par
Bulbul ko bhi aye saaqi suhba-o-laban phool
Hay kon ke girya karay ya fatiha ko aaye
Baikas kay uthaye teri rahmat kay bharan phool
Dil gam hay tujhay ghairay hain Khuda tujh ko wo chamkaye
Sooraj teray kharman ko banay teri kiran phool
Kia baat Raza is chamanistan-e-karam ki
Zehra hay kali jis man Hussain aur Hassan phool
Sarwarr kahoon ke maalik o mooli kahoon tujhe
Baag e khalil ka Gul zaiba kahoon tujhe
Allah ray tairay jism Munawar ki tabishein
ae jaan jaan mein jaan tajallii kahoon tujhe
tairay to Wasf aib tanahi se hain buri
heraan hon mere Shah mein kya kya kahoon tujhe
gulzaar Quds ka Gul rangin ada kahoon
darmaan dard bulbul Shaida kahoon tujhe
lekin Raza ne khatam sukhan is pay kar diya
khaaliq ka bandah Khalq ka aaqa kahoon tujhe
Saye man Tumharay hay Qismat ye hamari hay
Qurban-e-Dil wa janam kia shan Tumhari hay
Kia paish karooN tum ko kia cheez hamari hay
Naqsha Teera Dilkash hay Soorat Teri Piyari hay
Jis nay Tumhain daikha hay so jan say wari hay
Go lakh buray ham kehlatay tumhary han
Ik Nazar-e-Karam karna ye a’rz hamari hay
Ham chorh kay is dark o jayen to kahan jayen?
Ik Nam tumhara hay jo hontoon pe jari hay
Taji teray sajday say zahid ko jan kiyoon hay
Qudrat nay Jabeen saye Qismat man utari hay
Shab lahya-o-sharib hay rukh-e-roshan din
Gaisoo-o-shab qadar-o-baraat-e-momin
Majgaan ki safain chaar hain do abaroo hain
وَالْفَجْر kay pehloo man لَیَالٍ عَشرٍ
Allah ki sar ta baqadam shaan hain ye
In sa nahi insaan wo insaan hain ye
Quraan to imaan bataya hay unehain
Imaan ye kehta hay meri jaan hain ye
Shab-e-Gam kaat day meri, umeedoon ki sahar kar day
Meray gam ko khushi kar, meray ayeboon ko hunur kar day
Umeed-o-baim say guzroon fusoon-e-waham say nikloon
Mujhay apni huzoori day mera haal digar kar day
Wo meray haal say waqif hain un ko hay khabar meri
Bhala kesay kahoon koi unhain meri khabar kar day
Bhala jaan-o-dil laikar kahan jaye ga Tayyibah say
Unhain ya nazar kar ya Sadqa-e- خیر البشرkar
Agar to chahta hay dozakh-e-dunya say azadi
Madeenah ho tera ghar, ye Tamanna dil man ghar kar day
Teri dolat tera sarmaya-e-gam, teray aanso hain
Baha kar Naat man nadan un ko to ghar kar day
Ye meri zindagi bhi karwan, hay aye khuda! Us ka
Madeenah jis taraf hay us taraf roo-e-safar kar day
Jagah daiday Adeeb-e-khush nawa ko apnay qadmoon man
Rahi fard-e-amal us ko jidhar chahay udhar kar day
Shah-e-konain jalwa numa ho gaya Rang Aalam ka bailkul naya ho gaya
Muntakhab Aap ki zat-e-wila hoi Naam-e-pak Aap ka Wadhuha ho gaya
Aeysa aizaz kis ko Khuda nay dia jeysa baala tera martaba haoga
Ayesi nafiz tumhari Hukoomat hoi tum nay jis waqat jo kuch kaha ho gaya
Naaz kar aye Jameel apni qismat pe too Khak-e-Nalain Ahmad Raza ho gaya
50
Subuh Tayyibah man hoi batata hay bara nor ka
Sadqa lanay Noor ka Aaya hay Tara Noor ka
Baag-e-Tayyibah man suhana phool phoola Noor ka
Mast hoin bulbulain prhtey hoin Kalima Noor ka
Barhween kay chand ka mujra hay Sajda Noor ka
Barah burjoon say jhuka ik ik Sitara Noor ka
Teri hi mathay raha aye jan sehra Noor ka
Bakhat jaga Noor ka chamka Sitara Noor ka
Sur mageen Aankhain Hareem Haq kay wo mashkeen Gazaal
Hay fiza-e-la makan tak jin kaar-e-Minna Noor ka
Taab-e-Husun karam say khul jayen gay dil kay kanwal
To baharin layengey garmi ka jhalka Noor ka
Chand jhuk jata jidhar ungli uthatay mahd man
Kia hi chalta tha isharoon par khilona Noor ka
“Kaf” gaisoo “haa” dahan “yaa” abroo aur Aankhain “a’eyan, Saad”
Kaf haa yaa aeen Saad un ka hay chehra Noor ka
Aye Raza ye Ahmad-e-Noori ka faiz Noor hay
Ho gaye meri Gazal barh kar Qaseedah Noor ka
Shah-e-Madeenah Sarwar-e-Aalam SallALLAH Alaih waslam
Tum pe nichawar tum pe Fida ham SallALLAH Alaih waslam
Noor-e-shab-e-Meraj tumhi ho Nabion kay sartaj tumhi ho
Husun kay paikar Noor-e-Mujassam SallALLAH Alaih waslam
Di hay shajar nay Aakay gawahi , kankarion nay Kalima parha Sarwar-e-Deen Pegumbar-e-Azam SallALLAH Alaih waslam
Majboor hay kis kay wali , Khali gaya koi na sawali
Aap kay dar par door hoi Gam SallALLAH Alaih waslam
Gul man un ki Rang-o-boo hay charcha un ka char soo hay
Jagmag un kay Noor say aalam SallALLAH Alaih waslam
Mushk-o-gulab paseena un ka Khitta-e-pak Madeena un ka
Roza un ka ar’sh say Azam SallALLAH Alaih waslam
Tashna laboon ko Sagar-e-kausar bakhashain gay wo yom-e-Mahshar
Matnay walay ummat kay gam SallALLAH Alaih waslam
Shah-e-Madeenah, shah-e-Madeenah, shah-e-Madeenah
Taiybah ke waali sare Nabi Tere Dar ke suwali
Shah-e-Madeenah, shah-e-Madeenah, shah-e- Madeenah
Terey liye hi dunya bani hey, Neele Falak ki chadr tani hey
Tu gar na hota dunya thi khali, sare Nabi Tere Dar ke suwaali
Jalwe heyn sare Terey hi Dam se, Aabad A’alam Terey Karam se
Baqi har ik shay naq’sh-e-khayali, sare Nabi tere dar ke suwali
Tune Jahan ki mehfil sajai, taarikiyon meyn sham’a jalai
Kandhe pe Tere Kamli hey Kaali, sare Nabi tere Dar ke suwali
Maz’hab hey tera sab ki bhalai, mas’lak hey tera mushkil kushaye
dekh ke apni ummat ki khasta haali, sare Nabi tere Dar ke suwali
Hey Noor Tera Shams-o-Qamar meyn, Tere Laboon ki laali sahar meyn
Phoolon ne Teri khushboo Pa li, Sare Nabi Tere Dar ke suwali
Ka’bay ka ka’ba Tera hi Ghar hey, Tere karam pe sab ki nazar hey
Dikh’la de hum ko darbar-e-aali, Sare Nabi Tere Dar ke suwali
Heyn Aap dukhyon ke Aaqa! sahare, Taj-e-shafa’at hey sar pe Tumhare
Ham ko Ata ho Rozay ki jaali, Sare Nabi Tere Dar ke suwali
Taiybah ke wali sare Nabi Tere Dar ke suwali
Shah-e-Madeenah, shah-e-Madeenah, shah-e-Madeenah
Shan-e-Risalat Mola jane biay khay taqat nahi
Malik jo Mahboob Muhammad konehi kinhin khan door
Nabi sayen Noor Aa Nabi Sayen Noor Aa
Hazrat Yousuf laye hui hikrhi zilaikhan Deewani
Par Mahboob Muhammad khatir Har dil Aa Mastani
Husun Habeeb Kareem khi Mola dhaye chadhio bharpoor
Jadhahan parhaon tha Durood Sajan tay Pan Durood Budhan tha
Roza-e-At’har Pak manjhan jald jawab ba dhian tha
Cho na chawan man suhno Muhammad ﷺZindah Aahay Zaroor
Tunhunjo munhunjo Hit hut Haami Hassan Hussain jo Nano
Malik Ata kayo Aa jinhin khi gaibe el’m jo khazano
Jinhin jay samhon Aa har hik shay waijho aa ya door
Suhnay Muhammad Paak jay Aaye Thee wayoon sabh Sanayoon
Toon man un Mahboob joon waihi Aj tha Naatoon gayoon
Nisar kubar Aa hinan jay Sadqay mulkan man mashahoor
Shor-e-mah-e-nosan kar tujh tak man dawan aaya
Saqi man teray sadqay may day ramzan aaya
Is gul kay siwa har phool bagosh giran Aaya
Daikhay hi gi aye bulbul jab waqat-e-fagan aaya
Jab baam-e-tajalli par wo nayyar-e-jaan Aaya
Sar tha jo gira jhuk kar dil tha jo tapan aaya
Jannat ko haram samjha aatay to yahan Aaya
Ab tak kay har ik ka munh kehta hoon kahan aaya
Tayyibah kay siwa sab baag pa maal-e-fana hoon gay
Daikho gay chaman walo! Jab ah’d-e-khazan Aaya
Saraawar wo sang-e-dar aankh aur wo bazam-e-Noor
Zalim ko watan ka dhiyan Aaya to kahan Aaya
Kuch naat kay tabqay ka Aalam hi nirala hay
Sakta man parhi hay aqal chakar man gumaan Aaya
Jalti thi zameen kesi thi dhoop karhi kesi
Lo wo qad-e-bay saya ab saya kanan Aaya
Tayyibah say ham aatay hain kahiye to janan walo
Kia daikh kay jeeta hay jo wan say yahan aaya
Lay toq-e-alam say ab aazad ho aye qamari
Chithi liye bakhshash ki wo sarw rawan Aaya
Naamah say Raza kay ab mit jawo buray kaamo
Daikho meray pallah par wo achay miyan aaya
Badkaar Raza Khush ho yad kaam bhalay hoon gay
Wo achay miyan piyara achoon ka miyaan Aaya
Sona jangal raat andhairi chaaye badly kaali hay
Sonay waalo! Jagtay rahiyo choroon ki rakhwaali hay
Aankh say kaajal saaf churalain yaw o chor bala kay hain
Teri gharhi taaki hay aur tu nay neend nikaali hay
Ye jo tujh ko bulata hay ye thag hay maar hi rakhay ga
Haye musaafir dam man na aana mat kesi matwaali hay
Sona paas hay sona ban hay sona zahar hay uth piyaray
Tu kehta hay neend hay methi teri mat hi niraali hay
Aankhain malna jhanjhla parhna laakhoon jamaye angrhaye
Naam par uthnay kay larhta hay uthna bhi kuch gaali hay
Jugnoo chamkay pata kharh kay mujh tanha ka dil dharh kay
Dar samjhaye koi pon hay ya agia baitaali hay
Badal garjay bjley tarhpay dhak say kalaija ho jaye
Ban man ghataye ki bhayanak soorat kaali kaali hay
Paoun uthao aur thokar khaaye kuch sanbhla phir aondhay munh
Menh nay phislan kardi hay aur dhur tak khaye naali hay
Saathi saathi keh kay pukaaroon sathi ho tu jawaab aaye
Phir jhanjhla kar sardy patkoon chal ray mola waali hay
Phir phir kar har jaanib daikhoon koi aas na kahin
Haan ik tooti aas nay haray ji say rifaaqat paali hay
Tum to chand arab kay ho piyaaray tum to ajam kay sooraj ho
Daikho mujh bay kas par shab nay kesi aafat daali hay
Dunya ko to kia janay ye bi ski gaanth hay harrafah
Soorat daikho zaalim ki to kesi bhooli bhaali hay
Shahid dikhaye zahar pilaye qatil daayen shohar kash
Us muraad pe kia lalcha ya dunya daikhi bhaali hay
Who to nihaayat sasta soda baich rahay hain jannat ka
Ham muflis kia mol chukayen apna haath khaali hay
Mola teray af’w-o-karam hoon meray gawaah safaaye kay
Warnah Raza say chor pe teri digri to iqbaali hay
Soze dil chahiye, chashm-e num chahiye aur shoqِ talabb mooatbar chahiye
hon muyassar madeeney ki galian agar, aankh kaafi nahi hai nazar chahiye
un ki mehfil ke aadaab kuch aur hain, lab kushai ki jurrat munasib nahi
un ki sarkar mein iltija ke liye, jnbshِ lab nahi, chashm-e tar chahiye
apni ro daad gham mein sunadun kisay, mere dukh ko koi aur samjhay ga kya ?
jis ki khakِ qadam bhi hai khakِ Shifa , mere zakhamo ko woh charah gir chahiye
ronaqai zindagi ki bohat dekh len, ab mein aankhon ko apni karoon ga bhi kya
ab nah kuch deedni hai, nah kuch guftuni, mujh ko aaqa ki bas ik nazar chahiye
mein gdaye dar-e shahِ konain hon, sheesh mehloon ki mujh ko tamanna nahi
ho muyassar zamee pay ke zair-e zamee, mujh ko tayyiba mein ik apna ghar chahiye
un naye raastoon ki nai roshni, hum ko raas aayi hai aur nah raas aaye gi
hum ko khoyi hui roshni chahiye, hum ko ayen kher al-bashr chahiye
gosha gosha madeeney ka par noor hai, sara mahol jalwon se maamoor hai
shart yeh hai ke zarf-e nazar chahiye, dekhnay ko koi deedaa war chahiye
midhat shahِ kon o makan ke liye sirf lafz o bayan ka sahara nah lo
fnِ sheri hai Iqbal apni jagah, naat kehnay ko khon-e jigar chahiye
Subha Taiba mein hui bat’ta hai bara noor ka
Sadqa laynay noor ka aaya hai tara noor ka
Jo gadha dekho liye jata hai tora noor ka
Noor ki sarkar hai kiya is mein tora noor ka.
Mein gada tu badshah bhar day piyala noor ka
Noor din duna tera day daal sadqa noor ka.
Sham’a dil mishqaat tan sina zujaja noor ka
Teri surat kay liye aaya hai surah noor ka.
Teri naslay paak mein hai bacha bacha noor ka
Tu hai a’ainay noor tera sab gharana noor ka.
Noor o binte, noor zojay, noor o umme, noor o noor
Noore mutlaq ki kami zala hai lahma noor ka.
Nariyoon ka door tha dil jal raha tha noor ka
Tum ko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka.
Taj walay dekh ker tera imama noor ka
Sir jhukatay hain ilahi bol bala noor ka.
Chand jhuk jata jidhar ungli uthatay mehad mein
Kiya hee chalta tha isharoon per khiloona noor ka.
Aie Raza achay raza sachay Raza meethay Raza
Aie Raza murshad Raza piyaaray Raza meray Raza
Aie raza yeh ahmade noori ka faize noor hai
Ho gayi meri ghazal bhar ker qasida noor ka.
Sultan-e-Madeena say jisay piyar na ho ga
Mahshar man shafat ka wo Haqdar na ho ga
Mushkil man joy ad na karay apnay Nabi ko
Munjdhar man Doobay ga kabhi par na ho ga
Dunya bhi sanwar jayegi jannat bhi milay gi
Mehfil man tera bethna bay kar na hoga
Badlay han Huzoor Aap ny dunya kay Muqddar
Kia mujh pe karam sayyed-e-Abrar na hoga
Dekha hay bas ik bar Huzoor Aap ka jalwa
Kia ayesa karam phir kabhi sarkar na hoga
Hasnain kay Nana par jo tanqeed karay
Wo aur koi hoga mera yar na ho ga
Suntay hain ke mahshar man sirf un ki rasaaye hay
Gar un ki rasaye hay lo jab tu ban aaye hay
Machla hay ke Rahmat nay umeed bandhaye hay
Kia baat teri mujrim kia baat banaye hay
Sab nay saf-e-mahshar man lalkaar dia ham ko
Aye bay kasoon kay aaqa ab teri duhaye hay
Yoon to sab unhi ka hay par dil ki agar poocho
Ye tootay huway dil hi khaas un ki kamaaye hay
Zayer gay bhi kab kay din dhalnay pe hay piyaaray
Uth meray akailay chal kia dair lagaye hay
Bazar-e-amal man to soda na bana apna
Sarkaar-e-karam tujh man ayebi ki samaaye hay
Girtay han huwoon ko mujdah sajday man giray mola
Ro r okay shafaat ki tamheed uthaye hay
Aye dil ye sulagna kia jalna hay to jal bhi uth
Dam ghutnay laga zaalim kia dhooni ramaaye hay
Mujrim ko na sharmaou ahbaab kafan dhak do
Munh daikh kay kia hoga parday man bhalaye hay
Ab aap hi sanbhalain to kaam apnay sanbhal jayen
Ham ne to kamaaye sab khailoon man ganwaaye hay
Aye ishq teray sadqay jalnay say chutay sastay
Jo aag bujha day gi wo aag lagaye hay
Hirs-o-hawas-e-bad say dil to bhi sitam kar lay
Tu hi nahi bay gana dunya hi paraaye hay
Ham dil jalay hain kis kay hat fitnoon kay par kaalay
Kiyoon phoonk doon ik uf say kia aag lagaye hay
Tayyibah na sahi afzal makkah hi barha zahid
Ham ishq kay banday hain kiyoon baat barhaye hay
Matla’e man ye shak kia tha Wallah Raza Wallah
Sirf un ki rasaye hay sirf un ki rsaye hay
Suntay hain ke Mahshar mein sirf unn ki rasai hai
gir unn ki rasai hai lo jab to ban aayi hai
machla hai ke rehmat ne umeed bndhayi hai
kya baat tri mujrim kya baat banai hai
sab ne saf Mahshar mein lalkaar diya hum ko
ae be kson ke aaqa ab teri dahai hai
yun to sab unhein ka hai par dil ki agar pucho
yeh tootay hue dil hi khaas unn ki kamaai hai
Zair gaye bhi kab ke dِn dhalnay pay hai pyare
uth mere akailey chal kya der lagai hai
bazaar amal mein to soda nah bana apna
sarkar karam tujh mein aibi ki samai hai
girtay huwon ko Musda sjday mein giray Mooli
ro ro ke Shafaat ki tamheed uthai hai
ae dil yeh sulagna kya jalna hai to jal bhi aُth
Dam ghatney laga zalim kya dhoni ramaaie hai
mujrim ko nah sharmaou ahbaab kafan dhak do
mnh dekh ke kya ho ga parday mein bhalai hai
ab aap hi sanbhalain to kaam –apne sambhal jayen
hum ne to kamaai sab khelon mein gavayi hai
ae ishhq tre sadqy julne se chhatay sastay
jo aag bujha day gi woh aag lagai hai
hiras o hawas parthenina bad se dil to, bhi sitam kar le
to hain nahi be ganah duniya hi parai hai
hum dil jalay hain kis ke hatt ftnon ke par kaaly
kyun phoonk dun ik uff se kya aag lagai hai
tayyiba nah sahi afzal mkk_h hi bara Zahid
hum ishhq ke bande hain kyun baat barhai hai
mutala mein yeh shak kya tha wallah Raza wallah
sirf unn ki rasai hai sirf unn ki rasai hai
سرور کہوں کہ مالک و مولی کہوں تجھے
باغ خلیل کا گل زیبا کہوں تجھے
اللہ رے تیرے جسم منور کی تابشیں
اے جان جاں میں جان تجلی کہوں تجھے
تیرے تو وصف عیب تناہی سے ہیں بری
حیراں ہوں میرے شاہ میں کیا کیا کہوں تجھے
گلزار قدس کا گل رنگیں ادا کہوں
درمان درد بلبل شیدا کہوں تجھے
لیکن رضا نے ختم سخن اس پہ کر دیا
خالق کا بندہ خلق کا اآقا کہوں تجھے
Taab maraat-e-sahar gird bayaban-e-arab
Gaza-e-roo-e-qamar dood-e-charagan-e-arab
Allah Allah bahar-e-chamanistan-e-arab
Pak hain loth-e-khizaan say gul-o-raihan-e-arab
Jo shish abar say khoon-e-gul-e-firdos karay
Chairh day rag ko agar khar bayaban-e-arab
Tshnah nahar-e-jinan har arabi-o-ajami!
Lab har nahar jinan tashna-e-neesan-e-arab
Tauq-e-gam Aap ho aye par-e-qamri say giray
Agar aazad karay sarw-e-kharaman arab
Mahar meezan man chupa ho to hamal man chamkay
Dalay ik boond shab day man jo baran-e-arab
Ar’sh say mjdah-e-balqees-e-shafat laya
Tayer-e-sidrah nasheen murg-e-sulaiman-e-arab
Husun-e-yousuf pe kateen mis’r man angushat-e-zanan
Sar katatay hain teray Naam pe mardan-e-arab
Koocha koocha man mehkte hay yahan boo-e-qamees
Yousufistaan hay har ik gosha-e-kinaan-e-arab
Bazam-e-qudusi man hay yad-e-lab-e-jaan bakhash Huzoor
Aalam-e-Noor man hay chashma-e-haiwaan-e-arab
Paya-e-jibreel nay sarkaar say kia kia alqaab
Khusro khail-e-malak khadim sultaan-e-arab
Bulbul-o-nailpar-o-kabuk bano parwano!
Mah-o-khursheed pe hanstay hain charagaan-e-arab
Hoor say kia kahain Moosa say magar ar’z karain
Ke hay khud husun-e-azal taalib-e-jaanan-e-arab
Karam Naat kay Nazdeek to kuch door nahi
Ke Raza-e-ajami ho sag-e-Hassan-e-Arab
Phir utha wilwila-e-yaad-e-mugeelan-e-Arab
Phit khincha daman-e-dil soo-e-bayabaan-e-Arab
Bag-e-firdos ko jatay hain hazaraan-e-Arab
Haye Sahraye arab haye bayabaan-e-Arab
Methi baatian teri deen-e-ajam emaan-e-Arab
Namkeen Husun tera Jaan-e-Ajam shaan-e-Arab
Ab tu hay girya-e-khoon gohar-e-damaan-e-Arab
Jis man do la’al thay zehra kay wo thi kaan-e-Arab
Dil wohi dil hay jo aankhoon say ho hairaan-e-Arab
Aankhain wo aankhain hain jo dil sy hon qurbaan-e-Arab
Haye kis waqat lagi phaans alam ki dil man
Ke buhut door rahay khaar-e-mugeelan-e-arab
Fasal-e-gul laakh na ho wasal ki rakh aas hazaar
Phooltay phailtay hain bay fasal gulustaan-e-arab
Sadqay hone ko chalay aatay hain lakhoon gulzaar
Kuch ajab rang say phoola hay gulustaan-e-arab
Andleebi pe jhagrhtay hain katay martay hain
Gul-o-bulbul ko larhata hay gulustaan-e-arab
Sadqay Rahmat kay kahaan phool kahaan khaar ka kaam
Khud hay daaman kash-e-bulbul gul-e-khandaan-e-Arab
Shaadi hashar hay sadqay man chutain gay qaidi
Ar’sh par dhoom say hay daawat-e-mehmaan-e-Arab
Charchay hotay hain ye kamhlaye huway pholoon man
Kiyoon ye din daikhtay paatay jo bayabaan-e-Arab
Teray bay daam kay banday hain rayeesaan-e-ajam
Teray bay daam kay bandi hain hazaraan-e-Arab
Hasht khuld aayen wahan kasab-e-latafat ko Raza
Chaar din barsay jahan abar-e-baharaan-e-Arab
Taajdaar-e-haram a shahanshahe deen
Tum pe hardam karoroon durood-o-Salaam
Ho nigah-e-karam hum pe sultan-e-deen
Door rah kar na dam toot jae kahin
Kaash Taiybah mein hi meri maah-e-Mubeen
Dafn hone ko miljaye do gaz zameen
Phas na jaon Qayamat mein Moula kahin
Ae shafiye umam laaj rakhna meri
tajdaar hardam karooron durood-o-Salaam…
Teri yaadon se mamoor seena rahe
Samne mere har dam Madeenah rahe
Bas mein deewana ban jaon sultaan-e-deen Taajdaar-e-haram Aey shahanshah-e-deen
Tum pe hardam karooron durood-o-Salaam.
tairay hotay janam liya hota phir kabhi to tujhe mila hota kash mein sang e dar tera hota tairay qadmon ko choomta hota to chala karta meri palkon par kash mein tera rasta hota zarra hota mein teri raahon ka tairay talwoon ko chhoo liya hota tairay maskan ke gird shaam o sahar ban ke mangta mein phir raha hota to kabhi to meri khabar laita tairay koochy mein ghar liya hota to jo aata mere janazay par tairay hotay mein mar gaya hota chore kar jannaten palat aata to meri qabar par khara hota larta phirta tairay a’adaa se teri khatir mar gaya hota hota tahir tairay faqeero mein teri dehleez par khara hota |
tairay hotay janam liya hota
koi mujh sa, nah dُosra hota
saans laita ton, aur mein jee aُthta
kash mkk_h ki mein fiza hota
hijraton mein parao hota mein
aur too kُchh der ko ruka hota
tairay hujray ke aas paas kahin
mein koi kacha rasta hota
beech Taif boqtِ sang zani
tairay lab par saji dُaa hota
kisi Ghazwah mein zakhmi ho kar mein
tairay qadmon pay jagra hota
kash Ahad mein shareek ho sakta
aur baqi na pِhr bacha hota
teri kamli ka soot kyun nah sun-hwa
ke tairay shaanon pay jhoolta hota
chob hota mein teri chokhat ki
ya tairay haath ka asa hota
teri pakeeza zindagi ka mein
koi gumnaam waqea hota
lafz hota mein kisi aayat ka
jo tairay hont se ada hota
mein koi jangju arab hota
jo tairay samnay Jhuka hota
mein bhi hota tera ghulam koi
laakh kehta, nah mein Raha hota
sochta hon tab janam liya hota
jane phir kya se kya sun-hwa hota
chaand hota tairay zamane ka
phir tairay hukum se batta hota
pani hota udas chashmon ka
tairay qadmon mein beh gaya hota
poda hota mein jaltay sehraa mein
aur tairay haath se laga hota
teri sohbat mujhe mili hoti
mein bhi tab kitna khush numa hota
mujh par padtee jo teri nazar karam
aadmi kya, mein moujza hota
tukda hota, mein aik baadal ka
aur tairay sath ghoomta hota
aasmaa hota, Ehad nabwi ka
tujh ko herat se daikhta hota
khaak hota mein teri galiyo ki
aur tairay paon choomta hota
pair hota khajoor ka mein koi
jiss ka phal too ne kha liya hota
bchch_h hota ik ghareeb bewa ka
sir teri goad mein chupaa hota
rasta hota tairay Guzarnay ka
aur tera rasta daikhta hota
butt hi hota mein khanah kaaba ka
jo tairay haath se fanaa hota
mujh ko khaaliq banata ghaar, husn
aur mera naam bhi hira hota
Tayyibah ki hay yaad Aaye, ab ashak bahane do
Mahboon ne Aana hay, Rahoon ko sajane do
Mushakil hay agar mera, Tayyibah man abhi jana
Aye baad-e-Saba meri Aahoon ko to jane do
Man teri ziyarat kay Qabil to nahi mana
Yadoon ko shaha! Apni khawaboon man to Aanay do
Ashkoon ki larhi koi ab totane na paye
Aaqa kay liye mujh ko kuch haar bahane do
Jo chaho saza dena, Mahboob kay darbano!
Ik bar to jali ko seenay say lagane do
Mahboob kay Qabil to Alfaz kahan Sayem!
Ashkoon ki zaban say ab, ik naat sunane do
Teri Faizan-e-bay Had say kisay Inkar hay Warith
Ke Ham jesay Gareeboon ka too hi Gamkhuwar hay warith
Meri kashti hay Toofan-e-Hawadith kay Thapherhoon man
Ab ayesay waqat man teri madad darkar hay warith
Adab hay Mane’a Izhar warna Saaf keh daita
Ke Deedar-e-Muhammad Aap ka Deedar hay warith
Hareem Naaz say bahir kisi din Zahmat jalwah
Ke Muddat say zamana
Teri Khair ho way Pahridara Rozay di jali Chum lain day
Asan waikhan ien Rabb da nizara , Rozay di jali Chum lain day
Na o Toor , na A’rsh Mualla othay har waily Rabb da Tajalla
Aaiha MUHAMMAD da Pak duwara Rozay di Jali Chum lain day
Sady Mola ne Aeha din dikhaye Aa kay Dairay Garaiban nay laye
Aethay Rabb da Habeeb piyara , Rozay di jali cum lain day
Us haray hary Gumbad di chanwain , Asan daikhay Rasoolan day nanwain
Tayoon jhukda aethay jag sara Rozay di jali chum lain day
Jadoon Aawan gian yadan Asan ro ro karan gay faryadan
Jandi wari tay sanoon Khudara rozay di jali chum lain day
Jehray Noor da aethy chamkara Rozay di Jali Chum lain day
Asan mehman han Ghari wa pal day likhay liakh na Muslim Tal day
Khabar Aao nan ho way na dobara Rozay di jali chum lain day
Thandi Thandi hawa Madeene ki
Mehkey mehkey Fiza Madeene ki
Aarzoo hay Khuda Madeenae ki
Mujh ko Galian Dikha Madeene ki
Din hay kesa Munawwar wa Roshan
Raat Ronaq Fiza Madeene ki
Chaon to har jaga ki thandi par
Dhoop bhi Dilruba madeene ki
Hay paharoon par Noor ki chadar
Wadian Dil kusha Madeene ki
Kiyoon ho Mayoos Aye Mareezo tum
Lay lo Khak-e-Shifa madeene ki
Koi Nakam Loutata hi nahi
Raah lay Aye Gada Madeene ki
Meri Qismat main Katib Taqdeer
Likh day likh day Qaza Madeene ki
Ja kay Attar phir Madeene main
Rahmatain Loutana Madeene ki
Too hay Gauth ke har Gauth hay shaida Tera
Too hay Gaith ke har Gaith hay piyasa Tera
Sooraj agloon kay chamkatay thay chamak kar doobay
Ufuq-e-Noor pe hay Muhar hamaishah Tera
Murg boltay hain bol kay chup rahtay hain
Haan aseel ayek nawasanj rahay ga Tera
Jo wali qabal thay ya baad huay ya hongay
Sab adab rakhtay hain dil man meray Aqa tera
Baqasam kehtay hain shahaan Saraifain-o-Hareem
Ke huwa hay na wali ho koi hatma Tera
Tujh say aur dahar kay aqtaab say nisbat kesi
Qutub khud kaun hay Khadim tera chaila Tera
Saray aqtaab jahan kartay hain ka’bah ka Tawwaf
Ka’bah karta hay Tawwaf-e-dar-e-wala tera
Aur parwanay hain jo hotay hain Ka’bah pe Nisar
Sham’e ik Tu hay parwanah hay Ka’bah Tera
Shajar sarw sahi kis kay ugaye teray
Marfat phool sahi kis ka khilaya tera
Tu hay no shah baraati hay ye Sara gulzaar
Laye hay fasal saman goondh kay sahra Tera
Daliyan jhoomti hain Raq’s-e-khushi josh pe hay
Bulbulain jhoolti hian gaati hain sehra Tera
Geet kaliyoon ki chatak Gazlain Hazaroon ki chehk
Baag kay sazoon man bajta hay tarana Tera
Saff-e-har shajrah man hoti hay Salami Teri
Shakhain jhuk jhuk kay baja laati hain majra Tera
Kis gulustan ko nahi Fas’l-e-bahari say Niaz
Kaun say silsilah man faiz na Aaya Tera
Nahi kis chand ki manzil man Tera jalwa-e-Noor
Nahi kis Aayenah kay gahar man ujalaa Tera
Raaj kis shah’r man kartay nahi Teray Khudaam
Baaj kis nahar say laita nahi Darya Tera
Mazra’e chisht-o-Bukhara-o-Iraq-o-Ajmair
Kaun si kish’t pe barsa nahi jhala Taira
Aur Mahboob hain, haan par sabhi yaksaan to nahi
Yoon to Mahboob hay har cahahne wala Tera
Us ko so fard sarapa bafaragat orhain
Tang ho kar jo utarnay ko ho nema Tera
Gardanain jhuk gayen sar bich gay dil Lot gay
Kash’f-e-Saaq Aaj kahan ye to Qadam tha Tera
Taaj-e-farq-e-arfa kis kay qadam ko kahiye
Sar jisay baaj dain wo paon hay kis ka tera
Sukar kay josh man jo hain wo tujhay kia janin
Khizar kay hosh say pochay koi rutba tera
Aadmi apnay hi ahwaal pe karta hay Qiyaas
Nashay waloon nay bhula sukar nikala tera
Wo to chota hi kaha chahian ke hain zair-e-Hadheedh
Aur har auj say auncha hay sitarah tera
Dil aada ko Raza taiz Namak ki dhun hay
Ik Zara aur chirhkta rahay khamah Tera
Tooba man jo sab say ounchi naazik seedhi nikli shaakh
Maangoon naat-e-Nabi likhnay ko rooh-e-qudus say ayesi shaakh
Mola gulban Rahmat Zahra sibtain us ki kaliyan phool
Siddique-o-Farooq-o-usman,haider har ik us ki shaakh
Shaakh-e-qaamat shah man zuluf-o-chasham-o-rukhsaar-o-lab hain
Sunbul nargas gul pankhrhiyan qudrat ki kia phooli shaakh
Apnay in baagoon ka sadqah wo rahmat ka paani day
Jis say nakhl-e-dil man paida piyaray teri wila shaakh
Yaad-e-rukh man aahain kar kay ban man main roya Aaye bahaar
Jhoomen naseemain neesan barsa kaliyan chatken mahki shaak
Zahir-o-batin awwal-o-aakhir zaib farog-o-zeen-e-usool
Baag-e-Risaalat man hay to hi gul guncha jarh pati shaakh
Aal-e-ahmad khuz biyadi ya sayyad-e-hamzah kun madadi
Waqat-e-khazaan-e-umar-e-Raza ho barg-e-huda say na aari shaakh
Tou Sahm’e Risalat hay Aalam tera Parwana
Tou Mah-e-Nubuwat hay Aye Jalwa janana
Jo Saqi-e-Koasar kay chehray say Niqab uthay
Har dil bany maikhana har Aankh ho paimana
Dil Apna Chamak Uthay Eiman ki Talat say
Aankhain bhi Noorani Aye Jalwa Janana
Sar shar mujhay kar day ik jam-e-Laba Lab say
Ta Hashar Rahay saqi Aabad ye Maykhana
Har phool main ho teri har shamae main Dhao Tieri
Bul bul he Tera bulbul Parwana he Parwana
Petay han Teri dar ka khatay han teray dar ka
Pani hay tera pani , dana hay Tera dana
Aabad usay frama , weran hay dil Noori
Jalway teray bas jain Aabad ho wairana
Tufail-e-Sarwar-e-Aalam huwa Sara jahan paida
Zameen-o-Aasman paida makeen paida makan paida
Na hota gar Farog-e-Noor-e-paak Rahmat-e-Aalam
Na hoti Khilqat-e-Aadam bayes Habeeb-e-pak kay bayes
Janab-e-Haqq Taala nay kia kon-o-makan paida
Rasool ALLAH ki khatir kiye jin-o-malak Hazir
Banaya maah-o-anjum ko kiya hay bahr-o-Bar paida
Jamaal-e-Husun main raana Kamaal-e-Khuluk main yakta
Koi paida huwa ayesa na ho ga yahan paida
Unhi kay wastay Aadam unhi kay wastay Hawa
Unhi kay wastay kaafi kiye han ins-o-jan paida
Tumhara Naam Museebat main jab lia hoga
Hamara bigra huwa kaam ban gaya hoga
Khuda ka lutuf huwa hoga Dastgeer Zaroor
Jo girtay girtay tira Naam lay lia hoga
Dikaye jayegi Mahshar main Sahaan-e-Mahboobi
Ke Aap hi ki khushi Aap ka kaha ho ga
Khudaye Paak ki chahain gay aglay pichlay khushi
Khudaye paak Khushi in ki chahta ho ga
Kisi kay paon ki bairhi ye kat tay hon gay
Koi Aseer-e-Gam un ko pukarta hoga
Kisi taraf say sada Aayegi Huzoor Aao
Nahi to dam mian Gareebon ka faisla ho ga
Koi kahay ga duhai hay ya Rasool ALLAH
To koi tham k Daman machal gaya ho ga
Kisi ko lay kay chalian gay farishtay sooye Hajeem
Wo in ka rasta phir phir kay daikhta ho ga
Khuda kay wastay jald un say A’rz-e-haal Karo
Kisay Khabar hay ko dam bhar main haaye kia hoga
Pakar ke hath koi haal-e-Dil sunaye ga
To r okay qadmoon say koi Lipat gaya ho ga
Koi Qareeb tarazoo koi lab-e-Koasar
Koi Siraat par un ko pukarta hoga
Wo pak dil ke nahi jis ko apna andaisha
Hujoom-e-fikir wa Tarddud main ghar gaya hoga
Kahain gay aur Nabi Iz’haboo Ila Gairi
Meri Huzoor kay Lab par Ana laha ho ga
Gulam un ki inayat say chain mian Hongay
Ad’we Huzoor ka Aafat main Mubtala ho ga
Main un ky dar ka bhikari hon fazal maola say
Hasan faqir ka jannat main bistra hoga
tumhara naam museebat mein jab liya hoga hamara bigra sun-hwa kaam ban gaya hoga gunahgaar pay jab lutaf aap ka hoga kya baghair kya be kya kya hoga kkhuda ka lutaf sun-hwa hoga dast geer zaroor jo girtay girtay tra naam le liya hoga dikhayi jaye gi Mahshar mein shan e mahboobi ke aap hi ki khushi aap ka kaha hoga khuday-e pak ki chahain ge aglay pichlle khushi khuday-e pak khushi unn ki chahta hoga kisi ke paon ki beyri yeh kaatetay hunge koi Aseer gham un ko pukaarta hoga kisi taraf se sada aaye gi huzoor aao nahi to Dam mein ghareebon ka faisla hoga kisi ke palla pay yeh hon ge waqt wazan amal koi umeed se mun un ka tak raha hoga koi kahe ga dahai hai Ya rasool allah to koi thaam ke daman machal gaya hoga kisi ko le ke chalein ge farishtay soye jaheem woh unn ka rasta phir phir ke daikhta hoga |
Tumharay Zarray ky par to sitarhaye falak
Tumharay fiel ki naqis misl ziaye falak
Agar cha chalay sitaroon say parh gay laakhoon
Magar tumharay talab man thakay na paye falak
Sar-e-falak na kabhi taba aastan puhuncha
Ke ibtida-e-bulandi thi intiha-e-falak
Ye mit kay un ki rawish par huwa khud unki rawish
Ke naqsh pa hay zameen par na sot-e-paye falak
Tumhari yaad man guzri thi jagtay shab bhar
Chali naseem huway band deed haye falak
Na jaag uthain kahin ah’l-e-baqee’e kachi neend
Chala ye naram na nikli sada-e-paye falak
Ye un kay jalwah nay ken garmiyan shab-e-israr
Ke jab say charkh man hain naqrah-o-talaye falak
Meray gani nay jawahir say bhar dia daaman
Giya jo kasa mah lay kay shab gada-e-falak
Raha jo qan-e-yak naan-e-sokhta din bhar
Mili huzoor say kaan-e-gehra jaza-e-falak
Tajammul-e-shab-e-isra abhi simat na chukka
Ke jab say wesi hi kotal hain sazbz haye falak
Khitaab-e-haq bhi hay dar baab-e-khalaq min ajlik’
Agar idhar say dam-e-hamd hay sada-e-falak
Ye ah’l-e-bait ki chaki say chaal sekhi hay
Rawan hay bay madad-e-dast aasya-e-falak
Raza ye naat-e-Nabi nay bulandiyan bakhashien
Laqab zameen-e-falak ka huwa sama-e-falak
Tuu amiir-e-haram mai.n faqiir-e-‘ajam
tere gun aur ye lab mai.n talab hii talab
tuu ‘ataa hii ‘ataa mai.n KHataa hii KHataa
tuu kujaa man kujaa
tuu hai ehraam-e-anvaar baa.ndhe hu.e
mai.n daruudo.n kii dastaar baa.ndhe hu.e
kaa’ba-e-‘ishq tuu mai.n tere chaar-suu
tuu asar mai.n du’aa tuu kujaa man kujaa
meraa har saa.ns tuu KHuu.n nicho.De meraa
terii rahmat magar dil na to.De meraa
kaasa-e-zaat huu.n terii KHairaat huu.n
tuu saKHii mai.n gadaa tuu kujaa man kujaa
tuu haqiiqat hai mai.n sirf ehsaas huu.n
tuu samandar hai mai.n bhaTkii hu.ii pyaas huu.n
meraa ghar KHaak par aur tirii rahguzar
sidrat-ul-muntahaa tuu kujaa man kujaa
Dagmagaa.uu.n jo haalaat ke saamne
aa.e teraa tasavvur mujhe thaamne
merii KHush-qismatii mai.n teraa ummatii
tuu jazaa mai.n razaa tuu kujaa man kujaa
duuriyaa.n saamne se jo ha.Tne lagii.n
jaaliyo.n se nigaahe.n lipaTne lagii.n
aa.nso.o.n kii zabaa.n merii hai tarjumaa.n
dil se nikle sadaa tuu kujaa man kujaa
un ka dar choomnay ka sila mil gaya sir uthaya to mujh ko kkhuda mil gaya aasioun ko bara rutba mil gaya hashar mein daman mustafa mil gaya un khajoron ke jehar mit mein kya mil gaya baagh Khuld bareen ka pata mil gaya khud thaperon ne aakar sahara diya kamli walay sa jab na kkhuda mil gaya jis ko tayyiba ki thandi sun-hwa mil gayi bas usay zindagi ka maza mil gaya uthte hi parda maim mairaaj mein noor hi noor ka silsila mil gaya kuch nah pucho ke mein kaisay be kal sun-hwa mujh ko kamli mein raaz kkhuda mil gaya |
Un kay jo Gulam ho gaye
Waqat kay Imam ho gaye
Jab bulaya Aaqa ne
Khud hi Intizaam Ho gaye
Anbiya kharay han Saff ba Saff
Mustafa Imam Ho gaye
Chasham-e-beena ho to daikh lo
Un kay jalway aam ho gaye
Mustafa ki shaan Daikh kar
Badshah gulam ho gaye
Naam laiwa Un kay jo huway
Un kay onchay naam ho gaye
Wasta dia Aap ka
Meray Saaray kaam ho gaye
Un ki mehak ne dil ke ghunche khula diye hain
jis raah chal diye hain koochy basa diye hain
jab aagai hain josh rehmat pay un ki ankhen
jaltay bujha diye hain rotay hansa diye hain
un ke Nisar koi kaisay hi ranj mein ho
jab yaad aa gaye hain sab gham bhala diye hain
mere kareem se gir qatra kisi ne manga
darya baha diye hain darby baha diye hain
asra mein guzray jis dam bairay mein qdsyon ke
honay lagi salami parcham jhuka diye hain
malik sukhan ki Shahi tujh ko Raza muslim
jis simt aa gaye ho sakay bitha diye hain
Utha do pardah dikha do chehrah ke Noor baari hijaab man hay
Zamana tareek ho raha hay ke mihar kab say niqaab man hay
Nahi wo methi nigaah wala Khuda ki Rahamat hay jalwah farma
Gazab say un kay Khuda bachaye jalaal baari itaab man hay
Jali jali boo say us ki paida hay sozash-e-ishq-e-chasham wala
Kabaab-e-aahoo man bhai na paya mazah jo dil kay kabaab man hay
Unhi ki boo maya-e-saman hay unhi ka jalwah chaman chaman hay
Unhi say gulshan mahak rahy hain unhain ki rangat gulaab man hay
Teri jalwa man hay maah-e-Tayyibah hilaal har marg-o-zindagi ka!
Hayaat jaan ka rikaab man hay mamaat a’ada ka daab man hay
Sayah libasaan-e-daar dunya-o-sabz poshaan-e-arsh aala
Har ik hay un kay karam ka piyas ye faiz un ki janaab man hay
Wo gul hain lab haye nazuk unkay hazaaroon jharhtay hain phool jin say
Gulaab gulshan man daikhay bulbul ye daikh gulshan gulaab man hay
Jali hay soz-e-jigar say jaan tak hay taalib-e-jalwa-e-mubark
Dikha do wo lab ke aab haiwaan ka lutuf jin kay khitaab man hay
Kharhay hain munkar nakeer sar par na koi haami na koi yaaro!
Bata do aakar meray peyambar ke sakht mushkil jawaab man hay
Khuda-e-qahhar hay gazab par khulay hain badkaariyoon kay daftar
Bacha lo aa kar shafee’e Mahshar tumhaara bandah azaab man hay
Kareem ayesa mila ke jis kay khulay hain haath aur bharay khazaanay
Bataaou aye mufliso! Ke phir kiyoon tumhaara dil iztiraab man hay
Gunah ki tareekiyaan ye chaayen umand kay kaali ghatayen aayen
Khuda kay khursheed mihar farma ke zarrah bas iztiraab man hay
Kareem apnay karam ka sadqa layeem bay qadar ko na Sharma
Tu aur Raza say hisaab laina Raza bhi koi hisaab man hay
No Content Available
Wah kya jodo karam hai sheh batha tera
nahi santa hi nahi mangnay wala tera
farsh walay teri Shaukat ka alo kya jane
khusrawa arsh pay urta hai pharera tera
aasmaa khawan zamee khawan zamana maheman
sahib khanah laqab kis ka tera tera
mein to maalik hi kahoon ga ke maalik ke habib
yani mehboob Muhib mein nahi mera tera
tairay tukron se pallay ghair ki thokar pay nah daal
jharkiyan khayien kahan chore ke sadqa tera
tairay qadmon mein jo hain ghair ka mun kya dekhen
kon nazron pay chiray dekh ke talwa tera
chor haakim se chhupa karte hain ya is ke khilaaf
tairay daman mein chupay chor anokha tera
teri sarkar mein lata hai Raza is ko Shafi
jo mera Ghaus hai aur laadla beta tera
wah kya jood o karam hai shahe batha tera
koi dunyae ataa mein nahi hamta tera
ho jo Tatim ko muyassar yeh nazara tera
keh utthay dekh ke bakhshish mein yeh rutba tera
wah kya jood o karam hai sheh batha tera
nahi santa hi nahi mangnay wala tera
kuch bashar honay ke naatey tujhe khud sa jaanen
aur kuch mehez pyami hi kkhuda ka jaanen
inn ki auqaat hi kya hai ke yeh itna jaanen
farsh walay tri Azmat ka alo kya jaanen
khusrawa arsh pay urta hai pharera tera
jo tasawwur mein tra paiker zaiba dekhen
roye washams takein mutala Seema dekhen
kyun bhala ab woh kisi aur ka chehra dekhen
tairay qadmon mein jo hain ghair ka mun kya dekhen
kon nazron pay charrhey dekh ke talwa tera
mujh se nacheez pay hai teri inayat kitni
to ne har gaam pay ki meri himayat kitni
kya batau tri rehmat mein hai wusat kitni
aik mein kya marey Esiyan ki haqeeqat kitni
mujh se so laakh ko kaafi hai ishara tera
kayi pshton se ghulami ka yeh rishta hai bahaal
yahin tafli o jawani ke betaye mah o saal
ab burhapay mein khudaaraa hamein yun dar se nah taall
tairay tukron pay pallay ghair ki thokar pay nah daal
jharkiyan khayen kahan chore ke sadqa tera
gham e dauraa se ghbrayie, kis se kahiye
apni uljan kisay batlaaiyyeh, kis se kahiye
cheer kar dil kisay dikhlayei, kis se kahiye
kis ka mun takiye, kahan jaiye, kis se kahiye
tairay hi qadmon pay mit jaye yeh paala tera
nazr-e ashaaq nabi hai yeh mra harf-e ghareeb
minbar waaz par lartay rahen aapas mein khateeb
yeh aqeedah rahay Allah kere mujh ko naseeb
mein to maalik hi kahoon ga ke ho maalik ke habib
yani mehboob o Muhib mein nahi mera tera
khogar qurbat o deedar pay kaisi guzray
kya khabar is ke dil e zaar pay kaisi guzray
hijar mein is tre bemaar pay kaisi guzray
daur kya jaaniye badkaar pay kaisi guzray
tairay hi dar pay marey bacchus o tanha tera
tujh se har chand woh hain qader o fazail mein Rafi
kar naseer aaj magar fikr-e Raza ki tosee
paas hai is ke Shafaat ka waseela bhi vqia
teri sarkar mein lata hai Raza is ko Shafi
jo mra Ghaus hai aur laadla beta tera
naematain baantta jis simt woh zeeshan gaya
yeh woh sach hai ke jisay aik jahan maan gaya
dar pay aaya jo gadda, ban ke woh Sultan gaya
is ke andaz Nawazish pay mein qurbaan gaya
naematain bnta jis simt woh Zee shaan gaya
sath hi munshi rehmat ka qalamdaan gaya
tujh se jo phair ke mun, janib qran gaya
surkhuru ho ke nah duniya se woh insaan gaya
kitney gustaakh banay, kitno ka imaan gaya
le khabar jald ke ouron ki taraf dheyaan gaya
marey mooli, marey aaqa, tre qurbaan gaya
mehv nzarah sar-e gunbad Khizry hi rahi
daur se sajda guzaar dar-e wala hi rahi
rubaroo pa ke bhi mhromِ tamasha hi rahi
aah! woh aankh ke Nakaam tamanna hi rahi
haae woh dil jo tre dar se par armaan gaya
teri chahat ka amal zeist ka manshoor raha
teri dehleez ka phera, mera dastoor raha
yeh allag baat ke to aankh se Mastoor raha
dil hai woh dil jo tri yaad se maamoor raha
sir woh sir hai jo tre qadmon pay qurbaan gaya
dosti se koi matlab, nah mujhe bair se kaam
un ke sadqy mein kisi se nah para kher se kaam
un ka Shaida hon, mujhe kya haram o der se kaam
inhen mana, inhen jana, nah rakha ghair se kaam
lillah alhmd mein duniya se musalman gaya
ahtramِ nabwi daakhil aadat nah sahi
shirِ madar mein asliyon ki Najabat nah sahi
ghar mein aadaab risalat ki riwayat nah sahi
aur tum par marey aaqa ki inayat nah sahi
najdiyo kalma parhanay ka bhi ahsaan gaya
baam maqsad par tamannaon ke zeenay puhanche
lbِ saahil pay naseer un ke safine puhanche
jin ko khidmat mein bulaya tha nabi ne, puhanche
jaan o dil, hosh o khiirad, sab to madeeney puhanche
tum nahi chaltay Raza sara to samaan gaya
Wasaf-e-rukh un ka kia kartay hain sharah walshams wud dhuha kartay hain
Un ki ham madah-o-sana kartay hian jin ko mahmood kaha kartay hain
Maah-e-shaq gashtah ki soorat daikho kaanp kar mahar ki rajat daikho
Mustafa piyaray ki qudrat diakho kesay aijaz huwa kartay hain
Too hay khursheed risaalat piyaray chup gay teri zia man taaray
Anbiya aur hain sab mah paaray tujh say hi Noor lia kartay hain
Aye bila baikharde kuffar rakhtay hain ayesi kay haq man inkaar
Ke gawaahi ho gar us ko darkaar bay zaban bol utha kartay hain
Apnay mola ki hay bas shaan Azeem janwar bhi karain jin ki taazeem
Sang kartay hain adab say tasleem peerh sajday man girakartay hain
Rifat zik’r hay tera hissah donoon aalam man hay tera charcha
Murg-e-firdos pas az Hamd-e-khuda teri hi madah-o-sana kartay hain
Ungliyan payen wo piyari piyari jin say darya-e-karam hain jaari
Josh par aati hay jab gam khawaari tashnay sairaab huwa kartay hain
Haan yehin karti hain chirhiyan faryaad haan yahen chahtey hay hirni daad
Isi dar par shutraan-e-nashaad gala-e-ranj-o-ana kartay hain
Aasteen-e-rahman-e-aalam ultay kamar-e-paak pe daaman bandhay
Girnay waloon ko cha dozakh say saaf alag khainch lia kartay hain
Jab saba aati hay Tayyibah say idhar khilkhila parhti hain kaliyan yaksar
Phool jaama say nikal kar bahir rukh-e-rangeen ki sana kartay hain
Tu hay wo baadshah kon-o-makaan ke malak haft falak kay har aan
Teray mola say shah-e-arsh ayewaan teri dolat ki dua kartay hain
Jis kay jalway say uhad hay tabaan maadan-e-Noor hay us ka daaman
Ham bhi us chaand pe ho kar qurban dil-e-sangeen ki jila kartay hain
Kiyoon na zaiba ho tujhay ta jori teray hi dam ki hay sab jalwah giri
Malak-o-jinn-o-bashar hoor-o-pari jaan sab tujh pe fida kartay hain
Toot parhti han balayen jin par jin ko milta nahi koi yaro
Har taraf say wo pur armaan phir kar un kay daaman man chupa kartay hain
Lab par aa jata hay jab Naam janab mun man ghul jata hay shahad-e-Nayaab
Wajad man ho kay ham aye jaan baitaab apnay lab choom lia kartay hain
Lab pe kis mun say gam ulfat layen kia bala dil hay alam jis ka sunayen
Ham to un kay kaf-e-pa par mit jayen un kay dar par jo mita kartay hain
Apnay dil ka hay unhain say aaram sonpnay han apnay unehain ko sab kaam
Lo lagi hay ke ab us dark ay Gulaam chara-e-dard-e-Raza kartay hain
Watan mera hay mujhay mat bay watan kehna
Mujhay Aawaz jab daina , Gulam-e-panjtan kehna
Duain panjtan kay naam say khali nahin jaaten
Nabi Khair-ul-Nisa , shabeer, Hayder aur Hassan khena
Piyam Aaqa ko day daina Saba! Saray Gulamoon ka
Buhut Tarhpa rahi hay ab madeenay ki lagan kehna
Tamana hay fida ho jaon Makkay aur Madeenay par
Bandhay iharam jo meray, usay mera kafan kehna
Fiza! Sooraj ko samjhana yehi to shahr-e-Aaqa hay
Madeenay man adab kay saath utray hra kiran kehna
Kamala-e-Aalfaaz jo Aaqa ki Naatoon man sajaye han
Haseen han us qadar saaray, unhain lal yaman kehna
Wo kamal-e-husun-e-Huzoor hay ke gumaan-e-nuqs-e-jahan nahi
Yehi phool khar say door hay yehi shama’e hay ke dhuwan nahi
Do jahan ki behtiryan nahi ke amani-e-dil-o-jaan nahi
Kaho kia hay wo jo yahan nahi magar ik nahi ke wo haan nahi
Man nisar teray kalaam par mili yoon to kis ko zaban nahi
Wo sukhun hay jis man sukhun na ho wo bayan hay jis ka bayaan nahi
Ba Khuda Khuda ka ka yehi hay dar nahi aur koi mafarr maqarr
Jo wahan say ho yaheen aa kay ho jo yahan nahi to wahan nahi
Karay Mustafa ki ihanatain khulay bandoon is pe ye juraatain
Ke ye man kia nahi hoon Muhammadi! Aray haan nahi aray haan nahi
Teray aagay yoon hain dabay luchay fusha arab kay barhay barhay
Koi jaanay munh man zuban nahi nahi balke jisam man jaan nahi
Wo sharaf ke qata’e hain nisbatain wo karam ke sab say qareeb hain
Koi kehdo yaas-o-umeed say wo kahain nahi wo kahan nahi
Ye nahi ke khuld na ho niko wo nikoi ki bhi hay aabroo
Magar aye Madeenah ki aarzoo jisay chahay to wo saman nahi
Hay unehain kay Noor say eyaan unehi kay jalwah man sab nihaan
Banay subuh tabash mahar say rahay paish mahria jaan nahi
Wo Noor-e-Haq wohi Zill-e-Rabb hay unehi say sab hay unehi ka sab
Nahi un ki milk man aasman ke zameen nahi ke zaman nahi
Wohi lamakaan kay makeen huway sar-e-ar’sh takhat nasheen huway
Wo Nabi hay jis kay hain ye makaan wo Khuda hay jis ka makaan nahi
Sar-e-ar’sh par hay teri guzar dil-e-far’sh par hay teri nazar
Malakoot-o-mulak man koi shay nahi wo jo tujh pe eyaan nahi
Karoon teray Naam pe jaan fida na bas ayek jaan do jahan fida
Do jahan say bhi nahi ge bhara karoon kia karoorhoon jahan nahi
Tera qad to na dar-e-dahar hay koi misl ho to misaal day
Nahi gul kay podoon man Daliyan ke chaman man sarw-e-chamaan Nahi
Nahi jis ke rang ka doosra na to ho koi na kabhi huwa
Kaho us ko gul kahay kia bani ke guloon ka dhair kahan nahi
Karoon madah ahle-e-duwal Raza parhay is bala man meri bala
Man gada hoon apnay kareem ka mera deen paarah-e-naan nahi
Wo matla’e paish karta hoon man tauseef-e-Muhammad man
Jo nazil ho raha hay qal’b par’ anwaar ki zad man
Bayan kesay ho kitna husun hay har khaal man khad man
Jamaal-e-haq taala jab huwa mozoon usi qad man
Na ho kiyoon Hamd par kursi nasheen ik meem shaha ban kar
Ke ayesa dilruba koi nahi tha shahar-e-abjad man
Sana-e-Mustafa man yoon mujhay mahsoos hota hay
Kharha hoon khushbuwon aur rang kay baraan-e-baihad man
Kushad-e-lab khudawanda yehi do laf’z hoon meray
Ik unkay lutuf bay had par ik unkay husun-e-bay had man
Qaza aye diyar-e-Mustafa man madah khawanoon ki kafan man laash ho, aur laash ho darbar-e-Ahmad man
Janazay man hoon Qudsi, paish-e-Qudsi Mustafa Khud hoon
Qaseedah parh rahi ho laash mari shaha ki Aamad man
Parhian صَل عَلٰی اِرْحَم لَنَا اِرْحَم لَنَا saaray
Utarain jab Adeeb-e-khush bayan ko log marqad man
Wo soo-e-lalah zaar phirtay hain teray din aye bahar phirtay hain
Jo teray dar say yaar phirtay hain dar badar yoon hi khuwaar phirtay hain
Aah kal ayesh to kiye ham ne aaj wo bay qaraar phirtay hain
Har charaag-e-mazaar par qudsi kesay parwana war phirtay hian
Is gali ka gada hoon jis man mangtay taajdar phirtay hain
Jaan hain jaan kia nazar aaye kiyoon adaw gard-e-gaar phirtay hain
Phool kia daikho meri aankhoon man dasht-e-tayyibah kay khaar phirtay hain
Lakhoon qudusi hain kaam khidmat par laakhoon gard-e-mazaar phirtay hain
Wardiyan boltay hain har karay pahrah daitay sawaar phirtay hain
Rakhiye jesay han khana-e-zaad han ham mol kay ayeb daar phirtay hain
Haye gafil wo kia jagah hay jahan paanch jaatay hain chaar phirtay hain
Bayen rastay na ja musafir sun maal hay raah maar phirtay hain
Jag sansaan ban hay raat aaye gurg bahar-e-shikaar phirtay hain
Naf’s ye koi chaal hay zaalim jesay khaasay bijaar phirtay hain
Koi kiyoon pochay teri baat Raza
Tujh say kitnay hazaar phirtay hain
Woh sarwar e kishwar e risalat jo arsh par jalva gar hue thay
naye nirale Tarb ke samaN arab ke mehmaan ke liye thay
wahan fallak par yahan zamee mein rachi thi shadi machi thi dhomein
udhar se Anwaar hanstay atay idher se nfahaat uُth rahay thay
utaar ke unn ke rukh ka sadqa yeh noor ka Butt rhatha baara
ke chaand Sooraj machal machal kar jabeen ki khairaat mangte thay
wohi to ab tak chhalak hara hai wohi to joban tapak raha hai
nahanay mein jo gira tha pani katorey taron ne bhar liye thay
bacha jo tallu vn ka un ke dhowan bana woh jannat ka rang o roghan
jinhon ne dolha ki payi utran woh phool gulzaar noor ke thay
uthay jo qsrِ danni ke parday koi khabar day to kya khabar day
wahan to ja hi nahi doi ki nah ke ke woh bhi nah thay arrey thay
muheet o markaz mein farq mushkil rahay nah Fasil khutoot wasil
kamanain herat mein sir jukaye ajeeb chakkar mein dairay thay
hijaab utney mein lakhoon parday har aik parday mein lakhoon jalwey
ajab ghari thi ke wasal o furqat janam ke bichhre gilaay miley thay
wohi hai awwal wohi hai aakhir wohi hai batin wohi hai zahir
usi ke jalwey usi se milnay usi se is ki taraf gaye thay
kamaan imkaan ke jhutay nuqton tum aavl aakhir ke phair mein ho
muheet ki chaal se to pucho kidhar se aaye kidhar gaye thay
Nabi rehmat Shafi aُmt raza pay lillah ho anayt
ussay bhi un khilaton se hissa jo khaas rehmat ke wahn battay thay
sanaye sarkar hai wazifa qubool sarkar hai tamanna
nah shairi ki hawas nah parwa raddi thi kya kaisay qafiye thay
No Content Available
Ya Rasool ALLAH Marhaba
Ya Habeeb ALLAH Marhaba
Eik Nazar Aasman pe Dal Marhaba
Chamka Mah-e- Noor Ka Hilaal Marhaba
Jahanday lagao galian Sajao
Kar lo charagan jagmagao
Razi hoga Rabb-e-Zul jalal Marhaba
Mehfil sajao naatain Sunao
Aaqa ki dhoomain Machao Roz-o-Shab yehi ho Apna Haal Marhaba
Aashiq kay Dil jagmaganay Lagay hain
Daikho zara Muskarany lagay han
Shahkaar-e-Rabb Zul jalal Marhaba
Sadqa Wiladat ka jalwa dikha do
Dil ki lagi ab to Aaqa Bujha do
Dikha do ab Jamal,Marhaba
Jood-o-Sakha hi aadat Tumhari
Phailaye Daman kharay han bhikari
kardo Karam Aamina kay Lal Marhaba
Jam-e-Shahadat hi Paye han Jinhoon ne
Ahle Sunanko jila de unhoon ne
Yad aayengay wo har saal Marhaba
Shadi kay Nagmay suntay rahian gay
Jashan-e-Wiladat Manatay Rahain gay
War daingay tum pe Jan wa Maal Marhaba
Parhne Laga Jab Ubaid un ki naatain
Hoone lagen char soo us ki baatian
Faiz-e-Raza ka he sab Kamal Marhaba
Ya Rasool Allah Aakar Dekh Lo
Ya Rasool Allah Aakar Dekh Lo
Ya Madinay May Bula Kar Dekh Lo
Ya Madinay May Bula Kar Dekh Lo
Sainkron Kay Dil Munawwar Kar Diye
Sainkron Kay Dil Munawwar Kar Diye
Is Taraf Bhi Aankh Utha Kar Dekh Lo
Ya Rasool Allah Aakar Dekh Lo
Rang-o-Gham Dard-o-Alam Gin Yeh Dil
Rang-o-Gham Dard-o-Alam Gin Yeh Dil
Bheer Hay Sarkaar Aakar Dekh Lo
Bheer Hay Sarkaar Aakar Dekh Lo
Ya Rasool Allah Aakar Dekh Lo
Yeh Kabhi Inkaar Kartay Hi Nahi
Yeh Kabhi Inkaar Kartay Hi Nahi
Be Nawaon Aazma Kar Dekh Lo
Be Nawaon Aazma Kar Dekh Lo
Chahay Jo Maango Ataa Farmaingay
Chahay Jo Maango Ataa Farmaingay
Chahay Jo Maango Ataa Farmaingay
Na Mahadon Haath Utha KAr Dekh Lo
Na Mahadon Haath Utha KAr Dekh Lo
Na Mahadon Haath Utha KAr Dekh Lo
Sair-e-Jannat Dekhna Chaho Agar
Sair-e-Jannat Dekhna Chaho Agar
Roza-e-Anwar Pay Aakar Dekh Lo
Roza-e-Anwar Pay Aakar Dekh Lo
Do Jahan Ki Sarfarazi Ho Naseeb
Do Jahan Ki Sarfarazi Ho Naseeb
Unkay Aagay Sar Jhuka Kar Dekh Lo
Unkay Aagay Sar Jhuka Kar Dekh Lo
Is Jameel-e-Qadri Ko Bhi Huzoor
Is Jameel-e-Qadri Ko Bhi Huzoor
Apnay Dar Ka Sag Bana kar Dekh Lo
Ya Rasool Allah Aakar Dekh Lo
Ya Madinay May Bula Kar Dekh Lo
Ya Sahibal jamal wa Ya Sayyadal Bashar
Min wajhikal Muneer laqad Nuwwaral Qamaru
La yumkin al Sanaau kama kan Haqqahu
Baat az khuda buzrug too ye Qissa Mukhtasar
Yaad man jis ki nahi hosh tan-o-jaan ham ko
Phir dikha day wo rukh aye mahar frozen ham ko
Dair say aap man aana nahi milta hay hamain
Kia hi khud raftah kia jalwah janaan ham ko
Jis tabassum nay gulustaan pe giraye bijli
Phir dikha day wo adaye gul-e-khandaan ham ko
Kaash aawaizah-e-qindeel Madinah ho wo dil
Jis ki sozash nay kia rashk charagan ham ko
Ar’sh jis khoobi-e-riftaar ka pa maal huwa
Do qadam chalk ay dikha sard-e-kharamaan ham ko
Sham’e Tayyibah say man parwaanah rahoon kab tak door
Han jila day sharer-e-aatash penha ham ko
Khof hay sma’e kharashi-e-sag-e-Tayyibah ka
Warna kia yaad nahi naala wafgaan ham ko
Khaak ho jayen dar-e-paak pe hasrat mit jaye
Ya Ilahi na phira bay sar-o-samaan ham ko
Khaar-e-sihra-e-Madeenah na nikal jaye kahin
Wahshat-e-dil na phira koh-o-bayabaan ham ko
Tang aaye hain do Aalam teri baitabi say
Chain lainay day tap-e-seena-e-sozaan ham ko
Paaoun garbaal huway raah Madeenah na mili
Aye junoon ab to milay rukhsat-e-zindaan ham ko
Meray har zakham-e-jigar say ye nikalti hay sada
Aye maleeh Arabi kar day namakdaan ham ko
Sair gulshan say aseeran-e-qaf’s ko kia kaam
Na day takleef-e-chaman bulbul-e-bastaan ham ko
Jab say aankhoon man samaye hay Madeenah ki bahar
Nazar aatay hain khizaan deedah gulustaan ham ko
Gar lab paak say iqraar shafaat ho jaye
Yoo na bay chain rakhay jo shish isyaan ham ko
Nayyar hashar nay ik aag laga rakhi hay!
Taiz hay dhoop milay saya-e-damaan ham ko
Raham farmaye ya shaah kea b taab nahi
Taabkay khoon rulaye gam-e-hijraan ham ko
Chaak-e-damaan man na thak jayeo aye dast-e-junoon
Purzay karna hay abhi jaib-o-graibaan ham ko
Pardah us chehrah-e-anwar say utha kar ik baar
Apna aayena bana usay mah-e-tabaan ham ko
Aye Raza was’f-e-rukh-e-Paak sunanay kay liye
Nazar daitay hain chaman murg gazal khawaan ham ko
Yaad-E-Mustafa aisi bas gayi he seene mein
Jism ho kahin apna dil to hai Madine mein
Kon he ye deewana kis ka he ye deewana
Hashar mein bhi kehta he jaana he Madine mein
Kon si jaga un ke aashiqon say khaali he
Har jaga he parwane shamma he Madine mein
Mere kamli wale ka ghar to he Madine mein
Haa magar wo rehte hein aashiqon ke seene mein
Baad mere marne kay har zubaan pay charcha tha
Aadmi to acha tha margaya Madine mein
Kaash un ke kuuche se layenge saba peghaam
Chal tujhe bulaate mein Mustafa Madine mein
Yaad-e-shafe-e-Muznabiyeen hay
Is dil man aur kuch nahi hay
Kis ka raqeeb dil bana jo
Mahboob-e-Rabb-al-aalmeen hay
Khursheed-o-Mahtab-o-anjum
Lakin tum ayesa ab nahi hay
Sadiyoon kay faslay hain phir bhi
Sayah hay door, wo Qareen hay
Ba’sat man Aakhir-ul-Zaman wo
Khilqat man Noor-e-Awwaleen hay
Wo Aasman hain ma’rfat kay
Bandah faqat, zameen zameen hay
Jab say miley hay un ki nisbat
Dunya apni haseen haseen hay
Ye sauz’ ye gadaz’ ye nam
Sab man kahan, kahin kahin hay
Nazaan hain ahle-e-ar’sh us par
Kehnay ko ye zameen, zameen hay
Naq’sh-e-qadam jahan jahan hain
Meri jabeen wahin wahin hay
Seekho andaaz iltija kay
Un kay yahan kami nahi hay
Isyan meray buhut hain, lakin
Wo رحمۃ اللّعالمیں hay
Dushma bhi keh rahay han jis ko
Sadiq hay wo, wohi ameen hay
Muthi man jiski sab kay dil hain
Dil man adeeb kay makeen hay
Yaad-e-watan sitam kia dasht-e-haram say laye kiyoon
Baithay bithaye bad naseeb sar pe bala uthaye kiyoon
Dil man to chot thi dabi haye gazab ubhar gaye
Poocho to aah-e-sard say thandhi hawa chalaye kiyoon
Chorh kay us haram ko aap ban man thagoon kay aabsoo
Phir kaho sar pe dhar kay haath lut gaye sab kamaye kiyoon
Baag arab ka sarw-e-naaz daikh liya hay warna aaj
Qamri jaan-e-gamzadah gooj kay chehchehaye kiyoon
Naam-e-Madeenah lay diya chalnay lagi Naseem khuld
Sozash-e-gam ko ham nay bhi kesi hawa bataye kiyoon
Kis ki nigaah ki haya phirti hay meri aankh man
Nargas-e-mast naaz nay mujh say nazar churaye kiyoon
Too ne to kar diya tabeeb aatash-e-seenah ka ilaaj
Aaj kay dood-e-aah man booye kabab aaye kiyoon
Fik’r-e-muaash bad bila hol maad jaan guza
Lakhoon bala man phansane ko Rooh badan man aaye kiyoon
Ho na ho aaj kuch mera zik’r Huzoor man huwa
Warna meri taraf khushi daikh kay muskraye kiyoon
Hoor jinan sitam kia tayyibah nazar man phir giya
Chairh kay pardah-e-hijaaz dais ki cheez gaye kiyoon
Gaflat-e-shaikh-e-shaab par hanstay hain tufail sheer khawar
Karne ko gud gudi abas aanay lagi bahaye kiyoon
Ar’z karoon Huzoor say dil ki to meri khair hay
Peeteti sar ko aarzoo dasht-e-haram say aaye kiyoon
Hasrat-e-no ka saaniha suntay hi dil bigarh giya
Ayesi mareez ko Raza marg-e-jawan sunaye kiyoon
Yadoon man wo shah’r-e-Madeenah manzar manzar Aaj bhi hay
Ayek Zamana guzra lakin’ Rooh Muattar Aaj bhi hay
Koi nazar khazra say uth kar us ky chehray par na gaye
Ye ihsas-e-Nadamat yaro chand kay rukh par Aaj bhi hay
Madah-e-Nabi ki Nagmah saraye Hamd-o-sana ki gul pashi
Kal bhi yehi tha apna muqaddar’ apna muqaddar Aaj bhi hay
Wo deedar ka mausam’ saqi paish-e-nazar aur jaam-e-deed
Barsoon bait gay us rut ko haath man sagar aaj bhi hay
Ah’d-e-adeeb aur madah-e-Muhammad koi Aaj ki baat nahi
Chodah sadiyoon say ye charcha yoonhi ghar ghar aaj bhi hay
Yan shubah shabeeha ka guzarna kesa!
Bay misil ki tamsaal sanwarna kesa
Un ka mutallaq hay taraqi pe mudaam
Tasweer khinchey un ko gawara hi nahi
Mana hain ye maani ke karam kia manay
Khinchina to yahaan kisi say thehra hi nahi
Ye Aarzoo nahi ke Duain hazar do
Parh kay Nabi ki Naat Lahid man utar do
Daikha abhi abhi hay nazar nay jamal-e-Yar
Aye maut! Mujh ko thori sey muhlat udhar do
Suntay han jan kuney ka lamha hay buhat kathan
Lay kar Nabi ka Naam ye lamha guzar do
Meri kareemman tiray dar ka faqeer hoon
Apnay karam ki bheek mujhay bar bar do
Gar jeetna hay ishaq man lazim ye shard hay
Khailo agar ye bazi to har cheez har do!!
Ye jan bhi Zahoori Nabi kay Tufail hay
Is jaan ko Huzoor ka Sadqa utaar do!
Ye jo Quran-e-mubeen hay Rahmatalil Aalmeen
Teri Azmat ka Ameen Ya Rahmatalil Aalmeen
Dil to kehna hay ke teri shank ay shayan ho Naat
Nutuq ko yara nahi Rahmatalil Aalmeen
To Haseenoon ka Haseen hay to jameeloon ka jameel hay
To Ameenoon ka ameen Rahmatalil Aalmeen
Tera jalwa , teri khoo , Tera Taqadus, teri Zaat
Hasil-e-Ilm-o-Yaqeen Rahmatalil Aalmeen
Fikir-e-Danish ho ke bazm-e-Aab-o-gul ki wusatain
Tera Sani hi nahi Rahmatalil Aalmeen
ye na puuchho milaa hame.n dar-e-kHair-ul-varaa se kyaa
nazar un kii pa.Dii to ham hu.e pal-bhar me.n kyaa se kyaa
mire dil kii vo dha.Dkane.n dam-e-fariyaad sunte hai.n
mutavajjah jo hai.n vo hai.n mujhe baad-e-sabaa se kyaa
nazar un kii jo ho ga.ii asar aayaa du’aa me.n bhii
mire dil kii ta.Dap hii kyaa mire dil kii sadaa se kyaa
jise is kaa yaqiin hai ki vahii bakHshvaae.nge
ko.ii KHatra ko.ii jhijhak use roz-e-jazaa se kyaa
rah-e-taiba me.n be-KHudii ke manaazir hai.n diidanii
kabhii naqshe hai.n kuchh se kuchh kabhii jalve hai.n kyaa se kyaa
jise KHairaat be-talab mile baab-e-rasuul se
use daarain me.n ‘nasiir’ Garaz maa-sivaa se kyaa
Yoon Tarqi par ho ya rabb meri masti eik din
Yani daikhooon Khawab man Taiybah ki basti eik din
Khak-e-Taiybah man kaheen aye kaash mil jaye ye khak
Kaam aajaye meri nakarah hasti eik din
Ye dil pemurdah ho jata shagufta bilyaqeen
Abr-e-Rahmat ki agar badly barasti eik din
Chehra-e-Anwar dikha do Khawab man Aakar mujhay
Jaan nikal jaye na Soorat ko tarastey eik din
Bahr-e-isyan go hay Toofan par, nahin mayoos dil
Jins-e-Rahmat pahi lain gay un say sastey eik din
Mahwe ho jatay muaasey meray naray sab kay sab
Lutuf-o-Suroor ki agar badly barstey eik din
Zahay izzat-o-iatilaaye Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Ke hay ar’sh-e-haq zair paye Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Makaan ar’sh un ka falak farsh un ka
Malak khadimaan-e-saraye Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Khuda ki raza chahtay hain do aalam
Khdu chahta hay raza-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Ajab kia agar raham farma lay ham par
Khuda-e-Muhammad bara-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Muhammad bara-e-janaab-e-Ilahi!
Janaab-e-Ilahi bara-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Bas it’r Mahboobi kibriya say
Aba-e-Muhammad quba-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Bhim ahad bandhay hain wasl-e-abad ka
Raza-e-Khuda aur Raza-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Dam-e-naza’e jaari ho meri zubaan par
Muhammad Muhammad Khuda-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Asa-e-kaleem ajdaha-e-Gazab tha
Giroon ka sahaara asa-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Man qurbaan kia piyaari piyaari hay nisbat
Ye aan-e-khuda wo khuda-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Muhammad ka dam khaas bahar-e-Khuda hay
Siwa-e-Muhammad bara-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Khuda un ko kis piyaray say daikhta hay
Jo aankhain hain mahw-e-liqa-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Jalw-e-man ijaabat khawasi man Rahmat
Barhi kis tazak say dua-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Ijaabat ne jhuk kar galay say lagaya
Barhi Naaz say jab dua-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Ijaabat ka sehra inayat ka jorha
Dulhan ban kay nikli dua-e-Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Raza pal say ab wajad kartay guzriye
Ke hay Rabb-e-Sallim Sadaye Muhammad صلّٰی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
Comments are off for this post
Zahe Muqaddar Huzoor-e-Haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya
Ye kon sar se kafan lapetey chala hey ulfat ke rastey par
Firishtey heyrat se tak rahe heyn ye kon zi Eh’tiraam aaya
Fiza mein Labbaik ki sadain za-far’sh ta Ar’sh goonjti heyn
Har ik qurban ho raha hey zaban pe ye kis ka Naam aaya
Ye Rah-e-Haq hey sambhal ke chalna yahan hey manzil qadam qadam par
Pohanchna Dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya
Ye kehna aaqa bohat se aashiq taraptey choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir heyn lekin na subah aaya na sham aaya
Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho k aai
Wo jazbah jis mein tarhap thi sachi wo jaz’ba aakhir ko kaam aaya
Khuda tera hafiz-o-Nigeh’ban-o-Rah-e-Bat’ha ke jaane wale
Naveed-e-Sad-e-Imbisat ban kar payam-e- Dar-us-salaam aaya
Zamana Hajj ka hay jalwah diya hay shahid-e-gul gul ko
Ilahi taaqat-e-parwaaz day par haye bulbul ko
Baharain aayen jo ban par ghira hay abar-e-Rahmat ka
Lab-e-Mushtaaq bhegain day ijaazat saaqia mal ko
Milay lab say wo mushkain muhar waali dam man dam aaye
Tapak sun kar qum esa kahoon masti man qalqal ko
Machal jaon sawaal-e-Muddaa par thaam kar daaman
Behkenay ka bahana paon qasd-e-bay taammul ko
Dua kar bakht khufta jaag hangaam-e-ijaabat hay
Hataya Subuh rukh say shanay nay shubhaye ka kal ko
Zuban-e-falsafi say aman kharq waltiyaam isra
Panaah-e-dor-e-Rahmat haye yak saat tasalsul ko
Do shanbah Mustafa ka juma’e Adam say behtar hay
Sikhana kia lihaaz-e-haisiyat khoye taamul ko
Wufoor shaan-e-Rahmat kay sabab juraat hay aye piyaray
Na rakh bahar Khuda sharmindah arz-e-bay taamul ko
Praishaani man Naam un ka dil Sad chaak say nikla
Ijaabat shanah karnay aaye gaisoo-e-tawassul ko
Raza nu sabza-e-gardoon hain kotal jis kay mokab kay
Koi kia likh sakay us ki sawaari kay tajammul ko
ZAMEEN O ZAMAN TUMHARE LIYE;
MAKIN O MAKAN TUMHARE LIYE.
CHUNIN O CHUNAN TUMHARE LIYE;
BANEY DO JAHAN TUMHARE LIYE.
The earth and the age are made for thy sake; the dwellers and their abodes are made for thee
The ‘why’ and ‘how’ (knowledge) is there for thee; this world and the next are also for thee!
DAHAN MEIN ZUBAN TUMHARE LIYE;
BADAN MEIN JAN TUMHARE LIYE
HUM AYE YAHAN TUMHARE LIYE;
UTHEN BHI WAHAN TUMHARE LIYE
The tongue in our mouth is made for thee; this soul in our bodies is made for thee
We came here, were born for thy sake; we rise on that day [hereafter] for thy sake.
KALIM O NAJI, MASIH O SAFI,
KHALIL O RAZI, RASUL O NABI
ATIQ O WASI,
GHANIYY O ALI SANA KI ZUBAN TUMHARE LIYE
Musa, Nuh, Isa, Adam, Ibrahim, Ismail; all the Messengers and all the Prophets,
Abu Bakr and Úmar; Uthman and Ali all praise thee!
TUMHARI CHAMAK; TUMHARI DAMAK;
TUMHARI JHALAK TUMHARI MAHAK
ZAMIN O FALAK;
SIMAK O SAMAK MEIN SIKKA NISHAN TUMHARE LIYE
It is your light; and your radiance; it is thy sparkle and thy perfume
in the earth and in the heavens; in the stars and the skies.
[simak is constellation; samak is the roof or the sky]
YE SHAMS O QAMAR YE SHAM O SAHAR
YE BARG O SHAJAR YE BAGH O SAMAR
YE TEGH O SIPAR YE TAJ O KAMAR
YE HUKM RAWAN TUMHARE LIYE
For thee is this sun; and thine is the moon; this night and the day; the plants and the trees; the gardens and fruits
For you is the sword, for you the soldier; the crown and the power are all for thee.
YE FAYZ DIYE WO JUD KIYE
KE NAM LIYE ZAMANA JIYE
JAHAN NE LIYE TUMHARE DIYE
YE IKRAMIYAN TUMHARE LIYE
These blessings and grants; your favors abound; the world lives on by uttering your name
The world takes thy charity; and all these honors are granted for thy sake!
SAHAB E KARAM RAWANA KIYE,
KE AB NIAM ZAMANA PIYE
JO RAKHTE THE HUM WO CHAK SIYE,
YE SATR E BADAN TUMHARE LIYE
You sent the clouds of mercy for the world to drink in the water of blessings
You mended the tears in our clothes, and covered our shame, our sins for us.
ATAYE ARAB, JALAYE KARAB
FUYUZ AJAB BAGHAYR TALAB
YE RAHMAT E RABB HAI KIS KE SABAB,
BI RABB E JAHAN TUMHARE LIYE
Billions of bounties; banishing our agony; and wondrous blessings without even asking
All this mercy of the Lord is for whose sake? For thee my master, by the Lord of the Worlds!
NA JINN O BASHAR KE ATH PAHAR
MALAYIKAH DAR PE BASTA KAMAR
NA JIB’HA O SAR, KE QALB O JIGAR,
HAIN SAJDAH KUNAN TUMHARE LIYE
Not just men and jinn; but angels too throughout the day [and night] stand in your service
It is not foreheads and heads that prostrate; but our hearts that fall down in reverence for thee!
JINAN MEIN CHAMAN CHAMAN MEIN SAMAN;
SAMAN MEIN PHABAN, PHABAN MEIN DULHAN
SAZAYE MIHAN PE AYSE MINAN
YE AMN O AMAN TUMHARE LIYE
Gardens in paradise; and in those gardens are groves; and the groves are adorned and in those adornments are beautiful brides!
The fruit of labor is thus rewarded! tranquillity and peace is thus granted for thy sake!
KHALIL O NAJI MASIH O SAFI
SABHI SE KAHI KAHIN BHI BANI
YE BE KHABARI KE KHALQ PHIRI
KAHAN SE KAHAN TUMHARE LIYE
Ibrahim, Nuh; Isa and Adam; we went to all of them to help us but they couldn’t
And the entire creation is made to turn towards thee, and this glory is only for thee!
ISHARE SE CHAND CHIR DIYA ;
CHUPEY HUWEY KHUR KO PHER LIYA
GAYE HUWE DIN KO ASR KIYA;
YE TAB O TAWAN TUMHARE LIYE
You split the moon with a gesture; you brought back the sun
You restored the day back to evening after it had set; these lights and illumination are all for thee!
SABA WO CHALE KE BAGH PHALE
WO PHOOL KHILE KE DIN HON BHALE
LIWA KE TALE SANA MEIN KHULE
RAZA KI ZABAN TUMHARE LIYE
The swift breeze blows for the gardens to blossom; the flowers bloom for our days to be pleasing
and under the Standard, may Raza’s mouth open only to praise thee, my master!
NA RUHEY AMIN, NA ARSHEY BARIN
NA LOHEY MUBIN KOI BHI NAHIN
KHABAR HI NAHIN JO RAMZ KHULEY
AZAL KE NIHAN TUMHARE LIYE
ZAMINO ZAMAAN TUMHARE LIYE
Zarray us khak kay Tabindah Sitaray hoon gay
Jis jaga Aap nay nalain utaray hoon gay
Log to Husun-e-amal lay kay chalay roz-e-Hisab
Sarwar ham ko faqat teray saharay hon gay
Howay gul is liye phirte hay chupaye chehra
Gaisoo sar do aalam nay sanwaray hon gay
Us taraf abar barsta hay gunah garoon par
Jis taraf chashm-e-MUHAMMAD kay Isharay hon gay
Utha gaye jab meri janib wa karam bar nazar
Us gharhi Qadab kay bhi waray niyaray hon gay
Zayero paas adab rakho hawas janay do
Aankhain andhi hui han un ko taras jaanay do
Sookhi jaati hay umeed-e-gurba ki khaiti
Boondiyan lika-e-Rahmat ki baras janay do
Palatati aati hay abhi wajad man jaan-e-shereen
Nagma-e-qum ka zara kanoon man ras jaanay do
Ham bhi chaltay hain zara qaaflay walo! Thehro
Ghathriyan tosha-e-umeed ki kas jaanay do
Deed gul aur bhi karti hay qiyaamat dil par
Hamsafeero hamain phir soo-e-qafs jaanay do
Aatash-e-dil bhi to bharhkao adab daan naalo
Kon kehta hay ke zabt-e- nafs jaanay do
Yoon tan-e-zaar kay dar pay huway dil kay shualo
Shaiwa-e-khana bar andazi khas jaanay do
Aye Raza aah ke yoon sahal katain juram kay saal
Do gharhi ki bhi ibadat to baras janay do
Aa gaey muzdah shafa’at
Ka sunane waley
Naar-e-Dozakh se gulamoon
Ko bachane waley
Hey muqaddar me
Bulandi hi bulandi apney
Hum to hai Qadmon meyn
Sar Un ke jhukane waley
Kar ke ehsaan jatana
Ye nahi shaan Un ki
Aur koi honge wo
Ehsaan jatane waley
Mar ke punh’cha jo lehed me
To nakeeron ne kaha
Marhaba Naat Shah-e-Deen
Ki sunane waley
Tu jala sakti nahi sunn le
Jahannam hum ko
Hum to heyn Jashan-e-Wilaadat
Ke manane waley
Kash! Sarkaar Sar-e-Hash’r
Kaheyn mujh se Ubaid
Aaja Daman mein Meri
Naat sunane wale
aaj asshk mere naat sunaein to ajab kya
sun kar woh mujhe paas bulayen to ajab kya
un par to gunehgaar ka sab haal khula hai
is par bhi woh daman mein chupayen to ajab kya
mun dhaanp ke rakhna ke gunehgaar bohat hon
maiyat ko meri dekhnay ayen to ajab kya
ae josh junoo paas adab bazm hai jin ki
is bazm mein tashreef woh layein to ajab kya
deedar ke qabil to nahi chasham tamanna
lekin woh kabhi khawab mein ayen to ajab kya
paband nawa to nahi faryaad ki rasmen
ansoo yeh mra haal sunaein to ajab kya
nah zaad safar hai nah koi kaam bhallay hain
phir bhi mujhe sarkar bulayen to ajab kya
haasil jinhein aaqa ki ghulami ka Sharf hai
thokar se woh mardon ko jalayen to ajab kya
woh husn do aalam hain Adeeb un ke qadam se
sehraa mein agar phool khil ayen to ajab kya
Aakhay Sonhray noon waye ni jay tera guzar ho way
Main mar ke vi nain marda jay teri nazar ho way
Dam dam naal Zikar kar un main terian shaman da
Teray nam toon war dian jine meri umar ho way
Dio anyo baitho Rowo Mehfil noon Saja kay tay
Shayad meray Aaqa da aithoon vi guzar ho way
O kisian gharhian san mehman san sonheray da
Dil fir wi kar da aye Tayyibah das afar ho way
Jay jeewan da cha Rakhna toon Rahia Madeenay dia
Sonhray day dawary tay marjawain jisay mar ho way
Kion fikir karain yara masah wi agairi da
O hoon ran satay e Khabran nen jida Sain magar ho way
Aiha dil wich niazi day ik Aas char wakani aye
Sohney day shehar andar meri wi qabar ho way
Aankh man jab ashk Aaya ho gaye Naat-e-Rasool
Dard jab dil man samaya ho gaye Naat-e-rsool
Jab kisi bay bas ko daikha Zulum ka hotay shikaar
Is Zalim say churhaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jihil ki tareekiyoon man iatmad ilam ka
Ik dia jis nay jalaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jab kisi Masooom ko paya yateemi ka shikaar
Apnay seenay say lagaya’ ho gaye Naat-e-Rasool
Imtiaz-e-bandah-o-Aaqa mitanay kay liye
Jab koi maidaan man aaya ho gaye Naat-e-Rasool
Kha kay sang dushmanan-e-deen agar ye keh dia
Kar bhala is ka khudaya, ho gaye Naat-e-Rasool
Yaad kar kay arsa-e-sha’ab-e-Abi Talib kabhi
Jis nay do Aansoo bahaya ho gaye Naat-e-Rasool
Mohsin-e-insaniat ki jaan kar, sunnat agar
Jis ne rotoon ko hansaya, ho gaye Naat-e-Rasool
Kia bataon kis qadar hain mehrban mujh par huzoor
Jab qalam man ne uthaya ho gaye Naat-e-Rasool
Seerat-e- خیر البشر ko daikhta ja aye adeeb!
Jo warq nay to uthaya ho gaye Naat-e-Rasool
Aankhain ro ro kay sujanay waalay jaanay waalay nahi aanay waalay
Koi din man ye sira aujarh hay aray aochaouni chanay waalay
Zibah hotay han watan say bicharhay dais kiyoon gaatay hain gaanay waalay
Aray badfaal buri hoti hay dais ka jangla sunaanay waalay
Sun lain aada man bigrhnay ka nahi wo salaamat hain banane waalay
Aankhain kuch kehtey hain tujh say paigaam ao dar-e-yaar kay jaanay waalay
Phir na karwat li Madeenah ki taraf aray chal jhootay bahanay waalay
Naf’s man khaak huwa to na mita hay meri jaan kay khaanay waalay
Jeetay kia daikh kay hain aye hooro! Tayyibah say khuld man aanay waalay
Neem jalway man do aalam gulzaar waah wa rang jamaanay waalay
Husun tera san a daikha na suna kehtay hain aglay zamaanay waalay
Wohi dhoom un ki hay MashAllah mit gay aap mitaanay waalay
Lab-e-sairaab ka sadqah paani aye lagi dil ki bujhaanay waalay
Saath lay lo mujhay man mujrim hoon raah man parhtay hain thaanay waalay
Ho giya dhak say kalaija mera haye rukhsat ki sunaanay waalay
Khalq to kia ke hain khaaliq ko aziz kuch ajab bhaatay bhanay waalay
Kushta-e-dasht-e-haram jannat ki khirhkiyaan apnay sirhaanay waalay
Kiyoon Raza aaj gali soni hay
Uth meray dhoom machanay waalay
Charoon Taraf Noor Chaya,
Aaqa Ka Milad Aaya,
Khushiyon Ka Pegham Laya,
Aqa Kaa Milad Aya.
Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah.
Shams-O-Qamar Aur Taaray,
Kyun Na Hon Khush Aaj Saaray,
Unsay He To Noor Paaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Khushiyan Manatay Hain Wohi,
Dhoomain Machatay Hain Wohi,
Jin Par Hua Unka Saaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Ghar Ko Sajatay Hain Wohi,
Jhanday Lehratay Hain Wohi,
Jin Par Hua Unka Saaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Hai Shaad Har Ek Muslimaan,
Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan,
Galiyoon Ko Bhi Jagmagaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhein,
Noori Bashar Jaanay Jou Unhe,
Naara Ussi Nay Lagaya,
Aariz shams-o-qamar say bhi hain anwar ayerhiyan
Ar’sh ki aankhoon kay taaray hain wo khushtar ayerhiyan
Jabaja par to Fagan hain Aasman par ayerhiyan
Din ko hain Khurseed shab ko maah-o-akhtar ayerhiyan
Najam gardoon to nazar aatay hain chotay aur wo paaoun
Ar’sh phir kiyoon na hoon mahsoos lagar ayerhiyan
Dab kay zer pa na gunjayesh samanay ko rahi
Ban gaya jalwah kaf-e-pa ka ubhar kar ayerhiyan
Un ka mangta paaoun say thukra day wo dunya ka taaj
Jis ki khatir mar gay mun’am ragarh kar ayerhiyan
Do qamar do panja-e-khur do sitaray das hilaal
Un kay talway panjay naakhun paye athar ayerhiyan
Haye is pathar say is seena ki qismat phorhiye
Bay takalluf jis kay dil man yoon karain ghar ayerhiyan
Taaj rooh-ul-Qudus kay moti jisay sajdah karain
Rakhti hain wallah wo pakeezah go har ayerhiyan
Ayek thokar man uh’d ka zilzilah jata raha
Rakhti hain kitna waqar Allah Akbar ayerhiyan
Charkh par charhtay hi chandi man siyahi aagaye
Kar chuki hain badar ko takaal bahir ayerhiyan
Aye Raza toofan-e-mahshar kay talatum say na dar
Shaad ho hain kashti-e-ummat ko langar ayerhiyan
Aasioun ko dar tumhara mil gaya
be thikanon ko thikana mil gaya
fzlِ rab se phir kami kis baat ki
mil gaya sab kuch jo tayyiba mil gaya
kashaf raaz mann Rani yun sun-hwa
tum miley to haq taala mil gaya
be khudi hai baasِ kashaf hijaab
mil gaya milnay ka rasta mil gaya
un ke dar ne sab se Mustaghni kya
be talabb be khwahish itna mil gaya
na khudai ke liye aaye huzoor
doobtun niklo sahara mil gaya
dono aalam se mujhe kyun kho diya
nafs khud matlab tujhe kya mil gaya
ankhen par num ho gayeen sir jhuk gaya
jab tra naqash-e kaf-e pa mil gaya
Khuld kaisa kya chaman kis ka watan
mujh ko sehraye madinah mil gaya
hai mohabbat kis qader Naam kkhuda
Naam haq se Naam wala mil gaya
un ke taalib ne jo chaha pa liya
un ke sayel ne jo manga mil gaya
tairay dar ke tukre hain aur mein ghareeb
mujh ko rozi ka thikana mil gaya
ay hassan Firdous mein jayen janab
hum ko sehraye madinah mil gaya
Aasyion ko Dar Tumhara mil gaya
Bay Thikanooon ko Thikana mil gaya
Fazl-e-Rabb say phir kami kis baat ki
Mil gaya sab kuch jo Taiyybah mil gaya
Un ky dar nay sab say mustagna kia
Bay talab bay khawahish itna mil gaya
Na khudaye kay liye Aaye Huzoor
Doobto niklo sahara mil gaya
Aankhain par nam ho gayen sar jhuk gaya
Jab tira naqsh-e-kaf-e-pa mil gaya
Khuld kaysee kia chaman kis ka watan
Mujh ko sahraye Madeenah mil gaya
Un kay Talib ny jo chaha palia
Un ky sail nay jo manga mil gaya
Teray dark ay Tukrhay han aur man Gareeb
Mujh ko rozee ka Thikana mil gaya
Aye Husun firdos man jayen janab
Ham ko Sahraye Madeenah mil gaya
Aatay rahay anbia کَما قِیْلَ لَھُمْ
وَالْخَاتَمُ حَقُّکُم ْ ke khaatam huway Tum
Yeni jo huwa daftar tanzeel tamaam
Aakhir man hui muhar ke اَکْملْتُ لَکُمْ
Ab meri Nigahoon main jachta Nahi koi
Jesay meri Sarkar hain waisa nahi koi
Tums a to Haseen Aankh ne daikha nahi koi
Ye toor se kehti hay Tamasha nahi koi
Hota he jahan Zikar MUHAMMAD kay karam ka
Us bazam main Mahroom-e-Tammana Nahi koi
I’ezaz ye Hasil he to Hasil he Zameen ko
Aflaak pe to Gumbad-e-Khazra Nahi koi
Sarkar ki Rahmat ne magar Khoob Nawaza
Ye Sach he ke Khalid sa nikama nahi koi
‘adam se laa.ii hai hastii me.n aarzuu-e-rasuul
kahaa.n-kahaa.n liye phirtii hai justajuu-e-rasuul
KHushaa vo dil ki ho jis dil me.n aarzuu-e-rasuul
KHushaa vo aa.nkh jo ho mahv-e-husn-e-ruu-e-rasuul
talaash-e-naqsh-e-kaf-e-paa-e-mustafaa kii qasam
chune hai.n aa.nkho.n se zarraat-e-KHaak-e-kuu-e-rasuul
phir un ke nashsha-e-irfaa.n kaa puuchhnaa kyaa hai
jo pii chuke hai.n azal me.n mai-e-subuu-e-rasuul
balaa.e.n luu.n tirii ai jazb-e-shauq-e-salli-alaa
ki aaj daaman-e-dil khi.nch rahaa hai suu-e-rasuul
shagufta gulshan-e-zahraa kaa har gul-e-tar hai
kisii me.n ra.ng-e-alii aur kisii me.n buu-e-rasuul
‘ajab tamaashaa ho maidaan-e-hashr me.n ‘bedam’
ki sab ho.n pesh-e-KHudaa aur mai.n ruu-ba-ruu-e-rasuul
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba..
Ek nazar asmaan per daal, marhaba,
Chamka mah-e-noor ka hilal, marhaba marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Jhanday lagao galiyan sajao,
Karlo charaghan ghar jagmagao,
Razi ho ga Rab-e-Zuljalal (SWT), marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Mehfil sajaayein naatein sunaein,
Aaqa ki aamad ki dhoomain machayein,
Roz-o-shab yehi ho apna haal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Laaraib nabiyon kay saalar aaye,
Aaye do aalam k ghum khaar aaye,
Shahkaar-e-Rab-e-Zuljalal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Aashiq key dil jagmaganay lagay hain,
Dekho zara muskuranay lagay hain,
Deedni hain unkay khad-o-khaal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba
Sadqa wiladat ka jalwa dikha do,
Dil ki lagi ab to aaqa bujha do,
Dikhla do apna ab jamaal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Jood-o-sakhawat hai aadat tumhari,
Phailaaye daaman kharay hain bhikari,
Kar do karam amna k laal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.
Jaam-e-shahadat piya hai jinho ne,
Ahle-sunan ko jila di unho na,
Yaad aayengay wo har saal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba
Shaadi kay naghmay sunatay rahengay,
Jashn-e-wiladat manaatay rahengay,
Waar daingay tum pay jaan-o-maal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba
Parhnay laga jab Ubaid un ki naatein,
Honay lageen chaar soo us ki baatein,
Faiz-e-Raza ka hai sub kamaal, marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba
Aey Kaash! Tasawwur mein Madeeney ki gali ho
Aur yaad Muhammedصلی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم ki mere dil meyn basi ho
Do suoz-e-Bilaal Aaqa mile dard-e-Raza sa
Sarkaar ataa ish’q-e-Owais-e-Qarni ho
Aey kaash! mayn banjaoon Madeeney ka Musafir
Phir roti huwi Taiybahh ko baraat chali ho
Phir Rahmat-e-Bari se chaloon suw-e-Madeenah
Aey kaash! Muqaddar se mayassar wo gharhi ho
Jab aown Madeeney meyn to ho chaak gareyban
Aankhuwn se barasti huwi ashkaun ki jharhi ho
Aey kaash! Madeeney mein mujhe maut youn aaye
Qadmuwn mein Tere sar ho meri Rooh chali ho
Jab le ke chalo ghuoristaan ko janazah
Kuch khaak Madeeney ki mere munh pe saji ho
Jis waq’t Nakireyn meri qab’r meyn aaeyn
Us waq’t mere lab pe saji Na’at-e-Nabi ho
ALLAH! Karam aysa kare tujh pe jahaan mein
Ai Ahle-e-Islam Teri dhoom machi ho
Aaqa ka gada hoon Aey jahan’nam tu bhi sunle
Wo kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho
Sadaqa mere murshid ka karoon door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan-e-dili ho
ALLAH ki Rahmat se to Jannat hi mile gi
Aey kaash! Muhalley me jagah un ke mili ho
Mahfooz sada Rakh’na Shaha be-adabuon se
Aur mujh se bhi sarzad kabhi be-aadabi ho
Attar Hamara hey sar-e-hashr aey kaash!
Das’te Shah-e-bat’ha se yehi chit’thi mili ho
Aey Shahanshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam
Zeenat-e ar’sh-e-mu’alla, Assalat-o-wassalam
Rabbi-habli-Ummati keh’te huway paida huway
Rabb ne farmaya ke bakhsha Assalat-o-wassalaam
Aey shahanshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam,
Zeenat-e-ar’sh-e mu’alla, Assalat-o-wassalam
sar jhuka kar ba-adab ishq-e Rasool ALLAH mayn,
keh raha he har sitara Assalat-o-wassalam
Aey Shahanshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam
Zeenat-e-ar’sh-e mu’alla, Assalat-o-wassalam
mu’mino parhthay raho tum apnay Aaqa par durood
he firishtoon ka wazifah, Assalat-o-wassalam
aey shahenshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam,
zeenat-e-ar’she mu’alla, Assalat-o-wassalam
meyn wo sunni hun jamil-e-Qadri marney ke ba’d
mayra laasha bhi kahe ga Assalat-o-wassalam
aey shahenshah-e-Madeenah Assalat-o-wassalam
Zeenat-e-ar’she mu’ALLAH, Assalat-o-wassalam
jab firishtay qab’r mein jalwa dhikhayen aap ka
ho zabban par piyaare Aaqa, Assalat-o-wassalam,
aey shahenshah-e-Madeenah, Assalat-o-wassalam,
Zeenat-e-ar’sh-e mu’ALLAH, Assalat-o-wassalam.
Aeysa koi Mahboob na hoga , na kahin hay
Baitha hay Chitaye Pe Magar arash nasheen hay
Milta nahin kia kia do jahan ko tiri dar say
Ik lafz nahin hay ke tire lab pe nahin hay
To chahey to har shab ho missal-e-Shab Isra
Tiri lie do char qadam arsh brin hay
Har ik ko mayasar kahan is dar ki gulami
Us Dar ka to darban bhi jibril amen hay
Aye Shah-e-Zaman Ab to Ziyart ka Sharaf day
Bay chain hain Aankhain miri baitab jabin hay
Dil girya kinan aur nazar sooye Madina
Aazam Tira Andaz-e-talab kitna Haseen hay
Ahle-e-siraat rooh-e-ameen ko khabar karain jaati hay ummat-e-nabvi farsh par karain
In fitna haye hashar say kehdo hazar karain nazoon kay paalay aatay hain rah say guzar karain
Bad hain to aap kay hain bhalay han to aap kay tukrhoon say to yahan kay palay rukh kidhar karain
Sarkaar ham kameenoon kay atwaar par na jayen Aaqa Huzoor apnay karam par nazar karain
Un ki haram kay khaar kasheedah hain kis liye aankhoon man aayen sar pe rahain dil man ghar karain
Jaaloon pe jaal parh gay lillah waqat hay mushkil kushaye aap kay nakhun agar karain
Manzil karhi hay shaan tabassum karam karay taroon ki chaawon Noor kay tarhkay safar karain
Kilik-e-Raza hay khanjar khonkhuwaar barq baar aada say kehdo khair manayen na shar karain
aisa tujhe khaaliq ne terhan daar banaya
Yousuf ko tra taalib deedar banaya
Talat se zamana ko pur anwaar banaya
nikhat se gali kochoon ko gulzaar banaya
dewaron ko aaina banatay hain woh jalwey
aa_iinon ko jin jloon ne deewar banaya
woh jins kya jis ne jisay koi nah pouchye
is ne hi mra tujh ko khredar banaya
ae nazam risalat ke chamakate hue mqtaa
to ne hi isay mutala anwaar banaya
konain banaye gaye sarkar ki khatir
konain ki khatir tumhe sarkar banaya
kunji tumhe di –apne khazanon ki kkhuda ne
mehboob kya maalik o mukhtaar banaya
allah ki rehmat hai ke aisay ki yeh qismat
aassi ka tumhe haami o gam_khvar banaya
aaina e zaat Ahdi aap hi thehray
woh husn diya aisa terhan daar banaya
anwaar tajallii se woh kuch hairatein chaen
sab aa_iinon ko pusht ba deewar banaya
Aj sik Mitran di vadheyri ay
kyoun dilri udaas ghaneyri ay?
loon loon vich shawq changeyri ay
uj nainan laiyan kyon jhariyan!
Why is the yearning for the Loved One (RASULALLAHﷺ) especially strong today?
Why is my heart sadder today than even before?
Why does longing penetrate every tissue of mine?
And why are the eyes shedding tears like a shower of rain?
Mukh chan badr sha shani ay
Mathay chamkay lat noorani ay
Kali zulf tey akh mastaani ay
Makhmur ukheen hin madh bhariyan
His shining face appeared to me in a vision,
And fragrance emanated in profusion from His tresses;
I fainted from the sight of these visions;
The beauty of his eyes overpowered me.
Is surat nun mein jaan akhan
jan akhan ke jan-e-jahan akhan?
Such akhan tey Rabb di shaan aakhaan
jis shan toon shanan sab baniyan
I am not sure whether I should call his face the essence of life;
Or life of the entire universe;
The truth is that it is the glory of God,
From which all other worldly glories originated.
Subhan ALLAH! Ma ajmalaka
ma ahsanaka, maa akmalaka
Glory be to ALLAH! There is no one more beautiful than Thee!
No one more excellent than Thee, no one more Perfect!
Kithey Mehr Ali kithay teri sana
gustakh akhin kithey ja ariyan!
Who is (the humble) Meher Ali to chant thy praises;
How (presumptuous and) impudent his eyes are to aspire to the heights of thy love!
ajab rang par hai bahhar madinah ke sab jannaten hain nisar madinah mubarak rahay anda leebo tumhe gul Hamein gul se behtar hain khaar madinah malaik lagatay hain aankhon mein apni shab o roz khakِ mazaar madinah rahen un ke jalwey baseen un ke jalwey mِra dil banay yadgar madinah do aalam mein bat ta hai sadqa yahan ka hamein ik nahi rezah Khawar madinah bana aasmaa mnzlِ ibn maryam gaye la makaan tajdar madinah sharf jin se haasil sun-hwa Anabia ko wohi hain hasan Iftikhar e madinah |
Ala aman qahar hay aye gauth wo taikha Taira
Mar kay bhi chain say sota nahi mara Tera
Badloon say kahian rukti hay karhkti bijli
Dhalain chint jati hain uthta hay jo taiga Tera
Ak’s ka daikh kay mun aur bahpar jata hay
Char aayena kay bal ka nahi naiza Tera
Koh sar makh ho to ik war man do par kaalay
Haath parhta hi nahi bhool kay oucha Taira
Us pe ye qahar kea b chand mukhalif Tairay
Chahtay hain ke ghata dain kahian paya Tera
Aqal hoti to khuda say na larhaye laitay
Ye ghatayen , usay manzoor barhana Tera
Ka hay Saya Tujh par وَرَفَعۡنَا لَکَ ذِکۡرَکۡ
Bol bala hay Tera Zikr hay uncha Tera
Mit gay Tutay hain mit jaye gay aada Taray
Na mita hay na mitay ga kabhi charcha Tera
Tu ghataye say kisi kisi kay na ghata hay na ghatay
Jab bharhaye Tujhay Allah tala Tera
Samm-e-qatil hay Khuda ki qasam un ka inkaar
Munkir fazal Huzoor Aah ye likha Tera
Meray siyaaf kay khanjar say tujhay baak nahi
Cheer kar daikhay koi Aah kalaija Tera
Ibn-e-zahara say teray dil man hain ye zahar bharay
Bal bay ao munkar-e-bay baak ye Zahra Tera
Baaz-e-shahab ki Gulami say ye aankhain phirni
Daikh urh jaye ga imaan ka tota Tera
Shaakh par baith kay jarh kaatanay ki fikr man hay
Kahin neecha na dikhaye tujhay shujra tera
Haq say bad ho kay zamana ka bhala banta hay
Aray man khoob samjhta hoon Mamma Tera
Sag-e-dar qahar say daikhay to bikharta hay abhi
Band band-e-badan aye rooba dunya Tera
Ar’z Aaqa say karoon ar’z ke teri panah
Bandah-e-majboor hay khatir pe hay qabza Tera
Hukum nafiz hay tera khama tera saif Teri
Dam man jo chahay kray door hay shaha Tera
Jis ko lalkaar day Aata ho to ulta phir jaye
Jis ko chamkaar lay har phir kay wo Tera Tera
Kunjian dil ki Khuda nay tujhay den ayesi kar
K ye seena ho Muhabbat ka khazeena Tera
Dil pe kundah ho tera naam ke wo duzd-e-Rajeem
Ultay hi paon phiray daikh kay tugra tera
Naza’e gor man, meezan pe, sar-e-pal pe kahin
Na chutay haath say damaan-e-muallah Tera
Dhoop mahshar ki wo jaan soz qiyamat hay magar
Mutmain hoon ke meray sar pe hay palla tera
Bahjat is sar ki hay jo bahjatul israar man hay
Ke falak waar mureedoon pe hay saaya tera
Aye raza chest gam arjmalah jahan dushman-e-tist
Kardah am ma man-e-khud qiblah haja taira
Allah kay Nabi say faryaad hay naf’s ki badi say
Din bhar khailoon man khaak urhaye laaj aaye na zarron ki hansi say
Shab bhar sonay hi say garz thi taroon nay hazaar daant paisay
Emaan pe mot behtar ao nafs teri napaak zindagi say
Ao shahid numa-e-zahar dar jaam gum jaaoun kidhar teri badi say
Gehray piyaray puranay dil soz guzra man teri dosti say
Tujh say jo uthaye man nay sadmay ayesay na milay kabhi kiseay say
Uf ray khud kaam bay muruwwat parhta hay kaam aadmi say
Tu ne he kia say Nadim Tu nay kia kia khajal Nabi say
Kesay Aaqa ka hukum taala ham mar mitay teri Khud sari say
Aati na thi jab badi bhi tujh ko ham jaantay hain tujhay jabhi say
Had kay zaalim sitam kay kattar pathar sharmayen teray jee say
Ham khaak man mil chukay hain kab kay nikla na gubaar teray jee say
Hay zalim man nibahoon tujh say Allah bachaye us gharhi say
Jo tum ko na jaanta ho hazrat chaales chaliye us ajnabi say
Allah kay samnay wo gun thay yaaroon man kesay mutaqi say
Rahzan nay loot li kamaye faryaad hay khizir haashmi say
Allah kunwain man Khud gira hoon apni naalish karoon tujhi say
Hain pusht panaah guath azam
Kiyoon dartay ho tum Raza kisi say
Andhairi raat hay gam ki ghata isyaan ki kaali hay
Dil bay kas ka is aafat man aaqa tu hi waali hay
Na ho mayoos aati hay sada gor-e-gareeban say
Nabi ummat ka haami hay Khuda bandoon ka waali hay
Utartay chaand dhalti chandni jo ho sakay kar lay
Andhaira paakh aata hay ye do din ki ujaali hay
Aray ye bhairhiyoon ka ban hay aur sham aagaye sar par
Kahan soya musaafir haye kitna la ubaali hay
Andhaira ghar akaili jaan dam gutata dil uktata
Khuda ko yaad kar piyaray wo saat aanay wali hay
Zameen tapti kataili raah bhari bojh ghayel paoun
Museebat jhailnay waalay tera Allah waali hay
Na chonka din hay dhalnay par teri manzil hoi khoti
Aray ao jaanay walay nend ye kab ki nikaali hay
Raza manzil to jesi hay wo ik man kia sabhi ko hay
Tum us ko rotay ho ye to kaho yaan haath kahli hay
Apni A’ta Ka Haq Ney Ye Manzar Dikha Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Khu’we Shah-e-Arab ka bana aar mujhy faqeer
Shahi ka Martaba Mery dil Sey ghata Diya
Aysa Kareem Aysa Sakhi Aur Kon Hey!?
Mangta Ju Aya Mangney Sultan Bana Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Ponhcha Diya Khuda Ney Dar-e-Shah Par Humeyn
ALLAH Ney Ye Na’at Ka Acha Sila Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Hum Sey Ziada Kon Hey Dunya Meyn Khush Naseeb
Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sanaa Khawan bana Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Rashk-e-Falaq hey Mery Muqadar Ki Rif’aateyn
Mujh Ko Ghulam Un Ka Khuda Ney Bana Diya
Ankhoo Meyn Bas Giya Hey Jamal-e-Khuda Riyaz
DEEDAR Jab sey Un ka Khuda Ney Kara Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Dil Mera Astan-e-Nabi Par Jhuka Diya
Ar’sh ki aqal dang hay charkh man asmaan hay
Jaan-e-muraad ab kidhar haye tera makaan
Bazam-e-sana-e-zulf man meri uroos-e-fikir ko
Saari bahar-e-hasht khuld chota sa itar daan hay
Ar’sh pe jaa kay murg-e-aqal thak kay gira gash aa gaya
Aur abhi manziloon paray pehla hi aastaan hay
Ar’sh pe taazah cherh charh farsh man tarfa dhoom dhaam
Kaan jidhar lagaye teri hi daastaan hay
Ik teray rukh roshni chain hay do jahan ki
Ins ka uns usi say hay jaan ki wohi jaan hay
Wo jo na thay to kuch na tha wo jo na hoon to kuch na ho
Jaan hain wo jahaan ki jaan hay to jahan hay
Gaud man aalam-e-shabaab haal-e-shabaab kuch na pooch!
Gulban-e-baag-e-noor ki aur hi kuch uthaan hay
Tujh sa siyaah kar kaun un sa shafee’a hay kahan
Phir wo tujhi ko bhool jayen dil ye tera gumaan
Paish nazar wo no bahaar sajday ko dil hay bay qaraar
Rokiye sar ko rokiye haan yehi imtihaan hay
Shaan-e-Khuda na saath day un kay kharaam ka wo baaz
Sidrah say taaz man jisay naram si ik urhaan hay
Baar-e-jalaal uthaa liya garcha kalaija shaq huwa
Yoon to ye maah-e-sabzah-e-rang nazroon man dhaan paan hay
Khauf na rakh Raza zara tu to hay abd-e-Mustafa
Teray liye amaan hay teray liye amaan hay
Arsh ki aqal dang hai charkh mein aasman hai
jaan-e morad ab kidhar haae tra makaan hai
bazm e sanaye zulff mein meri aroos fikar ko
saari bahhar husht Khuld chhota sa itar daan hai
arsh pay jaake murgh aqal thak ke gira ghash agaya
aur abhi manzlon paray pehla hi Aastan hai
arsh pay taaza chairr chhar farsh mein Tarfah dhoom dhaam
kaan jidhar lagayiyae teri hi daastaa’n hai
ik tre rukh ki roshni chain hai do Jahan ki
ans ka ans usi se hai jaan ki woh hi jaan hai
woh jo nah thay to kuch nah tha woh jo nah hon to kuch nah ho
jaan hain woh Jahan ki jaan hai to Jahan hai
goad mein aalam shabab haal shabab kuch nah pooch
gulban baagh noor ki aur hi kuch uthaaen hai
tujh sa siyah car kon unn sa Shafi hai kahan
phir woh tujhi ko bhool jayyn dil yeh tera gumaan hai
paish ntr woh no bahhar sjday ko dil hai be qarar
rokiye sir ko rokiye haan yahi imthehaan hai
shaan kkhuda nah sath day unn ke Khiraam ka woh baz
sidra se taaz mein jisay naram si ik uraan hai
baar jalal uttha liya gir chay kaleja shaqq huwa
yun to yeh mahe sabza rang nazron mein dhaan paan hai
khauf nah rakh Raza zara tun, to hai Abdul mstfe ?
tairay liye Amaan hai, tairay liye Amaan hai
Ashkoon pe say bhi likh un ki sana un ka Qaseedah
Likh jesay wo hain ayesa na deedah na shuneedah
Jab yaad kia qal’b nafah Aahoon
Jab naam lia ho gay lab shahid chakeedah
Daikha hay bulandi pe har ik ja sar-e-aflaak
Lakin usay daikha hay Madeenay man khameedah
Hasrat man ziarat ki bahay jatay hain Aansoon
Acha hay wuzu karta hay deedar ko deedah
Kia us ko khareedain gay salateen-e-Zamana
Aye Rahmat-e-Aalam! Teri Rahmat ka khareeda
Umat hay buhut zaar-o-praishaan karam kar
Chadar bhi dareedah hui’ daman bhi dareedah
Wo shayeri achi ke dikhaye jo ye manzar
Aagosh-e-karam man sag-e-dunya ka gazeedah
Muhtaj na hoga kabhi wo haath jo likhay
Us muatta-o-man’am ki sakhawat ka Qaseedah
Mahroom nahi hon gi basarat say wo aankhain
Go khuwab sahi, hoon Rukh-e-anwaar ki deedah
Bas ayek hi jhonka hay buhut shahr-e-Nabi ka
Awaz ye daitay hain tan-o-qal’b tapeedah
Laya dar-e-Rahmat pe mujhay jaadah-e-Rahmat
Kaafi meri bakhshash kay liye hay ye Qaseedah
Jis raah say guzra hay Adeeb un ki Sana man
Rukhshanda-o-tabinda’ darkhshan-o-damaidah
Aye Saba Mustafa se keh dena , Gam ke marey Salam kehtay han
Yad kartay han Tum ko Shaam-o-Sahar , Dil hamaray Salam kehtay han
ALLAH ALLAH Huzoor ki batain Marhaba rang-o- Noor ki baatain
Chand jin ki balayen lata hay aur taray salam kehtay hain
ALLAH ALLAH Huzoor key gaisoo bheney bheney Mehkety wo Khushboo
Jis se mamoor hay fiza har soo wo Nizaray Salam kehtay han
Jab MUHAMMAD ka Naam Aata hay Rahmatoon ka Paigam Aata hay Lab hamaray Durood Parhtay hain Dil hamary Salam kehtay han .
Zayer-e-Taiyyba to Madinay main , Piaray Aaqa say Itna keh daina
Aap ki Gird-e- Rah ko Aaqa bay saharay Salam kehtay han
Zikr tha Aakhri Maheenay ka Tazkira chir gaya Madeenay main
Hajyio Mustafa se keh daina Gam kay maray Salam kehtay han
Aye Khuda ke Habeeb Piyaray Rasool ye hamara Salam kijiye Qabool
Aaj Mehfil main jitney Hazir hain mil kay saray Salam kehtay han.
Aye shafe’e umam shah-e-zee jaah lay khabar
Lillah lay khabar meri lillah lay khabar
Darya ka josh, nao na barha na na khuda
Man doba , to kahan hay mery shah lay khabar
Manzal karhi hay raat andheri man na balad
Aye khizir lay khabar meri aye maah lay khabar
Puhunchay puhunchenay waalay to manzil magar shaha
Un ki jo thak kay baithay sar-e-raah lay khabar
Jangal darindoon ka hay man bay yaar shab qareeb
Ghariray hain chaar simat say bad khawah lay khabar
Manzil naye uzair juda log na shunaas
Toota hay koh-e-gam man par-e-kaah lay khabar
Wo sakhtiyaan suwal ki wo soortain muhaib
Aye gamzadoon kay haal say aagah lay khabar
Mujrim ko bargaah-e-adalat man laye hain
Takta hay bay kasi man teri raah lay khabar
Ahl-e-amal ko un kay amal kaam aayengay
Mera hay kaun teray siwa aah lay khabar
Pur khaar raah barahna pa tishnah aab door
Mola parhi hay aafat-e-ja nikah lay khabar
Bahir zubanain piyaas say hain aaftab garam
Kausar kay shah kassar-ul-Allah lay khabar
Mana ke sakht mujrim-o-naakarah hay Raza
Tera hi to hay bandah dargaah lay khabar
Aye sukoon-e-qalb-e-muztar aye qarar-e-zindagi
Aye ameen-e-raaz-e-fitrat, aye bahar-e-zindagi
Teri har har junbash-e-lab barg-o-baar-e-zindagi
Too diyar-e-ishq man hay shehryar-e-zindagi
Teray qadmoon ki badolat teri aamad kay tufail
Gulustan hi gulustan hay khar zaar-e-zindagi
Tera qur’b-e-khaas pakar teray dast-e-paak man
Sangraizay ban gay han shahkar-e-zindagi
Jis ne paye teri nisbat ho gaya wo Zee waqar
Aye furog-e-aadmiat, aye waqar-e-zindagi
Shayeran-e-husun-e-fitrat, Sahiban-e-dark-o-faham
Hay qadam bosi man har ik wazadar-e-zindagi
Daras tera Zalimoon say jang, mazloomoon say piyar
Kitni sadah ho gaye rah guzar-e-zindagi
Aadmi ko aadmi say piyar ka nuskha dia
To Tabeeb-e-khalq hay, teemar dar-e-zindagi
Too nay aa kar di nigahoon ko baseerat Husun ki
Warna thi mahdood lafzoon man’ bahar-e-zindagi
Too nay sahraye Takhayyul man lagaye gulustan
Aur chatanoon say nikalay Aabshar-e-zindagi
Goonj uthay nagmay lagaye to nay jab mazraab-e-ish’q
Ba rabt-e-fitrat pet ha khamosh taar-e-zindagi
Bay khabar dunya wama feeha say Too ne kar dia
Kia sharaab-e-zindagi hay, kia khumaar-e-zindagi
Rooh-o-jaan ki saltnat par hukmrani hay teri
Ham gulaam-e-ish’q hain, to Tajdar-e-zindagi
Ish’q ki deewangi kay samnay sab haich hain
Torh daiti hay Mahabbat’ har hisaar-e-zindagi
Teray paye naaz ka ik lams pa kar hay rawan
Chan chanatey, gungunatey joyebar-e-zindagi
اَ َلَا یٰاَ یُّھَا السَّاقِیْ اَدْرِکَا سًا وَّ نَاوِلْھَا
Ke bar yaad-e-shah-e-kausar bana sazaim mehfilha
Bila bareed Hubb-e-shaikh najdi bar wahabia
Ke ish’q asaan namud awwal walay uftaad mushkilha
Wahaabi garcha ikhfa may kunad buguz-e-Nabi lakin
Nahan kay maenad aa raazay kaz-o-saa zand mehfilha
Tawwahbgaah milk-e-hind iqaamat ra name shaayad
Jars faryaad may dard ke barbandeed mahmleha
Salaye mujalsam dar gosh aamad bain baya bashuno
Jars-e-mastaana may goyad ke bar bandeed mahmlaha
Magar daan ro azeen mehfil rah-e-arbaab-e-sunnat ro
Ke saalak bay khabar nabud ze raah-o-rasam manzalaha
Darayen jalwat baya az raah-e-khalwat ta Kuda
مَتٰی مَا تَلْق مَن قَھْوٰی دَعِ الدُّنْیا وَاَمْھِلْھا
Walam qurbaanat aye dood-e-charaag mihfil-e-molad
Za taab-e-jaad-e-mushkeenat cha khoon uftaad dar dalha
Gareeq-e-bahar-e-ishq-e-Ahmadaim az farhat molad
Kuja daanad haal-e-ma subkasa raan-e-sahla
Raza mast jaam-e-ishq saagar baaz mey khawahad
اََلَا یٰاَ یُّھَا السَّاقِیْ اَدْرِکَا سًا وَّ نَاوِلْھَا